Sayyeduna Imam Hasan Alaihissalam Apne Nanajaan se Riwayat karte hain ke Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“Hum Ahle Bayt ki Muhabbat aur Shafaqat paane keliye mehnat karo aur isko apne upar hamesha farz jaano. Haqiqat ye hai ke jo bhi Allah Ta’ala se mile is haal me ke wo Hamse Muhabbat karta ho, to wo Meri Shafa’at se Jannat me jayega.
Us Zaat ki Qasam Jiske Qabza-e-Qudrat me Meri Jaan hai, kisi shakhs ko uski koi neki kaam nahi aayegi agar wo Hamara Haq ada na kare!”
[Imam Jalaluddin Siyuti Rehmatullah Alaih ne apni Kitab Ihya al Mayyit bee Fazail-e-Ahle Bayt me is Hadees ko Riwayat kiya aur farmaya ke Is Hadees ko Imam Tabrani ne bhi Mujam al Awsat me riwayat kiya hai.]
Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadi Nin Nabiyyil Ummiyyil Habibil Aalil Qadril Azeemil Jaahi wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Salli
Comments
Post a Comment