Skip to main content

Fazael e Sadaat

n6927213

[gallery ids="2689,2690,2692,2693,2694,2695,2697,2698,2699,2700,2701,2702,2703,2704,2705,2706,2707,2708,2709,2710,2712,2713,2714,2715,2716,2717,2261,1747,1748,1749,1750,769,817,392,152,155,121,120,122,117,113,112" type="slideshow"]

download

मोहब्बते अहलेबैत ये मोहब्बत बड़े सख़्त इम्तेहान लेती है अहलेबैत की मोहब्बत में
इमाम निसाई को मिम्बर पर शहीद किया गया, इमाम बुख़ारी के जनाज़े पे कोई नही आया, इमाम हाकिम पर कुफ़्र का फ़तवा दिया गया, इमामे आज़म अबु हनीफ़ा को ज़हेर दे कर शहीद किया गया
इमाम मालिक के हाथ उखाड़े गए, इमाम अहमद इब्ने हम्बल को शहेर से बाहर कर दिया गया, इमाम शाफ़ई को इस क़दर परीशान किया कि मक्का छोड़ कर मिस्र चले गए और इन हज़रात पर शियत का फ़तवा दिया गया,जिसके जवाब में इमाम शाफ़ई ने फ़रमाया,
"हुज़ूर के अहलेबैत की मोहब्बत अगर शियत है तो मैं शिया हूँ।"


Maula Ali Ibne Abu Talib (a.s) Ne Farmaya:

"Allah Uss Waqt Bhi Bolta Tha Jab Lafz Na They,
Aur Hum (a.s) Usski Boli Samajte They."

Sarkar Alampanah Huzur Waris pak Azamallahuzikruhu irshad farmate hai ~
"Jisko bhi Ishq ki Daulat mili panjatan Pak se mili"

 SADAAT (SAYYADO'N) KE MANAQIB WA FAZAEL



Image result for sadaat ke fazail

Related image



★★★★★RASOOL E KHUDA  HUZOOR (SALLALLAHO ALAYHI WASALLAM) NE FARMAYA----BESHAK, ” FATIMA (A.s) PAAK DAMAN HAI'N,  ALLAH  TA'ALA NE  UNPAR AUR  UNKI AULADO'N  PAR  AAG  KO HARAAM  KAR DIYA HAI”

{ TIRMIZI,  ABU NAEEM}

 

 

★★★★★HUZOOR (SALLALLAHO ALAYHI WASALLAM) NE FARMAYA,

FATIMA!  NARAZ HOTI HAI To  AllAH  BHI NARAZ  HO JATA HAI FATIMA RAAZI HO

TO AllAH BHI RAAZI HOTA HAI.

{SARFUN NABOVAT}

 

 

★★★★★NABI E KARIM (SALLALLAHO ALAYHI WASALLAM) NE FARMAYA,

AYE ALI !  KYA TUM  IS  BAAT SE KHUSH  NHI HOTE KE,  TUM UN 4  MEIN  SE  AIK HO JO SAB SE PAHLE JANNAT MEIN DAAKHIL HONGE,

"WO CHAAR  LOG YE HAIN,

EK MAYE, DUSRE TUM,

TEESRE HASAN CHUTHE HUSAIN.

APNI BIWIYA'N  APNE AAS PAAS SE JANNAT MEIN DAKHlL HONGI AUR APNI AULADE'N APNE PICHE JANNAT MEIN DAKHIL HONGI.

{TAFSIR KASSAF, PART:4, PAGE-213}

 

 

★★★★★RASOOL E KHUDA HUZOOR (SALLALLAHO ALAYHI WASALLAM) NE FARMAYA

JIS KISI NE HASAN AUR HUSAIN KO MEHBOOB RAKHA TO HAQIQAT MEIN  USNE MUJHE MEHBOOB RAKHA AUR JIS KISI NE IN DONO KE SAATH BUGHZ RAKHA TO USNE  MERE

SAATH AdAVAT  RAKHI”

{IBNE MAAJAH, PAGE :64, PART:1,}

{ALMUSTADARAK, PAGE 166, PART:3

 

★★★★★HUZOOR (SALLALLAHO ALAYHI WASALLAM) NE FARMAYA,

SAYYADA FATIMA JANNATI AURTO'N KI SARDAR HAI'N AUR HASAN-HUSAIN  JANNATI JAWANO KE SARDAR HAI'N.

{TIRMIZI SHAREEF}

 

★★★★★HUZOOR (SALLALLAHO ALAYHI WASALLAM) NE FARMAYA, AYE ABDUL MUTTALIB  KI AULADO'N !  MAINE AllAH Paak SE TUMHARE LIYE 3 DUAE'N KI.

 

1) AllAH TUMHARI MUSHKILO'N  KO DOOR KARE AUR MUSHKILO'N MEIN MAZBOOT  RAKHE.

2) TUM MEIN SE  JINHE ILM HASIL NAHI UNHE ILM HASIL HO AUR BAIHKE HUE NAEK RAAH PE AAJAYE'N.

3) TUMHE SAKHI, BAHADUR AUR RAHEM DIL BANAYE.

{HAAKIM & TIBRANI}

 

★★★★★AUR YAHI CHAHTA HAI ALLAH  KE DOOR KAR DE TUMSE HAR NAPAKI KO "AYE NABI KE GHAR WALO'N! AUR PAAK Kar DE TUMHE KHOOB.

{QURAAN, PARAH 22, RUKU1, }

 

★★★★★Aur  FARMA DO, AYE MEHBOOB! (SALLALLAHO ALAYHI WASALLAM)

KI MAYE NABUWAT KI TABLEEGH KE LIYE  KOI Ajr  Nhi Chahta. Siwae iske Ki Meri AHLEBAIT Se Mohbbt Kro.

{QURAAN, SURA SHURA, AAYAT-23}

 

★★★★★TAJDARE MADINA (SALLALLAHO ALAYHI WASALLAM) NE FARMAYA,

MYE TUMHE HUKM DETA HOO'N KE MERE RISHTEDARO  SE MOHABBAT KARO.

{TAFSIRUL KASSAF PART:4,   PAGE 213, 214,

TAFSIRE KARTIB PART:16, PAGE :17,

TAFSIRE KHAZAIN UL IRFAN}

 

★★★★★HUZOOR (SALLALLAHO ALAYHI WASALLAM) NE FARMAYA

"US ZALIM  PAR ALLAH KA SAKHT AZAAB HUA JISNE MERI AHLE BAIT (AULAAD)  KO TAKLEEF DEYA YA 

PARESHAN  KIYA YA UNHE NUKSAAN PAHUCHAYA’.

{DEYLMI}

 

 

★★★★★HAZRAT USMAN GHANI (RAZIALLAHU ANHU) SE RIVAYAT HAI KE RASOOL E  KHUDA (SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM)  NE FARMAYA,

 “JIS SHAKS NE DUNIYA MERI AHLE BAIT (AULADO'N) SE KOI NEKI YA ACHCHA SULOOK YA EHSAAN KIYA PHIR WO AHLE BAIT USKA BADLA NA DE SAKE TO QAYAMAT KE DIN MAIN APNI AULAD KI TARAF SE US KA PURA BADLA AdA  KARUNGA.

{ABU  NAEEM}

 

★★★★★HAZRAT JABIR BIN ABDULLAH (RAZIALLAHU ANHU)

SE RIVAYAT HAI KI HUZOOR (SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM)  NE IRSHAD FARMAYA

 “AYE  LOGO'N!  JO SHAKS AHLE BAIT SE BUGHZ ADAVAT RAKHEGA USE QAYAMAT KE DIN ALLAH TA'ALA  USKI QABR SE YAHOODI BANAKAR UTHAYEGA.

{TIBRANI}

 

★★★★★HUZOOR (SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM) NE FARMAYA,

"KHABARDAR HOKAR SUNLO, JO SHAKS AHLE BAIT AALE RASOOL SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM SE BUGHZ AUR ADAVAT MEIN MARA WO QAYAMAT KE DIN AESI HAALAT  ME UTHEGA KE USKI DONO AANKHO'N KE DARMIYAN LIKHA  HOGA,

"ALLAH TA'ALA KI RAHMAT SE MEHROOM HAI! AUR AAGAH HO JAO,  JO SHAKS AHLE BAIT KE BUGHZ AUR ADAVAT MEIN MARA WO JANNAT KI KHUSHBO SE MEHROOM KAR DIYA JAYEGA

{ TAFSIR E KABIR JILD:2,SAFHA:29}

 

★★★★★RASOOLE KHUDA HUZOOR (SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM) NE IRSHAAD FARMAYA

MERI UMMAT MEIN SAB SE PAHLE SHAFAAT MAYE APNI AHLE BAIT KI KARUNGA.

{TIBRANI}

JO LOAG HAUZE  KAUSAR PEENE PAHLE AYENGE,

WOH MERI AULAD (AHLE BAIT) HONGE.

{ DEYLMI}

 

★★★★★HUZOOR (SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM) NE IRSHAD FARMAYA 

"KOI BANDA TAB TAK KAMIL MOMIN NHI HO SAKTA JAB TAK MYE USE USKI JAAN SE ZYADA MAHBOOB NA HO JAU'N AUR MERI AULAD USKI AULAD SE ZYADA MAHBOOB NA HO JAYE!

{BAYHQI, DEYLMI}

 

★★★★★IMAAM  ‘DEYLMI’ NE RIVAYAT  KIYA KE, HUZOOR (SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM) NE FARMAYA,

"APNI AULAD KO TEEN BATE'N SIKHAO, 

 

1) APNE  NABI SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM SE MOHABBAT

2) NABI  SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM KI AHELE BAIT GHAR WALO'N SE MOHABBAT 

3) QURANE PAAK KI  TILAWAT

{DYLMI}

 

★★★★★SARKAR  DO AALAM  (SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM)  NE  IRSHAD FARMAYA,

"JO SHAKS  AHLE BAIT KI MOHABBAT  PAR  FAUT HUA (INTEQAL FARMAYE)  USNE SHAHADAT KI MAUT PAYI”

"JO SHAKS AHLE BAIT KI MOHABBAT MEIN FAUT HUA (INTEQAL FARMAYE)  WO MUKAMMAL IMAAN KE SATH DUNIYA SE GAYA”

JO  SHAKS AHLE BAIT KI MOHABBAT MEIN FAUT HUA (INTEQAL FARMAYE) USE  IZRAYEEL A.S AUR MUNKAR NAKEER JANNAT  KI BASHARAT (KHUSH KHABRI) DETE HAI'N”

"AAGAH  HO JAO JO SHAKS AHLE BAIT KI MOHABBAT MEIN FAUT HUA (INTEQAL FARMAYE) USE AESI IZZAT KE SATH JANNAT KI TARAF RAVANA KIYA JATA HAI JAISE  DULHAN DULHE Ke GHAR BHEJI JATI HAI"

"JO SHAKS AHLE BAIT KI MOHABBAT MEIN FAUT HUA (INTEQAL FARMAYE) USKI QABR MEIN JANNAT  KE DARWAZE KHOL DIYE JAATE HAI’N”

 

{TAFSIRE KABIR   JILD:2, SAFHA: 39}

 

{TAFSIRE KABIR  JILD:7,  SAFHA-390}

 

{HAZRAT ALLAMA  IMAAM RAAZI(R.A)}

 

{TAFSIRE KASSAF  JILD: 4,  SAFHA: 214}

 

{TAFSIRE KARTIB,   JILD:16,   SAFHA:16}

 

★★★★★IMAAM AHMAD NE  RIVAYAT  KARI KE  HUZOOR (SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM) NE IRSHAD FARMAYA,

"JO  SHAKS AHLE BAIT (AULAD E RASULLALLAH SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM) SE BUGHZ RAKHE WO  MUNAFIK  HAI".

 

★★★★★★SAYYED SE LADAAI MATLAB HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM SE LADAAI★★★★★★★★★★★★★★★★★★★★

 

QUTUB-E-RABBANI IMAM ABDUL WAHAB SERRANI RAZI ALLAHU TA’ALA ANHU FARMATE HAIN KI,

SAYYAD KE SAATH LADNE SE PARHEZ KARO.

KYUNKI YE LADAAI UNKE JADD-E-AMJAD SARKAR-E-DO AALAM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KE SAATH LADAAI KI TARAH HAI.

AUR SAYYAD MEIN SE KOI EK TUM PAR ZYADTI KARE TOH USE SABR KE SAATH BARDASHT KARO.

(Al-Anwarul Kudsiya,Safah No. 333)

 

★★★★★★★SIDDIQ E AKBAR AUR MUHABBAT E AALE RASOOL HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM!★★★★★★★★★★★★★★

 

EK BAAR HAZRAT ABU BAKR SIDDIQ (RAZIALLAHU ANHU) ASR KI NAMAZ PADH KE BAHAR TASHREEF LAAYE'N AUR HAZRAT IMAM HASAN (ALAIHISSALAM) KO BACHCHO KE SAATH KHELTE HUE DEKHA, AAPNE UNKO APNE KANDHO PAR UTHA LIYA AUR FARMAYA KI MERE MAA BAAP AAP PAR QURBAN!

(AAP) RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM SE  MUSHABAHAT RAKHTE HAI'N NAA KI HAZRAT ALI (ALAIHISSALAM) Se. TO (YE SUNKAR) HAZRAT ALI (ALAIHISSALAM) MUSKURANE LAGE'N.

[ SAHIH BUKHARI VOLUME -4, PART- 56 HADITH-742 ]

 

 ★★★★★★ QUR’AAN AUR AHLE BAIT★★★★★★★

 

HAZRAT ZAYD BIN SABIT RAZIALLAHU ANHU SE RIVAYAT HAI KI RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE IRSHAD FARMAYA-

“MAYE APNE PEECHE TUMHARE DARMIYAN DO CHIZE'N CHHODE JAA RAHA HOO'N.

(1) KITAB ULLAH (QUR'AAN) (2) MERI AULAD MERI AHLE BAIT YE DONO EK RASSI MEIN GUTHE HUE HAI'N JO ZAMEEN SE AASMAN TAK AAWEZA HAI AUR YE HARGIZ EK DUSRE SE JUDA NA HONGE YAHA'N TAK KI HAUZE KAUSAR PAR MERE PAAS AAYENGE.

 

[ IMAM JALALUDDIN SUYUTI WRITTEN IN FAZAEL E AHLE BAIT  PAGE 70 HADEES 56 ]

[ IMAM AHMAD BIN HUMBAL WRITTEN IN MUSNAD AL AHMAD VOLUME 6 PAGE 232 HADEES  21068/ Page 245 HADEES  21153 ]

[ IMAM TIBRANI WRITTEN IN MAUJMAL AL KABIR VOLUME 5 PAGE 152 HADEES 4923 ]

★★★★★★★HAZRAT MAULA ALI ALAIHISSALAM NE FARMAYA ★★★★★★★:

☞“MAIN WO ALI HOO'N JIS KI BATE'N AQLO'N KO HAIRAAN AUR ZEHNO'N KO PARESHAN KAR DETI HAI'N. AYE LOGO'N MAINE AAJ TAK APNI HAQIQAT KO TUM PAR AASHKAAR NAHI KIYA.

AGAR MAIN APNI HAQIQAT AUR FAZILAT SE DUNIYA WALO'N KO AAGAH KAR DOO'N TO AADHI DUNIYA MERI FAZILAT KI BULANDI SUN KAR MAR JAYE

AUR Baaqi DEEWANI HO JAAYE.

MAIN APNE SIRF ITNE FAZAEL SE PARDA UTHATA HOO'N JIN KO HAQIQI MOMIN KA DIL BARDASHT KAR SAKE.”

☞ KITAB-UL-SAFEEN, PAGE- 71

 


★★★★★HAZRAT ABDULLAH IBN ABBAS RAZIALLAHU ANHU SE RIVAYAT HAI KI NABI E KAREEM  صلى الله عليه وسلم NE FARMAYA★★★★★

 

أَحِبُّوا اللَّهَ لِمَا يَغْذُوكُمْ مِنْ نِعَمِهِ وَأَحِبُّونِي بِحُبِّ اللَّهِ وَأَحِبُّوا أَهْلَ بَيْتِي لِحُبِّي 

 

TUM  ALLAH SE USKI NAEMATO'N KI WAJAH SE MUHABBAT KIYA KARO JO USNE TUM PAR KI HAI, MUJHSE MUHABBAT RAKHO ALLAH KI MUHABBAT kI WAJAH SE AUR MERE AHLE BAIT SE MUHABBAT RAKHO MERI MUHABBAT KI WAJAH SE”  

 

JAMAY E TIRMIZI, VOL :06, PG :437, KITABUL MANAQIB, HADEES : 3789)

(MISHKAAT UL MASABEH, VOL : 2, PG : 573)

( ZUJAJAT UL MASABEH, VOL :  5, PG :314/315)

 

★★★★★ NABI E KAREEM صلى الله عليه وسلم NE FARMAYA MERI AHLE BAIT KI MISAAL KASHTI E NOOH KI TARAH HAI, JO ISME SAWAR HOGAYA USNE NIJAAT PAAI AUR JISNE ISSE MUKHALIFAT KI WO GHARK HOGAYA” 

(IMAM HAKIM AL MUSTADARAK VOL : 02, PG: 406, HADEES : 3370)

IMAM HAKIM FARMATE HAIN YE HADEES IMAM MUSLIM KI SHART PAR SAHIH HAI

 

★★★★★ HAZRAT ABDULLAH IBN ABBAS RAZIALLAHU ANHU SE RIVAYAT HAI KI RASOOL ALLAH صلى الله عليه وسلم NE FARMAYA AYE BANU ABDUL MUTTALIB MAINE ALLAH TA'ALA SE TUMHARE LIYE 10 CHEEZE'N MAANG LIYA AUR PHIR AAKHIR MEIN FARMAYA AGAR KOI RUQN AUR MAQAAM KAY DARMIYAN (YAANI HAJRE ASWAD AUR MAQAAM E IBRAHEEM) QATAAR MEIN KHADA HOJAYE AUR NAMAZ PADHE AUR ROZA RAKHE AUR PHIR ISI HAALAT MEIN ALLAH TA'ALA SE JAA MILE MAGAR WOH AHLE BAIT SE BUGHZ RAKHNE WAALA HO TO DOZAKH MEIN DAAKHIL HOGA.

(IMAM HAKIM AL MUSTADARAK VOL :03, PG : 161, HADEES : 4712 & 4717) (IMAM TABRANI AL MAUJAMUL KABEER VOL : 11, PG : 176, HADEES : 11412) 

IMAM HAKIM NE ISKO HASAN SAHIH KAHA  HAI.


 



★★★★★“HAZRAT ZAYD BIN ARQAM RAZIALLAHU  TA'ALA ANHU SEY MARWI HAI KE HUZOOR NABI AKRAM صلى الله عليه وسلم NEY FARMAYA :

 

MEIN TUM MEY AESI DO CHEEZE'N CHOREY JA RAHA HOO'N KE AGAR TUM NEY UNHEY MAZBOOTI SEY THAAME RAKHA TO MERE BAAD HARGIZ GUMRAAH NA HOGEY UN MEY SE AIK DOOSRI SEY BADI HAI WO HAI ALLAH TA'ALA KI KITAB JO AASMAN SEY ZAMEEN TAK LATKI HUI RASSI HAI AUR MERI ETRAT YAANI AHLE BAIT AUR YE  DONO'N HARGIZ EK DUSRE SE JUDA NA HONGE, YAHA'N TAK KE DONO'N MERE PAAS (IKHATTE’) HAUZE KAUSAR PAR AAYENGE.

PAS DEKHO KE TUM MERE BAAD UN SE KYA SULOOQ KARTE HO?”

(JAMEY TIRMIZI VOL :06 , PG :436 , KITABUL MANAQIB, HADEES : 3788)

(IMAM IBN ABI SHAYBA AL MUSANNIF VOL : 06, PG : 133, HADEES : 30081)

(IMAM AHMAD IBN HAMBAL AL MUSNAD VOL : 03, PG : 14, HADEES : 11119)

(IMAM HAKIM AL MUSTADARAK VOL : 03, PG : 118, HADEES : 4546) 

(IMAM NASAI AS SUNAN AL KUBRA VOL : 05, PG : 45, HADEES :8148)

(IMAM TABRANI AL MAUJAMUL AUSAT VOL : 03, PG : 374, HADEES : 3439)

(IMAM TABRANI AL MAUJAMUL SAGHEER VOL : 01, PG : 276, HADEES : 323)

(IMAM TABRANI AL MAUJAMUL KABIR  VOL : 03, PG : 65, HADEES : 2768) 

(IMAM IBN ABI ASIM AS SUNNAH VOL : 02, PG : 644, HADEES :1553) (MISHKAAT AL MASABEH KITABUL MANAQIB, BAAB MANAQIB AHLE BAIT, FASL E SAANI PG : 1735, HADEES : 5144)

 



★★★★★


واَعْتصِمُواْ بِحَبْلِ الله جَمِيْعًا وَلاَ تَفَـرَّقوُا وَاذْ كـُرُو نِعْمَتَ الله عَلَيْكُمْ إٍذْكُنْتُمْ أَعْـدَاءً  فَأَلَّفَ بَيْنَ قُلـُوبِكُمْ  فَأَصْبَحْتُمْ بِنِعْمَتِهِ إِخْوَاناً وَكُنْتُمْ عَلىَ شَفاَ

خُـفْرَةٍ  مِنَ النَّاِر فَأَنْقـَدَكُمْ مِنْهَا كَذَالِكَ يُبَبِّنُ اللهُ لَكُمْ اَيَاتِهِ لَعَلـَّكُمْ تَهْـتَدُونَ ’{ال عـمران 103}

SURAH AL IMRAN AYAT 103

IS AYAT KE TAFSEER MEIN HAZRAT IMAM JAFFAR SADIQ ALAIHISSALAM FARMATE HAI'N KI "HABLILLAH" (ALLAH KI RASSI) HUM AHLE BAIT HAI'N.(IHYA UL ULOOM)




 


Related imageBOOKS ON TOPIC


 

fes


 



[caption id="attachment_2926" align="alignnone" width="421"]B2  manaqib-qraba_1[/caption]

B3



 




 

Fazail E Ahle Bait E Mustafa صلى الله عليه وسلم

Front Cover Sahi Muslim 


 Fazail E Ahle Bait E Mustafa صلى الله عليه وسلم   


Quran Aur Ahle Bait


Ayat E Mubahila

“Phir Aye Mehboob, Jo Tum Se Isaa k Baare Me Huzzat Kare Iske Baad Tumhe Ilm Aachuka To Unse Farmado Aao Hum Bulaye Apne Bete Aur Tumhare Bete Aur Apni Aurato Aur Tumhari Aurato Aur Apni Jaane’in Aur Tumhari Jaane’in Phir Mubahila Kare To Jhuto Par Allah Ki Laanat Daale”
(Surah Al Imraan Ayat 61)

Ye Aayat E Karima Nazraan k Isaiyo k muttalik Naazil huwi Jo Huzoor Nabi E Rehmat  صلى الله عليه وسلم se Hazrat Isaa k Muttalik Bahes Karne Aaye the, Yeh Shaher Arab Me Isaiyi Mazhab Ka Bahot Bada Markaj Tha. Is Shaher E Nazraan me Ek Bahot Bada Girzaghar (Church) tha Jaha Bade bade Arab k Padri Rehte The, Unka Sardar Tha Abdul Masih uski  raay k begair us Shaher k Isayi Koi Kaam naa karte.
Ye Log Asr k wakt Apne Wafd k saath Madina Munawwar pahuche Jo Munazra Karne aaye the.

Allah K Rasool  صلى الله عليه وسلم ne Jab Ye Wajeh Bayan Kar Diya K Isaa Alaihi Salam Allah Tabarwa’taala k bheje Ambiya Alaihi Salam aur Swaleh Bande Hai Bete Nahi Jaisa Isayo Ka Batil Akeeda hai ispe Chand Isaiyo ne Munazra (debate) Ki par wo koi dalail na laa sake aur Huzoor Nabi E Karim  صلى الله عليه وسلم  ne unhe dalail se wajeh kiya k jab Isa Alaihi salam bin baap k paida huwe to unhe tumne Khuda maan liya jab ki Adam Alaihi Salam ko naa baap ki jarurat huwi naa maa ki ALLAH ne unhe Qudrat e Kamila se paida kiya Aage phir ALLAH Taa’la ne ye AYAT E MUBAHILA naazil ki jisme Isayo ko kaha gaya wo leke aaye apne ahle o aayal ko Aur Huzoor Nabi E Karim Apni Ahle bait ko aur Ek Dusre k halaakat ki dua kare taaki Haq wajeh hojaye.
Ispe Isayo ne Kaha K Wo gaur o fikr karke jawab denge natiza ye huwa k unme jo Nazran ka sabse Bada Padri Abdul Masi (ARCH BISCHOP of Nazran) Se Mashwara kiya To Usne Kaha Muhammad صلى الله عليه وسلم   Allah k bheje Rasool صلى الله عليه وسلم  Hai unse Mubahila naa karna agr Aalam e Dunya Me Isayat ko bachana chahte ho to wapas chale jao warna koi Isai Rooh e Jamin me nahi bachega par uske mashware k baad bhi kuch log Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم  k pass Jaa pahuche to dekha Huzoor Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم  ki Godh e Mubarak Me Hazrat Hasan aur Hussain Radi the aur Hazrat Ali Aur Fatima Tuzahara Radi Allaho Azmain k piche the Huzoor Nabi e Karim صلى الله عليه وسلم  Ne Kaha Mai Jo Dua Karu Tum Aamin kahna
Is haal ko dekh k Isayo pe aisa Raub Taari huwa k unke bade padri ne kaha k Mai aise Chehre Dekh Raha Hu agar ye Aamin kahde to ALLAH pahad ko yaha le aayga aur hum sab halak hojaynge bil aakhir Isaiyo ne Mubahile Se rahe farar ekteyar kar liya ye Is Aayat E Karima Ka Mukhtasar Sa Pas Manzar Hai ab Hum Hadeees E Sahi Se Bhi ye
Hadees 01:

“Amir bin Saad Bin Abi Waqqas Bayan Karte Hain Ki Jab Aayatey Mubaahila Naazil Huwi :“Farmado Aao Hum Bulaye Apne Bete Aur Tumhare Bete Aur Apni Aurato Aur Tumhari Aurato Aur Apni Jaane’in Aur Tumhari Jaane’in Phir Mubahila Kare To Jhuto Par Allah Ki Laanat Daale”
(Surah Al Imraan Ayat 61)”

To Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Ne Hazrat Ali, Hazrat Fatima, Hazrat Hasan Aur Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Ko Bulaaya Phir Farmaya :

Ya Allah!

Yeh Mere Ahle Bait Hain.”

References :

(Sahi Muslim, Vol : 06, Pg : 264, Kitabul Manakib E Sahaba, Baab : Man Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 6220)
Scan page Sahi Muslim Pg 1198 Hadees : 2404

[caption id="" align="alignnone" width="426"] Hadees : 2404 [/caption]

(Imam Nasai Sunan Al Kubra Vol : 05, Pg : 107, Hadees : 8399)(Jamai Tirmizi, Kitabut Tafseer, Hadees : 3269 ‘English No : 2999’)
(Jamai Tirmizi, Kitabul Manakib, Hadees : 4090 ‘English No : 3724’)

(Imam Ahmad ibn Hambal Al Musnad Vol : 01, Pg : 185, Hadees : 1608) (Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 03, Pg : 163, Hadees : 4719)
(Imam Bayhaqi Sunan Ul Kubra Vol : 07, Pg :63, Hadees : 13169,13170)


Imam Haythami ne As Sawaiqe Muharika Pg : 524 par Sahib E Kasshaf k Hawale Se likhte Hai Usse Badkar Chadar Waalo Ki Fazilat Par Koi Kawi Dalil Nahi Woh Hazrat Ali, Hazrat Sayyida Fatima Aur Hasnain Karimain Radi Allaho Anho Azmain Hai.
Kyuki Jab Ye Aayat  E Paak Naazil Huwi to Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Unhe Bulaya Imam Hussain Ko Godh Me Uthaya Aur Iman Hasan Ka Haath Pakda, Hazrat Ali Aur Sayyada Kaynaat Fatima Tuz Zahra aapke piche thi Pas Maloom Hogaya is Aayat se Murad Hazrat Fatima Ki Aulaad Aur Unki Jurriyat Hai Aur Ye baat Muslim Sharif Ki Sahi hadees se saabit hai jo upar bayan ki gayi.

Ahle Bait E Mustafa Ki Pakizgi Ka Bayan


“Aur ALLAH to yehi Chahta Hai Aye Nabi K Ghar Waalo K Tumse Har Napaki Ko Khoob Dur Farmade Aur Tumhe Paak karke Khoob Sutra Farma De”

(Surah Ahzaab Ayat 33)

Hadees 02:

“Hazrat Ayesha Siddiqua RadiyAllahu Ta’ala Anha Bayan Karti Hain Ke Huzoor Nabi E Akram صلى الله عليه وسلم Subah Key Waqt Aik Ooni Munaqqash Chaadar Orhey Huwey Baahar Tashreef Laaye To Aap Key Paas Hazrat Hasan Bin Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhu Aaye To Aap صلى الله عليه وسلم Ney Unhey Us Chaadar Mey Daakhil Kartey Liya Phir Hazrat Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Aaye Aur Woh Bhi Un Key Humraah Chaadar Mey Daakhil Ho Gaye Phir Sayyada Fatima RadiyAllahu Ta’ala Anha Aayi Aap صلى الله عليه وسلم Ney Unhey Bhi Us Chaadar Mey Daakhil Kartey Liya.

Phir Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Aaye To Aap SallAllahu Ta’ala Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ney Unhey Bhi Chaadar Mey Ley Liya Phir Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ney Yeh Aayatey Mubaraka Parhi :

˝Ahle Bait! Tum Sey Bari Kism Key Gunaaah Ka Mail (Aur Shako-Nuqs Ki Gard Tak) Door Kar Dey Aur Tumhey (Kaamil) Tahaarat Sey Nawaaz Kar Bilkul Paak Saaf Kar Dey. ˝[Al-Ahzab, 33 : 33]”

References  :(Sahi Muslim, Kitabul Manakib, Baab : Fazail E Ahl E Bait E Nabi Sal Allahu Alaihiwassalam, Hadees : 2424) (Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 03, Pg : 159, Hadees : 4707, 4709)(Imam Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, Vol : 02 Pg : 149, Hadees : 2680) Scan Page Sahi Muslim Hadees : 2424


AHLE BAIT K MUTALLIK NABI E KARIM  صلى الله عليه وسلم KI WASIYAT


Hadees 03:

Arabic Matan :
ثُمَّ قَالَ قَامَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَوْمًا فِينَا خَطِيبًا بِمَاءٍ يُدْعَى خُمًّا بَيْنَ مَكَّةَ وَالْمَدِينَةِ فَحَمِدَ اللَّهَ وَأَثْنَى عَلَيْهِ وَوَعَظَ وَذَكَّرَ ثُمَّ قَالَ ‏"‏ أَمَّا بَعْدُ أَلاَ أَيُّهَا النَّاسُ فَإِنَّمَا أَنَا بَشَرٌ يُوشِكُ أَنْ يَأْتِيَ رَسُولُ رَبِّي فَأُجِيبَ وَأَنَا تَارِكٌ فِيكُمْ ثَقَلَيْنِ أَوَّلُهُمَا كِتَابُ اللَّهِ فِيهِ الْهُدَى وَالنُّورُ فَخُذُوا بِكِتَابِ اللَّهِ وَاسْتَمْسِكُوا بِهِ ‏

فَحَثَّ عَلَى كِتَابِ اللَّهِ وَرَغَّبَ فِيهِ ثُمَّ قَالَ

Translation :
Hazrat Zaid bin Arqam Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Farmate Hai

“Ek Roz Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Makkah Aur Madina k darmiyan us paani k Makam me jise Khum Kaha Jaata hai, Khade Hokar Khutba Diya Jisme ALLAH Taala ki Hamd Wa Sana Ki Aur waaj Wa Nasihat Farmayi Phir Farmaya AYE LOGO khabardaar Hojao Mai ek bashar hoon ankarib mere Rab Ka Qasid aajaye aur mai uska bulawa kabool karlu aur MAI TUM LOGO ME DO WAZNI CHEEZ CHODE JAA RAHA HU, Jinme PEHLI TO ALLAH KI KITAB HAI JISME HIDAYAT WA NOOR HAI TUM ALLAH KI KITAB LO AUR USKO MAZBOOTI SE THAAM LO phir Kitabullah pe ubhara aur Targeeb di Phir Farmaya DUSRI CHEEZ MERE AHLE BAIT HAI, MAI TUMKO APNI AHLE BAIT K MUTALLIK ALLAH SE DARATA HOON MAI TUMKO APNI AHLE BAIT K MUTTALIK ALLAH SE DARATA HOON

References :

(Sahi Muslim, Vol : 06, Pg : 267, Kitabul Manakib E Sahaba, Baab : Man Fazail E Ali Ibn Abu Talib, Hadees : 6225  “English No : 2408”)(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad Vol : 04, Pg : 366, Hadees :19265)(Imam Ibn Hibban Sahi Ibn Hibban Vol : 01, Pg : 145, Hadees : 123)(Imam Ibn Khuzaymah Sahi ibn Khuzaymah Vol : 04, Pg : 62, Hadees : 2357)
(Imam Lalka’i Itiqad Ahlus Sunnah Vol : 01, Pg : 79, Hadees : 88)
(Imam Bayhaqi Sunan Al Kubra Vol : 02, Pg :148, Hadees : 2679)
(Ibn Kathir Tafseer Ul Quran Vol : 03, Pg : 487)
(Mishkal Al Masabih Vol : 01, Pg : 68) (Zujatul Masabeeh Vol : 05, Pg : 317,318,319)

Scan Page Sahi Muslim Hadees 2408


QURAN ME AHLE BAIT SE MUHABBAT KA HUKM


قُلْ لَا أَسْأَلُكُمْ عَلَيْهِ أَجْرًا إِلَّا الْمَوَدَّةَ فِي الْقُرْبَىٰ ۗ وَمَنْ

“Yah Hai Woh Jiski Khushkhabri Deta Hai ALLAH Apne Bando Ko Jo Imaan Laaye Aur Acche Kaam Kiye Tuum Farmao Mai Is Par Tumse Kuch Uzrat Nahi Maangta Magar Karabat Ki Muhabbat”

(42 Surah Shaura Ayat 23)

Quran E Karim Ne bhi Ahle Bait Ki Muhabbat hum pe Farz kardi hai ab koi behuda shaks Ek taraf ye Kahe k wo Ahle hadees Hai aur phir Quran Aur Beshumar Hadees ko Muhabbat E Yazeed me Inkaar karta jaaye to ye bas Munafikat hai.

MUHABBAT E AHLE BAIT KA HUKM BA JABAN E MUSTAFA صلى الله عليه وسلم


Hadees 04:

Nabi E Karim  صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Apni Aulado Ko Teen Baatein Sikhao i) Apne Nabi Ki Ulfat Wa Muhabbat ii) Ahle Bait E Athar ki Ulfat Wa Muhabbat iii)Quran E Karim Ki Qiraat

References :

(Al Jaame Ul Kabeer Vol : 01, Hadees : 924)

(Jaame Ul Ahadees Vol : 01, Hadees :  961)

(Imam Hussamul Hindi Kanjul Ummat Vol : 12, Pg : 560, Hadees :45409)

(Al Fath Ul Kabeer Vol : 01, Pg : 59)

(As Sawaiqe Muharika Pg : 577)

Hadees 05:

“Huzoor  صلى الله عليه وسلم Ne Sayyadain Hasnain (Imam Hasan aur Hussain) Ka Haath Pakad Kar Irshad Faramaya Jis Shaks ne Mujhse Muhabbat Rakhi Jis Shaks Ne In Dono se Muhabbat Rakhi Aur Jisne Inki WALIDA (HAZRAT FATIMA) aur Inke Walid Se Muhabbat Rakhi Woh Mere Saath Jannat Me Hoga”
References :
(Imam Ahmad Ibn Hambal ne Al Musnad,  Vol :01, Pg : 412 - 13, Hadees :576)
(Imam Haytami Al-Sawa'iq al-Muhriqah Pg : 103)
scan page Musnad Ahmad

[caption id="" align="alignnone" width="421"] Tirmizi Cover Pic[/caption]


Hadees 06:

Hazrat Abdullah ibn Abbas Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya

أَحِبُّوا اللَّهَ لِمَا يَغْذُوكُمْ مِنْ نِعَمِهِ وَأَحِبُّونِي بِحُبِّ اللَّهِ وَأَحِبُّوا أَهْلَ بَيْتِي لِحُبِّي

Tum  Allah Se Uski Naemato ki Wajah Se Muhabbat kiya karo Jo usne Tum Par Ki Hai, Mujhse Muhabbat Rakho ALLAH ki Muhabbat ki wajah Se aur Mere Ahle Bait  Se Muhabbat Rakho Meri Muhabbat Ki Wajah Se”  

References :

(Jamai Tirmizi, Vol :06, Pg :437, Kitabul Manakib, Hadees : 3789)

(Mishkaat Ul Masabeeh, Vol :  2, Pg : 573)

( Zujajatul Masabeeh, Vol :  5, Pg : 314/315) Jamai Tirmizi Hadees 3789 Scan page

[caption id="" align="alignnone" width="544"] Tirmizi Cover Pic[/caption]

[caption id="" align="alignnone" width="452"] Tirmizi Hadees 3789 Love Ahle Bait[/caption]

  Quran Aur Ahle Bait Ko Thamne Waala Gumraah Na Hoga


“Aur Allah Ki Rassi Ko Mazbooti Se Thaam Lo Aapas Me Sab Milkar Aur Aapas Me Fatt (Bhikar) Na Jaana”

(Surah Al Imraan Ayat 103)

Is Ayat k Tahet Imam Zafar Sadiq Radi Allaho Anho Farmate Hai

“Hum Ahle Bait Hi Hublullah Hai”

(As Sawaiqe Muharika Pg : 101)

Hadees 07:

“Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Mai Tumhare Darmiyan Do Chiz Chodta Hoon Jab Tak Inhe Na Chodoge Hargiz Gumraah Na Honge Ek Kitabullah Ek Meri Aal”

References :

(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 04, Pg : 72, Kitab Marifat E Sahaba, Hadees : 4634)

(Imam As Sawaiqe Muharika Pg :145-146)

Hazzatul wida me Yaum E Arfa k Din Nabi E Karim  صلى الله عليه وسلم Ne Hazaro Sahaba E Kiram K Saamne Apni Oontni (She Camel) Kaswa par Tashreef Hoke Khutba Padh Rahe The.

Hadees 08:

“Hazrat Jaabir bin Abdullah se Rivayat Hai Farmate Hai Maine Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ko Hajj Me Arfaa K Din Dekha Jabki Aap Apni Oontni Kaswa Par Khutba Padh Rahe The, Maine Aap Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ko Farmate Huwe Suna AYE LOGO MAINE TUM ME WO CHEEZ CHODI HAI KI JAB TAK TUM UNKO THAME RAHOGE GUMRAAH NAA HOGE ALLAH KI KITAB AUR MERI ITRAT YAANI AHLE BAIT

References :(Jamai Tirmizi Vol :06, Pg : 435,Kitabul Manakib,Hadees : 3786)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Awsat Vol : 05, Pg : 89, Hadees : 4757)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir Vol : 03, Pg :66, Hadees : 2680)
(Ibn Kathir Tafseer Ibn Kathir Vol : 04, Pg : 114)
Tirmizi Scan page


Hadees 09:
إِنِّي تَارِكٌ فِيكُمْ مَا إِنْ تَمَسَّكْتُمْ بِهِ لَنْ تَضِلُّوا بَعْدِي أَحَدُهُمَا أَعْظَمُ مِنَ الآخَرِ كِتَابُ اللَّهِ حَبْلٌ مَمْدُودٌ مِنَ السَّمَاءِ إِلَى الأَرْضِ وَعِتْرَتِي أَهْلُ بَيْتِي وَلَنْ يَتَفَرَّقَا حَتَّى يَرِدَا عَلَىَّ الْحَوْضَ فَانْظُرُوا كَيْفَ تَخْلُفُونِي فِيهِمَا ‏"‏

‏.‏ قَالَ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ غَرِيبٌ

“Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Sey Marwi Hey Ke Huzoor Nabi-E-Akramصلى الله عليه وسلم Ney Farmaya :

Mein Tum Mey Aisee Do² Cheezey Chhorey Ja Raha Hoo’n Ke Agar Tum Ney Unhey Mazbooti Sey Thaamey Rakha To Merey Baad Hargiz Gumraah Na Howgey Un Mey Sey Aik Doosri Sey Bari Hey Allah Ta’ala Ki Kitab Aasmaan Sey Zameen Tak Latki Huwi Rassi Hey Aur Aur Meri Itarat Ya’ani Ahle Bait Aur Yeh  Donon Hargiz Zuda Na Ho’n Gee, Yahan Tak Ke Donon Merey Paas (Ikat’they) Hawzey Kawsar Par Aayegi.

Pas Dekho Ke Tum Merey Baad Un Sey Kya Sulook Kartey Ho?”

References :

(Jamai Tirmizi Vol :06 , Pg :436 , Kitabul Manakib, Hadees : 3788)
(Imam Ibn Abi Shayba Al Musannaf Vol : 06, Pg : 133, Hadees : 30081)
(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad Vol : 03, Pg : 14, Hadees : 11119)
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 03, Pg : 118, Hadees : 4546) (Imam Nasai As Sunan Al Kubra Vol : 05, Pg : 45, Hadees :8148)
(Imam Tabrani Al Mujam Al Awsat Vol : 03, Pg : 374, Hadees : 3439)
(Imam Tabrani Al Mujam Us Saghir Vol : 01, Pg : 276, Hadees : 323)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir  Vol : 03, Pg : 65, Hadees : 2768)
(Imam Ibn Abi Asim As Sunnah Vol : 02, Pg : 644, Hadees :1553) (Mishqat Al Masabih Kitabul Manakib, Baab Manakib Ahle Bayt, Fasl E Saani, Pg : 1735, Hadees : 5144)
Scan Tirmizi


Hadees 10:

“Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Meri Ahle Bait Ki Misaal Kashti E Nooh Ki Tarah Hai, Jo Isme Sawar Hogaya Usne Nazaat Paayi Aur Jisne Isse Mukhalifat Ki Wo Ghark Hogaya” (Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 02, Pg : 406, Hadees : 3370)

Imam Hakim Farmate Hai Ye Hadees Imam Muslim ki shart pe Sahi Hai Scan pg Hakim




Yaha Humne Quran E Karim Ki aayat E Mubaraka Se Aur 10 hadees E Sahi Se Saabit Kiya k Muhabbat E Ahle Bait hum par Farz Hai Aur Huzoor Nabi E Karim ne Apni Ummat ko ahle Bait E k baare me Wasiyat ki hai. Lekin aaj kuch Nasibi Urf Wahabi Jo apni zindagi bas bugz e Ahle Bait E Mustafa Ki tarz pe lage hai lihaja Difa E Yazidiat pe hi khud ki zindgi laga rakhi hai. ALLAH aise Logo ko akal de unke liye bhi ek rivayat pesh hai.

Hadees 11:

“Hazrat Abdullah ibn Abbas se Rivayat Hai Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ne Farmaya Aye Banu Abdul Muttalib Maine Allah Taala Se Tumhare Liye 10 Chiz Maang li ... Aakhir Me Farmaya Agar Koi Rukn Aur Makam Kay Darmiyan (Yaani Hazre Aswad aur Makam E Ibrahim) Qataar me Khada hojaye aur namaz padhe aur roza rakhe Aur phir issi haal me Allah Taala Se Jaa Mile kay us haal me Woh Ahle Bait Se Bugz Rakhne Waala ho to Dozakh Me Daakhil Hoga.
References :

(Imam Hakim Al Mustadraq Vol :03, Pg : 161, Hadees : 4712 & 4717) (Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabeer Vol : 11, pg : 176, Hadees : 11412) Imam Hakim Ne Isko Hasan Sahi Kaha Scan page


hadees e paak se maloom huwa kay faqat jiske dil me bugz e ahle bait ho wo kitna hi namazi rozdaar ho agarche Makkah e Muazamma me Namaz bhi padhte aur ussi haal me mar jaaye tab bhi jahannam me jayga.

https://www.youtube.com/watch?v=hATzm-yFs6I&list=PLFQ_kv5qlEJcqlrkE83HZS4VDkBqUFdkI


★★★★★Ahele Bait ke Saath "Alayhissalaam" Lagana


123



WhatsApp Image 2018-05-18 at 1.48.43 AM (1)

AZMAT E SADAAT AZ MUJADDID E ALF SAANI SHEIKH SAR HINDI R.A


SADAAT KASEERULBARKAAT KI PAAK DARGAH DEEN DUNIYA KE SARDAR

SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KE BADAN KA JUZU (HISSA) AUR AULAAD HONE KE

BA'IS ISS SE BADH KAR HAI KI ISKI TAREEF AUR TAUSEEF HO SAKE (HAA SHEIKH 

AHMAD SARHINDI) ISS KO APNI SA'ADAT KA WASEELA BANA KAR ISS BAARE MEIN 

JURAAT KARTA HAI BALKI ISS SE APNE AAP KO SATAI'SH KARTA HAI AUR INKI 

MUHABBAT KO JISKA HAME HUKM HAI ZAHIR KARTA HAI. 

YA ALLAH TU SAYYADUL MURSALEEN SALLALLAHU ALAIHE WASALLAM KE TUFAIL 

SADAAT KE MUHIBBO MEIN SE HUMKO BANA! 

(MAKTUBAAT E IMAM RABBANI AZ MUJADDID ALF SAANI ALAEH RAHMA MAKTOOB 

NO. 56 )

WhatsApp Image 2018-05-18 at 1.48.44 AM

BANI HASHIM (SADAAT ) KI ZYARAT NAFLI IBADAT KA DARJA RAKHTI HAI !


HAZRAT UMAR RAZIALLAHU ANHU SE KAI TURUQ SE YE RIWAYAT AAI HAI KE

UNHONE HAZRAT ZUBAIR RAZIALLAHU ANHU SE KAHA HAMARE SATH CHALIYE HUM

HASAN BIN ALI RAZIALLAH ANHUMA KI ZIYARAT KARNA CHAHTE HAIN HAZRAT

ZUBAIR RAZIALLAHU ANHU NE ZARA DER KI TO AAPNE FARMAYA !

KYA AAPKO ILM NAHI KE BANI HASHIM KI AYADAT KARNA FARZ AUR UNKI ZIYARAT

KARNA NAFL HAI.

(ALSAWAIQUL MUHARRIQA URDU AZ SHAIKHUL ISLAM AHMAD BIN HAJAR MAKKI

RAHMATULLAH ALAIH SAFA - 414, 415.

WhatsApp Image 2018-05-18 at 1.48.46 AM

HAZRAT ABU ZAR GHAFFARI RAZIALLHU ANHU BAYAN KARTE HAIN KE HUZOOR NABI

KAREEM SALLALLAHU ALAIHE WASALLAM NE FARMAYA MERI AHLE BAIT KI MISAAL

HAZRAT NOOH ALAIHISSALAM KI KASHTI KI SI HAI JO ISS MEIN SAWAAR HO GAYA

NIJAAT PA GAYA AUR JO ISS SE PEECHE RAH GAYA WOH GHARK HO GAYA AUR AAKHRI

ZAMAANE MEIN JO HAMEIN (AHLE BAIT KO) QATL KAREGA GOYA WOH DAJJAL KE

SATH MIL KAR QATTAL KARNE WALA HAI -

ISS HADEES KO IMAM TIBRANI NE BAYAAN KIYA HAI.

WhatsApp Image 2018-05-18 at 1.48.47 AM

TAJDAAR SAAHU CHAK SHAREEF AUR AHLE BAIT SE MUHABBAT


MERE SHIEKH KAAMIL AUR NANA HUZOOR SHIEKHUL ISLAAM HAZRAT KHWAJA

SOOFI ALLAH RAKHA MURSHIDO RAHNUMA RAHMATULLAH ALAIH NE ARSA E

BAYALEES SAAL KHANWADAH RASOOL SALLALLAHU ALAIHE WASALLAM KE GHAR

ALIPUR SAIDA'N SHAREEF MEIN GUZAREY. AAP KE JO BACHPAN SE HE RASOOL ALLAH

SALLALLAHU ALAIHE WASALLAM AUR AHLE BAIT KE SATH MUHABBAT KE WAQEAAT

HAIN WOH BAHUT TAWEEL GUFTUGU HAI.   LEKIN MAI YAHAN MUKHTASAR SE

IRSHADAAT KA ZIKR KAR DOO'N KYUNKI AAPKA HALQA E IRADAT BAHUT WASIH HAI

TAAKE AAPKE AQIDATMUND AAP KE ISS AMAL KO APNA SAKE'N.

AAP FARMATE HAIN KI MAINE RASOOL ALLAH SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KE

SACHCHE AASHIQ AUR AAPKI BETI SAYYADAH FATMA ZAHRAH RAZIALLAH ANHA

KE BETE AMEER E MILLAT PEER SAYED JAMAAT ALI SHAH RAHMATULLAH ALAIH KE

DAST HUQ PARAST PAR BAIT KI PHIR HAR WAQT KHANWADA E RASOOL KI KHIDMAT

MEIN MASROOF RAHTE KABHI SAYYAD ZADO'N KO KAANDHO'N PAR BAITHA KAR

GALIYO'N MEIN PHIRTE KABHI INKE QADMO'N AUR HATHO KO BOSE DETE JO KHANA

WOH CHHOD DETE YAANI BACH JATA WOH KHA LETE. AAP FARMATE KE RASOOL

ALLAH SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM KI MUHABBAT AUR AAPKE AALE PAAK KI

MUHABBAT WA KHIDMAT KE BA'IS AAJ YE MUJH PAR ATA HAI KE MAIN HAMA WAQT

RASOOL ALLAH SALLAHU ALAIHE WASALLAM KE DEEDAR MEIN MASH'GHOOL RAHTA

HOON AUR JO BAAT BHI KARTA HOON RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHE

WASALLAM KE HUKM SE KARTA HOON.

WhatsApp Image 2018-05-18 at 1.48.48 AM


KASHIF AL BAHERA AUR EK SYEDZAADA 


HAZRAT IMAM ABU YUSUF  NIBHANI R.A LEKHTE HAIN KE MERE SARDAR  AUR IMAM ABDULWAHAB SHAIRANI R.AFARMATE HAIN MUJHE SYED SHARIF R.A NE ZAWIYA E KHITAB MEIN BATAYA KE KASHIF BAHERA NE EK  SYED KO MARA PETA TO RAAT KO ISS NE KHAWAB MEIN RASOOL ALLAH  S.A.W KO DEKHA KI  AAPNE ISS SE RUKH PHER RAKHA HAIN . KASHIF NE ARZ KIA YA RASOOL ALLAH S.A.W MERI  KYA KHATA HAI.AAP S.A.W NE FARMAYA KI TU MUJHE MARTA HAI HALA KI MAIN QAYAMAT KI DIN TERI SHAFAT KARNEWALA HOON.

KHASIF NE KAHA YA RASOOLALLAH S.A.W MAINE HARGIZ AISA NAHI KIYA .AAPNE FARMAYA KI KYA TUNE MERE BETE KI PETAI NAHI KI  KASHIF KE IQRAR PAR SARWARE DOO JAHAN S.A.W NE FARMAYA TERI HAR ZARB MERE HAATH PAR PADI HAIN PHIR AAPNE APNA HAATH MUBARAQ DEKHAYA  JO SOOZISH KE WAJAH SE YOO'N MALOOM HOTA THA KI JAISE SHAHAD KI MAKHI NE DANK MARA HO.

ALLAH RABBUL IZZAT HAME AFIYAT ATA FARMAYE

whatsapp-image-2018-05-18-at-1-48-50-am.jpeg

HAZRAT JABIR BIN ABDULLAH BAYAN KARTE HAIN KE AALE RASOOL ALLAH S.A.W KI EK KHADMA THI JO INKI KHIDMAT BAJA LATI ISE BARERA KAHA JATA THA BUS ISSE EK AADMI MILA AUR KAHA AYE BARERA APNI CHOTI KO DHAK KAR RAKHA KARO BESHAQ RASOOL ALLAH S.A.W  TUMKO ALLAH KE TARAF SE KUCH FAYAD NAHI  PAHUCHA SAKTE  RAAVI BAYAN KARTE HAI BUS USNE HUZOOR NABI S.A.W KO IS WAQIYA KI KHABAR DI. BUS AAP S.A.W APNI CHAADAR KO GHASEET'TE HUWE BAHAR AYE'N AUR HUZOOR S.A.W KE DONO RUQSAAR  MUBARAQ SURUKH THE AUR HUM (ANSAAR KA GIROH) HUZOOR S.A.W KE JALAL KO AAPKE CHAADAR KE GHASEETNE AUR RUQSAROON  KE SURUKH HONE SE PAHACHAN LETE THE BUS HUMNE ASSLAH UTHAYA AUR HUZOOR S.A.W KE PASS AGAYE AUR ARZ KIYA YA RASOOL ALLAH AAP JO CHAHTE HAIN HUME HUKM DE BUS USS ZAAT KI KASAM JISNE AAP S.A.W KO HAQ KE SAATH MABOOS FARMAYA AGAR AAP HUME HUMARI MAOON  ABA O AULAD KE BARE MEIN BHI KOI HUKM FARMAYENGE TU HUM UNME BHI AAP S.A.W QAUL KO NAFIZ KARDENGE BUS AAP S.A.W MIMBER PE TASHRIF FARMA HUWEN AUR ALLAH TALA KI HAMAD O SANA BAYAN KI AUR FARMAYA MAIN KAUN HOON?  HUM NE ARZ KIA AAP ALLAH KE RASOOL HAIN AAP S.A.W NE FARMAYA HAAN LEKIN MEIN KAUN HOON? HUMNE ARZ KIA MUHAMMAD BIN ABDULLAH BIN ABDUL MUTALIB BIN HASHIN BIN ABDE MANAF AAP S.A.W NE FARMAYA MAIN HAZRAT ADAM A.S  KI AULAD KA SARDAR HOON LEKIN KOI FAKHAR NAHI MAIN WOH PAHELA SHAKS HOON JIS QABR LEKIN KOI FAKHAR NAHI MAIN WOH PAHELA SHAKS HOON JIS KI SAR SE MATTI JHADHI JAYEGI LEKIN KOI FAKHAR NAHI AUR MAIN SABSE PAHELE JANNAT MEIN JAONGA LEKIN FAKHAR NAHI .UN LOGO KO KYA HOGAYA HAI JO YEH GUMAN KARTE HAIN KE MERA NASAB WA TALLUQ FAYEDAH NAHI DEGA AISA NAHI JAISA WOH GUMAAN KARTE HAIN. BESHAQ MAIN SHAFAT KARONGA AUR MERE SHAFAT QUBOOLBHI HOGI AUR YAHAN TAK KE JISKI MAIN SHAFAT KARONGA WOH YAQEENAN DUSRON KI SHAFAT KAREGA AUR USKI BHI SHAFAT QUBOOL HOGI.

(RAWAYAT TIBRANI)



Related image





  

[gallery ids="3309,3305" type="columns"]

 

https://youtu.be/DnXXVA1bVSI

https://youtu.be/cgRoXUvxXn8

https://youtu.be/dadLFvZZdGg

https://youtu.be/TDq74u_mUkU

https://youtu.be/6JOcu6lFzG8

https://youtu.be/Ia9eyuDHwOc

https://youtu.be/Bu4tYx677qw

https://youtu.be/_xO3TdT5KmQ

https://youtu.be/3DVQyWqGvNQ

https://youtu.be/Y44uxq7aCu4

https://youtu.be/os9RqsQ2LvQ

https://youtu.be/rgvJw2TiSY4

https://youtu.be/o132vnMDSNk

https://youtu.be/xSc-J86mlKg

https://youtu.be/D5AmQywducY

https://youtu.be/8XbOyjh3gd0

https://youtu.be/ENwXr94ODdc

https://youtu.be/0XivB6RNcr4

https://youtu.be/vDAHLvC6VqY

https://www.youtube.com/watch?v=8gR0BnEG7RY

https://youtu.be/aAITpk2KBOk

https://youtu.be/SHD7_7CdMjc

https://youtu.be/OiwVes1dUnw

https://youtu.be/73E32ibc2OU

https://www.youtube.com/watch?v=glWKAsmky2A

https://www.youtube.com/watch?v=8uHbGhEWkOg

https://youtu.be/VLocrepfbog

https://youtu.be/uMqEMuRYtlY

 

 

 

Comments

Popular posts from this blog

Hadith Jhoot Bolne Walo Par

  *بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ* *اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞* Al-Qur’an:-“Beshak Jhoot Bolne Walo Par Allah Ki Laanat Hai.  Reference  (Surah Aal-e-Imran 3:61) Hadees No:- 1 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate Hai:-“Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunah Ki Taraf Le Jata Hai,Aur Gunah Jahannum Me Pahunchaane Wala Hai.”  Reference  (Sunan Abi Dawud 4989-Sahih) Hadees No:- 2 “Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannum Me Phenk Diye Jaayenge, Sirf Apni Zuban (Jhooth) Ki Wajah Se.  Reference  (Tirmizi Shareef) Hadees No:- 3 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate hai:- “Main Zamanat Deta Hu Jannat ke Darmiyaan 1 Ghar ki, Us Shaksh Ko Jo Mazak Me Bhi Jhoot Na Bole.”  Reference  (Sunan Abu Dawood 4800) Hadees No:- 5 “Laanat Aur Halaqat Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot...

JERUSALEM AND UMAR IBN AL-KHATTAB (RA)

Jerusalem is a city holy to the three largest monotheistic faiths – Islam, Judaism, and Christianity. Because of its history that spans thousands of years, it goes by many names: Jerusalem, al-Quds, Yerushaláyim, Aelia, and more, all reflecting its diverse heritage. It is a city that numerous Muslim prophets called home, from Sulayman and Dawood to Isa (Jesus), may Allah be pleased with them. During the Prophet Muhammad ﷺ’s life, he made a miraculous journey in one night from Makkah to Jerusalem and then from Jerusalem to Heaven – the Isra’ and Mi’raj. During his life, however, Jerusalem never came under Muslim political control. That would change during the caliphate of Umar ibn al-Khattab, the second caliph of Islam. Into Syria During Muhammad ﷺ’s life, the Byzantine Empire made clear its desire to eliminate the new Muslim religion growing on its southern borders. The Expedition of Tabuk thus commenced in October 630, with Muhammad ﷺleading an army of 30,000 people to the border with...

The Qur’an & 100 Questions

1) What is the meaning of the word ‘Qur’an’? A) That which is Read. 2) Where was the Qur’an revealed first? A) In the cave of Hira (Makkah) 3) On which night was the Qur’an first revealed? A) Lailatul-Qadr (Night of the Power) 4) Who revealed the Qur’an? A) Allah revealed the Qur’an 5) Through whom was the Qur’an revealed? A) Through Angel Jibraeel (Alaihis-Salaam) 6) To whom was the Qur’an revealed? A) To the last Prophet, Muhammed (Sallahu Alaihi Wasallam) 7) Who took the responsibility of keeping the Qur’an safe? A) Allah himself 8) What are the conditions for holding or touching the Qur’an? A) One has to be clean and to be with wudhu (ablution) 9) Which is the book which is read most? A) The Qur’an 10) What is the topic of the Qur’an? A) Man 11) What are the other names of the Qur’an according to the Qur’an itself?A) A l-Furqaan, Al-Kitaab, Al-Zikr, Al-Noor,Al-Huda 12) How many Makki Surahs (chapters) are there in the Qur’an? A) 86 13) How many Madani Surahs (chapters) are there in...