Skip to main content

ZAHOOR-E-QUTBI







Introduction of Sadaat e Qutbiya

   

ShahenShah-e-Walayat Taj e Ahle bait (s.a.w) Mahboob e rabbani Imamussalikeen Badshah e Aarifeen Ghausul Aalmeen Qudwatul Aabideen Rausul Wasleen Shaikh ul Islam Hazrat Sarkar Syedna Wa Murshidna Ameer kabeer Syed Shah Qutubuddin Muhammad Al Hasani Al Husaini Al Madani Al kadwi Rahmatullah Alaih Ki Zaat e ba barkaat kisi bhi Tarruf ki Mohtaj Nhi Hai.
Aap ki Zaat e ba barkaat har Sifat se muzzaiyyan aur har aitbaar se Aala o Baala thi Aur Aap tamam Auliya e kaamleen par fauqiyat le jaane Wale wali e kaamil the.

Image result for book on Mawla Ali a.s pdf

shinystarshinystarAapki Wiladat aur Aapke Abao Ajdadshinystarshinystar


Aapki Wiladat ba Sa’adat Madeenatunnabi Sallallahu Alaihe Wasallam Mein San 551 Hijri mein khandan e Bani Hashim k Muazziz Shaakh Aulade Imam e Hasan Al Mujtaba a.s mein hui jo Hasab o Nasab k Aitbaar Se Bhi Tamam Bani Hashim mein bhi Muazziz Tareen Gharana Tha. Wo Is tarah ki Aap k Jade Amjad Sarkar Imam Hassan Al Mujtaba A.s ki Shaksiyat Tamam kainat Mein be Misl o be Misaal thi Jinke behad aur beshumaar fazail hadees e paak mein darj hai’n aur Quran e paak Jin par Shahid hai. Aap ko Tamam Imam bhi apna Imam tasleem Karte hai’n Yaha’n tak ki Imam Aali Maqaam Imam Husain a.s bhi Aapko apna Imam aur Aaqa tasleem Karte hai’n.

Image result for hazrat-hasan-al-muthanna-a-s

shinystarPhir aapke jad Sarkar Imam e Hasan Al muthanna (عليه السلام) jo Sarkar Imam hasan a.s k bete hai’n jo seerat aur surat k aitbaar se bhi apne Walid e buzurgwaar k Saani hai’n aur Isi liye Aapka laqab Al muthanna Hua.Aap ki bhi behad aur beshumar fazilate’n hai’n. Aap hi wo shaks hai’n jinke paas khandan e bani hashim aur maula Ali a.s k tamam tabarruqat maujood the. Aapko bhi Aapke Walid k tarah Zaher de Kar shaheed karwa diya gya tha Aap ki Mazaar pur Anwaar jannatul baqi shareef mein hai.

 

shinystarPhir aapke jad Hazrat sarkar Abdullah Al Mahad (عليه السلام) jo Shaikh e Bani hashim k Naam se jaane jaate hai’n Aap bhi bemisl o misaal the’n Aur aapko mahaz is liye Kaha jata hai ki aap Bahut khalisun nasab the’n najeeb fatmi sadaat the’n Aur aap bhi apne waqt k peshwa aur Sardar the’n jinki tazeem har Adna o aala bakhoobi Baja laata tha. Aapko Iraq k ek qhaid khane mein shahadat naseeb hui.


shinystarPhir aapke jad Hazrat sarkar Imam Muhammad Al-Nafs Al-Zakiyya al Mahdi (عليه السلام) jo apne waqt k sardar aur tahreek e Alvi k baani the’n. aapne Abbasi khaleefa jafar Al mansoor k khilaf khurooj o qayam kiya tha. Aur ahle madeena aur Makka ne Aapke dast paak par bait kiya tha. Aapki himayat aur rafaqat mein Hazrat imam abu haneefa r.a ne fatwa diya tha jiske eiwaz aapko qaid khane mein zaher Dekar khatm karwa diya gya aur Imam Malik r.a k bazu katwa diye gye. Aur Khud aapko bhi Jang mein maqaam ahjar az zait jo madeena Munawwara se kuch fasle par hai badi bedardi se shaheed karwa diya gya. Aapki Mazaar pur Anwar bhi jannatul baqi shareef mein hai.


Hazrat sarkar Imam Muhammad Al-Nafs Al-Zakiyya al Mahdi (عليه السلام)





shinystarPhir Aapke Jadde aala Hazrat Sarkar Abdullah Shah Ghazi (عليه السلام) hai’n jo tamam hind aur sindh mein sabse awwal buzurg hai’n jo sabse pahle sindh ki sarzami’n par tashreef laye’n aur apne wajood e paak se is sarzami’n ko purfaiz o fazilat bana diya aap hind aur sindh k waliyo’n k Sartaj hai’n.
Allama shah noorani alaih rahma farmate the ki darbar e risalat ma’aab sallallahu alaihe wasallam se Jitna bhi faiz batne k liye aata hai wo sab ka sab abdullah shah ghazi r.a k sadqe aur tufail har waliyo’n k aastane par bat.ta hai. 
tamam barre sagheer hind o paak mein aapse bada wali koi nhi hai.
Aapko bhi aapke aabo jad k tarah shahadat e uzma naseeb hui.
Aapka mazar mubarak cliffton Karachi Pakistan mein samandar kinare marja e khalaiq hai.

shinystarPhir aapke jad Hazrat Sarkar Muhammad Al Asghar saani (عليه السلام) hai’n jinhe Muhammad al kaabuli bhi Kaha jaata hai jinhe aapke Waalid e buzurgowar hazrat sarkar abdullah shah ghazi r.a ki shahadat k baad sarzamine sindh se sarzamine madeena Munawwara aapke ahle khana k beech aapki nasab ki tahqeeq Karwane k baad abbasi khaleefa jafar Al mansoor ne bhej diya Phir ta’umr aap madeena munawwara mein rahe’n aur aap apne abao ajdad k tarah bemisl o misaal the’n aur nihayat abido zaahid muttaqi parhezgaar the’n aapki mazar e mubarak bhi jannatul baqi shareef mein hai.

 

Medina-HD-salafiaqeedah-Blogspot-com

shinystarPhir aapke jad Hazrat Sarkar Hasan Al Jawwad Naqeeb e Ashraaf e koofa aur madeena (عليه السلام) hai’n jo apni sakhawat aur mehman nawazi ki wajah se jawwad kahe jaate the’n. Tamam sadaat o Ashraf e Bani hashim k sardar o peshwa the’n tamam sadaat ki sarbarahi ka mansab aapko hasil tha Phir yake baad deegre aapki aulado’n me muntaqil hota raha yaha’n tak ki Hazrat Meer Qutubuddin madni r.a k Dada Huzoor Hazrat sarkar Syedna usuf Al madni r.a is mansab par faez hue’n. Aap ka wisaal koofa mein Hua aur wahi’n aapka mazar mubarak maujood hai.

Jannatul Baqi -Salafiaqeedah

shinystarPhir aapke Waalid e buzurgowar Hazrat Sarkar Allama wa Maulana Meer Rasheed Al Deen Ahmad Al Madni (رحمتہ اللہ علیہ) jo apne jalalate shaan o azmat ki wajah se tamam qainaat k liye marja e khalaiq the’n.
Aapka ilmi halqa Bahut wasih tha hazaro’n Aalime deen har waqt aapke kaafile mein rahte the’n jo sab ki sab jaleelul qadr jayyad Aalime deen the’n aur aapke mureed aur mautqid the’n. Aap jab tableegh o isha’at-e-deen k liye sarzamine madeena se sarzamine Baghdad tashreef laye’n to us waqt ek aur azeem buzurg hazrat sarkar Ghausul wara Shaikh Abdul qadir jeelani r.a ki zaat marja e khalaik khaas o Aam thi
.

Jannat al Baqi Madina

shinystarHazrat sarkar Ghausul Aazam (رحمتہ اللہ علیہ) ne hazrat sarkar Meer syed Rasheed Al Deen Ahmad madni r.a ka khair makhdam apni khankah se nikal Kar kiya aur aapko apni khankah mein thairaya aur aapse rishtedaari qayam karne k liye apni hamsheera (bahen) ka akhd aapse Kar diya Jinke batne aqdas se Hazrat Mahboob e rabbani Imamussalikeen Badshah e Aarifeen Ghausul Aalmeen Qudwatul Aabideen Rausul Wasleen Shaikh ul Islam Hindal Wali Hazrat Sarkar Syedna Wa Murshidna Ameer kabeer Syed Shah Qutubuddin Muhammad Madni Al kadwi Rahmatullah Alaih tawallud hue’n.
shinystarHazrat sarkar Meer Syed Rasheed Al Deen Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ne Tatariyo’n ke hangame Mein jaam e shahadat nosh farmaya aur khazeera e Shaikh abdul qadir jilani r.a mein aap Supurde khaak hue’n.

Aapka Shajra e Nasab o Hasab: jaisa ki upar zikr ho Chuka hai ki aap kis Aali shaan zee waqaar abao ajdad k farzande ain hai’n ki jo awwal ta akhir apne apne daur mein jaleelul qadr aulia wa ulema nazar aate rahe hai’n aur waqt k imam aur peshwa tasleem kiye jaate rahe hai’n. Aur tamam ulema wa muarrikho’n aur musannifo ka is baat par ijma raha hai ki aap sahiun nasab sadaat hai’n aur aapka Shajra e nasab tawatur k sath pukhta sahi ul esnaad hai.

Tazkirahtus sadaat az Hazrat sheikh Ahmad akbarabaadi bahadur shahi likhte hain ki maloom hona chahiye Ki Qutub ul Aarefeen Raisul waasleen Hazrat Syed Qutubuddin Muhammad  Madni al hasni wal husaini r.a ke nasab ki sehat ansaab ki seqqah tareekho’n se tawatur ke saath saabit hai chunanche muqarrib Hazrat Rabbani Meer Syed Ali humdaani r.a apni bala mash’hoor tasneef “umdatul mutalib” mein farmate hain ki baarah (12) Sadaat sahiun nasab hain jo beroone hind se Hindustan tashreef laaye’n hain wo ye hain 

1- Hazrat Meer Syed Qutubuddin Muhammad Madni al kadwi r.a

2- Hazrat Meer Syed imaduddin Baghdadi r.a

3- Hazrat Meer Syed Jalaluddin kirmaani r.a

4- Hazrat Meer Syed Muhammad sambhali r.a

5- Hazrat Meer Syed Azeezuddin palaswi r.a

6- Hazrat Meer Syed Alauddin jaweri r.a ( mureedo khalifa Hazrat Meer Syed Qawamuddin Mahmood Madni r.a ibn Hazrat sarkar Meer Syed Qutubuddin Muhammad Madni al kadwi r.a)

7- Hazrat Meer Syed Mubarak ghaznavi r.a

8- Hazrat Meer Syed salaar chauhanvi r.a

9- Hazrat Meer Syed Haidar rudaulvi r.a

10- Hazrat Meer Syed Muhammad khaas haozi r.a

11- Hazrat Meer Syed Muhammad Maah Bahraichi r.a (mureedo khalifa  Hazrat Meer Syed Alauddin jaweri r.a)

12- Hazrat Meer Syed Talha Multani r.a.

Isi zaman mein Hazrat Makhdoom Meer Ashraf jahangir simnani kichauchwi r.a apne maqtobaat me zikr Karte hue Farmate hai’n ki sadaat e kada jo sadaat e Hasni hai’n inke hasab o nasab ki taharat aur shano kamalaat mein mere paas koi kalam nhi hai. Yani ye khandan be Nazeer hai jiska koi Saani nhi.

PURE FOUR


shinystarshinystarshinystarshinystarshinystarKya bya’n ho shaan e khandan e Hazrat Ameer kabeer (رحمتہ اللہ علیہ)
Kah gye besakhta ye Makhdoom Ashraf Jahangir (رحمتہ اللہ علیہ)shinystarshinystarshinystar

   Aapka Shajra e nasab is tarah bayan kiya jaata hai ki:

6301108141_f081c96c9e_b


Hazrat Sarkar Meer Syed Qutub Al Deen Muhammad Al Madni Al kadwi (رحمتہ اللہ علیہ)
Ibn
Hazrat Sarkar Meer Syed Rasheed Al Deen Madni (رحمتہ اللہ علیہ)
Ibn
Hazrat Sarkar Meer Syed Usuf Al Madni (رحمتہ اللہ علیہ)
Ibn
Hazrat Sarkar Meer Syed Eisa Al Madni (رحمتہ اللہ علیہ)
Ibn
Hazrat Sarkar Meer Syed Husain Al Madni (رحمتہ اللہ علیہ)
Ibn
Hazrat Sarkar Meer Syed Hasan Al Makni Babul Hasan (رحمتہ اللہ علیہ)
Ibn
Hazrat Sarkar Meer Syed Abu jafar (رحمتہ اللہ علیہ)
Ibn
Hazrat Sarkar Meer Syed Qasim (رحمتہ اللہ علیہ)
Ibn
Hazrat Sarkar Meer Syed Abi Muhammad Abdullah (رحمتہ اللہ علیہ)
Ibn
Hazrat Sarkar Meer Syed Hasan Al Jawwad Naqeeb e koofa (رحمتہ اللہ علیہ)
Ibn
Hazrat Sarkar Meer Syed Muhammad Al Asghar saani (عليه السلام)
Ibn
Hazrat Sarkar Meer Syed Abu Muhammad Abdullah Al Ashtar urf Abdullah-Shah-Ghazi Sarkar (عليه السلام)
Ibn
Hazrat Sarkar Syedna Imam Muhammad Ziaun nafs Az Zaki (عليه السلام)
Ibn
Hazrat Sarkar Syedna Abdullah Al Mahaz Hasni Al Husaini (عليه السلام)
Ibn
Hazrat Sarkar Syedna Hasan Al musanna (عليه السلام)
Ibn
Hazrat Sarkar Syedna Maula Imam Hasan Al Mujtaba (عليه السلام)
Ibn
Hazrat Sarkar Syedna Maula-e-Qainat Imamul Aalmeen Ali Al Murtaza Alaihissalam Zauj Shahzaadi-e-Aalmeen Syeda Tayyaba Tahira Fatima Zahra Salamullahe Alaiha
Bint
Maula-e-kul Qainat Wajhe Takhleeq-e-Qainat Fakre Maujodat Nabi e khuda Huzoor Sarkar Hazrat Muhammad (صلى الله عليه و آله وسلم).
   
Aapka Shajra e Hasab : Aap Walida Majida k taraf se bhi Hasni Husaini Sadaat hai’n aur Huzoor Ghausul Aazam Syedna Abdul Qadir jilani r.a k haqeeqi bhanje hai’n. Huzoor Ghause Aazam Shaikh Abdul Qadir jilani r.a ka Shajra e Nasab Hazrat Syedna Musa Al jaun ibn Hazrat Syedna Abdullah Al Mahaz Raziallahu Anhu Se Milta Hai jo Sarkar Meer Syed qutubuddin Muhammad Al Madni r.a k jad e Amjad Hazrat Sarkar Imam Muhammad Zia un Nafs-e-Zakiyyah ibn Hazrat Abdullah Al Mahaz Raziallahu Anhu k Haqeeqi chhote bhai the’n.
Is tarah Aap ma aur baap dono janib se Mahazi Sadaat hai’n. Mashallah.

   

Aap ka Ilm wa Marifat: Sarkar Meer Qutubuddin Madini r.a ne ilm wa marifat fazilat rakhne wale Ulema  Mustanad wa maroof  asataza se hasil kiya .In me se inke walid buzurgwar Hazrat Syedna Allama Rashiduddin Madni  ghaznavi r.a  aur Shaikh Ziyauddin Suharwardi r.a aur Shaikh Al Arif Abi Janab Najamuddin Kubra Firdausi r.a se ilm hasil kiya 

Aap ki Ruhani Tarbiyaat aur Husool e Khalafat: Sarkar Meer Qutubuddin Madni r.a  pahle Shaikh  Ziyauddin Suharwardi r.a ke khidmat me rahe’n lekin waha’n taskeen e atam hasil na ho saki chunanche Hazrat Shaikh Najmuddin Kubra se bait  wa eradat ka talluq qayam kiya jin se puri tasqeen hasil hui aur khalafat wa khirka e firdausiya  Suharwardiya  hasil kiya

   

Aap Ka Silsila e Bait o Khalafat :bismillah_750_476_c1

Awwal Silsila e Bait o Khalafat Hazrat Syed Ameer Kabir Qutubuddin Muhammad Al Hasani Al Husaini Al Madani Al kadwi Rahmatullah Alaih 

Hazrat Sarkar Meer Syed Qutubuddin Madni r.a ne ruhani tarbiyat aur husool e bait o khalafat pahle apne jaleelulqadr walid e buzurgwaar Hazrat Sarkar Meer Syed Ahmad Al Ghaznavi Al Madni r.a se apne aabai silsile mein hasil kiya jo silsila e Hasniya (Ye silsila Hazrat Imam Hasan Alaihissalam se jaari hua) Ameeriya Qutbiya ke naam se tha. Silsila e Bait aur Khilafat iss taraha hai

Hazrat Sarkar Meer Syed Qutub Al Deen Muhammad Al Madni Al kadwi (رحمتہ اللہ علیہ)
Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Sarkar Meer Syed Rasheed Al Deen Madni (رحمتہ اللہ علیہ)ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Sarkar Meer Syed Usuf Al Madni (رحمتہ اللہ علیہ)ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Sarkar Meer Syed Eisa Al Madni (رحمتہ اللہ علیہ)ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Sarkar Meer Syed Husain Al Madni (رحمتہ اللہ علیہ)ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Sarkar Meer Syed Hasan Al Makni Babul Hasan (رحمتہ اللہ علیہ)ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Sarkar Meer Syed Abu jafar (رحمتہ اللہ علیہ)ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Sarkar Meer Syed Qasim (رحمتہ اللہ علیہ)ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Sarkar Meer Syed Abi Muhammad Abdullah (رحمتہ اللہ علیہ)ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Sarkar Meer Syed Hasan Al Jawwad Naqeeb e koofa (رحمتہ اللہ علیہ)ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Sarkar Meer Syed Muhammad Al Asghar saani (عليه السلام)ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Sarkar Meer Syed Abu Muhammad Abdullah Al Ashtar urf Abdullah-Shah-Ghazi Sarkar (عليه السلام)ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Sarkar Syedna Imam Muhammad Ziaun nafs Az Zaki (عليه السلام)ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Sarkar Syedna Abdullah Al Mahaz Hasni Al Husaini (عليه السلام)ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Sarkar Syedna Hasan Al musanna (عليه السلام)ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Sarkar Syedna Maula Imam Hasan Al Mujtaba (عليه السلام)ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Imam Ali (عليه السلام) ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Muhammad (صلى الله عليه و آله وسلم) ke
Aur woh Naeb aur Khalifa hai’n Allah rabbul izzat ke.


Doyam Silsila e Bait o Khalafat Hazrat Syed Ameer Kabir Qutubuddin Muhammad Al Hasani Al Husaini Al Madani Al kadwi Rahmatullah Alaih(Silsila e Suharwardiya Firdausiya ,Kubrawiya) :

Hazrat Syed Ameer Kabir Qutubuddin Muhammad Al Hasani Al Husaini Al Madani Al kadwi Rahmatullah Alaih ne dobara Hazrat Shaikh Najmuddin Kubra se bait wa eradat ka talluq qayam kiya jin se tasqeen e atam hasil hui aur khalafat wa khirka e Suharwardiya Firdausiya Kubrawiya mein hasil kiya. (Ye silsila Hazrat Imam Hussain Alaihissalam se jaari hua)

Hazrat Sarkar Meer Syed Qutub Al Deen Muhammad Al Madni Al kadwi (رحمتہ اللہ علیہ)
Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Sheikh Najmuddin Kubra(رحمتہ اللہ علیہ) ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Ammar Yasir (رحمتہ اللہ علیہ) ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Abu najeeb Suharwardi (رحمتہ اللہ علیہ) ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Ahmad Ghazali (رحمتہ اللہ علیہ) ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Abu Bakar Nassaj (رحمتہ اللہ علیہ) ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Abul Qasim Girgani (رحمتہ اللہ علیہ) ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazart Abu Ali Katib (رحمتہ اللہ علیہ) ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Ali Roodbari (رحمتہ اللہ علیہ) ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Abul Qasim kasheri (رحمتہ اللہ علیہ) ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Abu Ali Daqaq (رحمتہ اللہ علیہ) ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Abul Qasim naseerabadi (Bagdad shareef) (رحمتہ اللہ علیہ) ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Abu Bakar Shibli (رحمتہ اللہ علیہ) ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Junaid Bagdadi (رحمتہ اللہ علیہ) ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Sari Sakhti (رحمتہ اللہ علیہ) ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Maroof karkhi (رحمتہ اللہ علیہ) ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Imam Ali Reza (عليه السلام)ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Imam Musa al Kazim (عليه السلام)ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Imam Jaffar al Sadiq (عليه السلام)ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Imam Muhammad al Baqir (عليه السلام)ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Imam Zainul Abideen (عليه السلام)ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Imam Hussain (عليه السلام)ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Imam Ali (عليه السلام) ke
Aur woh Mureed o Khalifa hai’n
Hazrat Muhammad (صلى الله عليه و آله وسلم) ke
Aur woh Naeb aur Khalifa hai’n Allah rabbul izzat ke

Alhumdullillah Sarkar Ameer Kabeer Syed Qutubuddin Muhammad Madni Al Hasni Al Hussaini Al Kadwi r.a Ko Har Janib Se Hasni Hussaini Faiz Hasil Hai. Aur Iss Aetbaar Se Bhi Iss Silsila Aur Khanwade Ko Roohe Zami’n par Fauqiyat Aur Fazilat Haasil Hai Mashallah.


Manqabat Shaan e khandan e Silsila e Qutbiya
منقبت شان ے خاندان ے سلسلہء قطبیہ

“Shuru tere hamd se aye khuda e lamyazaal
Ki Qudrat hai teri khoob khoob he Kamaal
شروع تیرے حمد سے آے خدا ے لم یزال
کی قدرت ہے تیری خوب خوب ھی کمال
Kiya toone Noore Muhammad ka jo Zahoor
Ki raushan huwe uss se sabhi fard e haal
کیا تونے نورے محمد (ص) کا جو ظہور
کی روشن ہوئے اس سے سبہی فرد ے ہال
Isi Noor se sab jalali bane
Isi noor se hain sab ahle Jamal
اسی نور سے سب جلالی بنے
اسی نور سے ہیں سب عہلے جمال
Ye sab ahle batin ka hai Kamil yaqee’n
Ke maula Ali hain maula e rajjal
یہ سب عہلے باطن کا ہیں کامل یقین
کے مولا علی ہیں مولا ے رجال
Phir sada hui fizao’n mein ek ye buland
Ki Hassan maula e qul hain, Ali ke hain jo laal
پھر سدا ہوئی فزاوں میں اک یہ بلند
کی حسن مولا ے قل ہیں علی کے ہیں جو لال
Ki Baad az Hassan, Hussain huwe Shahe zaman
Ki Karbal mein lutaya hai jisne har ek nau nihaal
کی باد از حسن، حسین ہوئے شاہے زمن
کی کربل میں لڈایا ہے جسنے ہر ایک نو نہال
Tha Mashiyat Ilahi Ko ye Manzoor bhi
Ki jaari rahe pyari Nabi ki ye aal
تھا مشیت الاہی کو یہ منظور بھی
کی جاری رہے پیارے نبی کی یہ آل
Karishma khuda ne phir Kiya kuch iss tarah
Ki qayam rahe Musanna, Aabid, aur zaid ba Jamaal
کرشمہ خدا نے پھر کیا کچھ اس طرح
کی قائم رہیں مثنیٰ عابد آور زید باجمال
Inhi gul se hai mahka, Hasnain ka gulista’n
Aur inhi se hai qayam sayadat la zawaal
انہی گل سے ہیں مہکا حسنین کا گلستاں
آور انہی سے ہے قائم سیادت لا زوال
Hassan jo imamo ke imam hai thaire
Musanna inhi ke Khalifa e ba kamaal
حسن جو اماموں کے امام ہیں ڈھرے
مثنیٰ انہی کے خلیفہ ے با کمال
Musanna se paaya Abdullah ne imamat Jinhe kahte hain mahaz sab Saad khisaal
مثنیٰ سے پایا عبداللہ نے امامت
جنہیں کہتے ہیں مہاز سب سعد خصال
Abdullah Al Mahaz k Noor e Nazar hain Muhammad (zakiya)
Jo teghe Ali (a.s) hain aur imam e ta’aal
عبداللہ ال مہاز کے نور ے نظر ہیں محمد (زکیہ)
جو تیغے علی ہیں آور امام ے تعال
Abdullah Shah Ghazi Jigar paara e zakiya
Ke Sindh ki Sarzami jinke dam se khush’haal
عبداللہ شاہ غازی جگر پارا ے زکیہ
کے سندھ کی سرزمین جنکی دم سے خشہال
Abdullah se sardari mili hai Hassan Ko
Jawwad e koofa jo sardar ba Jamaal
عبداللہ سے سرداری ملی ہے حسن کو
جواد ے کوفہ جو سردار با جمال
Hasan Jawwad se huwa jaari silsila e naqabat
Jo iss khandan mein jaari raha la zawaal.
حسن جواد سے ہؤا جاری سلسلہ ے نقابت
جو اس خاندان میں جاری رہا لا زوال
Isi khandan e Zee hasham k hain Noor
Ameer Qutubuddin, Qutub e rajjal
اسی خاندان ے زی ھشم کے ہیں نور
امیر قطب الدین، قطب ے رجال
Jaha’n ki nizamat thi jinke dam se chali
the’n Nizamuddin Hasan Qutub e Deen k wo laal
جہاں کی نظامت تھی جنکے دم سے چلی
تھیں نظام الدین حسن قطب الدین کے وہ لال
Har ek Laal Qutubuddin ka be misl tha
Har ek Zamane mein tha raushan misaal
ہر ایک لال قطب الدین کا بےمثل تھا
ہر ایک زمانے میں تھا روشن مثال
Nizamuddin Hasan k Farzand e arjumand jo the’n Qazi Ruqnuddin sardaran e abdal
نظام الدین حسن کے فرزند ے ارجمند
جو تھیں قاذی رکن الدین سردارانے عبدال
Syed Ruqnuddin qazi ke sulb paak se
Zahoor e Qutub ka baya’n bhi muhaal
سید رکن الدین قاذی کے صلب پاک سے
ظہور ے قطب کا بیان بھی مہال
Qutub zaado ke iss Noori chaman ka
Har ek fard hai be۔misl o be۔misaal
قطب ذادوں کے اس نوری چمن کا
ہر ایک فرد ہے بے۔ مثلو بے۔مثال
Jaha’n mein ye khandan urf “Qutbi” se Mash’hoor
Kisi Ko na rahi iski humsari ki majaal
جہاں میں یہ خاندان عرف” قطبی” سے مشہور
کسی کو نا رہی اسکی ہمسری کی مجال
Sarkar Meer Qutubuddin (r.a) ki hai kaamil dua
Rahe ye gharana pur faiz lazawaal
سرکار میر قطب الدین (رح) کی ہے کامل دعا
رہے یہ گھرانہ پرفیز لا ذوال
Aye Malik teri hai khoob humdo Sana
Ki hoo’n mye bhi iss gharane ka ek nau nihaal
اے مالکِ تیری ہے خوب ہمدوسنا
کی ہوں میں بھی اس گھرانے کا ایک نو نہال
Dua hai meri tujh se “Aye rabbe Kareem
Isi ghar se ho wo akhri sahibe kamaal.
دعا ہے میری تجھ سے آے رب کریم
اسی گھر سے ہو وہ آخری صاحب ے کمال

“Meer Aquib”
“میر عاقب”


Darood e Qutbia

Allah humma salle alah abdika wa waliy’yika wa habibika sultan al ambiya’e Wal mursaleen mukhtar al malaikatakal muqarrabeen sayyada wulidi aadam qutbiul aazam rais al qaunain wa ameenud daraien syedna wa maulana Muhammadin wa alah aalehi wa sehbihi wa barik wasallam.

Az – Meer Syed Qutubuddin Muhammad Aquib Qutbi Hasni (Sajjada Nasheen Aastana e Aaliya Suherwardia Firdausia kubrawiya Qutbia kabeeriya kada shareef Zila kaushambi (U. P) India.)  8004974849





Comments

Popular posts from this blog

Kanzul Muttalib fee Manaqib Ali Ibne Abi Talib Alahissalam

1. QUBOOL-E-ISLAM ME AWWAL AUR NAMAZ PADHNE ME AWWAL 1. "Ek Ansari Shakhs Abu Hamza se riwayat karte hain ke maine Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu ko farmate hue suna ke sabse pehle Hazrat Ali RadiAllahu Anhu Imaan laaye." Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kaha hai ke ye Hadees Hasan Saheeh hai. 2. "Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu se he marvi ek riwayat me ye alfaaz hain: "Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par sabse pehle Islam laane waale Hazrat Ali RadiAllahu Anhu hain." Is Hadees ki Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya hai. 3. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Peer ke din Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Baysat hui aur Mangal ke din Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne Namaz padhi." Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai. 4. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke wo farmate hain sabse pehle Hazrat Ali RadiAl

Rijalul ghayb

      https://youtu.be/DBJF3hL27FU   Rijal Al-Ghaib or Awliy’Ulah are always praying for the ummah and the world , imama gazali rehmatuallah “said if somebody prays for their help allah will show them their help ” ” , Rijal Al-Qeyb pray for the whole Umah of prophet Muhammed . Online Article There are at any given time 124000 or over (Allah knows best ) Awliy Ulah living on earth.They are not known and recognized by the general public. You should know O the beloved of Allah All these are hidden from them and the general public too , only Allah is the one who knows them all . In the Hadith 1) The Prophet (SCW) said: “The Substitutes (Abdaal) in this Community are thirty like Ibrahim the Friend of the Merciful. Every time one of them dies, Allah substitutes another one in his place.” [Musnad Ahmad 5:322] 2) The Prophet (SCW) said: “The earth will never lack forty men similar to the Friend of the Merciful [Prophet Ibrahim], and through them people receive rain and are given help. None of

Taziyadari jayaz hai