Skip to main content

Swaneh Ameer wa Aale Ameer

Swaneh Ameer wa Aale Ameer


Hindal wali Hazrat Sarkar Meer Syed Qutubuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ki hindustan mein aamad:


Kitab Bahre-zakhar (Jild Awwal Page 204) mein hai ki Hazrat shah gulam hasan qutbi r.a jo Hazrat Meer Syed Qutubuddin Madni r.a ke aulado’n mein se the’n aur jo nawase aur Jaanasheen Hazrat Makhdoom Husamuddin Husamul Haq manikpuri r.a the.( aise Darwesh ba kamal the’n ki  jinke mureedo’n ki taedad Bengal mein zyada thi aur Qaum Jinn aap ke taabe thi) woh farmate hai’n ke ek martaba ek buzurg ka Kada (Kara) mein guzar hua.Unhone Dariya e Ganga mein ghusl kiya Raja Jaichand jo waha’n ka zalim Hukmara’n tha ye baat nagawar hui aur ussne un buzurg ki ek ungli saza ke taur pe shaheed karwa di woh buzurg waha’n se Madina shareef tashrif legaye’n aur Rauza e Nabwi ṣallā Allāhu ʿalayhi wa- ala aālehi wa-sallam ke samne jakar faryad aur shikayat kee Rauza e sarkar se jawab mila

Hindustan mein Islam ki Isha’at mere farzand Qutubuddin par munhasir hai

Chunanche Hazrat Syed Qutubuddin Madni r.a apne jad Sarware Qainaat ṣallā Allāhu alayhi wa- ala āalehi wa-sallam ke Hukm ke mutabiq Hindustan Tashreef laye’n.

Hindal Wali Hone Ki Basharat:

Kitab Malfozaat e Ameer, Zahoor e Qutbi, Bahre-zakhar wa Tareekh Aaina-e-Awadh mein iss tarah darj hai ki Hazrat Sarkar Meer Syed Qutubuddin Madni r.a ki hindustan mein pahli aamad ke baad Madina munawwara mein qayam ke dauraan aa’n Hazrat Sarkar Meer Syed Qutubuddin Madni r.a ko Royae sadiqa (Khawab) mein sarkar do aalam ṣallā Allāhu alayhi wa-ala aālehi wa-sallam ki basharat hui 

 Aap ṣallā Allāhu alayhi wa-ala aālehi wa-sallam ne irshad farmaya ki: ” Aye farzand Qutubuddin Badshah Ghazni ke paas jao aur uski fauj ko lekar Hind par Qabiz ho aur wahi’n qayam karo aur waha’n deen-e-Muhammadi ṣallā Allāhu alayhi wa-ala āalehi wa-sallam ki Tableegh wa Isha’at mein kosha’n rahna Hindustan ki walayat Tumhe ata hoti hai ”

Chunanche Hazrat Sarkar Syed Qutubuddin Madni r.a Hindal wali hai’n .Jinhe Huzoor Wajhe Takhleeq e Qainaat Huzoor ṣallā Allāhu alayhi wa-ala āalehi wa-sallam ne Hindal wali banaya.

Hazrat Sarkar Meer Syed Qutubuddin Madni r.a ki hindustan Pahli aamad aur Kada(Kara) ka pasand aana:


Kitab Malfozaat e Ameer, Zahoor e Qutbi, Behre-zakhar wa Tareekh Aaina-e-Awadh mein iss tarah darj hai ki Hazrat Meer Syed Qutubuddin Madni r.a ke waalide buzurgwar Hazrat sarkar Meer Syed Rasheed Al Deen Madni r.a ke wisal ke baad aap ka dil watan se uchaat hogaya lihaza pahle woh hajj ki adaegi ke liye Madina se Makka tashreef le gaye’n aur adae Hajj wa Umrah ke baad saer o saiyyahat ke garaz se Hindustan ke liye rawana hue’n aur beech mein kai maqamaat (maslan Baghdad,Afganistan,Iran waghaira) hote hue hindustan tashreef laye’n jahan ghoomte ghoomte aap Kada ke sar zameen par pahuche’n jahan ki aabo hawa bahut pasand aai chunanche aap mashghool-e-ibadat-e-Khuda hue’n lekin wahan ke bashindo ne wahan thairne nahi diya aur eezaa aur taqleef pahuchana shuru kar diya jiske aewaz aap bahut ghamghee’n hue’n aur Madina Munawwara wapas tashreef le aye’n jahan aap ko Hindal wali hone ki aur Hind fateh hone ki Basharat Huzoor ṣallā Allāhu alayhi wa-ala āalehi wa-sallam se mili. Iss basharat se Sarkar Ameer Kabir Qutubuddin Madni r.a ko intehai khushi hui aur woh azm safar hindustan hue’n aur hukm e rasool e khuda salla allahu alayhi wa ala aalehi wasallam ke mutabiq ghazni pahuche’n.

Hazrat Sarkar Meer Syed Qutubuddin Madni r.a ki hindustan mein Dusri aamad:


Kitab Malfozaat e Ameer, Zahoor e Qutbi, Tareekh Aaina-e-Awadh, Tazkiratus-sadaat, Malfoz Syed Hamid Bukhari al sindhi, Nuzhatul Khawatir : 

ke mutabiq basharate nabawi ṣallā Allāhu alayhi wa-ala aālehi wa-sallam ke baad Hazrat Meer Syed Qutubuddin Madni r.a apne teeno farzand (Hazrat Meer Nizamuddin Hasan r.a, Hazrat Meer Syed Qwamuddin Mahmood r.a, Hazrat Meer Syed Tajuddin r.a) wa apne aur apne walid ke mureedo’n ko lekar hindustan ke liye ravana hue’n. Pahle aap Darul sultanat Ghazni pahuche’n uss waqt Ghazni par sultan Muhammad Ghaori ki hukumat thi. Ghaori ko aalame mashaal (khwab) mein sarkar do aalam sallā Allāhu alayhi wa- ala āalehi wa-sallam ne Hazrat ki aamad aur tazeem ka hukm de diya tha. Lehaza sarkar Meer Qutubuddin Madni ki aamad par Sultan Muhammad Ghaori ne khoob josh-o-kharosh se aap ka khair makhdam kiya aur aap se talluq qaim karne ke liye apni beti ko Hazrat Meer Qutubuddin Madni r.a ke bade farzand Hazrat Meer Nizamuddin Hasan r.a ki zaujiyat mein bataur khidmat de diya. Aur aap ke humrah apni 18 hazaar fauj kardiya.Chunanche aap apne ahle khana aur lao-lashkar ke saath Delhi pahuche’n iss waqt jaha’n ka Sultan Qutubuddin Aaibak tha. Hazrat Qutubuddin Madni r.a ki aamad par Qutubuddin Aaibak ne garam joshi ke saath aap ki pazirai kiya aur aap ki khidmaat mein koi kami nahi chhoda Aur aap ke dast haq parast par bait ho gaya aur ta hayat aap ka mureed wa motqid raha. Delhi mein kuch din qayam ke baad Hazrat Qutubuddin Madni r.a ke fatuhaat ke daur shuru hue’n aur aap Hindustan ke ilakho ko jisme bilkhusoos Kannuj, Banaras, Kurra, Haswa, Fatehpur shamil tha, ko fateh karte hue Kada-Manikpur ki sarzamee’n par pahuche’n aur jise Raja Jaichand aur Manikchand Rathaur se fateh kiya aur apni milkiyat mein shamil kiya aur iss khitte ko apne wajoode noorani se pur faizo fazeelat kar diya aur khufro shirk aur jihalat ko mita kar ilm ki shamm-e-firoza’n raushan kar diya.


Kada mein Mustaqil Qayam:


Ba Hawala Kitab Tareekh Aaina-e-Awadh : Kada-Manikpur par muqammal kabzaa ho jane ke baad Ameer Syed Qutubuddin Madni r.a ne  apne tamam humrahi mujahideen ko talab kar ke irshad farmaya

ki faqir ki zindagi aur maut dono RasoolAllah ṣallā Allāhu alayhi wa-ala āalehi wa-sallam ke hukm ke mutabiq Kada se jodd di gayi hai lehaza mai’n to yahee’n jiyo’n aur marunga albatta tum logo’n ko bakhushi ijazat deta hoo’n ke apne apne watan laut jao“.

iss par un sab ne iltemaas kiya ki hamari zindagi aur maut bhi aap hi ke daamane daulat se wabasta hai lehaaza hum bhi yahi’n jiye aur marenge tab un mein se har ek ko unke khwahish ke mutabiq qayam ke liye jagah ata hui. Un mein se chand hazraat ke naam ba hawala Kitab Tareekh Aaina-e-Awadh (dafa no 28 safa no 60-64) iss tarah hai.

shinystar1.Hazrat Syed Ehsan (harawal lashkar) r.a (aap Imam Ali Reza A.S ki aulado’n mein se hai’n) kada mein muqeem rahe’n jinki aulade’n hansa chand mein aabad hui’n.

shinystar2.Hazrat Yusuf Qattal r.a auraine pargana Kada mein muqeem hue’n aur unki aulade’n bhi wahi muqeem rahi’n.

shinystar3.Hazrat Syed Muhammad Ghaus urf Gosai’n r.a Karari Allahabad muqeem hue’n unki aulado’n ne bhi wahi’n ki rehaish ikhtiyaar kiya.

shinystar4. Hazrat Makhdoom Sheikh Minhajuddin r.a mauza kantuhwa urf teergao’n Kada mein muqeem hue’n unki aulade’n bhi wahi muqeem rahi’n.aap sahiun nasab Siddiqui hai’n.

shinystar5.Hazrat Syed Fakhruddin r.a jad Hazrat Maulana Makhdoom Ziauddin r.a mauza kasari Kada mein muqeem hue’n.choonki Maulana Makhdoom Ziauddin r.a ba silsila Ameer Kabir Syed Qutubuddin Madni r.a ke Khalifa o mureed the’n bawajah rushdo irshad wa taaziman un ko sheikh kaha jane laga.unki aulado’n ne mauza kasari Kada ko hi aapni rihaish banai.

shinystar6. Hazrat Salar Haji Jamal r.a mauza Daulatpur pargana Kada mein muqeem hue’n bahut se ghar unke aulado’n ke wahan maujood hai’n.Rishteydari unki zamidaraa’n mauza barai zila Pratapgarh se hoti aai hai.

shinystar7. Hazrat Sheikh Chandan r.a qaum afghan se the mohalla kagazyaan Kada khaas mein abaad hue’n aur unki aulade bhi wahi’n muqeem rahi’n.

shinystar8. Hazrat Makhdoom Qazi Sheikh Shahabuddin amri r.a awwal sakin Kada rahe’n phir mauza Hashimpur kinar pargana chael mein boodbashi akhtiyar kiya aur unki aulade’n bhi wahi’n muqeem rahi’n.

shinystar9. Hazrat Syed Ahmed Sabzwari r.a walid majid Hazrat Makhdoom Maulana Khwajgi kadwi r.a awwal sakin Kada Khaas rahe’n phir akhir ko aulade’n unki mauza malsobhuny pargana karari jo ab Bahadurpur ke naam se mash’hoor hai qayam hui’n aur ab bhi inme se bahut se khandan yaha’n maujood hai.ye khandan Imam Jaffar Sadiq A.S ke aulado’n se hain.

shinystar10.Hazrat Makhdoom Sheikh Ziyauddin zahid mufassir r.a aulad inki mauza kahkateru pargana Yakedala zila Fatehpur mein muqeem thi’n.

shinystar11. Hazrat Makhdoom Sheikh Husamuddin ghauri r.a jinki mazaar mubarak Hazrat Ameer Kabir Qutubuddin Madni r.a ke makhbare se mili hui hai. jo mauza sultanpur sawa khat kada mein waqe hai inki aulado’n ne mauza narwar abbas pargana chael mein sukoonat akhtiyaar kiya.

shinystar12. Hazrat Makhdoom Sheikh Bata Ansari r.a aap bhi kada khaas mein abaad hue’n jis mohalle mein aap ka qayam tha use aap ki munasbat se ansari mohalla kaha jata tha aapki aulade’n bhi wahi’n muqeem rahi’n.

shinystar13. Hazrat Qazi Ahmed Mohtasib Usmani r.a aap sheikh usmani the’n aap ki aulade’n mauza ibnayebuzurg pargana Kada mein abaad rahi’n.iss khandan ke tamam logo’n ne basilsila hazrat Makhdoom Husamuddin Husamul Haq Manikpuri r.a se bait aur khalafat hasil kiya. Sheikhzadgaan mauza nanmai pargana karari aur Sheikhzadgaan mauza rashidmai shaher Kada isi nasal se hai’n.

shinystar14.Hazrat Makhdoom Sheikh Bahauddin Salar r.a aap bhi sheikh usmani hai’n. mauza syed sarawa’n pargana chael zila Allahabad mein muqeem hue’n aur inki aulado’n ne bhi wahi’n ki sukoonat akhtiyar kiya.

shinystar15.Hazrat Salaar Shujauddin Mushkil Aasaan r.a aap ne qila kada ko fateh karne mein shahadat paai aur aapki wasiyat k mutabiq aapko qila kada mein hi supurde khaak kiya gaya.

shinystarHuzoor Ghausul aalmeen Qutub al aqtaab Sheikhulislam Imamul Aulia wa asfiya Hazrat Syedna Ameer Kabir Qutubuddin Muhammad al Madni r.a ne dariya e ganga ke kinare aur Qila Kada ke bilkul samne ek buland aur sarsabz teekre par apne ahele Khandan ke saath rehaish akhtiyaar kiya jiska naam aapke naam ke munasibat se qutbiyana mohalla pada aur aaj bhi isi naam se mausoom hai.


Darul Sultanat Delhi ke Sheikhulislam :

Ba Hawala Kitab Tareekh Aaina-e-Awadh, Tabqaat e Nasiri, Nuzhatul Khawatir, Tareekh-e-Firozshahi, Kitab Syed Ahmed Shahid (Maulana Ghulam Rasool Mehar) :

Hazrat Syedna Ghausul aalmeen Qutub al aqtaab Sheikhulislam Imamul Aulia wa asfiya Hazrat Syedna Ameer Kabir Qutubuddin Muhammad al Madni r.a ne Sultan Bahram shah ibn Sutan Shamsuddin Iltamush ke ahad e hukumat mein delhi mein Sheikhulislam ka mansab sambhala aur phir Sultan Nasiruddin Mahmood san 653 hijri mein iss mansab se subugdosh hue’n. Aap ke hayate zahiri mein Delhi mein aath Badshah hue’n aur unsab ne had darje aapka aur aapki aulado’n ka ahtiram aur ikram kiya. Sultan Shamshuddin Iltamush aapki kadam bosi aur dast bosi karte aur aapko apne takht par baithate aur khud neeche baithte the aur aap se barkat hasil karte the aur yahi har ek Badshah ka tarze amal tha. Aap ke hayat zahiri mein jo aath Badshah delhi mein hue’n unke naam yoo’n hai.

1.Sultan Aaramshah (607 hijri se -607 hijri k akhir tak) badshah rahe’n.

2.Sultan Shamsuddin Iltamush (607-633 hijri tak) badshah rahe’n.

3.Sultan Ruqnuddin Iltamush (633-634 hijri tak) badshah rahe’n.

4.Razia Sultana bint Iltamush (634-637 hijri tak) hukumat kiya.

5.Sultan Bahram Shah bin Iltamush (637-639 hijri tak) badshah rahe’n.

6.Sultan Masood Shah bin Iltamush (639-644 hijri tak) badshah rahe’n.

7.Sultan Nasiruddin Mahmood (644-664 hijri tak) badshah rahe’n.

8.Sultan Gyasuddin Balban (664-685 hijri tak) hukumat kiya.


shinystarshinystarshinystarAap Ka Martaba aur Maqaam:

Musannif Tareekh-e-Firozshahi ne isske mutaliq yoo’n bayan kiya hai ki usne muatbar buzurgo’n se suna hai ki Sultan Gyasuddin Balban ke ahad mein chand hastiya’n jo Sultan Shamshuddin iltamush ke mubaark ahad ke yaadgaar thi’n, baaqi reh gayi thi’n aur uss daur ke chand maluk wa umra wa awane sultanat bhi maujood the aur ye buzurg hastiya’n balban ke ahad ke liye ba’ise fakhr the’n chunanche sadaat mein se ki jo buzurgane ummat ke sartaj hai’n darul sultanat ke sheikhulislam Hazrat Syedna Ameer Kabir Qutubudin Muhammad Madni r.a jo Badaun ke qaziyon ke jad buzurgwar hai’n aur Syed Muntaqibuddin wa Syed Jalaluddin (farzand Syed Mubarak) wa Syed Azizuddin wa Syed Moinuddin (samanah) neez Gardeezi sadaat (jo Syed chahju ke ajdad hai’n) iss tarha Kaithal ke sadaatuzaam wa sadaat chanjer wa sadaate bayanah wa sadaate Badaun wa dusre motadad sadaat ekram jo changez Khan maloon ke haadse ke wajhe se iss mulk mein tashreef laye the’n.in mein se har ek sahiun nasbi aur aali hasbi mein benazir aur kamale taqwa se arasta raunaq baksh wajood tha.

shinystarshinystarAezaz wa ekram :


Delhi ke qayam ke dauran inka kitna aezaz wa ekram tha aur bashindegaan-e- delhi kya aam kya khaas sabhi ke nazro’n mein in ka kya martaba va maqaam tha iss ka andaza tazkirah nigaro’n ke mohtamim bilshan alfaaz aur balando baala alqaab se bakhubi kiya ja sakta hai jo inhone Hazrat Ameer Kabir Syed Qutubuddin Muhammad Madni r.a ke mutalliq apne tahrero’n mein istimal kiya hai. In mein se kuch ka zikr iss tarah hai.

Sahibe Kitab Bahrul Ansab likhte hain :Hazrat Ameer Kabir Syed Qutubuddin Muhammad Madni Hasani Husaini r.a apne waqt ke Syed Kabir aalim mutbaher faqih aur haziq aur wali-e-faiq the’n ek aise zahid jo naek kamo aur eta’at-e-ilahi mein sargaram rehne wale Allah ke raah mein Jihad karne wale salateen ko raah-e-hidayat par qaayam rakhne wale aur sulah se tawun karne wale the’n.

Sahib e Kitab Tazkirah Ulema e Hind Farmate Hai’n Hazrat Qutubuddin Madni Ibn Hazrat Meer Ahmad Al Ghaznavi.Aap ke Waalid ka Silsila e Nasab Hazrat Imam Hasan Ibn Hazrat Maula Ali Alaihissalam Se Milta hai.Wo Aalim Mutbaher Faqih Nahreer Sahib e Walayat Aur Mujahid Fi SabeelAllah The’n. San 581 Hijri Mein Paida Hue’n.Sultan Shamsuddin Al tamash ke Zamane Mein Ghazni Se Delhi Aaye Aur Waha’n Se Mauza Kurra Sadaat Mein Aakar Sukunat pazeer Ho Gaye’n. Kurra Mauza Haswa Ke Qareeb Nisf Meel Ke Faasleh Par Waqe Hai Jo Kurra Sadaat Ke Naam Se Mash’hoor Hai. 

Waha’n Se Ghazva Aur Jihaad Ke Niyat Se Bamaqaam Kada Jalwa Afroz Hue Jo Manikpur ke Muqabil Ganga Ke Kinare Waqe Hai. Raja Jai Chand Se Ghazva Farmaya Aur Ghalib Aaye’n.96 Saal ki Umr Mein Maqam kada Mein 3 Ramzanul Mubarak San 677 Hijri Mein Rehlat Farmai. Teen Farzand Hazrat Syed Nizamuddin Hazrat Syed Qwamuddin Muqeem Delhi Aur Hazrat Syed Tajuddin Qazi Badaun Yaadgaar Chhode. Syed Mausoof Alaih rahma Ki Aulade’n Kada, Naseerabad, Rudauli, Kaundhan Patti, Ajhwa, Rasoolpur, Kaurali, Munemabad, Rajupur, Gwalior, Karai, Jaheza, Delhi, Badaun, Haswa Waghaira Mein Sukoonat Rakhti Hain Aur Sadaat e Qutbiya ke Naam Se Mash’hoor Hai’n

Sahibe Kitab Mambaul Ansab likhte hainHazrat Ameer Kabir Syed Qutubuddin Muhammad Madni Hasani Husaini r.a bahut sahibe kamal aur arif billah the’n. naql hai ke jo koi inki Dargah mein iradat wa aqidat ke saath jata hai apna maqsad pa leta hai. Aap Bahut Maqbool Bargahe ilahi buzurg hain. aur inki dusri karamat behad aur beshumar hai’n.

Sahibe Kitab Bahre-zakhar likhte hain: Maqame Qutbiyat par fa’ez tafzilate nabwi ke farzand yani Qutub e Waqt Hazrat Ameer Kabir Syed Qutubuddin Muhammad Madni Hasani Husaini r.a ke halaat jo Syed Abdul Qadir Jelani r.a ke nasab se the’n, inhone khirka e khalafat dast ba dast apne Buzurgo’n se paya tha- woh karamat aur raushan khwarik ke malik, khaas o aam mein izzat rakhne wale, beshak wa shubha apne zamane ke sahib e kamal, raah-e-deen islam ke mujahid, anwar rabbul aalmeen ke mushahid, aale ghaus e samdani ke tasbeeh ke daano ke imam aur aashiqane rabbani ke peshwa the’n.

Iss saare aezaz wa ekram ke bawajood jo aam wa khaas aur ulema wa salateen aur buzurgane deen mein inko hasil tha wo azm shauk jihad tha. Hazrat Ameer Kabir Syed Qutubuddin Muhammad Madni Hasani Husaini r.a us azeem maqsad jihad wa shahadat ko ek lamhe ke liye bhi faramosh na kar sake’n jiske liye woh hindustan aaye the’n. aur ba fazle khuda ta’ala us niyamate jihad se aap behramand bhi hui’n.


Khwariq wa Karamaat:

Sahibe Kitab Bahre-zakhar likhte hain: jab Raja jaichand ko Hazrat Ameer Kabir Syed Qutubuddin Muhammad Madni Hasani Husaini r.a ke Kada pahuchne ki khabar hui tu pahle iss ne aap ka imtehaan lena chaha iss ne ek mash’hoor jogi gangabar naami ko jo iska guru tha Hazrat Ameer Kabir Syed Qutubuddin Muhammad Madni Hasani Husaini r.a ke paas bheja aur ye khwaish ki ke pahle muqabala karamat wa khwariq mein ho jo iss mein badh jayega aur zyada bulandi par jayega usko sahibe tasarruf maan liya jayega .

”Mash’hoor hai ki jab aap kada tashreef laye’n to jogi gangabaar jo raja jai chand rathaur ka guru aur musheer aala tha aur jo shobde baazi aur jaado mein zarbul misl tha aapka rasta rokne ki gharaz se aage aaya aur apne jaado se Aasman se Aag barsana shuru Kiya ye dekh Hazrat Sarkar Meer Qutubuddin Madni Al kadwi r.a ne bahukm Qadir e mutlaq Aasman se paani barsana shuru Kar diya jis se saari Aag bujh gyi ye dekh kar jogi Ganga baar ne hawa mein parwaas karna (uddna) shuru kar diya aur bulandi par jaha’n tak uski rasai thi uda ye dekh kar Aapne apne ek mureed Ko apni jootiya’n ata ki aur hukm diya ki jao aur uss ko maarte hue neeche le aao “Bas phir kya tha aapka hukm paate hi wo mureed hawa mein uddna shuru ho gaya aur jogi gangabaar se upar uddna shuru kar diya aur jogi gangabaar Ko sarkar Ameer Kabeer r.a ki jootiyo’n se maarte hue neeche Zameen par gira diya.

Ab jogi ne kaha ye theek nahi koi dusri karamat dekhaye’n. iss bar jogi ne apne haath ka danda zamin par pheka woh saanp ban gaya iss par sarkar Hazrat Ameer Kabir Syed Qutubuddin Muhammad Madni Hasani Husaini r.a ne sunnat e moosvi ada karte hue apna asa mubarak zameen par pheka jisne azdahe ki shakl akhtiyar kar liya aur jogi gangabar ke saanpo’n ko nigalna shuru kardiya jise dekh jogi gangabar bhaag khada hua aur ladai chhid gai aur Raja jaichand ko shikast ka muh dekhna pada.

Mash’hoor hai ki jogi gangabar ba karamat e Ameer Kabir r.a se baheda ka phal khane ke wajah se haamla hogaya aur jab nau (9) mahina ka waqfa guzra tu uska pet chaak kiya gaya to beta paida hua, jogi gangabar sarkar k qadmo’n par gir pada aur kalma e haq padh liya. jogi gangabar qaboole islam ke baad isi sadme se mar gaya aur uske wasiyat ke mutabiq uski qabr Ameer Kabir r.a ke dargah ke taabdan (woh naali jaha’n se paani bahar nikalta hai) ke neeche banwaya gaya. (isi baheda ke asal se aap ke mazar mubaark par ek pedd tha ki jiske phal ka khud ba khud kisi aurat ke goad mein girne se ba karamat e Ameer Kabir r.a woh aurat haamla ho jaati thi.)

Kurra (fatehpur) ke qayam ke dauran Hazrat Ameer Kabir Syed Qutubuddin Muhammad Madni Hasani Husaini r.a ke hukm se ek masjid tameer karai gayi jiske samne ek kuwa’n bhi khudwaya gaya iss kuwe’n mein aap ke karamat se aap ki asa mubarak ki zarb se pani ka chashma phoot gaya jis ka pani ab tak jaari aur saari hai. subhanallah ye shaan hai Hazrat Ameer Kabir Syed Qutubuddin Muhammad Madni r.a ki.

Hazrat Ameer Kabir Syed Qutubuddin Muhammad Madni Hasani Husaini r.a ki karamato’n ka tafseeli zikr Tazkirahtus sadaatAaina-e-Awadh, Bahre-zakhar, Zahoor-e-Qubi, Malfozaat-e-Qutbi aur dusre tazkiro’n mein milta hai.

Hum martaba muasreen wa hum nasheen:


Darul sultanat Delhi mein Hazrat Ameer Kabir Syed Qutubuddin Muhammad Madni Hasani Husaini r.a ke paas aamad o raft rakhnewale aur inke hum nasheen ahbaab inhi ki tarah sahibane ilm wa marifat aur ahle kamal wa hum martaba log the’n

Sahibe Kitab Bahrul-ansab likhte hain: Ki Sheikh Jalaluddin Tabrezi r.a aur Sheikh Qutubuddin Bakhtiyar kaki r.a ki Hazrat Ameer Kabir Syed Qutubuddin Muhammad Madni Hasani Husaini r.a se badi rasm wa rah thi aur woh teeno bahum digar wa hum nasheen buzurg the’n. Sheikh Bakhtiyar to delhi mein hi qayam pazeer rahe’n aur inka mazaar bhi wahi’n hai. Sheikh Tabrezi luckhnowti muntaqil ho gaye’n aur Hazrat Ameer Kabir Syed Qutubuddin Muhammad Madni Hasani Husaini r.a apne lao-lashkar, aulad, aqraba, aur kunbe ke saath khitta kada muntaqil hue’n aur wahi’n qayam pazeer hue’n.Woh sab wahan ilm zuhad wa taqwa mein mash’hoor hue’n unhone waha’n maloono’n ko qatl kiya kufr wa gumrahi ke aasaar ko mitaya aur khitta kada ke mazafat ko aapne akhtiyaare tasarruf mein le kar apni hukumat mein shamil kar liya.

Ghausul aalmeen qutub-al-aqtaab shaikhul islam Hazrat Ameer Kabir Syed Qutubuddin Muhammad Madni Hasani Husaini Rahmatullah alaih ka baargah-e-khudawandi mei’n martaba wa maqaam aur apne aulado’n (khanwada-e-qutbiya) wa silsila-e-qutbiya kabeeriya ke liye aapki dua :

Ghausul aalmeen qutub-al-aqtaab shaikhul islam Hazrat Ameer Kabir Syed Qutubuddin Muhammad Madni Hasani Husaini r.a ke malfozat mein se ki jisko musannif Zahoor-e-Qutbi ne aapni Kitab mein naqal farmaya wo qaseeda ki jisko sukr o ishq khudawandi ke istaghraq (woh kaifiyat jisme insaan duniya se kat ke Khuda ke Ishq mein itna choor ho jata hai ki zaat e Allah ke alawa koi shaye usme baqi nahi rehti) ke aalam mein kahe’n hai’n ,aur jismein baargah-e-khudawandi mei’n apne martaba wa maqaam ka izhar kiya hai aur apne aulado’n (khanwada-e-qutbiya) aur apne mureedo’n (silsila-e-qutbiya kabeeriya) ke liye dua farmayi hai. wo zere nazar qaareenkiram hai.

1


2


 

 

4


 

5


6


7


Note : Sahibe Kitab Maratul Asrar Hazrat Sheikh Abdul Rehman Chishti r.a farmate hai’n Sulook mein teen maqam hote hain (1)Ilmul Yaqeen (2)Aainul Yaqeen (3) Haqqul Yaqeen chunanche Hazrat Sufiyaneuzzam ne iss ki tarjumani kuch iss tarah ki hai. Ilmul yaqeen yeh hai ki aadmi ne aag na dekhi ho lekin usne suna ho ki aag jalati hai.Aainul Yaqeen yeh hai ki apne ankhoon se dekh le ki aag mein jo kuch dala jata hai woh use jala deti hai.Haqqul Yaqeen yeh hai ki aadmi apne aap ko daal  kar dekh le ki aag iss tarah se jalati hai.

Iss tarah jin Hazrat ko maqaame Haqqul Yaqeen hasil hai Woh Allah Ta’ala ke mutalliq ilm aur mushadah se bhi aage guzur ke zaat e Haq mein iss tarah fana ho jate hai ke jis tarah loha aag mein jaakar aag ban jata hai.chunanche in ashaar se yeh sabit hai ki Hazrat Sarkar Ameer Kabir r.a Haqqul Yaqeen ke martabe par faiz hain.Allah hu Akbar!!!

 

8


9


 

10 


 

11


 

12


 

13 





 

14 


15

Note :Maloom hona chahiye ke aksar ahelullah se is qism ke kalmaat sadir hue’n hai’n. misal ke taur pe Hazrat Bayazid Bostami r.a mutabiq(661 hijri) jinka pura naam Abu Yazid Taefoor bin Eisa Bostami tha aur unke mutaliq Khawaja Junaid Baghdadi r.a farmate the’n ki (Bayazid Bostami r.a hum mein aise moazzam hai’n  jaise Fariston mein Jebreel e Ameen) chunache Bayazid Bostami aalame sukr mein farmate the’n “Ki main Paak Zaat hoon mere bulandi shaan ka kya poochna.” Hazrat Daata Hajweri almaroof Daata Ganjbaksh apne Kitab Kashful Mahjoob mein Bayazid Bostami ke is qaul ko likh kar farmate hai’n. ke yeh kahna inki guftar ka nishana hai aur dar haqeekat ye kahne wala Haq Ta’ala hi Parda e Abd mein hai. Isi tarha Hazrat Ghausulwara Abdul Qadir Jelani r.a farmate hai’n ki “Mera Yeh Qadam qul wali Allah ke gardan par hai ” 

Maqaam e WasileenSahib e Nafhatul uns Kitab Awaareful Ma’arif Teesre baab ki duswe fasl ke tarjume mein rewayat karte hai ki iss taefah ke tabqat ke maratib unke darjaat ke mutabiq teen aqsaam par hai’n.Pahli qism wasileen wa kamileen ka martaba hai aur yeh tabqa sabse u’ncha hai.Dusri qism salikane tareeq kamal ka martaba hai aur yeh tabqa darmiyana hai.Teesri qism ahele naqsaan ki hai aur yeh sabse neche tabqe par hai. Chunanche wasileen wa muqarribeen wa sabeqeen wa saliqeen e abrar as’haab e yameen muqeemane asrar as’haab shumal aur ahele wasool baad az ambiya alaihissalam hai .Iss tabqa e awwal ki bhi do qism hai.Pahli qism mashaikh sufiya ki hai jo Rasoolallah (صلى الله عليه و آله وسلم) ki kamal mutabe’at ki wajah se martaba e wasool (wisal billah) tak pahuch kar uske baad makhlooq ki hidayat pe Mamoor hue hai’n.inko kamilane muqammal kehte hai’n.Dusri qism un hazraat ki hai jo wasool ke baad khalq ki taraf ruju nahi karte hai’n.kyunki unhe ye khidmat tafweez nahi hoti.

Chunanche is sher mein Hazrat Ameer Kabir r.a farmate hai’n ki Mai’n Sadaat bani Hasan Mujtaba (عليه السلام) se hoo’n Qutubuddin mera naam hai aur Wasilane barhaq ke sar mere qadam ke neeche hai’n. 

ALLAH HU AKBAR YE MARTABA AUR MAQAM HAI HAZRAT SARKAR AMEER KABIR R.A ka!!!

16

Note : Naql hai ki Kisi shakhs ne Hazrat Ali (عليه السلام) se sawal kiya Ishq kya hai? Aap ne farmaya Ishq Khuda ke naam o mein se ek naam hai Subhan Allah.

Hazrat Khwaja Ajmeri Chishti r.a ne farmaya “ke Ishq e Illahi ka hasil ye hai ke Allah Ta’ala apne mohib ke dil mein apne deedar ka zauq paida kar deta hai aur use sardari ata karta hai.is se koi aisa fail sarzad nahi hota jis ke sabab Haq se doori hojaye.Kyunki jisne Haq ko Raazi karliya Haq uska dost hai aur Jannat uski deedar ki mushtaq.Phir farmaya Hazrat Khwaja Abu Saeed abul khair r.a farmate the’n ke Allah Ta’ala kisi bande ko apna dost banata hai Tu usko apni mohabbat ata kar deta hai aur woh banda iski raza ke liye apne ko hamatan waqf kar deta hai.Bil akhir Haq Ta’ala usko apni taraf kheench leta hai taaki woh FanaFillah ho jaye.Chunanche Hazrat Ameer Kabir is sher mein farmate hain ki main ishq ki naher hoon aur ishq ka chashma hoon. isse sabit hai ki aap ishq ke bhi aala darje par hai’n. Subhan Allah.

 

 

17

 

 

18

 

 

19

 

20

 

21

 

22


23


 

24


 

25

 


26


 

27


 

28


Note :Makfi na rahe ke ahle batin ne Alame Barzakh ke Chaar darjaat zahir kiye hai’n 

(1) Aalame Nasoot :Pahla darja hai jahan auliya ekaram ka guzar hota hai.Iss darje ko sabse nichele darje mein shumar kiye gaya hai.

(2)Aalame  Malkoot :Woh Aalam jo Farishto’n ki qayam gaah hai. Chunanche Sultanul Hind Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz Ajmeri Chishti r.a ki Seerat par Likhi jane waali Kitab “Seerat Khwaja Ghareeb Nawaz” mein isi mauzo par aap ka ek qaul naql hai ki “Ajay pal ne Hazrat Khwaja se arz kiya ki aap bhi apna koi Kamaal dikhaye’n Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaz ne muraghba farmaya aur usi haalat mein aapki rooh Aalam e Malkoot tak parwaaz kar gayi. Ajay pal jogi ki rooh bhi istadraaj se pahle Aasman tak pahuch gayi kyunki uski taab parwaaz yahi’n tak thi iske aage jaane ka raasta na mila Phir usne Khwaja Ghareeb Nawaz se ilteja Kiya ki mujhe bhi apne hum raah le chale’n chunanche aapne usko apne sath le liya aur Arsh e Azeem ke neeche pahuche’n. Khwaja Ghareeb Nawaz ki muqaddas sohbat ki barqat se Ajay pal jogi ki rooh par pada huwa hijab uth gaya aur Farishte Sarkar Khwaja Ghareeb Nawaz r.a ki rooh ki jo tazeem aur takreem kar rahe the’n uska manzar bhi Ajay pal jogi ne apne Aankho’n se dekh liya

Isi Seerat ki Kitab mein aap ke wisal ka zikr karte hue Hazrat Khwaja Qutubuddin Bakhtiyar Kaki r.a farmate hain ki “ek shab mye musalle par leta huwa tha ki neend aagai maine Sarkar Khwaja Ghareeb Nawaz r.a ko Arsh par dekha maine sir aapke qadmo’n par rakh diya aur aapka haal dariyaft kiya to aapne irshad farmaya ki Allah Ta’ala ne mujhe baksh diya aur apne saaye rehmat mein jagah ata farmai aur Farishto’n ke darmiyan meri qayamgaah muqarrar farmai hai main yahi’n rahta hoo’n. lehaza is qaul se ye zahir hota hai ki aapki qayamgaah Aalame Malkoot hai.

(3) Aalame Jabroot : (Aalame Barzakh ka buland baala Maqam)  Iske mutalliq Hazrat Khawaja Ghareeb Nawaz r.a farmate hai’n ke salikane ghair majzoob bajuz suhbat mursheed kaamil marfat Illahi hasil nahi kar sakte na baghair islah batin inki aalame jabroot tak rasai hoti hai.woh aalame nasoot wa malkoot mein bhatakte rahte hai’n.Yeh log shahwat pasand aur shohrat pasand hote hai’n.is qaul se sabit hai  ke aalame jabroot mein khasam khaas ki he rasai hai.

(4) Aalame Lahoot ya Lahoot e lamaka’n ya Maqam e hoo : yeh aalame barzakh ka sabse buland aur bala maqam hai. Maloom ho ke maqam e Lahoot  ke bayan mein baaz Muhaqqeqeen sufiya (Sufiya ki woh jamaat jo Haqiqat se ashna karate hain) ne is tarha farmaya hai ke jab wo huma e la yazaal ashiyana e lamaka’n mein is tarah sar dar muraqbah tha ke use khud apni khabar na thi is maqaam ko Aarifo ne Mahoot ka naam diya. Aur jab wajood ki lazzaat par aaya to is maqaam ko Nasoot ka naam diya. Aur jab apni hamdo sana par aaya to is maqaam ko Malkoot ka naam diya.Aur jab usne sar uthaya aur  nazar khud par padi to woh apne wajood ke ejza ka yak ba yak mushahidah karne laga to is maqaam ko Jabroot ka naam diya. Aur jab use khud se maloom hua ki main khud ba khud aaya hoon to is maqaam ko Lahoot ka naam diya. To is se maloom hota hai ki maqaam e Lahoot aisa maqaam e aali hai ki  aksar aur khaas ke alawa kisi ka guzar nhi. Chunanche is sher mein

 “Hazrat Sarkar Meer Syed Qutubuddin Muhammad Al Madni Kadwi r.a Farmate Hain ki main ek muddat daraaz se Maqaam e Lahoot mein parwaaz kar raha hoon Maqamaat Jabroot wa Malkoot ki to parwah bhi nahi karta aur is zamane ka wali ( Jo is maqaam se koi hissa bhi nhi rakhta ) mere nazdeeq shikam maadar mein rahne waale bachche ke manind hai  yaani woh is martabe mein hai ke Aql hayolani (ek zarra bhi Aql) bhi nhi rakhte hain.

Allah hu akbar ye martaba aur maqaam hai Hazrat Sarkar Meer Syed Qutubuddin Muhammad Al Madni Kadwi r.a ka.

29



shinystarshinystarshinystarshinystarshinystarAulad e Uzaam Sarkar Ameer Kabir Qutubuddin Madni R.A:shinystarshinystarshinystarshinystarshinystar

Hazrat sarkar Ameer Kabir Qutubuddin Madni r.a ke Teen Shahzade hue’n jo apne apne waqt ke jalilul qadr Aulia wa Ulema qarar diye jaate rahe hai’n .(TO READ  KINDLY CLICK BELOW )

  1. Hazrat Syed Nizamuddin Hasan Madni r.a (Kada shareef )

  2. Hazrat Syed Qwamuddin Mahmood Madni r.a (Delhi shareef)

  3. Hazrat Syed Tajuddin Madni r.a (Badaun shareef)























Wafaat :

Teen (3) maahe Ramzanul Mubaarak san 677 hijri mutabiq san 1278 eiswi ko ba ahad Sultan Ghayasuddin Balban Hazrat Sarkar Ameer Kabir Qutubuddin Muhammad  Madni r.a ne cheyanwe (96) saal ki umr mein wafaat paai aur Kada mein madfoon hue’n.

Hazrat Ameer Kabir Qutubuddin Madni r.a ki mazaar mubarak Kada zila Kaushambi (U.P) mein mazaar Hazrat Khawaja Kadak shah abdal r.a ke junubi simt waqe hai.

Ba Hawala Malfooz Syed Hamid Bukhari wa Nuzhatul Khwatir aur Wafiyatul Aalaam Hazrat Ameer Kabir Qutubuddin r.a ki wafaat Kada mein hui aur inka mazaar aur inki aulad isi jagah hai’n. Inki Qabr mubarak hajatrawae khalk aur inki aulad sahibe haal wa dilq hai’n.

Maujooda Waqt Mein Mazaar mubarak Hazrat Ameer Kabir Syed Qutubuddin Madni r.a ki Tasweer.

Dargah Hazrat Ameer Kabir Syed Qutubuddin Muhammad al Madni r.a ki maujooda waqt ki kuch tasweere’n:











 


Ye wo muqaddas bahede ka pedd hai Jisko Apne Dast e Mubarak se Hazrat Khwaja e Khwajgan Ghausul Aalmeen Hinadal Wali Badshah e Auliya wa Asfiya Sarkar Ameer Kabeer Syed Qutubuddin Muhammad Al Madni Al kadwi r.a ne Lagaya tha Sarkar ki karamat se iss pedd ka phal jis kisi Aurat ke goad mein gir jata tha wo aurat agar baanjh bhi hoti thi to wo haamla ho jaati thi. Uss waqt ka Mash’hoor jaadugar Ganga baar jo Aapke madd e mukhabil Aakar khada hua tha uss ne iss baat ka mazak Udaya aur kaha kya agar mere Pait par gira to kya Maye bhi haamla ho jaunga, Sarkar ne farmaya ha to bhi haamla ho jayega bas phir kya tha Sarkar ne Nazar upar pedd par Kiya aur ek phal aakar jaadugar ke pait par gira, waqt ke sath sath jaadugar ka pait bada hone laga jab nau maheene ka waqfa guzra to usse Aulade nareena (beta) paida hua, Jaadugar Hazrat Sarkar Qutubuddin Madni kadwi r.a ke qadmo’n mein Aakar gir pada Aur Aapke dast e haq parast par Imaan le Aaya Aur ye wasiyat Kiya ki Marne ke baad Sarkar ke rauza e mubarak ki naaliyo (jis se paani nikalta hai) ke neeche dafnaya jaaye, lehaza wo aur uski aulad Ko ek jagah dafn kiya gaya.
Sarkar Ameer Kabeer Syed Qutubuddin Muhammad Madni Al kadwi r.a ke wisal k baad bhi Aapke tasarrufat ke barkat se iss pedd ki karamat jaari aur saari rahi aur Har chait ke mahine ki nauchandi jumeraat Ko Sarkar ke Aastane par mela lagta tha jismein lakho log haazri dete the aur iss pedd ke Ird – Gird Aurte’n baith jaati thi jis kisi ke goad mein baheda ka phal khud ba khud gieta tha wo Apne muraad Ko pahuchti thi.
Sarkar Ameer Kabeer Qutubuddin Madni r.a ki ye karamat hai ki aaj saadhe aath sau (850) saal guzarne ke bawajood ye pedd apni jagah mazbooti se khada hai aur Sabse badi khaas baat ye hai ki ye pedd andar se poori tarah khokla hai Lekin upar se hara bhara hai. Subhan Allah ye Shaan hai Allah ke Waliyo’n ki.

 
 

Comments

Popular posts from this blog

Hadith Jhoot Bolne Walo Par

  *بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ* *اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞* Al-Qur’an:-“Beshak Jhoot Bolne Walo Par Allah Ki Laanat Hai.  Reference  (Surah Aal-e-Imran 3:61) Hadees No:- 1 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate Hai:-“Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunah Ki Taraf Le Jata Hai,Aur Gunah Jahannum Me Pahunchaane Wala Hai.”  Reference  (Sunan Abi Dawud 4989-Sahih) Hadees No:- 2 “Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannum Me Phenk Diye Jaayenge, Sirf Apni Zuban (Jhooth) Ki Wajah Se.  Reference  (Tirmizi Shareef) Hadees No:- 3 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate hai:- “Main Zamanat Deta Hu Jannat ke Darmiyaan 1 Ghar ki, Us Shaksh Ko Jo Mazak Me Bhi Jhoot Na Bole.”  Reference  (Sunan Abu Dawood 4800) Hadees No:- 5 “Laanat Aur Halaqat Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot...

JERUSALEM AND UMAR IBN AL-KHATTAB (RA)

Jerusalem is a city holy to the three largest monotheistic faiths – Islam, Judaism, and Christianity. Because of its history that spans thousands of years, it goes by many names: Jerusalem, al-Quds, Yerushaláyim, Aelia, and more, all reflecting its diverse heritage. It is a city that numerous Muslim prophets called home, from Sulayman and Dawood to Isa (Jesus), may Allah be pleased with them. During the Prophet Muhammad ﷺ’s life, he made a miraculous journey in one night from Makkah to Jerusalem and then from Jerusalem to Heaven – the Isra’ and Mi’raj. During his life, however, Jerusalem never came under Muslim political control. That would change during the caliphate of Umar ibn al-Khattab, the second caliph of Islam. Into Syria During Muhammad ﷺ’s life, the Byzantine Empire made clear its desire to eliminate the new Muslim religion growing on its southern borders. The Expedition of Tabuk thus commenced in October 630, with Muhammad ﷺleading an army of 30,000 people to the border with...

Waqia e Al-Harrah

THE BATTLE OF HARRAH (27 Zilhajj, 63 Hijri). The Battle of al-Harrah is a battle fought at al-Harrah in 683 CE, (27 Zilhajj, 63 Hijri) then lying to the northeast of Medina. The battle was fought against the armies of Yazid ibn Muawiyah by Abdullah ibn Zubayr and his allies, the people of Medina and several notable Sahabas, many of whom were killed in the battle. It is the second most infamous battle during the reign of Yazid bin Muawiyah, the 2nd Umayyad Caliph. When Yazid ibn Muawiyah became Umayyad Caliph in 680 CE he faced two major crises. First was the dissent of Husayn ibn Ali and the other was the revolt of Abdullah ibn Zubayr. Husayn ibn Ali rejected the legitimacy of Yazid ibn Muawiyah as Caliph, which ultimately led to his death in the Battle of Karbala on October 10, 680. This event further deepened the schism between Sunni and Shia denominations. After killing of Husayn ibn Ali that Abdullah ibn Zubayr, the hero of the Battle of Sufetula which was fought in 647 against the...