Qurbani_ki_Haqiqat Qurbani ki Haqiqat Jaan’ne, Samjhne ke Liye Sabse Pehle Hameñ Ye Jaan Lena Chahiye ke Qurbani Lafz Arabi Lafz “QURB(NAZDEEK)” Se Aaya Hai.., Jiska Seedha Sa Matlab Hai, Allah ki Nazdeeki Haasil Karna.., Aam Tour Me Muslamano ke Nazdeek Qurbani Ye Hai ke Apne Maal ki Halaal Kamayi Me Se Ek Jaanwar Zibaah Karna Aur Us’ko Takseem Karna.., Lekin Kya Haqiqat Me Allah Ne Jaanwaroñ ki Qurbani Maangi Hai??? _ Quraan Me (Surah Hajj, Ayat No.37) Me Aata Hai ke “Allah Ta’ala ko Qurbanioñ ke Ghosht Nahi Pohanchte Aur Na Hee Khoon, Balke Usey Tou Tumhare Dil ki Parhezgaari Pohanchti Hai” _ Jaanwaroñ ki Qurbani Se Allah khush Nahi Hota Aur Na hee Us Tak Qurbani ka Ghosht Aur Khoon Pohanchta Hai.., Tou Fir Allah Ne Kis Cheez ki Qurbani Maangi Hai..? Hazrat Ibrahim۴ Se Jab Allah Ne Farmaya ke Rah-e-Khuda Me Apni Sabse Keemti Cheez ki Qurbani Pesh Karo Tou Hz. Ibrahim۴ Ne Khuda ki Iss Azmaishi Hukm ke Tahet Apni Sabse keemti Cheez Yani Apni Aulaad Ismail ۴ ko Rah-e-Khuda Me Qurbaan