Qurbani_ki_Haqiqat Qurbani ki Haqiqat Jaan’ne, Samjhne ke Liye Sabse Pehle Hameñ Ye Jaan Lena Chahiye ke Qurbani Lafz Arabi Lafz “QURB(NAZDEEK)” Se Aaya Hai.., Jiska Seedha Sa Matlab Hai, Allah ki Nazdeeki Haasil Karna.., Aam Tour Me Muslamano ke Nazdeek Qurbani Ye Hai ke Apne Maal ki Halaal Kamayi Me Se Ek Jaanwar Zibaah Karna Aur Us’ko Takseem Karna.., Lekin Kya Haqiqat Me Allah Ne Jaanwaroñ ki Qurbani Maangi Hai??? _ Quraan Me (Surah Hajj, Ayat No.37) Me Aata Hai ke “Allah Ta’ala ko Qurbanioñ ke Ghosht Nahi Pohanchte Aur Na Hee Khoon, Balke Usey Tou Tumhare Dil ki Parhezgaari Pohanchti Hai” _ Jaanwaroñ ki Qurbani Se Allah khush Nahi Hota Aur Na hee Us Tak Qurbani ka Ghosht Aur Khoon Pohanchta Hai.., Tou Fir Allah Ne Kis Cheez ki Qurbani Maangi Hai..? Hazrat Ibrahim۴ Se Jab Allah Ne Farmaya ke Rah-e-Khuda Me Apni Sabse Keemti Cheez ki Qurbani Pesh Karo Tou Hz. Ibrahim۴ Ne Khuda ki Iss Azmaishi Hukm ke Tahet Apni Sabse keemti Cheez Yani Apni Aulaad Ismail ۴ ko Rah-e-Khuda Me Qurbaan karne ka Iraada Kiya Liya.., Yahaañ Khuda ko Yehi Dekhna Tha ke Mera Banda Ibrahim۴, kya Meri Raah Me Apni Sab’se Azeez Cheez ko Qurbaan Karega..? or Hz. Ibrahim۴ Is Imtihaan Me Qamyaab Huye.., Kyuñki Unhoney Allah Taala ke liye, Nafs Par Chhoori Chala Dee Aur Bargah-e-Khudawand Me Unki Qurbani Qubool Hui.. _ Iss Waqye Se Asl Maqsad-e-Qurbani ki Taraf Mutavajjeh Karwaya Gaya Hai ke Hameñ bhi Raah-e-Khuda Me Apni Sabse Azeez Tareen Cheez ki Qurbani Pesh Karni Hai.., Iske Liye Hameñ Apne Andar Moujood Tamam Tarah ki Buri Aadat, Anaa, Takabbur, Laalach Aur Nafs ki Choti-Badi Khwahishaat (Jaisa ke Makaan, Gaadi, Bangla, Sona-Chandi, Maal) Ko Rah-e-Khuda Me Qurbaan karna Hoga.. Kyuñki.., Ye Sab Nafs Parastish Se Judi Huyi Khwahisheñ/Chahateñ, Allah Ta’ala Aur Bande ke Beech Me Parda Hai.., Aur Allah Se Qurbat(Nazdeeki) Haasil Karne ke Liye, In Sab Khwahishaat ki Qurbaaniya Dena Laazmi Hai..!! ———————————————————— Maula ! Ham Sab Haqiqat ki Qurbani Samjhne Aur Rah-e-Khuda Me Pesh karne ki Toufeeq-o-Himmat Ata Farmaye..
*بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ* *اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞* Al-Qur’an:-“Beshak Jhoot Bolne Walo Par Allah Ki Laanat Hai. Reference (Surah Aal-e-Imran 3:61) Hadees No:- 1 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate Hai:-“Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunah Ki Taraf Le Jata Hai,Aur Gunah Jahannum Me Pahunchaane Wala Hai.” Reference (Sunan Abi Dawud 4989-Sahih) Hadees No:- 2 “Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannum Me Phenk Diye Jaayenge, Sirf Apni Zuban (Jhooth) Ki Wajah Se. Reference (Tirmizi Shareef) Hadees No:- 3 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate hai:- “Main Zamanat Deta Hu Jannat ke Darmiyaan 1 Ghar ki, Us Shaksh Ko Jo Mazak Me Bhi Jhoot Na Bole.” Reference (Sunan Abu Dawood 4800) Hadees No:- 5 “Laanat Aur Halaqat Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot Bole”. Reference (Abu Dawood:-4990)
Comments
Post a Comment