Skip to main content

Kanzul Muttalib fee Manaqib Ali Ibne Abi Talib Alahissalam





1. QUBOOL-E-ISLAM ME AWWAL AUR
NAMAZ PADHNE ME AWWAL
1. "Ek Ansari Shakhs Abu Hamza se riwayat karte hain ke maine Hazrat Zaid
bin Arqam RadiAllahu Anhu ko farmate hue suna ke sabse pehle Hazrat Ali
RadiAllahu Anhu Imaan laaye."
Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kaha hai ke ye Hadees Hasan
Saheeh hai.
2. "Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu se he marvi ek riwayat me ye
alfaaz hain:
"Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par sabse pehle
Islam laane waale Hazrat Ali RadiAllahu Anhu hain."
Is Hadees ki Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya hai.3. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Peer ke din
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Baysat hui aur
Mangal ke din Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne Namaz padhi."
Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai.
4. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke wo
farmate hain sabse pehle Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne Namaz Padhi."
Isey Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kaha hai ke is baareme Ahle Ilm ka
ihktelaaf hai. Ba'az ne kaha: Sabse pehle Abu Bakr Siddiq RadiAllahu Anhu
Islam laaye aur ba'az ne kaha: Sabse pehle Hazrat Ali RadiAllahu Anhu Islam
laaye jabke baaz Muhaddiseen ka kehna hai ke Mardon me sabse pehle Islam
laane waale Hazrat Abu Bakr RadiAllahu Anhu hain aur Bachon me sabse
pehle Islam laane waale Hazrat Ali RadiAllahu Anhu hain kyunki Wo 8 baras ki
Umr me Islam laaye aur Auraton me sabse pehle Musharraf ba-Islam Hone
Waali Hazrat Khadijatul Kubra RadiAllahu Anha hain.
5. "Hazrat Amr ibne Maimuna RadiAllahu Anhu Hazrat Abdullah ibne Abbas
RadiAllahu Anhuma se ek taweel Hadees me riwayat karte hain Unhone farmaya: Hazrat Khadija RadiAllahu Anha ke baad Hazrat Ali RadiAllahu Anhu
logon me sabse pehle Islam laaye."
Is Hadees ko Imam Ahmed ne riwayat kiya hai.
6. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma bayan karte hain ke sabse
pehle Hazrat Khadija RadiAllahu Anha ke baad Jis Shakhs ne Huzoor Nabi-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke saath Namaz ada ki wo Hazrat
Ali RadiAllahu Anhu hain aur ek dafa Aap RadiAllahu Anhu ne farmaya ke
Hazrat Khadija RadiAllahu Anha ke baad sabse pehle jo Shakhs Islam laaya wo
Hazrat Ali RadiAllahu Anhu hain."
Is Hadees ko Imam Ahmed ne riwayat kiya hai.
7. "Hazrat Ismail bin Iyaas bin Afeef Kindi RadiAllahu Anhu apne walid aur wo
apne walid se riwayat karte hain ke mai ek tajeer tha, mai Haj ki garaz se
Makka aaya to Hazrat Abbas bin Abdul Muttalib RadiAllahu Anhuma se milne
gaya taake Aapse kuch maal-e-tijarat kharid lun aur Aap RadiAllahu Anhu bhi
ek tajeer they. Ba-Khuda mai Aap RadiAllahu Anhu ke paas Mina me tha ke
achanak ek Aadmi Aphe kareebi khaime se nikla Usne suraj ki taraf dekha, pas jab Usne suraj ko dhalte hue dekha to Khade hokar Namaz ada Karne Laga.
Raawi bayan akrte hain: Fir usi Khaime se jis se Wo Aadmi nikla tha ek Aurat
nikli aur Uske piche Namaz padhne keliye Khadi Hogayin fir Usi Khaime me se
ek ladka jo kareeb al buloog tha nikla aur Us Shakhs ke saath khade hokar
Namaz padhne laga. Raawi bayan karte hain ke maine Hazrat Abbas
RadiAllahu Anhu se kaha:Ay Abbas! Ye Kaun hai? To Unhone kaha: Mera
Bhatija Muhammad Ibne Abdullah Ibne Abdul Muttalib hai. Maine pucha: Ye
Aurat Kaun hai? Unhone kaha: Ye Unki Biwi Khadija Binte Khuwailid hai.
Maine pucha: Ye Naujawan Kaun hai? To Unhone kaha: Ye Unke Chacha ka
Beta Ali Ibne Abi Talib hai. Raawi kehte hain: fir maine pucha ke Ye kya kaam
kar rahe hain? To Unhone kaha Ye Namaz padh rahe hain. Unka khayal hai ke
Ye Nabi hain haalanke Unki itteba siwaye Unki Biwi aur Chachazaad Us
Naujawan ke koi nahi karta aur Wo ye bhi gumaan karte hain ke ankareeb
kaiser wa kisra ke khazaane Unke liye khol diye jaenge. Raawi bayan karte
han: Afeef jo ke Ash'as bin Kais ke bete hain wo kehte hain ke wo iske baad
Islam laaye, pas uska Islam laana acha hai magar kaash Allah Tabarak wa
Ta'ala us din mujhe Islam ki Daulat ata farma deta to mai Hazrat Ali
Alaihissalam ke saath teesra Islam kubool karne waala shakhs hojata."
Is Hadees ko Imam Ahmed ne riwayat kiya hai.
8. "Hazrat Habbah Gurni RadiAllahu Anhu se riwayat hai, wo kehte hain maine
Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ko farmate hue suna: Mai wo pehla Shakhs hun
jisne Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Saath
Namaz Padhi."
Is Hadees ko Imam Ahmed ne riwayat kiya hai.9. "Hazrat Habba Arani RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke maine Hazrat Ali
RadiAllahu Anhu ko Mimbar par Hanste hue dekha aur maine kabhi bhi Aap
RadiAllahu Anhu ko is se zyada hanste hue nahi dekha. Yahan tak ke Aap
RadiAllahu Anhu ke Daant nazar aane lage. Fir Aap RadiAllahu Anhu ne
farmaya: Mujhe Apne Walid Abu Talib ka qaul yaad aagaya tha. Ek din Wo
hamare paas aaye jabke Mai Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ke saath tha aur Hum Waadi-e-Nakhla me Namaz ada kar rahe they
, pas Unhone kaha: Ay Mere Bhatije! Aap kya kar rahe hain? Huzoor Nabi-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Aapko Islam ki Daawat di to
Unhone kaha: Jo kuch Aap kar rahe hain ya Keh rahe hain usme koi haraj nahi
lekin Aap kabhi bhi (tajurba me) Meri Umar se zyada nahin hosakte. Pas
Hazrat Ali Alaihissalam Apne Walid ki is baat par hans diye fir farmaya: Ay
Allah! Mai nahi jaanta ke Muhjse pehle is ummat ke kisi aur fard ne Teri Ibadat
ki ho siwaye Tere Nabi SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke, ye 3 martaba
dohraya fir farmaya: Tehqeeq Maine aammatun naas ke Namaz padhne se 7
saal pehle Namaz ada ki."
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya hai.
10. "Hazrat Salman Farsi RadiAllahu Anhu se riwayat hai: Wo bayan karte hain
ke Ummat me sabse pehle Hoz-e-Kausar par Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Khidmat me haazir hone waale Islam laane me
sabse awwal Ali Ibne Abi Talib RadiAllahu Anhuma hain."
Is Hadees ko Imam Ibne Abi Shaiba, Imam Tabrani aur Imam Haysami ne
riwayat kiya hai.
11. "Hazrat Mujahid RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke sabse pehle Hazrat Ali
RadiAllahu Anhu ne Namaz ada ki aur Wo us waqt 10 saal ke they aur Hazrat
Muhammad bin Abdur-Rehman bin Zuraarah RadiAllahu Anhu se marvi hai ke
Aap RadiAllahu Anhu ne Islam Qubool kiya jab Aap RadiAllahu Anhu ki Umar
9 Saal Thi aur Hasan Ibne Zaid Ibne Hasan Ibne Ali Ibne Abi Talib RadiAllahu
Anhum se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne Aap RadiAllahu Anhu ko Islam Qubool karne ki Daawat di us waqt
Aap RadiAllahu Anhu ki umar 9 saal thi aur Imam Hasan Ibne Zaid RadiAllahu
Anhuma bayan karte hain ke kaha jata hai ke Aap RadiAllahu Anhu 9 saal se
bhi kum umar me Islam laaye lekin Aapne Apne Bachpan me bhi kabhi buton
ki puja nahi ki."
Isey ibne Saad ne "At-Tabkatul Kubra" me riwayat kiya hai.

2. SAYYEDA-E-KAINAT FATIMA TUZ-ZAHRA
RADIALLAHU ANHA SE SHAADI KA AIJAZ
PAANE WAALE
12. "Hazrat Abdullah Ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma riwayat karte hain ke
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Allah
Ta'ala ne Mujhe Hukm diya hai ke Mai Fatima ka Nikaah Ali se Kardun."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne "Al-Mujam al Kabie" me riwayat kiya hai.
13. "Hazrat Saeed ibne Musaiyab RadiAllahu Anhu Hazrat Umme Ayman
RadiAllahu Anha se riwayat karte hain Unhone kaha ke Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Apni Sahabzaddi Hazrat Fatima
RadiAllahu Anha ki Shaadi Hazrat Ali Ibne Abi Talib RadiAllahu Anhuma se ki
aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Unhe Hukm diya ke Wo
Fatima ke paas Jaayen yahan tak ke Wo Hazrat Fatima Salamullahi Alaiha ke
paas Aagaye (ye hukm isliye farmaya gaya ke yahudiyo ki mukhalifat ho kyunki
yahudiyo ki ye aadat thi ke wo shohar ki apni biwi se pehli mulaqat karaane
me taakhir karte they). Pas Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam tashreef laaye yahan tak ke Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Darwaaze par Khade hogaye aur Salam kiya aur andar aane ki ijazat
talab farmayi pas Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko ijazat di gayi,
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Kya yahan Mera Bhai
hai? To Hazrat Umme Ayman ne arz kiya: Ya RasoolAllah! Mere maa baap Aap
par Qurban hon. Aapke Bhai Kaun hain? Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne farmaya Mera Bhai Ali Ibne Abi Talib hai, fir Unhone arz kiya: Ya
RasoolAllah! Wo Aapke Bhai kaise hosakte hain? Haalanke Aapne Apni
Sahabzadi ka Nikah Unke saath kiya hai. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne farmaya: Ay Umme Ayman! Wo isi tarah hai. Fir Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne paani ka ek bartan mangwaya aur usme Apne
Haath Mubarak dhoye aur Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ke saamne baith gaye
aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne us paani me se kuch Aap
RadiAllahu Anhu ke Seene par aur Aap RadiAllahu Anhu ke Kandhon ke
darmiyaan chidka. Fir Hazrat Fatima Salamullahi Alaiha ko bulaya pas Aap
Apne Kapdo me Lipti Huin Aayin. Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne wo paani Aap Salamullahi Alaiha par bhi chidka fir
farmaya: Khuda ki Qasam! Ay Fatima! Maine Tumhari Shaadi Apne Khaandan
me se Behtareen Shakhs ke saath kardi hai aur Tumhare Haq me koi taqseer
nahi ki. Hazrat Umme Ayman farmati hain ke Hazrat Fatima RadiAllahu Anha
ke Jahez ki zimmedari sonpi gayi pas jo chizen Aap RadiAllahu Anha ke Jahez
me tayyar ki gayin unme ek chamdey ka takiya tha jo khajoor ki chaal se bhara
hua tha aur ek bichona tha jo Aap Salamullahi Alaiha ke Ghar bheja gaya."
Isey Ibne Saad ne Tabqatul Kubra me riwayat kiya hai.
14. "Hazrat Anas RadiAllahu Anhu se marvi hai ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Masjid me Tashreef farma they ke Hazrat
Ali KarramAllahu Wajhahu se farmaya: Ye Jibrael Alaihissalam hain jo Mujhe
Khabar derahe hain ke Allah Ta'ala ne Fatima se Tumhari Shaadi kardi hai. Aur
Tumhare Nikah par (Maala-e-Aala me) 40,000 Farishton ko Gawah ke taur par
Majlis-e-Nikah me Shareek kiya, aur Shajra haa-e-Tuba se farmaya: Inpar moti
aur yaaqut nichawar karo, fir dilkash aankhon waali Hooren un motiyon aur
yaaquton se thaal bharne lagin. Jinhe (Taqreeb-e-Nikah me shirkat karne
waale) Farishte Qayamat tak ek dusre ko bator tahaeef dete rahenge."
Is Hadees ko Imam Muhiyuddin Tabari ne riwayat kiya hai.
15. "Hazrat Ali KarramAllahu Wajhahu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Mere paas ek Farishte ne
aakar kaha hai Ay Muhammad! Allah Ta'ala ne Aap par Salam Bheja hai aur
farmaya hai: Maine Aapki Sahabzaadi Fatima ka Nikaah Mala-e-Aala me Ali
Ibne Abi Talib se kardiya hai, pas Aap zameen par bhi Fatima ka Nikaah Ali se
Karden."
Is ko Imam Muhibuddin Ahmed al-Tabari ne riwayat kiya hai.
3. ALI AL-MURTAZA RADIALLAHU ANHU
AHLE BAYT ME SE HAIN
16. "Hazrat Saad bin Abi Waqqas RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke jab
Aayat-e-Mubahla:
"Aap Farma Den Aaw Hum Apne Beton Ko Bulate Hain Tum Apne Beton Ko
Bulao"
Naazil hui to Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne
Hazrat Ali, Sayyeda Fatima, Hazrat Hasan aur Hazrat Hussain Alaihi-mussalam
ko bulaya, fir farmaya: Ya Allah! Ye Mere Ahle Bayt Hain."
Is Hadees ko Imam Muslim aur Tirmizi ne riwayat kiya hai aur Imam Tirmizi
farmate hain ke Ye Hadees Hasan hai.17. "Hazrat Safiya binte Shaiba se riwayat hai: Hazrat Aaisha Siddiqa
RadiAllahu Anha bayan farmati hain ke Huzoor Nabi Akram SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam subah ke waqt is haal me baahar tashreef laaye ke Aap
SallAlahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne ek chadar oodh rakhi thi jispar siyah
oon ke kajawon ke naksh bane hue the. Hazrat Hasan ibne Ali Alaihimussalam
aaye to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Unhe us chadar me
daakhil karliya fir Hazrat Hussain Alaihissalam aaye aur Unke saath chadar me
daakhil hogaye, fir Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha Aayin to Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Unhe Bhi Chadar me daakhil Farma liya, fir
Hazrat Ali KarramAllahu Wajhahul Kareem Aaye to Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne Unhe bhi Chadar me daakhil farma liya. Fir Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne ye Aayat-e-Mubaraka padhi
"Ay Ahle Bayt! Allah To Yehi Chahta Hai Ke Tumse (Har Tarah Ki) aaludgi
Door Karde Aur Tumko Kamaal Darja Taharat Se Nawaz De"."
Is Hadees ko Imam Muslim ne riwayat kiya hai.
18. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke 6 maah tak
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ka ye mamul raha 18. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke 6 maah tak
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ka ye mamul raha
ke jab Namaz-e-Fajr ke keliye nikalte to Hazrat Sayyeda Fatima Salamullahi
Alaiha ke Darwaaze ke pas se Guzarte hue farmate: Ay Ahle Bayt! Namaz
qaayam karo (aur fir ye Aayat-e-Mubaraka Padhte:)
"Ay Ahle Bayt! Allah Chahta Hai Ke Tumse (Har Tarah Ki) aaludgi Door Karde
Aur Tumko Khoob Paak Wa Saaf Karde"."
Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kaha hai ke ye Hadees Hasan
hai.
19. "Parwurda-e-Nabi Hazrat Umar bin Abi Salma RadiAllahu Anhu se riwayat
hai ke jab Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par
Hazrat Umme Salma RadiAllahu Anha ke Gharme ye Aayat-e-Mubarak:
"Ay Ahle Bayt! Allah Chahta hai ke Tumse (har tarah ki) aaludgi door karde
aur Tumko Khoob Paak wa Saaf karde."
Naazil hui; To Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Fatima, Hazrat Hasan aur Hazrat Hussain Salamullah Alaihim ko bulaya aur ek Kamli
me dhaanp liya. Hazrat Ali RadiAllahu Anhu Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ke piche they, Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Unhe
bhi Kamli me dhaanp liya, fir farmaya: Ilahi! Ye Mere Ahle Bayt hain, Inse
aaludgi ko dur karde aur Inko Khoob Paak wa Saaf Farmaade."
20. "Hazrat Abu Saeed Khudri RadiAllahu Anhu ne Farman-e-Khudawandi:
" Ay Ahle Bayt! Allah Chahta hai ke Tumse (har tarah ki) aaludgi door karde"
Ke baareme kaha hai ke ye Aayat-e-Mubaraka Panjatan ke Haq me Naazil hui;
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam, Hazrat Ali, Hazrat
Fatima, Hazrat Hasan aur Hazrat Hussain Salawatullah Alaihim ke Haq me.
Is Hadees ko Imam Tabrani ne "al-Mujam al-Aeast" me riwayat kiya hai.
21. "Hazrat Abdullah Ibne Abbas RadiAllahu Anhuma farmate hain ke jab ye
Aayat-e-Mubaraka “Ay Mehboob! Farma dijiye ke Mai tumse sirf Apni
Qarabat ke saath Muhabbat ka sawaal karta Hun” Naazil hui toSahaba-e-Kiram RadiAllahu Anhum ne arz kiya: Ya RasoolAllah SallAllahu Alaik
wa Sallam! Aapki Qarabat waale kaun hain jinki Muhabbat Humpar Waajib
hogayi hai? Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ali, Fatima
aur Unke dono Bete (Hasan wa Hussain)."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne "al-Mujam al-Kabir" me riwayat kiya hai.
22. "Hazrat Abu Barjah RadiAllahu Anhu bayan karte ke Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Aadami ke dono kadam us
waqt tak agle jahan me nahi padte jab tak ke us se 4 cheezon ke baareme me
sawal na karliya jaaye. Uske jismke baareme ke usne usey kis tarah aamaal
me bosida kiya? Aur uski umar ke baareme ke kis haal me usey khatam kiya?
Aur uske maal ke baareme ke usne ye kahan se kamaya aur kahan kahan
kharch kiya? Aur Ahle Bayt ki Muhabbat ke baareme? Arz kiya gaya: Ya
RasoolAllah! Aapki (yaani Ahle Bayt ki) Muhabbat ki kya alamat hai? To Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Apna Dast-e-Aqdas Hazrat Ali
RadiAllahu Anhu ke Shaane par maara (ke ye Muhabbat ki alamat hai)."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne "al-Mujam al-Awsat" me riwayat kiya hai.
4. FARMAN-E-MUSTAFA SALLALLAHU
ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM: JISKA MAI
MAULA HUN USKA ALI MAULA HAI
23. "Hazrat Shuaba RadiAllahu Anhu Salma bin Kuhayl se riwayat karte hain
ke maine Abu Tufayl se suna ke Abu Sareeha.....ya Zaid bin Arqam RadiAllahu
Anhuma.....se marvi hai (Shuaba ko raawi ke mutalliq shak hai) ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Jiska Mai
Maula Hun uska Ali Maula Hai."
Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kaha ke ye Hadees Hasan
Sahih hai.
Shuaba ne Is Hadees ko Maimum Abu Abdullah se, Unhone Zaid bin Arqam se
aur Unhone Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se
riwayat kiya hai.24. "Hazrat Saad bin Abi Waqqas RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke maine
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko ye farmate hue
suna: Jiska Mai Wali hun Uska Ali Wali hai. Aur maine Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ko (Hazrat Ali Alaihissalam se) ye farmate hue suna: Tum
Mere liye usi tarah ho Jaisey Haroon Alaihissalam, Musa Alaihissalam keliye
they, magar Mere baad koi Nabi nahi. Aur maine Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ko (Gazwa-e-Khaybar ke mauqa par) Ye bhi farmate hue
suna: Mai aaj us shakhs ko jhanda ata karunga jo Allah aur Uske Rasool
(SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) se Muhabbat karta hai."
Is Hadees ko Imam Ibne Majjah ne riwayat kiya hai.
25. "Hazrat Bara bin Aazib RadiAllahu Anhu riwayat karte hain ke hum ne
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke saath Haj ada
kiya, Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne raaste me ek jagah qayaam
farmaya aur Namaz (ba-jama'at) qqayam karne ka Hukm diya, iske Hazrat Ali
KarramAllahu Wajhahu ka Haath pakadkar farmaya: Kya Mai momino ki jaano
se kareebtar nahi hun? Unhone jawab diya: Kyon nahi! Aap SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Kya Mai har momin ki jaan se kareebtar nahi
hun? Unhone jawab diya: Kyon nahi! Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
ne farmaya: Pas Ye (Ali) har us shakhs wa Wali hai jiska Mai Maula hun. Ay
Allah! Jo Isey Dost rakhe usey Tu bhi Dost rakh (aur) jo Is se adawat rakhe us
se Tu bhi adawat rakh."
Is Hadees ko Ibne Majjah ne riwayat kiya hai.26. "Hazrat Buraida RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke maine Hazrat Ali
RadiAllahu Anhu ke saath Yaman ke Gazwa me shirkat ki jisme Mujhe Aapse
kuch shikwa hua. Jab Mai Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ki Khidmat me waapis aaya to maine Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam se Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ka zikr karte hue
Unke baare me tankees ki. Maine dekha ke Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ka Chehra Mubarak mutagaiyyar hogaya aur Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ay Buraida! Kya Mai Momin ki jaano se
kareebtar nahi hun? To maine arz kiya: Kyon nahi, Ya RasoolAllah! Ispar Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Jiska Mai Maula Hun uska
Ali Maula hai."
Is Hadees ko Imam Ahmed ne Apni Musnad me, Imam Nasai ne As-Sunan al
Kubra me aur Imam Hakim aur Ibne Abi Shaiba ne riwayat kiya hai aur Imam
Hakim kehte hain ke Ye Hadees Imam Muslim ki Sharait par Sahih hai.
27. "Hazrat Maimum Abu Abdullah RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke
Maine Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu ko ye kehte hue suna: Hum Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke saath ek waadi.....jisey
waadi-e-Khum kaha jata tha.....me utrey. Pas Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ne Namaz ka Hukm diya aur sakht garmi me Jama'at karayi. Fir
hame Khutba Irshad farmaya darhaalanke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Suraj ki garmi se bachane keliye darakht par
kapda latka kar saaya kiya gaya. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Kya tum nahi jaante (ya is baat ki) gawahi nahi dete ke Mai har
momin ki jaan se kareebtar hun? Logo ne kaha: Kyon nahi! Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Pas Jiska Mai Maula Hun uska Ali Maula
hai, Ay Allah! Tu us se adawat rakh jo Is se adawat rakhe aur usey Dost rakh
jo Isey Dost rakhe."
Is Hadees ko Imam Ahmed ne apni Musnad me aur Bayheqi ne Sunan al Kubra
me aur Tabrani ne Mujam al Kabir me riwayat kiya hai.
28. "(Khud) Hazrat Ali Alaihissalam se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Gadeer-e-Khum ke din farmaya: Jiska
Mai Maula Hun uska Ali Maula hai."
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal ne aur Tabrani ne Mujam al Awsat me
riwayat kiya hai.29. "Hazrat Ammar bin Yaasir RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke ek saayal
Hazrat Ali Alaihissalam ke paas aakar khada hua. Aap RadiAllahu Anhu Namaz
me halat-e-ruku me they. Usne Aap RadiAllahu Anhu ki Angoothi khainchi.
Aap RadiAllahu Anhu ne angoothi saayal ko ata farma di. Hazrat Ali
Alaihissalam Rasool-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke paas
aaye aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko uski khabar di. Us mauqa
par Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par ye Aayat-e-Kareema Naazil
hua:
"Beshak Tumhara (Madatgaar) Dost Allah Aur Uska Rasool He Hai Aur
(Saath) Wo Imaan Waale Hain Jo Namaz Qaayam Karte Hain Aur Zakaat Ada
Karte Hain Aur Wo (Allah Ke Huzoor Aajzi Se) Jhukne Waale Hain"
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne is Aayat ko padha aur farmaya:
Jiska Mai Maula Hun uska Ali Maula Hai, Ay Allah! jo Isey Dost rakhe Tu usey
Dost rakh aur jo Is se adawat rakhe Tu us se adawat rakh."
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal, Imam Hakim aur Tabrani ne Mujam al
Kabir aur Mujam al Awsat me riwayat kiya hai.
30. "Hazrat Atiya Aoufi RadiAllahu Anhu se riwayat hai, wo kehte hain kemaine Zaid bin Arqam se pucha: Mera ek daamad hai jo Gadeer-e-Khum ke
din Hazrat Ali Alaihissalam ki Shaan me aapki riwayat e Hadees bayan karta
hai. Mai chahta hun ke Us Hadees ko Aapse (barahe raast) sunu. Hazrat Zaid
bin Arqam RadiAllahu Anhuma ne kaha: Tum ahle iraq ho, tumhari aadaten
tumhe mubarak ho. Maine kaha ke meri taraf se unhe koi azeeyat nahi
pahunchegi. (is par) unhone kaha: Hum juafa ke maqaam par they ke Zuhar
ke waqt Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hazrat Ali
Alaihissalam ka baazu thaame hue baahar tashreef laaye. Aap SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: "Ay logo! Kya tumhe ilm nahi ke Mai momino
ki jaano se bhi kareebtar hun?" Unhone kaha: Kyon nahi! Aap SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: "Jiska Mai Maula Hun uska Ali Maula Hai."
Atiyya ne kaha: Maine mazeed pucha: Kya Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne ye bhi irshad farmaya: "Ay Allah! Jo Ali ko Dost rakhe usey Tu bhi
Dost rakh aur jo Is se adawat rakhe us se Tu bhi adawat rakh." Hazrat Zaid bin
Arqam ne kaha: Maine jo kuch suna tha wo tumhe bayan kardiya hai.:
Is Hadees ko Imam Ahmed aur Tabrani ne riwayat kiya hai.
31. "Abu Tufayl se riwayat hai ke Hazrat Ali Alaihissalam ne logo ko ek khuli jagah (Rahba) me jama kiya, fir unse farmaya: Mai har musalman ko Allah ki
Qasam dekar puchta hun ke jisne Rasool-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ko Gadeer-e-Khum ke din (Mere Mutalliq) kuch farmate hue suna
hai wo khada hojaye. Is par 30 afrad khade hue jabke Abu Nuaim ne kaha ke
kaseer afrad khade hue aur unhone gawahi di ke (hame wo waqt yaad hai) jab
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Aapka Haath
pakadkar logo se farmaya: "Kya tumhe iska ilm nahi ke Mai momin ki jaano se
kareebtar hun?" Sabne kaha: Haan, Ya RasoolAllah! Fir Aap SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: "Jiska Mai Maula Hun Uska Ye (Ali) Maula
Hai, Ay Allah! Tu usey Dost rakh jo Isey Dost rakhe aur Tu us se adawat rakh
jo Is se adawat rakhe." Raawi kehte hain ke jab mai wahan se nikla to mere
dilme kuch shak tha. Isi dauran mai Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhuma se
mila aur Unhe kaha ke maine Hazrat Ali Alaihissalam ko is tarah farmate hue
suna hai. (Is par) Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhuma ne kaha: Tu kaise inkar
karta hai jabke Maine Khud Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ko Hazrat Ali Alaihissalam ke Mutalliq aisa he farmate hue suna
hai?"
Is Hadees ko Ibne Hibban, Ahmed bin Hanbal aur Hakim ne riwayat kiya hai.
32. "Hazrat Riyaah bin Haaris RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke ek dafa Hazrat
Ali ho. Hazrat Ali Alaihissalam ne pucha: Mai kaise aapka Maula hun haalanke Aap to Qaum-e-Arab hai (kisiko jaldi Qaaid nahi maante). Unhone kaha:
Humne Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se suna
hai: "Jiska Mai Maula Hun Beshak uska Ye (Ali) Maula Hai." Hazrat Riyaah ne
kaha: Jab wo log chale gaye to maine unse jakar pucha ke wo kaun log hain?
Unhone kaha ke Ansar ke ek wafad hai, unme Hazrat Abu Ayyub Ansari
RadiAllahu Anhu bhi hain."
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal ne aur Tabrani ne Mujam al Kabir me
riwayat kiya hai.
33. "Hazrat Riyaah bin Haaris RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke us dauran
jabke Hazrat Ali Alaihissalam Sehan me tashreef farma they ek aadmi aaya,
uspar safar ke asraat numaya they. Usne kaha: Assalamu Alaik Ay Mere
Maula! Pucha gaya ke Ye kaun hai? Aap RadiAllahu Anhu ne farmaya: Abu
Ayyub Ansari hain. Hazrat Abu Ayyub Ansari RadiAllahu Anhu bayan karte hain
ke Maine Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko
farmate hue suna ke Jiska Mai Maula Hun uska Ali Maula Hai."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne Mujam al Kabir me aur Ibne Abi Shaiba ne
riwayat kiya hai.
34. "Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne logo se gawahi talab karte hue kaha ke Mai tumhe Qasam
deta hun jisne Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko
ye farmate hue suna: "Ay Allah! Jiska Mai Maula Hun, uska Ali Maula Hai, Ay
Allah! Tu usey Dost rakh jo Isey Dost rakhe aur Tu us se adawat rakh jo Is se
adawat rakhe." Pas us (mauqa) par 16 Aadmiyon ne khade hokar gawahi di."
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal aur Tabrani ne riwayat kiya hai.
35. "Hazrat Zaadan bin Umar se riwayat hai, aap bayan karte hain ke maine
Hazrat Ali KarramAllahu Wajahahu ko Majlis me logo se halfan ye puchte hue
suna: Kisne Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko
Gadeer-e-Khum ke din kuch farmate hue suna hai? Is par 13 Aadmi khade hue
aur unhone tasdeeq ki ke unhone Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ko ye farmate hue suna: "Jiska Mai Maula Hun uska Ali Maula
Hai."
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal aur Tabrani ne al Mujam al Awsat me
riwayat kiya hai.36. "Hazrat Abdur Rehman ibne Abi Laila RadiAllahu Anhu riwayat karte hain
ke maine Hazrat Ali Alaihissalam ko wasi maidan me dekha, us waqt Aap logon
se halfan puch rahe they ke jisne Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ko Gadeer-e-Khum ke din.......Jiska Mai Maula Hun, Uska Ali
Maula Hai.......farmate hue suna ho wo khada hokar gawahi de. Abdur
Rehman ne kaha: Is par 12 Badri Sahaba-e-Kiram RadiAllahu Anhum Khade
hue, goya mai unme se ek ki taraf dekh raha hun. Un (Badri Sahaba-e-Kiram
RadiAllahu Anhum) ne kaha: Hum gawahi dete hain ke humne Rasool-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Gadeer-e-Khum ke din ye
farmate hue suna: "Kya Mai momino ki jaano se kareebtar nahi hun, aur Meri
Biwiyan unki Maayen nahi hain?" Sabne kaha: Kyon nahi, Ya RasoolAllah! Ispar
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Jiska Mai Maula Hun,
uska Ali Maula Hai, Ay Allah! Jo Isey Dost rakhe Tu usey Dost rakh aur jo Is se
adawat rakhe Tu us se adawat rakh."
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal aur Abu Ya'ala ne riwayat kiya hai.
37. "Hazrat Saeed bin Wahab aur Zaid bin Yashi RadiAllahu Anhuma riwayat
karte hain ke Hazrat Ali Alaihisslam ne khule maidan me logo ko Qasam di kejisne Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Gadeer-e
Khum ke din kuch farmate hue suna ho khada hojaye.Raawi kehte hain: 6
(aadmi) Saeed ki taraf se aur 6 Zaid ki taraf se khade hue aur unhone gawahi
di ke unhone Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko
Gadeer-e-Khum ke din Hazrat Ali Alaihissalam ke haq me ye farmate hue suna:
"Kya Allah momino ki jaano se kareebtar nahi hai?" logo ne kaha: Kyon nahi!
Fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: "Ay Allah! jiska Mai
Maula Hun uska Ali Maula Hai, Ay Allah! Tu usey Dost rakh jo Isey Dost rakhe
aur Tu us se adawat rakh jo Is se adawat rakhe."
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal ne apni Musnad me Tabarani ne Mujam
al Awsat aur Mujam al Sageer me aur Ibne Abi Shaiba ne Musannaf me
riwayat kiya hai.38. "Abu Ishaaq se marvi hai, wo kehte hain ke maine Saeed bin Wahab ko ye
kehte hue suna: Hazrat Ali Alaihissalam ne logo se Qasam li jispar 5 ya 6
Sahaba ne khade hokar gawahi di ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ne farmaya tha:
"Jiska Mai Maula Hun uska Ali Maula Hai."
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya hai.39. "Umaira bin Saad se riwayat hai ke unhone Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ko
khule maidan me Qasam dete hue suna ke kisne Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko ye farmate hue suna hai: jiska Mai
Maula Hun uska Ali Maula hai? To (ispar) 6 Afrad ne khade hokar gawahi di."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne Mujam al Awsat me riwayat kiya hai.
40. "Abu Tufayl Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu se riwayat karte hain
ke Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne logo se halfan pucha ke tum me se kaun hai
jisne Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Gadeer-e
Khum ke din ye farmate hue suna ho: "Kya tum nahi jaante ke Mai momino ki
jaano se kareebtar hun? Unhone kaha: Kyon nahi. Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne farmaya: Jiska Mai Maula Hun uska Ali Maula Hai, Ay
Allah! Jo Isey Dost rakhe Tu bhi usey Dost rakh, aur jo Is se adawat rakhe Tu
us se adawat rakh." (Sayyeduna Ali Alaihissalam ki is guftagu par) 12 Aadmi khade hue aur unhone us waqiye ki shahadat di."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne Mujam al Awsat me riwayat kiya hai.
41. "Hazrat Huzaifa bin Usaid Gaffari RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Mujhe Lateef wa Khabeer
Zaat ne khabar di hai ke Allah ne har Nabi ko Apne se pehle Nabi e nisf umar
ata farmayi aur Mujhe gumaan hai Mujhe (ankareeb) bulawa aayega aur Mai
usey kabool karlunga, aur Mujhe se (Meri Zimmedariyon ke mutalliq) pucha
jaega aur tumse bhi (Mere mutalliq) pucha jaega, (us babat) tum kya kehte
ho? Unhone kaha: Hum gawahi dete hain ke Aapne hame intehaayi jiddo
jahad ke saath Deen pahunchaya aur bhalayi ki baaten irshad farmayin, Allah
Ta'ala Aapko Jaza-e-Khair ata farmaye. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne farmaya: Kya tum is baat ki gawahi nahi dete ke Allah ke siwa koi
Mabood nahi aur Muhammad Allah ke Bande aur Uske Rasool hain, Jannat
wa dozakh haq hain aur maut aur maut ke baad ki zindagi haq hai, aur Qayamat ke aane me koi shak nahi, aur Allah Ta'ala ahle kuboor ko dobara
uthayega? Sabne jawab diya: Kyon nahi! Hum is sabki gawahi dete hain. Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ay Allah! Tu Gawah Banja.
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ay logo! Beshak Allah
Mere Maula hai aur Mai tamam muminen ka Maula Hun aur Mai unki jaano
se kareebtar hun. Jiska Mai Maula Hun ye uska Ye (Ali) Maula hai. Ay Allah! jo
Isey Dost rakhe Tu usey dost rakh, jo Is se adawat rakhe Tu us se adawat rakh.
"Ay logo! Mai tumse pehle jaane waala hun aur tum Mujhe Hauz par miloge,
ye Hauz Basra aur Sana'a ke darmiyani faasle se bhi zyada chauda hai. Isme
sitaron ke barabar chaandi ke pyaale hain, jab tum Mere paas aaoge Mai
tumse 2 intehaayi aham cheezon ke mutalliq puchunga, dekhne ki baat ye hai
ke tum Mere piche Un dono se kya sulooq karte ho! Pehli aham cheez Allah ki
Kitab hai, jo ek haysiyat se Allah se talluq rakhti hai aur dusri haysiyat se bando
se talluq rakhti hai. Tum Isey mazbooti se thaam lo to gumrah hoge na (Haq
se) munharaf. Aur (dusri aham cheez) Meri Itrat yaani Ahle Bayt hain (Unka
daaman thaam lena). Mujhe Lateef wa Khabeer Zaat ne Khabar di hai ke
Beshak ye Dono Haq se nahi hatengi yahan tak ke Mujhe Hauz par Milengi."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne Mujam al Kabir me riwayat kiya hai.
42. "Hazrat Jareer RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Hijjatul Wida ke mauqa
par Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke saath they,
hum ek aisi jagah pahunche jise Gadeer-e-Khum kehte hain. Namaz baa
Jama'at hone ki nida aayi to saare Muhajareen wa Ansar jama hogaye. Fir Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam hamare darmiyaan
Khade hue aur Khitaab farmaya: Ay logo! Tum kis cheez ki gawahi dete ho?
Unhone kaha: Hum gawahi dete hain ke Allah ke siwa koi mabood nahi. Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Fir kiski? Unhone kaha:
Beshak Muhammad Uske Bande aur Rasool Hain. Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne farmaya: Tumhara Wali kaun hai? Unhone kaha: Allah aur
Uska Rasool SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam. Fir farmaya: Tumhara Wali
aur kaun hai? Tab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali
Alaihissalam ko Baazu se pakad kar khada kiya aur (Hazrat Ali RadiAllahu Anhu
ke) Dono Baazu thaam kar farmaya: Allah aur Uska Rasool jiske Maula hain
uska Ye (Ali) Maula hai, Ay Allah! jo Ali ko Dost rakhe Tu usey Dost rakh (aur)
jo Is (Ali) se adawat rakhe Tu us se adawat rakh, Ay Allah! jo Isey Mehboob
rakhe Tu usey mehboob rakh aur jo Is se bugz rakhe Tu us se bugz rakh."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne Mujam al Kabir me riwayat kiya hai.
43. "Amrin Zee Murrin aur Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhuma se riwayat hai
ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Gadeer-e
Khum ke maqaam par Khitaab farmaya. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne farmaya: Jiska Mai Maula Hun uska Ali Maula Hai, Ay Allah! jo Isey
Dost rakhe Tu usey Dost rakhaur jo Is se adawat rakhe Tu us se adawat rakh,
aur jo Iski nusrat kare uski Tu nusrat farma, aur jo Iski iyanat kare Tu uski
iyanat farma."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne Mujam al Kabir me riwayat kiya hai.44. "Hazrat Umair bin Saad se riwayat hai ke unhone Hazrat Ali Alaihissalam
ko khule maidan me ye Qasam dete hue suna ke kisne Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko ye farmate suna hai ke jiska Mai Maula
Hun Uska Ali Maula Hai? To 18 Afraad ne khade hokar gawahi di."
Is Hadees ko Haysami ne riwayat kiya hai.
45. "Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hijjatul Wida se waapis
tashrif laaye aur Gadeer-e-Khum par qayaam farmaya. Aap SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ne saayebaan lagane ka Hukm diya, wo laga diye gaye. Fir
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: "Mujhe lagta hai ke
ankareeb Mujhe (Wisaal ka) bulawa aane ko hai, jise Mai Kabool karlunga.
Tehqeeq Mai tumhare darmiyan 2 aham cheezen chode jaraha Hun, jo ek
dusre se badhkar ahmiyat ki haamil hain: Ek Allah ki Kitab aur Dusri Meri Itrat.
Ab dekhna ye hai ke Mere baad tum In Done ke saath kya sulook rawa rakhte
ho aur ye Dono ek dusre se juda na hongi, yahan tak ke Hauz-e-Kausar par
Mere saamne aayengi." Fir farmaya: "Beshak Allah Mera Maula Hai aur Mai
.har momin ka Maula Hun." Fir Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ka Haath pakadkar
farmaya: "Jiska Mai Maula Hun, uska Ye Wali hai, Ay Allah! jo Isey (Ali ko) Dost
rakhe usey Tu Dost rakh aur jo Is se adawat rakhe us se Tu bhi adawat rakh."
Is Hadees ko Imam Hakim ne riwayat kiya hai aur wo farmate hain ke Ye
Hadees Imam Bukhari aur Imam Muslim ki Sharait par Sahih hai
46. "Hazrat Ibne Waasila RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke unhone Zaid bin
Arqam RadiAllahu Anhu se suna ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne Makka aur Madina ke darmiyan 5 bade ghane darakhton
ke kareeb padaw kiya. Logo ne darkhton keniche safayi ki aur Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne kuch der Aaram farmaya, Namaz ada farmayi,
fir Khitab farmane keliye Khade hue. Allah Ta'ala ki Hamd wa Sana bayan
farmayi aur waaz wa nasihat farmayi, fir jo Allah Ta'ala ne Chacha Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne bayan kiya. Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne farmaya: "Ay logo! Mai tumhare darmiyan 2 Cheezen
chodkar Jaaraha hun, jab tak tum Unki pairavi karoge kabhi gumrah nahi hoge
aur wo (2 cheezen) Allah ki Kitab aur Mere Ahle Bayt wa Itrat hain." Iske baad
farmaya: "Kya tumhe ilm nahi ki Mai momino ki jaano se kareebtar Hun?" Aisa
3 Martaba Farmaya. Sabne kaha: Ji haan! Fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ne farmaya: "Jiska Mai Maula Hun uska Ali Maula hai."
Is Hadees ko Imam Hakim ne riwayat kiya hai aur kaha: Buraida Aslami ki
riwayat karda Hadees Imam Bukhari wa Muslim ki Sharait par Sahih hai.47. "Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhuma riwayat karte hain ke hum
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke saath nikle
yahan tak ke Gadeer-e-Khum pahunch gaye. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ne saayebaan lagane ka Hukm diya. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam us din thakawat Mehsus kar rahe they aur hamare upar us din se
zyada garam din is se pehle na guzra tha. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne Allah ki Hamd wa Sana bayan ki aur farmaya: "Ay logo! Allah Ta'ala
ne jitne Nabi bheje har Nabi ne Apne se pehle Nabi se nisf zindagi paayi, aur
Mujhe lagta hai ke ankareeb Mujhe (Wisaal ka) bulawa aaneko hai jisey Mai
kabool karlunga. Mai tumhare andar wo chiz chode jaraha hun ke uske hote
hue tum hargiz gumrah nahi hoge, Wo Kitabullah hai." Fir Aap SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam khade hue aur Hazrat Ali Alaihissalam ka Haath thaam kar
farmaya: "Ay logo! Kaun hai jo tumhari jaano se zyada kareeb hai? Sabne
kaha: Allah aur Uska Rasool SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam behtar jaante
hain. (fir) farmaya: "Kya Mai tumhari jaano se kareebtar nahi hun?" Unhone
kaha: Kyon nahi! Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: "Jiska
Mai Maula Hun uska Ali Maula hai."
Is Hadees ko Imam Hakim ne riwayat kiya aur kaha: Ye Hadees Sahih ul Isnaad
hai.
48. "Hazrat Rafa'a bin Iyaas Zabiyy RadiAllahu Anhu apne walid se aur wo apne
dada se riwayat karte hain ke hum jamal ke din Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ke saath they. Aap RadiAllahu Anhu ne Talha bin Ubaidullah RadiAllahu Anhuma
ki taraf mulaqat ka paigaam bheja. Pas Talha Unke paas aaye. Aap RadiAllahu
Anhu ne kaha: "Mai Allah ki Qasam deta Hun, kya aapne Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se suna hai ke jiska Mai Maula Hunuska
Ali Maula Hai, Ay Allah! jo Ali ko Dost rakhe Tu usey Dost rakh, jo Us se adawat
rakhe Tu us se adawat rakh?" Hazrat Talha RadiAllahu Anhu ne kaha: Haan!
Hazrat Ali Alaihissalam ne kaha: "To fir Mere saath kyu jang karte hain?" Talha
RadiAllahu Anhu ne kaha: Mujhe ye Baat yaad nahi thi. Raawi ne kaha: (uske
baad) Talha RadiAllahu Anhu waapis laut gaye."
Is Hadees ko Imam Hakim ne riwayat kiya hai.
49. "Hazrat Jabir ibne Abdullah RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke hum
Juafa me Gadeer-e-Khum ke maqam par they, jab Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam bahar hamare paas tashreef laaye, fir
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali Alaihissalam ka Haath
pakadkar farmaya: "Jiska Mai Maula Hun uska Ali Maula hai."
Is Hadees ko Ibne Abi Shaiba ne riwayat kiya hai.50. Abu Yazid Auwdi RadiAllahu Anhu apne walid se riwayat karte hain ke (ek
dafa) Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu Masjid me daakhil hue to log Aap
RadiAllahu Anhu ke ird gird jama hogaye. Unme se ek jawaan ne khade hokar
kaha: Mai aapko Allah ki Qasam deta hun kya Aapne Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko ye farmate hue suna haike jiska Mai
Maula Hun uska Ali Maula hai, Ay Allah! jo Ali ko Dost rakhe Tu usey Dost
rakh? Ispar Unhone kaha: Mai gawahi deta hun ke Maine Rasool-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko ye farmate hue suna hai: "Jiska Mai
Maula Hun uska Ali Maula Hai, Ay Allah! jo Isey Dost rakhe usey Tu Dost rakh
aur jo Is se adawat rakhe us se Tu adawat rakh."
Is Hadees ko Abu Ya'ala ne apni Musnad me riwayat kiya hai.
51. "Hazrat Aamir bin Saad bin Abi Waqqas RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke
Hazrat Saad RadiAllahu Anhu ne farmaya: Khuda ki Qasam mai Hazrat Ali
Alaihissalam aur Unke mtalliq jo kuch Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ne farmaya achi tarah jaanta hun. Mai gawahi deta hun ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali
KarramAllahu Wajhahu ko Gadeer-e-Khum waale din farmaya us waqt jab
hum Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke saath baithe hue they, Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Apni Chadar ka kona pakda aur khade
hue fir farmaya: Ay Logo! Tumhara Maula Kaun hai? To Sahaba ne arz kiya
Allah aur Uska Rasool SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam behtar jaanate
hain. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: jiska Mai Maula
Hun to Ali uska Maula hai. Ay Allah Tu us se dushmani rakh jo Ali se dushmani
rakhta hai aur usko Dost bana jo Ali ko Dost banata hai."
Is Hadees ko Shaashi ne riwayat kiya hai.
52. "Hazrat Yazid bin Amr bin Mauraq riwayat karte hain ke ek mauqa par mai
Shaam me tha jab Hazrat Umar bin Abdul Aziz RadiAllahu Anhu logo ko
nawaaz rahe they. Pas mai unke paas aaya, unhone mujse pucha ke aap kis
qabile se hain? Maine kaha: Quraish se. Unhone pucha ke quraish ki kis
(shaakh) se? Maine kaha: Bani Hashim se. Unhone pucha ke Bani Hashim ke
kis (khandan) se? Raawi kehte hain ke mai khamosh raha. Unhone (fir) pucha
ke Bani Hashim ke kis (Khandan) se? Maine kaha: Maula Ali (ke Khandan se).
Unhone pucha ke: Ali Kaun hai? Mai khamosh raha. Raawi kehte hain Unhone
Mere seene par haath rakha aur kaha: "Ba-Khuda mai Ali Ibne Abi Talib ka
gulaam hun." Aur fir kaha ke Muhje bay shumaar logo ne bayan kiya hai ke
unhone Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko ye
farmate hue suna: "Jiska Mai Maula Hun uska Ali Maula Hai." Fir Mazahim se pucha ke is qabile ke logo ko kitna derahe ho? To usne jawab diya: 100 ya 200
dirham. Is par unhone kaha: "Ali Ibne Abi Talib RadiAllahu Anhuma ki Qarabat
ki wajah se Usey 50 Dinaar de do, aur Ibne Abi Daud ki riwayat ke mutabiq 60
Dinaar dene ki hidayat ki, aur (unse mukhatib hokar) farmaya: Aap Apne
shehar tashreef lejaayen, Aapke paas Aapke Qabile ke logon ke barabar hissa
pahunch jaega."
Is Hadees ko Abu Nuaim ne riwayat kiya hai.
53. "Hazrat Saad bin Abi Waqqas RadiAllahu Anhu farmate hain ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali Alaihissalam
ki 3 Khaslaten aisi batayi hain ke agar mai unme se ek ka bhi haamil hota to
wo mujhe surkh unton se zyada mehboob hoti. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ne ek mauqa par irshad farmaya: "Ali Mere liye Usi tarah hai jaise
Haroon Alaihissalam Musa Alaihissalam keliye they, (Wo Nabi they) magar
Mere baad koi Nabi nahi." Aur farmaya: "Mai aaj Us Shakhs ko Alam ata
karunga Jo Allah aur Uske Rasool se Muhabbat karta hai aur Allah aur Uska
Rasool Us Se Muhabbat karte hain." (Raawi kehte hain ke) Maine Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko (us mauqa par) ye
farmate hue bhi suna: "Jiska Mai Maula Hun uska Ali Maula hai."
Is Hadees ko Imam Nasai aur Shaashi ne riwayat kiya hai.54. "Hazrat Ali RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Maqam-e-Khum par ek darakht ke niche
Khade hue aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali
RadiAllahu Anhu ka Haath pakda hua tha. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne irshad farmaya: "Ay logo! Kya tum gawahi nahi dete ke Allah
tumhara Rab hai?" Unhone kaha: Kyon nahi! Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ne irshad farmaya: "Kya tum gawahi nahi dete ke Allah aur Uska
Rasool tumhari jaano se bhi kareebtar hain?" Unhone kaha: Kyon nahi! Fir Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: jiska Mai Maula Hun uska Ye
(Ali) Maula Hai."
Is Hadees ko Ibne Abi Aasim, Ibne Asakir aur Hisamuddin Hindi ne riwayat kiya
hai.
55. "(Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:)
Aagah raho! Beshak Allah Mera Wali Hai aur Mai har momin ka Wali Hun, pas
jiska Mai Maula Hun uska Ali Maula Hai."
Is Hadees ko Hisamuddin Hindi ne riwayat kiya hai.56. "Amr ibne Zee Murri, Saeed bin Wahab aur Zaid bin Yasee'a se riwayat hai
ke hamne Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ko ye kehte hue suna ke Mai har us
aadmi se halfan puchta hun jisne Gadeer-e-Khum ke din Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko ye farmate hue suna ho, is par 13
Aadmi khade hue aur unhone gawahi di ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: "Kya Mai momineen ke jaano se
kareebtar nahi hun? " Sabne jawab diya: Kyon nahi, Ya RasoolAllah! Rawi
kehta hai: Tab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali
Alaihissalm ka Haath pakda aur farmaya: "Jiska Mai Maula Hun uska Ali Maula
hai, Ay Allah! jo Isey Dost rakhe Tu usey Dost rakh, jo Is (Ali) se adawat rakhe
Tu us se adawat rakh, jo Is (Ali) se Muhabbat kare Tu us se Muhabbat kar, jo
Is (Ali) se bugz rakhe Tu us se bugz rakh, jo Is (Ali) ki nusrat kare Tu uski nusrat
farma aur jo Isey ruswa (karne ki koshish) kare Tu usey ruswa kar."
Isko Bazzar ne riwayat kiya hai.
57. "Abdur Rehman bin Abi Laila se riwayat hai ke Hazrat Ali RadiAllahu Anhu
ne logon se khitab kiya aur farmaya: Mai us aadmi ko Allah aur Islam ki Qasam
deta hun, jisne Rasool-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko
Gadeer-e-Khum ke din Mera Haath Pakde hue ye farmate suna ho: "Ay
Musalmano! Kya Mai tumhari jaano se kareebtar nahi hun?" Sabne jawab diya: Kyon nahi, Ya RasoolAllah. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne
farmaya: "Jiska Mai Maula Hun uska Ali Maula Hai, Ay Allah! Jo Isey Dost rakhe
Tu usey Dost rakh, jo Is (Ali) se adawat rakhe Tu us se adawat rakh, jo iski
madat kare Tu uski madat farma, jo Iski ruswaayi chahe Tu usey ruswa kar?"
Is par 13 se jaaed Afrad ne khade hokar gawahi di aur jin logo ne ye baate
chupayi wo duniya me andhe hokar ya bars ki haalat me mar gaye."
Isko Hisamuddin Hindi ne riwayat kiya hai.
5. HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU
ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KA FARMAN:
MERE BAAD ALI HAR MOMIN KA WALI HAI
58. "Hazrat Imran ibne Huswayn RadiAllahu Anhu ek taweel riwayat me bayan
karte hain ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne
farmaya: Beshak Ali Mujhse hai aur Mai Us se Hun aur Mere baad Wo har
musalman ka Wali hai."
Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kahake ye Hadees Hasan
hai.59. "Hazrat Amr ibne Maimuna RadiAllahu Anhu Hazrat Abdullah ibne Abbas
RadiAllahu Anhuma se ek taweel Hadees me riwayat karte hain ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Apne Chacha ke Beton
se kaha: Tum me se kaun duniya wa aakhirat me Mere saath dosti karega?
Raawi bayan karte hain ke Hazrat Ali RadiAllahu Anhu us waqt Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke saath baithe hue they. Unhone inkar kardiya to
Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne kaha ke Mai Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ke saath duniya wa aakhirat me dosti karunga, is par Huzoor Nabi-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya ke Ay Ali Tu duniya
wa aakhirat me Mera Dost hai. Raawi bayan karte hain ke Huzoor Nabi-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Aap RadiAllahu Anhu se aage
unme se ek aur aadmi ki taraf badhe aur farmaya: Tum me duniya wa aakhirat
me Mere saath kaun dosti karega? To unhone ne bhi inkar kardiya. Raawi
bayan karte hain ke ispar fir Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne kaha: Ya
RasoolAllah! Mai Aapke saath duniya wa aakhirat me dosti karunga, to Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ay Ali! Tu
duniya wa Aakhirat me Mera Dost hai."
Is Hadees ko Imam Ahmed ne riwayat kiya hai.
60. "Hazrat Amr ibne Maimuna RadiAllahu Anhu Hazrat Abdullah ibne Abbas
RadiAllahu Anhuma se ek taweel Hadees me riwayat karte hain ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ay Ali! Tu
Mere baad har Momin ke liye Mera Wali hai."
Is Hadees ko Imam Ahmed ne riwayat kiya hai.61. "Hazrat Ibne Buraida RadiAllahu Anhu apne waalid se riwayat karte hain
ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa sallam ne farmaya:
Jiska Mai Wali hun, uska Ali Wali hai."
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal ne aur Tabrani ne "al-Mujam al-Kabir"
aur "al-Mujam al-Awsat" me riwayat kiya hai.
62. "Hazrat Abdullah ibne Buraida Aslami bayan karte hain ke Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: "Jiska Mai Wali Hun tehqeeq uska Ali
Wali hai."
Unhi se ek aur riwayat me hai (ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne farmaya:) "Jiska Mai Wali hun uska Ali Wali hai."
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal, Hakim, Abdur-Razzaq aur Ibne Abi
Shaiba ne riwayat kiya hai.63. "Hazrat Ammar bin Yasir RadiAllahu Ansu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-
e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Jo Mujhpar Imaan
laaya aur Meri Tasdeeq ki usey Mai Wilayat-e-Ali ki Wasiyat karta hun, jisne
Usey Wali jaan usne Mujhe Wali jaana aur jisne Mujhe Wali jaana usne Allah
ko Wali jaana, aur jisne Ali (KarramAllahu Wajhahul Kareem) se Muhabbat ki
usne Mujhse Muhabbat ki, aur jisne Mujhse Muhabbat ki usne Allah se
Muhabbat ki, aur jisne Ali (KarramAllahu Wajhahul Kareem) se bugz rakha
usne Mujhse bugz rakha, aur jisne Mujhse bugz rakha usne Allah se bugz
rakha."
Is Hadees ko Haysami ne Majma uz Zawaid me riwayat kiya hai.
64. "Hazrat Ibne Buraida Apne Walid se ek taweel riwayat me byan karte hain
ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:Unlogo ka kya hoga jo Ali ki Shaan me gustakhi karte hain! (Jaan lo) jo Ali ki
gustakhi karta hai wo Meri gustakhi karta hai aur jo Ali se juda hua wo Mujhse
juda hogaya. Beshak Ali Mujhse hai aur Mai Ali se hun, Uski Takhleeq Meri
Mitti se hui hai aur Meri Takhleeq Ibrahim ki Mitti se, aur Mai Ibrahim se Afzal
Hun. Hum me se baaz, baaz ki aulad hain, Allah Ta'ala ye saari baate Sunne
aur Jaan ne Wala hai.-----Wo Mere baad tum sabka Wali hai. (Buraida bayan
karte hain ke) Maine kaha: Ya RasoolAllah! Kuch waqt inayat farmaen aur
Apna Haath badhaaen, Mai Tajdeed-e-Islam ki Baiyat karna chahta hun, (aur)
Mai Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se juda na hua yahan tak ke
maine Islam par (dobara) baiyat karli."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne Mujam al Awsat me riwayat kiya hai.
6. FARMAN-E-SIDDIQ-E-AKBAR WA
FAROOQ-E-EAAZAM RADIALLAHU AHNUMA:
ALI RADIALLAHU ANHU MERE AUR TAMAM
MOMINEEN KE MAULA HAIN
65. " Hazrat Bara bin Aazib RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke hum Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke saath safar par they,
(raaste me) humne Waadi-e-Gadeer-e-Khum me qayaam kiya. Wahan Namaz
keliye Azaan di gayi aur Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam keliye darakhton ke niche safayi ki gayi, pas Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne Namaz-e-Zohar ada ki aur Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ka
Haath pakadkar famaya: Kya tumhe maalum nahi ke Mai kul momino ki jaano
se bhi kareebtar hun? Unhone arz kiya:Kyun nahi! Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne farmaya: Kya tumhe maalum nahi ke Mai har momin ki
jaano se bhi kareebtar hun? Unhone arz kiya:Kyun nahi! Raawi kehta hai ke
fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ka
Haath pakadkar farmaya: "Jiska Mai Maula Hun uska Ali Maula hai. Ay Allah!
usey Tu Dost rakh jo Isey (Ali ko) Dost rakhe aur us se adawat rakh jo Is se
adawat rakhe." Raawi kehta hai ke iske baad Hazrat Umar RadiAllahu Anhu ne
Hazrat Ali RadiAllahu Anhu se mulaqat ki aur Unse kaha: "Ay Ibne Abi Talib!
Mubarak ho, Aap subh wa shaam (yaani hamesha keliye) har momin aur
momina ke Maula ban gaye hain."
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal aur Ibne Abi Shaiba ne riwayat kiya hai.66. "Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jisne 18 Zil Hijja ko
Roza rakha uske liye 60 mahino ke rozo ka sawaab likha jaega, aur ye Gadeer-
e-Khum ka din tha jab Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne Hazrat Ali Alaihissalam ka Haath pakadkar farmaya: Kya Mai
momino ka Wali nahi hun? Unhone arz kiya: Kyon nahi, Ya RasoolAllah! Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallamne farmaya: Jiska Mai Maula Hun uska Ali
Maula Hai. Is par Hazrat Umar ibne Khattab RadiAllahu Anhu ne farmaya:
Mubarak ho! Ay Ibne Abi Talib! Aap Mere aur har musalman ke Maula tehre.
(Is mauqa par) Allah Ta'ala ne ye Aayat Naazil farmayi:
"Aaj Maine Tumhare Liye Tumhara Deen Mukammal Kardiya."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne Mujam al Awsat me riwayat kiya hai.
67. "Hazrat Umar RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke ek aadmi ne Aapke saath
kisi muamle me jhagda kiya to Aap RadiAllahu Anhu ne farmaya ke Mere aur
tere darmiyan Ye Baitha hua Aadmi faisla karega.....aur Hazrat Ali Alaihissalam
ki taraf ishara kiya.....to us aadmi ne kaha: ye bade pet waala (hamare
darmiyan faisla karega)! Hazrat Umar RadiAllahu Anhu Apni jagah se uthe,
usey girebaan se pakda yahan tak ke usey zameen se upar utha liya, fir
farmaya: Kya tu jaanta hai ke Jisey tu haqeer gardaanta hai Wo Mere aur
tamam Musalmano ke Maula hain."
Isey Muhiyuddin Tabari ne riwayat kiya hai.68. "Hazrat Umar RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Unke paas 2 baddu
jhagda karte hue aaye. Aap RadiAllahu Anhu Hazrat Ali Alaihissalam se
farmaya: Ay Abul Hasan! In dono ke darmiyan faisla farma den. Aap
Alaihissalam ne unke darmiyan faisla kar diya. Unme se ek ne kaha (kya) Yahi
hamare darmiyaan faisla karne ke liye rehgaya hai? (Is par) Hazrat Umar
RadiAllahu Anhu uski taraf badhe aur uska girebaan pahadkar farmaya: Tu
halaaq ho! Kya tu jaanta hai ke Ye kaun hain? Ye Mere aur har momin ke
Maula hain (aur) jo Inko apna Maula na maane wo momin nahi."
Isey Muhiyuddin Tabari ne riwayat kiya hai.
69. "Hazrat Umar RadiAllahu Anhu ne farmaya: Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam jiske Maula hain, Ali RadiAllahu Anhu
uske Maula hain."
Isey Muhiyuddin Tabari ne riwayat kiya hai.70. "Hazart Saalim RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Hazrat Umar RadiAllahu
Anhu se sawal kiya gaya: (Kya wajah hai ke) Aap Hazrat Ali RadiAllahu Anhu
ke saath aisa (imtiyaazi) bartaaw karte hain jo Aap digar Sahaba-e-Kiraam
RadiAllahu Anhum se (umuman) nahi karte? (Ispar) Hazrat Umar RadiAllahu
Anhu ne (jawaban) farmaya: Wo (Ali) to Mere Maula (Aaqa) hain."
Isey Muhiyuddin Tabari ne riwayat kiya hai.
71. "Hazrat Sa'ad RadiAllahu Anhu bayan karte hain jab Hazrat Abu Bakr
Siddiq aur Hazrat Umar ibne Khattab RadiAllahu Anhuma ne Hadees-e
Wilayat suni to Hazrat Ali Alaihissalam se kehne lage:Ay Ibne Abi Talib! Aap
har Momin aur Momina ke Maula ban gaye hain."
Isey Manawi ne riwayat kiya hai. 
7. FARMAN-E-MUSTAFA SALLALLAHU ALAIHI
WA AALIHI WA SALLAM: ALI MUJHSE HAI
AUR MAI ALI SE HUN
72. "Hazrat Hubshi bin Junada RadiAllahu Anhu se riwayat hai wo kehte hain
ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya ke
Ali (KarramAllahu Wajhahul Kareem) Mujhse hai aur Mai Ali (KarramAllahu
Wajhahul Kareem) se Hun aur Meri taraf se (ahad wa nakaj me) Mere aur Ali
(KarramAllahu Wajhahul Kareem) ke siwa koi dusra (zimmedari) ada nahi
karsakta."
Isko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur wo kehte hain ke ye Hadees Hasan
Sahih hai.73. "Hazrat Abdullah ibne Umar RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke jab
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Ansar wa
Muhajareen ke darmiyan akhoot qaayam ki to Hazrat Ali RadiAllahu Anhu
rotey hue aaye aur arz kiya: Ya RasoolAllah! Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne Sahaba-e-Kiraam me bhai chaara qaayam farmaya lekin Mujhe
kisika bhai nahi banaya. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
Tum duniya wa Aakhirat me Mere Bhai ho."
Isey Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kaha: Ye Hadees Hasan hai aur isi
baab me Hazrat Zaid bin Abi Oufi RadiAllahu Anhu se bhi riwayat hai.
74. "Hazrat Hubshi bin Junada RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke maine
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue
suna ke Ali Mujhse hai aur Mai Ali se hun aur Mera qarz Meri taraf se siwaye
Ali ke koi nahi ada karsakta."
Is Hadees ko Ibne Majjah se riwayat kiya hai.75. "Hazrat Hubshi bin Junada RadiAllahu Anhu se riwayat hai aur Aap Hijjatul
Wida waale Din wahan maujood they ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya ke Ali Mujhse aur Mai Ali se Hun aur
Mera qarz Meri taraf se siwaye Mere aur Ali ke koi nahi ada karsakta."
Isko Imam Ahmed ne riwayat kiya hai.
76. "Hazrat Usama RadiAllahu Anhu apne Waalid se riwayat karte hain ke
Hazrat Jafar aur Hazrat Ali aur Hazrat Zaid bin Haarisa RadiAllahu Anhum ek
din ikatte hue to Hazrat Jafar RadiAllahu Anhu ne farmaya ke Mai Tumse
zyada Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Mehboob
hun, aur Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne farmaya ke Mai Tum sabse zyada
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Mehboob hun,
aur Hazrat Zaid RadiAllahu Anhu ne farmaya ke Mai Tumse zyada Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Pyara hun, fir unhone
kaha chalo Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki
Khidmat-e-Aqdas me chalte hain aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
se puchte hain ke Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko sabse zyada
Pyara kaun hai? Usama bin Zaid kehte hain pas wo teeno Huzoor Nabi-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se ijazat talab karne ke liye haazir
hue to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Dekho kaun
hain? Maine arz kiya Jafar, Ali aur Zaid bin Haarisa hain. Aap SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Unko ijazat do. Fir wo daakhil hue aur kehne
lage Ya RasoolAllah! Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko sabse zyada Mehboob kaun hai? Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
Fatima. Unhone kaha Ya RasoolAllah! Humne mardon ke baareme arz kiya hai
to Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ay
Jafar! Tumhari Khilqat Meri Khilqat se mushabah hai aur Mere Khulq Tumhare
Khulq se Mushabah hain aur Tu Mujhse aur Mere Shajra-e-Nasab se hai. Ay
Ali Tu Mera Daamad aur Mere 2 Beton ka Baap hai aur Mai Tukhse hun aur
Tu Mujhse hai, aur Ay Zaid Tu Mera Gulaam aur Mujhse aur Meri taraf se hai
aur tamam qaum se Tu Mujhe pasandida hai."
Is Hadees ko Imam Ahmed aur Hakim ne riwayat kiya hai. Imam Hakim kehte
hain ke Ye Hadees Imam Muslim ki Sharait par Sahih hai.
77. "Hazrat Amr ibne Maimuna RadiAllahu Anhu Hazrat Abdullah ibne Abbas
RadiAllahu Anhuma se ek taweel Hadees me riwayat karte hain ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne kisiko surah Tauba
dekar bheja fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali
RadiAllahu Anhu ko uske piche bheja pas Unhone wo Surat us se le li. Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Is Surat ko
siwaye us aadmi ke Mujh me se hai aur Mai us me se hun koi aur nahi leja
sakta."
Is Hadees ko Imam Ahmed ne riwayat kiya hai.
8. ALI AL-MURTAZA RADIALLAHU ANHU
HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU
ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KELIYE AISE
HAIN JAISE HAZRAT HAROON ALAIHISSALAM
HAZRAT MUSA ALAIHISSALAM KE LIYE
78. "Hazrat Saad ibne Abi Waqqas RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Gazwa-e
Tabook ke mauqe par Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ko Madina me chod diya,
Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne arz kiya: Ya RasoolAllah! Kya Aap Mujhe
auraton aur bachon me piche chodkar jaarahe hain? Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne farmaya: Kya Tum is baat par raazi nahi ke Mere saath
Tumhari wahi nisbat ho Hazrat Haroon Alaihissalam ki Hazrat Musa
Alaihissalam sethi albatta Mere baad koi Nabi nahi hoga."
Ye Hadees Muttafaq Alaih hai.79. "Hazrat Saad ibne Abi Waqqas RadiAllahu Anhu farmate hain ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali
(Alaihissalam) se farmaya: Kya Tum is baat par raazi nahi ke Mere saath
Tumhari wahi nisbat ho jo Hazrat Haroon Alaihissalam ko Hazrat Musa
Alaihissalam se thi."
Is Hadees ko Imam Bukhari ne riwayat kiya hai.
80. "Hazrat Saad RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali (KarramAllahu Wajhahul
Kareem) se farmaya: Kya Tum ispar raazi nahi ho ke Tum Mere liye aise ho
jaise Musa Alaihissalam keliye Haroon Alaihissalam."
Is Hadees ko Imam Muslim ne riwayat kiya hai.81. "Hazrat Saad bin Abi Waqqas RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali RadiAllahu
Anhu se farmaya: Tum Mere liye aise ho jaise Hazrat Musa Alaihissalam keliye
Hazrat Haroon Alaihissalam they, magar bila shubha Mere baad koi Nabi nahi
hai. Raawi kehte hain ke mai chahta tha ke mai Hazrat Saad RadiAllahu Anhu
se ye Hadees bil mushafaha sun lun. Pas meri Hazrat Saad RadiAllahu Anhu se
mulaqat hui to maine Unko Aamir bin Saad RadiAllahu Anhu ki ye riwayat
sunayi. Unhone kaha Maine is Hadees ko khud suna hai, maine arz kiya: kya
Aapne khud suna hai? Unhone Apni Ungliyan Kaano par rakhin aur kaha agar
Maine khud na suna ho to Mer dono kaan behre hojayen."
Is Hadees ko Imam Muslim, Tirmizi aur Ibne Majjah ne riwayat kiya hai.
82. "Hazrat Saad bin Abi Waqqas RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke maine
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue
suna jab Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne baaz magazi me Hazrat
Ali RadiAllahu Anhu ko piche chod diya, Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne arz kiya: Ya RasoolAllah! Kya Aapne Mujhe aurton aur bachhon me piche chod diya
hai? To Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat
Ali RadiAllahu Anhu se farmaya: Kya Tum is baat par raazi nahi ho ke Tum
Mere liye aise ho jaise Musa Alaihissalam keliye Haroon Alaihissalam they,
albatta Mere baad koi Nabi nahi hoga. Aur Gazwa-e-Khaybar ke din Maine
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se ye suna ke Kal Mai Us Shakhs ko
Jhanda dunga jo Allah aur Uske Rasool se Muhabbat karta hai, aur Allah aur
Uska Rasool Us se Muhabbat karte hain. So hum sab us sa'aadat ke husool ke
intezar me they, Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ali ko
Mere paas layen. Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ko laaya gaya, us waqt Aap
RadiAllahu Anhu aashob chasm me mubtala they, Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne Unki Aankhon me Luaab-e-Dahan daala aur Unhe jhanda
ata kiya, Allah Ta'ala ne Unke Haath par Khaybar fatah kardiya. Aur jab ye
Aayat nazil hui: {Aap Farma Dijiye Aawo Hum Apne Beton Ko Bulayen Aur Tum
Apne Beton Ko Bulao} To Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne Hazrat Ali, Sayyeda Fatima, Hazrat Hasan aur Hazrat Hussain (Alaihi
muswalatu was-Salaam) ko bulaya aur kaha: Ay Allah! Ye Mera Kumba hai."
Is Hadees ko Imam Muslim ne riwayat kiya hai.
83. "Hazrat Jabir ibne Abdullah RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali RadiAllahu
Anhu se farmaya: Tum Mere liye wahi Haysiyat rakhte ho jo Haroon
Alaihissalam ki Musa Alaihissslam ke nazdik thi. (Fark ye hai ke Wo Dono Nabi
they) Magar bila shubha Mere baad koi Nabi nahi."
Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya aur kaha Ye Hadees Hasan hai.84. "Hazrat Amr ibne Maimuna RadiAllahu Anhu Hazrat Abdullah ibne Abbas
RadiAllahu Anhuma se ek taweel Hadees me riwayat karte hain ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam logon ke saath Gazwa-e
Tabook keliye nikaley to Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se arz kiya: Kya Mai bhi Aap SallAllahu
Alaika wa Sallam ke saath chalun? To Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ne farmaya Nahi. Ispar Hazrat Ali KarramAllahu
Wajahahul Kareem Ro pade to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne
farmaya: Kya Tu is baat par raazi nahi ke Tu Mere liye aise hai jaise Haroon
Alaihissalam Musa Alaihissalam ke liye they? Magar ye ke Tu Nabi nahi. Tujhe
Mera Naaib banaye bagair Mera kooch karna munasib nahi."
Is Hadess ko Imam ahmed ne riwayat kiya hai.
9. ALI AL-MURTAZA (KARRAMALLAHU
WAJHAHUL KAREEM) KA HUZOOR NABI-E
AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA
SALLAM KI BARGAH ME QURB AUR
MAQAAM WA MARTABA
85. "Hazrat Abdullah ibne Amr ibne Hind Jamali kehte hain ke Hazrat Ali
RadiAllahu Anhu ne farmaya: Agar Mai Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ki Bargah se koi cheez mangta to Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam Mujhe ata farmate aur agar khamosh rehta to bhi pehle
Mujhe he dete."
Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya aur farmaya: ye Hadees Hasan hai.86. "Hazrat Jabir Ibne Abdullah RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Gazwa-e-Taif ke mauqe
par Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ko bulaya aur Unse Sargoshi ki, log kehne lage
aaj Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Apne Chachazaad Bhai ke
saath kaafi der tak Sargoshi ki. Pas Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
ne farmaya: Maine nahi ki balke Allah ne Khud Unse sargoshi ki hai."
Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kaha ye Hadees Hasan hai.
"Is Qaul ka maani ke "Balke Allah ne Unse Sargoshi ki" ye hai ke Allah Ta'ala
ne Mujhe Hukm diya ke Unke Kaan me kuch kahun."
87. "Hazrat Abu Saeed RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ay Ali! Mere aur
Tumhare alawa kisi ke liye jaayez nahi ke haalat-e-janabat me is masjid me
rahe.
Ali ibne Manzari kehte hain ke maine Jaraar ibne Surad se iske ma'aani puche
to unhone farmaya: Is se muraad Masjid ko bator raasta istemal karna hai.
Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya aur kaha Ye Hadees Hasan Hai.88. "Hazrat Umme Atiyah RadiAllahu Anha farmati hain ke Huzoor Nabi-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne ek lashkar bheja usme Hazrat
Ali RadiAllahu Anhu bhi they, Maine Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ko dekha ke Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
Haath uthakar Dua kar rahe they ke Ya Allah Mujhe is waqt tak Maut na dena
jab tak Mai Ali ko (ba-khair wa aafiyat) na dekh lun."
Is Hadees ko Imam Tirmizi ne bayan kiya hai aur kaha Ye Hadees Hasan hai.
89. "Hazrat Ali RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Allah Ta'ala Abu bakr par
Reham farmaye Usne Apni Beti Mere Nikaah di aur Mujhe Daarul Hijrat lekar
Aaye aur Bilal ko bhi Unhone Apne Maal se aazad karaya. Allah Ta'ala Umar
par Reham farmaye Ye hamesha Haq baat karte hain agarche wo kadwi ho isiliye
wo is haal me hain ke Unka koi dost nahi. Allah Ta'ala Usman par Reham
farmaye. Us se Farishte bhi haya karte hain. Allah Ta'ala Ali par Reham
farmaye. Ay Allah ye jahan kahi bhi ho Haq Iske saath rahe."
Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai.
90. "Hazrat Hanash RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Hazrat Ali RadiAllahu
Anhu ko 2 mendon ki Qurbani karte hue dekha to maine Unse pucha ye kya
hai? Unhone jawab diya ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ne Mujhe Wasiyat farmayi hai ke Mai Unki taraf se bhi Qurbani
karun lihaza Mai Unki taraf se Qurbani karta hun."
Is Hadees ko Imam Abu Dawud ne riwayat kiya hai.91. "Hazrat Abdullah ibne Nujaiyy RadiAllahu Anhu farmate hain ke Hazrat Ali
RadiAllahu Anhu ne farmaya ke Mai din raat me 2 dafa Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Bargah me Haazir hota. Jab Mai Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Khidmat-e-Aqdas me raat ke waqt
haazir hota (aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Namaz ada farma
rahe hote) to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Mujhe ijazat inayat
farmane ke liye Khaanste."
Is Hadees ko Imam Nasai aur Ibne Majjah ne riwayat kiya hai.
92. "Hazrat Umme Salma RadiAllahu Anha se riwayat hai ke Beshak Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam jab naarazgi ke aalam me
hote to Hum me se Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke saath siwaye
Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ke kisiko Kalaam karne ki ijazat nahi hoti thi."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne "al-Mujam al-Kabir" me aur Imam Hakim ne
Mustadrak me riwayat kiya hai aur kaha Ye Hadees Sahih ul Isnad hai."93. "Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jab Huzoor Nabi-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali KarramAllahu
Wajhahu se farmaya: Tum is par Raazi nahi ke Tu Mera Bhai aur Mai Tera Bhai
Hun."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne "al-Mujam al-Kabir" me riwayat kiya hai.
94. "Hazrat Abdullah ibne Nujaiyy RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Hazrat
Ali RadiAllahu Anhu ne farmaya: Sehri ke waqt ek sa'at aisi thi ke jisme Mujhe
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Bargah me
Haazir hona nasib hota. Pas agar Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
Namaz padhne keliye Khade hote to Mujhe batane keliye Tasbeeh farmate
pas ye Mere liye ijazat hoti aur agar Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
Namaz na padh rahe hote to Mujhe ijazat inayat farma dete."
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya hai.95. "Hazrat Abdullah ibne Nujaiyy al-Hazrami RadiAllahu Anhu Apne Walid se
ek taweel riwayat me bayan karte hain ke Mujhe Hazrat Ali RadiAllahu Anhu
ne farmaya: Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki
Bargah me Mera ek khaas Maqaam wa Martaba tha jo Makhlooqat me se kisi
aur ka nahi tha."
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya hai.
96. "Hazrat Jabir ibne Abdullah RadiAllahu Anhuma riwayat karte hain ke hum
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke saath ek Ansari
Aurat ke Gharme they jisne Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam keliye Khana tayyar kiya tha. Pas Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Abhi tumhare paas ek Jannati Aadmi
aayega pas Abu Bakr Siddiq daakhil hue to humne Unhe Mubarakbaad di fir
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Tumhare paas ek
Jannati Aadmi aayega pas Hazrat Umar RadiAllahu Anhu daakhil hue to
humne Unhe Mubarakbaad di. Fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
ne farmaya: Tumhare paas ek Jannati Aadmi aayega. Raawi bayan karte hain:
Maine dekha ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
Apna Sar-e-Anwar Choti Khajoor ki shakhon me se nikaaley hue farma rahe
they Ay Allah agar Tu Chahta hai to us aane waale ko Ali banade, fir Hazrat Ali
RadiAllahu Anhu daakhil hue to humne Unhe Mubarakbaad di."
Is Hadees ko Imam Ahmed ne riwayat kiya hai.97. "Hazrat Umme Salma RadiAllahu Anha bayan Karti hain Us Zaat ki Qasam
JIska Mai Halaf uthati hun Hazrat Ali RadiAllahu Anhu logo me Huzoor Nabi-
e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke saath ahad ke aitbaar se
sabse zyada kareeb they. Wo bayan karti hain ke Humne aaye roz Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Iyadat ki, Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam farmate ke Ali (Meri Iyadat keliye) bahor martaba
aaya hai. Aap RadiAllahu Anha bayan karti hain: Mera khayal hai ke Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ko kisi
zaruri kaam se bheja tha. Aap RadiAllahu Anha farmati hain: Iske baad Hazrat
Ali RadiAllahu Anhu tashreef laaye to maine samjha aapko shayad Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke saath koi kaam hoga
pas Hum baahar aagaye aur darwaze ke kareeb baith gaye aur Mai unse zyada
darwaze ke kareeb thi pas Hazrat Ali RadiAllahu Anhu Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par jhuk gaye aur Aap SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam sargoshi karne lage fir us din ke baad Huzoor Nabi-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Wisaal farma gaye, pas Hazrat Ali
RadiAllahu Anhu sab logo se zyada Ahad ke aitbaar se Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke kareeb they."
Is Hadees ko Imam Ahmed ne riwayat kiya hai.
98. "Hazrat Ali RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke jab Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hijrat ki garaz se Madina ki taraf rawana hue to Mujhe Hukm diya ke Mai abhi Makka me he ruku taake Mai logo ki
amanaten jo Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke
paas thin wo unhe lota dun. Isiliye Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ko Amin ke laqab se yaad kiya jata tha pas Maine 3 din Makka
me qayaam kiya, Mai Makka me logo ke saamne raha. Ek din bhi nhi chupa.
Fir Mai wahan se nikla aur Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ke piche chala yahan tak ke Banu Amr bin Aouf ke haan pahuncha to
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam wahan muqeem
they. Pas Mai Kulsum bin Hidam ke haan Mehman tehra aur Mai Huzoor Nabi-
e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ka Qayaam tha."
Is Hadees ko Ibne Saad ne "at Tabkatul Kubra" me riwayat kiya hai.
99. "Hazrat Jafar ibne Muhammad al-Baaqir Alaihi-mussalam Apne Waalid se
riwayat karte hain ke Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne farmaya: Ke Humne ek
raat bagair shaam ke khaane ke guzari pas Mai subah ke waqt Gharse nikal
gaya fir Mai Fatima (Alaihassalam) ki taraf lauta to Wo bahot zyada pareshan
Thin, Maine kaha Ay Fatima kya baat hai? To Usne kaha ke Humne gujista raat
khana nahi khaya aur aaj dopahar ka khana bhi nahi khaya aur aaj fir raat ke
khane keliye kuch nahi hai. Pas Mai baahar nikla aur khaane ke liye koi chiz
talash karne laga pas Maine wo chiz paa li jis se Mai kuch ta'aam aur ek dirham
ke badle gosht kharid sakun fir Mai ye chiz lekar Fatima ke paas aaya, Usne
aata gundha aur khana pakaya aur jab haandiyan pakane se faarig Hogayi to
Kehne lagi agar Aap Mere Waalid-e-Maajid ko bhi bula laayen? Pas Mai gaya
to Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Masjid me letey
hue they aur farma rahe they ke Ay Allah! Mai bhuke letne se panah mangta
hun. Fir Maine arz kiya Ya RasoolAllah! Mere Maa Baap Aap par Qurban hon
Hamare paas khana maujood hai Aap Tashreef Laaiye. Aap SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam Mera sahara lekar uthe aur Hum Gharme daakhil hogaye.
Us waqt haandiya ubal rahi thin. Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne Hazrat Fatima Salamullahi Alaiha se farmaya: Ay Fatima! Aaisha keliye kuch saalan rakhlo. Pas Fatima ne ek plate me Unke liye saalan
nikaal diya. Fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Hafsa
keliye bhi kuch saalan nikaal lo pas Unhone ek plate me Unke liye bhi saalan
rakh diya yahan tak Unhone Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki 9
Azwaaj keliye saalan rakh diya fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne
farmaya: Apne Waalid aur Khaawind keliye Saalan nikaalo pas Unhone nikaala
fir farmaya: Apne liye saalan nikaalo aur Khaao. Unhone aisa he kiya fir
Unhone haandiya ko uthakar dekha to wo bhari hui thi pas Humne usme se
khaya jitna Allah ne Chaha." (SubhanAllah)
Is Hadees ko Ibne Saad ne "at Tabkatul Kubra" me bayan kiya hai. 
10. LOGO ME ALLAH AUR USKE RASOOL
SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM
KE SABSE ZYADA MEHBOOB
100. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke ek martaba
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke paas ek parinde
ka gosht tha, Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne dua ki: Ya Allah!
Apni makhlooq me Mehboob tareen Shakhs Mere pas bhej taake Wo Mere
saath is parinde ka gosht khaaye. Chunanche Hazrat Ali RadiAllahu Anhu aaye
aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke saath wo gosht tanawul kiya.:"
Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai.
101. "Hazrat Buraida RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Auraton me sabse zyada Mehboob
Apni Sahabzaadi Hazrat Fatima RadiAllahu Anha Thin aur Mardon me se sabse
zyada Mehboob Hazrat Ali RadiAllahu Anhu they."
Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kaha ye Hadees Hasan hai.
102. "Hazrat Jumaiyy bin Umair at-Tamimi RadiAllahu Anhu se riwayat hai,
Unhone ne kaha ke mai apni khala ke saath Hazrat Aaisha RadiAllahu Anha ki
Khidmat me hazir hua fir maine Unse pucha logo me kaun Huzoor Nabi-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko sabse zyada Mehboob they?
Unhone farmaya: Hazrat Fatima RadiAllahu Anha. Fir arz kiya gaya: Aur
Mardon me se kaun sabse zyada mehboob tha? Farmaya: Unke Shohar,
agarche Mujhe Unka zyada roze rakhna aur zyada qayaam karna maalum
nahi."
Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kaha Ye Hadees Hasan hai.
103. "Hazrat Jumaiyy ibne Umair RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Mai Apni
Walida ke humraah Sayyeda Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha ke paas haazir
hua, maine parde ke piche se aawaz suni Ummul Momineen Meri walida se
Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ke mutalliq puch rahi thin. Unhone farmaya: Aap
mujhse Us Shakhs ke baareme puch rahi hain Ba-Khuda Mere ilm me Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Bargah me koi shakhs Hazrat Ali (KarramAllahu Wajhahu) se zyada Mehboob na tha aur na ru-e
zameen par Unki Biwi (Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Ki Sahabzaadi
Fatima tuz-Zahra Salamullahi Alaiha) se badhkar koi aurat Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Bargah me Mehboob thi."
Is Hadees ko Imam Hakim ne riwayat kiya hai aur kaha Ye Hadees Sahih ul
Isnaad hai.
104. "Hazrat Anas RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke mai Huzoor Nabi-e
AkramSallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Khidmat kiya karta tha. Pas Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Khidmat me ek bhuna hua parinda
pesh kiya gaya. Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne
farmaya: Ay Allah! Mere paas Usey bhej jo makhlooq me Tujhe sabse zyada
Mehboob hai. Hazrat Anas RadiAllahu Anhu kehte hain ke maine dua ki Ya
Allah! Kisi Ansari ko is da ka musdaaq banade, itne me Hazrat Ali Alaihissalam
tashreef laaye to maine kaha Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam mashgul hain. Wo wapas chale gaye. Thodi der baad fir tashreef
laaye aur darwaza khatkhataya, fir maine kaha Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam mashgul hain. Aap RadiAllahu Anhu fir
aaye to Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne
farmaya: Anas! Uske liye darwaza khol do. Wo andar daakhil hue to Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Unse pucha: Tujhe
kisne Mere paas aane se roka? Unhone arz kiya: Ya RasoolAllah! Ye 3 me se
aakhri baar hai ke Anas Mujhe ye kehkar waapas karte rahe ke Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam kisi kaam me mashgul hain. Aap SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ne mujhse mere is amal ki wajah daryaft ki to maine arz kiya: Ya RasoolAllah! Maine Aapko Dua karte sunliya tha, pas Meri khwahish
thi ke ye (khushnaseeb) shakhs Ansar me se ho. Ispar Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Har aadmi apni qaum se pyar
karta hai."
Is Hadees ko Imam Hakim ne riwayat kiya hai aur kaha Ye Hadees Shaykhain
ki Sharait par Sahih hai.
105. "Hazrat Abu Saeed Khudari RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke logo ne
Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ke baareme koi shikayat ki. Pas Huzoor Nabi-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam hamare darmiyaan Khade hue aur
Khutba irshad farmaya. Pas maine Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
ko ye farmate hue suna: Ay logo! Ali ki shikayat na karo, Allah ki Qasam Wo
Allah ki Zaat me Ya Allah ke Raaste me bahot sakht hai."
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya hai aur Imam Hakim ne
kaha Ye Hadees Sahih ul Isnaad hai.
106. "Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali Alaihissalam ko ek
jagah bheja, jab Wo wapis tashreef laaye to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne Unse farmaya: Allah Ta'ala, Uska Rasool (SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam) aur Jibrael Aapse Raazi hain."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne "al-Mujam al Kabir" me riwayat kiya hai.
11. HUBB-E-ALI RADIALLAHU ANHU HUBB-E
MUSTAFA SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI
WA SALLAM HAI AUR BUGZ-E-ALI
RADIALLAHU ANHU BUGZ-E-MUSTAFA
SALLALLAHU ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM
HAI
107. "Hazrat Ali Ibne Abi Talib RadiAllahu Anhuma farmate hain ke ek martaba
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Hasan
Alaihissalam aur Hazrat Hussain Alaihissalam ke Haath pakde aur farmaya: Jo
Mujhse Muhabbat karega aur In Dono se aur In Dono ke Waalid (Yaani
Sayyeduna Ali Alaihissalam) aur Dono ki Walida (Yaani Sayyeda Fatima
Salamullahi Alaiha) se Muhabbat karega wo Qayamat ke Din Mere Sath Mere
Darje me hoga."
Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai.108. "Hazrat Amr ibne Shaas Aslami RadiAllahu Anhu jo ke Ashab-e
Hudaibiyah me se thye bayan karte hain ke mai Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ke
humraah Taman ki taraf rawana hua. Safar ke dauran Unhone mere saath
sakhti ki yahan tak ke mai apne dil me Unke khilaaf kuch mehsoos karne laga,
pas jab Mai Yaman se waapas aaya to maine Unke khilaf Masjid me shikayat
ka izhar kardiya yahan tak ke ye baat Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam tak pahunch gayi fir ek din Mai Masjid me daakhil hua
jabke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Sahaba-e
Kiram RadiAllahu Anhum ke majme me tashreef farma they. Aapne mujhe
bade gaur se dekha yahan tak ke jab mai baith gaya to Aap SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ay Amr! Khuda ki Qasam tune Mujhe azeeyat
di hai. Maine arz kiya Ya RasoolAllah! Aapko azeeyat dene se mai Allah ki
panah magta hun. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Haan
jo Ali ko azeeyat deta hai wo mujhe azeeyat deta hai."
Is Hadees ko Imam Ahmed ne riwayat kiya hai.109. "Hazrat Abdullah Jadli RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke mai Hazrat
Umme Salma RadiAllahu Anha ki Khidmat me hazir hua to Unhone mujhe
kaha: kya tumhare andar Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ko gaali di jaati hai? Maine kaha Allah ki Panah ya maine kahake Allah
ki Zaat Paak hai ya isi tarah ka koi aur kalima kaha to Unhone kaha: Maine
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue
suna hai ke jo Ali ko gaali deta hai wo mujhe gaali deta hai."
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya hai.
110. "Hazrat Ibne Abi Malika RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Ahle Shaam
se ek shakhs aaya aur usne Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma
ke haan Hazrat Ali Alaihissalam ko bura bhala kaha, Hazrat Abdullah ibne
Abbas RadiAllahu Anhuma ne usko aisa kehne se mana kiya aur farmaya: Ay
Allah ke dushman tune Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ko taklif di hai. (Fir ye Aayat padhi) "Beshak Wo Log Jo Allah Aur Uske
Rasool Ko Taklif Dete Hain Allah Tabarak Wa Ta'ala Duniya Wa Aakhirat me
Unpar Lanat Bhejta Hai Aur Allah Ne Unke Liye Ek Zillat Aamez Azaab Tayyar
Kar Rakha Hai." Fir Farmaya: Agar Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam Zinda hote to yaqeenan (tu is baat ke zariye) Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki azeeyat ka baais banta."
Is Hadees ko Imam Hakim ne Mustadrak me riwayat kiya hai aur kaha Ye
Hadees Sahih ul Isnad hai.111. "Hazrat Abdullah Jadli RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke maine ek
gulam ke saath Haj kiya pas mai Madine ke paas se guzra to maine logo ko
ikattha (kahi jaate hue) dekha, mai bhi unke piche piche chal diya. Wo saare
Ummul Momineen Hazrat Umme Salma RadiAllahu Anha ki Khidmat me
haazir hue pas maine Unko aawaz dete hue suna ke Ay Shabib bin Rabyi! Ek
rukhe aur sakht mijaz aadmi ne jawab diya Haan meri Maa! To Aap RadiAllahu
Anha ne farmaya: kya tumhare qabile me Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko gaaliyan di jaati hain? Us aadmi ne arz kiya: ye
kaise hoskata hai. Hazrat Umme Salma RadiAllahu Anha ne farmaya: Kya
Hazrat Ali Ibne Abi Talib ko gaali di jaati hai? To usne kaha hum jo bhi kehte
hain us se hamari murad duniyawi garaz hoti hai. Pas Aap RadiAllahu Anha ne
farmaya: Maine Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko
farmate hue suna: jisne Ali ko gaali di usne Mujhe gaali di aur jisne Mujhe gaali
di usne Allah ko gaali di."
Is Hadees ko Imam Hakim me Mustadrak me riwayat kiya hai.
112. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat me hai ke
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Meri (yaani Ali
ki) taraf dekhkar farmaya: Ay Ali! Tu duniya wa Aakhirat me Sardar hai. Tera
Mehboob Mera Mehboob hai aur Mere Mehboob Allah ka Mehboob hai aur
Tera dushma Mera dushman hai aur Mera dushman Allah ka dushman hai aur
uske barbadi hai jo Mere baad Tumhare saath bugz rakhe."
sIs Hadees ko Imam Hakim ne riwayat kiya hai aur kaha ye Hadees Imam
Bukhari aur Imam Muslim ki Sharait par Sahih hai.113. "Hazrat Ammar bin Yasir RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke maine
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Hazrat Ali
Alaihissalam keliye farmate hue suna (Ay Ali) Mubarakbaad ho usey jo Tujse
Muhabbat karta hai aur Teri tasdeeq karta hai aur halakat ho uske liye jo
Tujhse bugz rakhta hai aur Tujhe jhutlata hai."
Is Hadees ko Imam Hakim aur Abu Ya'ala ne riwayat kiya hai aur Imam Hakim
ne kaha Ye Hadees Sahih ul Isnad hai.
114. "Hazrat Salman Farsi RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali RadiAllahu Anhu se
farmaya: Tujhse Muhabbat karne wala Mujhse Muhabbat karne waala hai aur
Tujhse bugz rakhne waala Mujhse bugz rakhne waala hai."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne "al-Mujam al-Kabeer" me riwayat kiya hai.115. "Imam Hussain Ibne Ali Alaihi-mussalam se marvi hai ke Maine Apne
Nana Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate
hue suna ke Abu Bakr aur Umar ko gaali na do pas beshak Wo Dono awwaleen
wa aakhireen me se adhed umar ke Jannatiyon ke Sardar hain siwaye Nabiyon
aur Mursaleen ke aur Hasan aur Hussain ko bhi gaali na do beshak Wo
Naujawan Jannatiyon ke Sardar hain aur Ali ko gaali na do pas beshak jo Ali ko
gaali deta hai wo Mujhe gaali deta hai aur jo Mujhe gaali deta hai wo Allah ko
gaali deta hai."
Isey ibne Asakir ne apni taarikh me riwayat kiya hai.
116. "Imam Hussain Ibne Ali Alaihi-mussalam bayan karte hain darhaalanke
Wo Apne Baal pakde hue they ke Hazrat Ali Ibne Abi Talib RadiAllahu Anhuma
ne Mujhe bataya darhaalanke Wo Apne Baal Pakde hue they ke Huzoor Nabi-
e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Mujhe bataya darhaalanke
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Apne Mu-e-Mubarak Pakde hue they
ke jis shakhs ne Tujhe (Ay Ali) baal barabar bhi azeeyat di to usne Mujhe
azeeyat di aur jisne Mujhe azeeyat di usne Allah ko azeeyat di aur jisne Allah
ko azeeyat di pas uspar Allah ki lanat ho."
Isey Ibne Asakir ne Apni taarikh me riwayat kiya hai.
12. HUBB-E-ALI ALAIHISSALAM ALAMAAT-E
IMAAN HAI AUR BUGZ-E-ALI ALAIHISSALAM
ALAMAAT-E-NIFAAQ HAI
117. "Hazrat Zir ibne Hubaish RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Hazrat Ali
Alaihissalam ne farmaya: Qasam hai Us Zaat ki Jisne daane ko phaada (aur us
se anaaj aur nabataat ugaaye) aur Jisne jaandaron ko paida kiya, Huzoor Nabi-
e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ka Mujhse Ahad hai ke Mujhse
sirf Momin he Muhabbat karega aur sirf munafiq he bugz rakhega."
Is Hadees ko Imam Muslim ne riwayat kiya hai.118. "Hazrat Ali RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Mujhse Ahad farmaya ke Momin he
Tujhse Muhabbat karega aur koi munafiq he Tujhse bugz rakhega.
Adi ibne Saabit RadiAllahu Anhu farmate hain ke Mai us zamane ke logo me
se hun jinke liye Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
ne dua farmayi hai.
Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kaha Ye Hadees Hasan Sahih
hai.
119. "Hazrat Buraida RadiAllahu Anhu kehte hain ke Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Allah Ta'ala ne Mujhe 4
Aadmiyob se Muhabbat karne ka Hukm dete hue Farmaya hai ke Allah bhi
Unse Muhabbat karta hai. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se arz kiya
gaya Ya RasoolAllah! Hame Unke Naam bata dijiye. Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne 3 Martaba farmaya ke Ali bhi Unhi me se hai, aur baaqi 3
Abu Zar, Miqdad aur Salman hain. Raawi kehte hain ke Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Mujhe Inse Muhabbat karne ka Hk
diya aur farmaya ke Mai bhi Inse Muhabbat karta hun."
Is Hadees ko Imam Tirmizi aur Ibne Majjah ne riwayat kiya hai, Imam Tirmizi
ne kaha Ye Hadees Hasan hai.120. "Hazrat Abu Saeed Khudri RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Hum Ansar
log, munafiqeen ko unke Hazrat Ali KarramAllahu Wajhahul Kareem ke saath
bugz ki wajah se pehchante they."
Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai.
121. "Hazrat Umme Salma RadiAllahu Anha Farmati hain ke Huzoor Nabi-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam farmaya karte they ke koi munafiq
Hazrat Ali RadiAllahu Anhu se muhabbat nahi kar sakta aur koi Momin U se
bugz nahi rakh sakta."
Isey Imam Tirmizi ne riwayat kiya aur kaha Ye Hadees Hasan Sahih hai.
122. "Hazrat Jabir bin Abdullah RadiAllahu Anhuma farmate hain ke Allah ki
Qasam! Hum Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke
Zamane me Apne andar munafiqeen ko Hazrat Ali RadiAllahu Anhu se bugz ki
wajah se pehchante they."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne "Al-Mujam al-Awsat" me bayan kiya hai.123. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma bayan karte hain ke
Allah Ta'ala ne Bani Israel se unki badshahat Ambiya-e-Kiram Alaihi-mussalam
ke saath unke burey sulook ki wajah se cheen li aur beshak Allah Tabarak
Ta'ala is ummat se iski badshahat ko Ali ke saath bugz ki wajah se cheen lega."
Is Hadees ko Daylami ne riwayat kiya hai.
13. ABU TURAB AUR SAYYEDUL ARAB KE
MUSTAFVI ALQAAB
124. "Hazrat Abu Hazim Hazrat Sahal bin Saad RadiAllahu Anhu se riwayat
karte hain ke Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ko Abu Turab se badhkar koi Naam
mehboob na tha, jab Unko Abu Turab ke naam se bulaya jata to Wo khush
hote they. Raawi ne unse kaha hame wo waqiya sunayen ke Aap RadiAllahu
Anhu ka naam Abu Turab kaise rakha gaya? Unhone kaha ek din Huzoor Nabi-
e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Hazrat Sayyeda Fatima
Salamullahi Alaiha ke Ghar Tashreef laaye to Hazrat Ali RadiAllahu Anhu
Gharme nahi they. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
Tumhara Chachazaad kaha hai? Arz kiya: Mere aur Unke darmiyan kuch baat
hogayi jispar Wo khafa hokar baahar chale gaye aur Ghar par qailulla bhi nahi
kiya. Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne kisi shakhs
se farmaya: Jao talash karo Wo kahan hain? Us shakhs ne aakar khabar di ke
Wo Masjid me Sorahe hain. Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ke paas tashreef legaye, Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne dekha ke Wo lete hue hain jabke Unki chadar
Unke pahle se niche gir gayi thi aur Unke jism par mitti lag gayi thi, Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Apne Haath Mubarak se
wo mitti hatate jaate aur farmate jaate: Ay Abu Turab (Mitti Waale)! Utho, AY
Abu Turab Utho."
Ye Hadees Muttafaq Alaih hai.125. "Hazrat Abu Hazim bayan karte hain ke ek shakhs ne Hazrat Sahal bin
Saad RadiAllahu Anhu se us waqt ke hakim-e-Madina ki shikayat ki ke wo
barsar-e-mimbar Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ko burabhala kehta hai. Hazrat
Sahal RadiAllahu Anhu ne pucha: wo kya kehta hai? Us shakhs ne jawab diya
ke wo Unko Abu Turab kehta hai. Ispar Hazrat Sahal RadiAllahu Anhu hans
pade aur farmaya: Khuda ki Qasam! Unka ye naam to Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne rakha tha aur Khud Hazrat Ali
RadiAllahu Anhu ko bhi koi naam is se badhkar mehboob na tha. Maine Hazrat
Sahal RadiAllahu Anhu se is silsile ki puri Hadees sunne ki khwahish ki, Maine
arz kiya: Ay Abu Abbas! Waqiya kya tha? Unhone farmaya: Ek roz Hazrat Ali
RadiAllahu Anhu Hazrat Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha ke Ghar Tashreef
legaye aur fir Masjid me aakar let gaye, Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha se pucha:
Tumhara Chachazaad kahan hai? Unhone arz kiya: Masjid me hain. Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam wahan Unke paas tashreef legaye, Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne dekha ke chaadar Unke pahlu se sarak
gayi thi aur Unke Jism par dhool lag gayi thi. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam Unki Pusht se dhool jhaadte jaate aur farmate jaate: Utho, Ay Abu
Turab! Utho, Ay Abu Turab."
Is Hadees ko Imam Bukhari ne riwayat kiya hai.126. "Hazrat Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha se riwayat hai ke Huzoor Nabi-
e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Mai tamam aulad-
e-Aadam ka Sardar hun aur Ali Arab ke Sardar hain."
Is Hadees ko Imam Hakim ne riwayat kiya hai aur kaha hai ke Ye Hadees Sahih
ul Isnaad hai.
127. "Hazrat Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha se riwayat hai ke Huzoor Nabi-
e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Mere paas Sardar-
e-Arab ko bulao. Maine arz kiya: Ya RasoolAllah SallAllahu Alaik wa Sallam!
Kya Aap Arab ke Sardar nahi? Farmaya: Mai tamam aulad-e-Aadam ka Sardar
hun aur Ali Arab ke Sardar hain."
Is Hadees ko Imam Hakim ne riwayat kiya hai.
128. "Imam Hasan Ibne Ali Alaihi-mussalam se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ay Anas! Mere paas
Arab ke Sardar ko bulao. Hazrat Aaisha RadiAllahu Anha ne arz kiya, Kya Aap
Arab ke Sardar nahi? Farmaya: Mai tamam aulad-e-Aadam ka Sardar hun aur
Ali Arab ke Sardar hain. Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne kisi ke
zariye Ansar ko bula bheja jab wo aagaye to farmaya: Ay Giroh-e-Ansar! Mai tumhe wo amr na batau ke agar usey mazbooti se thaam lo to Mere baad
kabhi gumraah na hoge. Logo ne arz kiya: Ya RasoolAllah! Zarur irshad
farmaye. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ye Ali hai, tum
Meri Muhabbat ki bina par is se Muhabbat karo aur Meri Izzat wa Takrim ki
bina par Iski Izzat karo. Jo Maine tumse kaha uska Hukm Mujhe Allah Ta'ala ki
taraf se Jibrael Alaihissalam ne diya hai."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne "al-Mujam al-Kabir" me riwayat kiya hai.
129. "Hazrat Abu Taufayl RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Huzoor Nabi-
e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Tashreef laaye to Hazrat Ali
RadiAllahu Anhu Mitti par Sorahe they. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne farmaya: Tu sab naamo me se Abu Turab ka zyada Haqdar hai Tu
Abu Turab hai."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne "al-Mujam al-Awsat" me riwayat kiya hai.
130. "Hazrat Ammar bin Yaasir RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali RadiAllahu
Anhu ko Abu Turab ki Kunniyat se Nawaza. Pas ye Kunniyat Unhe sab
kunniyaton se zyada mehboob thi."
Is Hadees ko Bazzar ne riwayat kiya hai.
14. AAP KA FAATEH KHAYBAR AUR
ALAMBARDAAR-E-MUSTAFA SALLALLAHU
ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM HONA
131. "Hazrat Salma bin Akoo RadiAllahu Anhu farmate hain ke Hazrat Ali
RadiAllahu Anhu aashob chasm ki taklif ke baais marqa-e-khaybar keliye
(bawaqt-e-rawangi) Mustafwi Lashkar me shamil na hosake. Pas Unhone
socha ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se piche
reh gaya hun, fir Hazrat Ali RadiAllahu Anhu nikle aur Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se jaa mile. Jab wo shab aayi jiski subh
Allah Ta'ala ne fateh ata farmayi to Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne farmaya: Kal Mai jhanda aise Shakhs ko dunga ya kal
jhanda wo Shakhs pakdega jis se Allah aur Uska Rasool Muhabbat karte hain
ya farmaya ke jo Allah Ta'ala aur Uske Rasool SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam se Muhabbat karta hai, Allah Ta'ala uske Haathon Khaybar ki fatah se nawazega. Fir achanak hamne Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ko dekha, haalanke
hame Unke aane ki tawaaqo na thi. Pas Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ne Jhanda Unhe ata farmaya aur Allah Ta'ala ne unke
haathon fatah naseeb farmayi."
Ye Hadees Muttafaq Alaih hai.
132. "Hazrat Sahal bin Saad RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Huzoor Nabi-
e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Gazwa-e-Khaybar ke din
farmaya: Kal Mai jhanda us Shakhs ko dunga jiske Haathon par Allah Ta'ala
Fateh ata farmaega, Wo Allah aur Uske Rasool SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam se Muhabbat karta hai aur Allah aur Uska Rasool SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam Us se Muhabbat karte hain. Hazrat Sahal RadiAllahu Anhu ne
kaha: fir Sahaba ne is izteraab ki kaifiyat me raat guzari ke dekhe Huzoor Nabi-
e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Kisko Jhanda ata farmaenge.
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ali Ibne Abi Talib Kahan
hain? Sahaba ne arz kiya: Ya RasoolAllah! Unki Aankhon me taklif hai. Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Unko bulao, Hazrat Ali
RadiAllahu Anhu ko bulaya gaya, Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne Unki Aankhon me Luaab-e-Dahan daala aur Unke Haq me dua ki to aankhen is tarah thik hogayi goya kabhi taklif he na thi, pas Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Unko jhanda ata
farmaya. Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne arz kiya: Ya RasoolAllah! Mai unse us
waqt tak qitaal karta rahunga jab tak wo Hamre taraf na hojayen, Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Narmi se rawana hona, jab
Tum unke pas maidan-e-jang me pahonch jao to unko Islam ki daawat dena
aur unko ye batana ke unpar Allah ke kya huqooq waajib hain, Ba'Khuda agar
Tumahri wajah se ek shakhs bhi hidayat yafta hojata hai to wo Tumhare liye
surkh unto se behtar hai."
Ye Hadees Muttafaq Alaih hai.
133. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Gazwa-e-Khaybar ke din
farmaya: Kal Mai us Shkhs ko jhanda dunga jo Allah aur Uske Rasool SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam se Muhabbat karta hai, Allah uske haathon fatah
ata farmaega. Hazrat Umar ibne Khattab RadiAllahu Anhu farmaya: Us din ke
alawa Maine kabhi imarat ki tamanna nahi ki, us din Mai Aap SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ke saamne is umeed se aaya ke Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam Mujhe isliye bulayen, Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu
ne kaha fir Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne
Hazrat Ali ibne Abi Talib RadiAllahu Anhuma ko bulaya aur Unko jhanda ata
kiya aur farmaya Jao aur idhar udhar iltefaat na karna, hatta ke Allah Ta'ala
tumhe fatah ata farmaye. Hazrat Ali RadiAllahu Anhu kuch dur gaye fir tehar gaye aur idhar udhar iltefaat nahi kiya, fir Unhone zor se aawaz di Ya
RasoolAllah! logon se kis buniyad par jang karun? Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne farmaya: Tum unse us waqt tak jang karo jabtak ke wo "La
Ilaha il-lal-laahu Muhammadur RasoolAllah" ki shahadat na den aur jab wo ye
gawahi de den to fir unhone tumse apni jaano aur maalo ko mehfooz karliya
illa ye ke unpar kisika haq ho aur unka hisab Allah Ta'ala ke zimme hai."
Is Hadees ko Imam Muslim ne riwayat kiya hai.
134. "Hazrat Salma bin Akwa RadiAllahu Anhu ek taweel Hadees me bayan
karte hain ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne
fir mujhe Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ko bulane keliye bheja aur Unko aashob
chasm tha pas Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne
farmaya: Mai jhanda zarur biz-zarur us Shakhs ko dunga jo Allah aur Uske
Rasool SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se Muhabbat karta hoga ya Allah
aur Uska Rasool SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam us se Muhabbat karte
honge. Raawi bayan karte hain fir mai Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ke paas aaya
aur Unko Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke paas
le aaya is haal me ke Wo aashob chasm me mubtala they. Pas Huzoor Nabi-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Apna Luaab-e-Dahan UnkiAankhon me daala to wo thik hogaye. Aur fir unhe jhanda ata kiya. Hazrat Ali
RadiAllahu Anhu ke muqable me marhab nikla aur kehna laga:
"Tehqeeq Khaybar janta hai ke beshak mai marhab hun aur ye ke mai har waqt
hathiyar jada hota hun aur ek tajurbekar jangju hun aur jab jange hotin hain
to wo bhadak uthta hai."
Pas Hazrat Ali Alaihissalam ne farmaya:
"Mai Wo Shakhs hun jiska naam Uski Maa ne Haidar rakha hai aur Mai jangal
ke us sher ki manind hun jo ek haibat naak manzar ka haamil ho, ya unke
darmiyan ek paimano me ek bada paimana."
Raawi bayan karte hain fir Hazrat Ali Alaihissalam ne marhab ke sar par zarb
lagayi aur usko qatl kardiya fir fatah Aap RadiAllahu Anhu ke Haathon hui."
Is Hadees ko Imam Muslim ne riwayat kiya hai.135. "Hazrat Abdullah ibne Buraida RadiAllahu Anhuma apne Waalid Buraida
Aslami RadiAllahu Anhu se riwayat karte hain ke jab Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Ahle Khaybar ke Qiley me Utrey to
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Kal
Mai zarur biz zarur us Shakhs ko Jhanda ata karunga jo Allah aur Uske Rasool
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se Muhabbat karta hai aur Allah aur Uska
Rasool SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Us se Muhabbat karte hain, pas
jab agla din aaya to Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
ne Hazrat Ali Alaihissalam ko bulaya, Wo aashob chashm me mubtala they,
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Unki Aankh me
Apna Luaab-e-Dahan daala aur Unko Jhanda ata kiya aur log Aap RadiAllahu
Anhu ki mayiyat me qitaal keliye uthe khade hue. Chunanche Aapka saamna
ahle Khaybar ke saath hua aur achanak Marhab ne Aap RadiAllahu Anhu ke
samne aakar ye rajiza ashaar kahe:
"Tehqeeq Khaybar ne ye jaan liya ke beshak mai Marhab hun aur ye ke mai
har waqt hathiyar band hota hun aur mai ek tajurbekaar jangju hun. Mai kabhi
neze aur kabhi talwar se waar karta hun aur jab ye sher aage badhe hain to
bhadak uthte hain."
Raawi bayan karte hain dono ne talwaro ke waaro ka aapas me tabadla kiyapas Hazrat Ali Alaihissalam ne uske khopdi par waar kiya yahan tak ke talwar
uski khopdi ko cheerti hui uske daanto tak aa pahunchi aur tamam ahle
lashkar ne is zarb ki aawaz suni. Raawi bayan karte hain ke iske baad logo me
se kisi aur ne Aap Alaihissalam ke saath muqabley ka irada na kiya. Yahan tak
ke Fatah Musalmano ka muqaddar tehri."
Is Hadees ko Imam Ahmed ne riwayat kiya hai.
136. "Hazrat Ali Alaihissalam ne farmaya: Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne jang-e-Khaybar ke dauran Mujhe bula bheja aur
Mujhe aashob chashm tha, Maine arz kiya Ya RasooAllah! Mujhe aashob
chashm hai. Pas Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
ne Meri Aankhon me Luaab-e-Dahan daala aur farmaya: Ay Allah! Is se garmi
wa sardi ko dur karde. Pas us din ke baad Maine na to garmi aur na he sardi
mehsus ki aur Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne
ye bhi farmaya: Mai zarur biz zarur Jhanda us Aadmi ko dunga jo Allah aur
Uske Rasool SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se Muhabbat karta hoga
aur Allah aur Uska Rasool SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam us se
Muhabbat karte hoonge."
Is Hadees ko Imam Ahmed ne riwayat kiya hai.137. "Hazrat Ribyi bin Hiraash se riwayat hai ke Hazrat Ali ibne Abi Talib
Alaihimussalam ne Rahba ke maqaam par farmaya: Sulah Hudaibiya ke mauqe
par kai mushrikeen hamari taraf aaye jinme Suhail bin Amro aur mushrikeen
ke kai digar sardar they pas unhone arz kiya Ya RsoolAllah (SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam) hamari aulad, bhaiyo aur gulamo me se bahot se bahot
se aise log Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke paas chale aaye hain
jinhe Deen ki koi samjh bujh nahi. Ye log hamare amwaal aur jaidada se faraar
hue hain. Lihaza Aap ye Log hame wapas kardijiye agar inhe Deen ki samajh
nahi to hum inhe samjha denge. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne
farmaya: Ay Quraish! Tum log apni harkaton se baaz aajao warna Allah Ta'ala
tumhari taraf aise Shakhs ko bhejega jo Deen-e-Islam ki khatir talwar ke saath
tumhari gardaney uda dega. Allah Ta'ala ne Unke Dilo ke Imaan ko aazma liya
hai. Hazrat Abu Bakr wa Hazrat Umar RadiAllahu Anhuma aur digar logo ne
pucha: Ya RasoolAllah! Wo kaun hai? Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
ne farmaya: Wo Jutiyon me paiwand lagane Wala hai. Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali Alaihissalam ko us waqt
Apni Nalayn Mubarak marammat keliye di thin. Hazrat Ribyi bin Hiraash
farmate hain ke fir Hazrat Ali Alaihissalam hamari taraf mutawajjah hue aur
kehne lage ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne
farmaya: Jo shakhs Mujhpar Mujhpar jaan bujhkar jhoot baandhega. wo apna
thikana jahannam me talash karle."
Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya aur kaha Ye Hadees Hasan Sahih
hai.138. "Hazrat Bara'a RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne 2 lashkar ek saath rawana kiye. Ek ka
Ameer Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ko aur dusre ka Hazrat Khalid bin Walid
RadiAllahu Anhu ko muqarrar kiya aur farmaya: Jab jang hogi to dono
lashkaron ke Ameer Ali honge. Chunanche Hazrat Ali Alaihissalam ne ek Qila
fatah kiya maal-e-ganimat me se ek baandi leli. Is par Hazrat Khalid RadiAllahu
Anhu ne mere haath ek khat Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ki Khidmat me rawana kiya jisme Hazrat Ali Alaihissalam ki shikayat
thi. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne usey padha to Chehra-e
Anwar ka Rang mutagaiyar hogaya. Farmaya: tum us Shakhs se kya chahte ho
jo Allah aur Uske Rasool SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se Muhabbat
karta hai aur Allah aur Uska Rasool SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Us se
Muhabbat karte hain. Raawi kehte hain: Maine arz kiya ke: Mai Allah aur Uske
Rasool SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke gusse se Allah ki panah mangta
hun. Mai to sirf qaasid hun. Ispar Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
khamosh hogaye."
Isko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kaha Ye Hadees Hasan hai.139. "Hazrat Amr ibne Maimuna RadiAllahu Anhu Hazrat Abdullah ibne Abbas
RadiAllahu Anhuma se ek taweel Hadees me riwayat karte hain ke wo us
aadmi me jhagda kararhe they jo Ashra-e-Mubashara me se hai wo us aadmi
me jhagda kar rahe they jiske baare me Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ne farmaya ke Mai (fala Gazwa ke liye) Us aadmi ko
bhejunga Jisko Allah Tabarak wa Ta'ala kabhi ruswa nahi karega. Wo Allah aur
Uske Rasool SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se Muhabbat karta hai. Pas
(us jhande) ke husool ki sa'aadat keliye har kisine khwahish ki. Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ali kahan hai? To unhone kaha ke Wo
chakki me aata pis raha hai. Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ne farmaya: Tum me se koi aata Kyon nahi pis raha? Raawi bayan
karte hain ke fir Hazrat Ali RadiAllahu Anhu Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Khidmat me Haazir hue aur Unko aashob chashm
tha aur itna sakht tha ke Aap dekh nahi sakte they. Raawi kehte hain ke fir
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali Alaihissalam ki
Aankhon me Phoonka fir jhande ko 3 dafa hilaya aur Hazrat Ali Alaihisslam ko
ata kardiya."
Is Hadees ko Imam Ahmed ne riwayat kiya hai.140. "Hazrat Hubaira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Imam Hasan Ibne Ali
Alaihi-mussalam ne hame Khutba Irshad farmaya aur kaha ke guzishta kal
tumse wo Hasti juda hogayi hai Jinse na to guzishta log ilm me sabqat le sake
aur na baadme aane waale Unke Martaba-e-ilmi ko paa sakenge. Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Unko Apna Jhanda dekar
bhejte they aur Jibrael Aapki daayin taraf aur Mikaeel Aapki baayi taraf hote
they aur Aap RadiAllahu Anhu ko Fatah ata hone tak Aapke saath rehte they."
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal ne aur Tabrani ne Al Mujam al Awsat
me riwayat kiya hai.
141. "Hazrat Abu Saeed Khudri RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne jhanda pakda aur usko
lehraya fir farmaya: Kaun is jhande ko uske haq ke saath lega. Pas ek aadmi
aur usne kaha mai is jhande ko leta hun. Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ne farmaya: Tum piche hojao, fir ek aur aadmi aaya, Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne usko bhi farmaya piche hojao. Fir Huzoor Nabi-
e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya Us Zaat ki Qasam
Jisne Muhammad Ke Chehre ko Izzat wa Takreem Bakhshi, Mai ye jhanda
zarur biz zarur us aadmi ko dunga jo bhagega nahi. Ay Ali! Ye jhanda uthalo
pas Wo chale yahan tak ke Allah Ta'ala ne Unhe KHaybar aur Fadak ki fatah
nasib farmayi aur Aap un dono (Khaybar wa Fadak) ki Khajooren aur khushk
gosht lekar aaye."
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal aur Abu Ya'ala ne apni Musnad me
bayan kiya hai.142. "Hazrat Abu Raafe RadiAllahu Anhu jo Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam aazad karda gulaaam thye riwayat karte hain ke jab
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali
KarramAllahu Wajhahu ko Apna Jhanda dekar Khaybar ki taraf rawana kiya to
hum bhi Unke saath they. Jab hum qila-e-Khaybar ke paas pahunche jo
Madina-e-Munawwara ke kareeb hai to Khaybar waale Aap par toot pade.
Aap baymissal bahaduri ka muzahira kar rahe they ke achanak Aap par ek
yahudi ne waar karke Aapke Haath se dhaal giradi. Is par Hazrat Ali RadiAllahu
Anhu Qile ka ek darwaza ukhedkar usey Apni dhaal bana liya aur usey dhaal
ki haysiyat se Apne Haath me liye jang me shareek rahe. Bil aakhir dushmano
par fatah haasil hojane ke baad us dhaal numa darwaze ko Apne Haath se
phenk diya. Us sfar me mere saath 7 aadmi aur bhi they, hum 8 ke 8 milkar us
darwaze ko ulatne ki koshish karte rahe lekin wo darwaza (Jisey Hazrat Ali
Alaihissalam ne tanha ukheda tha) na ultaya jasaka."
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal aur Haysami ne riwayat kiya hai.143. "Hazrat Jabir RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Gazwa-e-Khaybar ke
roz Hazrat Ali Alaihissalam ne Qila Khaybar ka darwaza utha liya yahan tak ke
Musalman qiley par chad gaye aur usey fatah karliya aur ye aazmuda bat hai
ke us darwaze ko 40 aadmi milkar uthate they."
Is Hadees ko Ibne Abi Shaiba ne riwayat kiya hai.
144. "Hazrat Qatada RadiAllahu Anhu ka bayan hai ke Hazrat Ali Alaihissalam
Gazwa-e-Badr samet har Maarqe me Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ke Alambardar They."
Isey Ibne Saad ne Tabqatul Kubra me riwayat kiya hai.
15. MASJID-E-NABAWI SALLALLAHU ALAIHI
WA AALIHI WA SALLAM ME BAAB-E-ALI
RADIALLAHU ANHU KE SIWA BAAQI SAB
DARWAZON KA BAND KARWA DIYA JAANA
145. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali
RadiAllahu Anhu ke Darwaze ke siwa Masjid me khulne waale tamam
Darwaaze band karne ka Hukm diya."
Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai.
146. "Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor Nabi-
e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke kai Sahaba-e-Kiraam ke
Gharon ke darwaze Masjid-e-Nabawi ke sehan me khulte they to Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne ek din farmaya: Ali ka Darwaza
chodkar baaqi tamam darwaze band kardo. Raawi ne kaha ke is baare me
logon che maygoiya ki to Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Khade hue pas Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Allah Ta'ala
ki Hamd wa Sana bayan ki fir farmaya: Maine Ali ke darwaze ko chodkar baaqi
sab darwazon ko band karne Hukm diya hai. Tum me se kuch logon ne iske
mutalliq baate ki hain. Ba'Khuda Mai Apni taraf se kisi cheez ko band kiya na
khola, Maine to bus is amr ki pairawi ki jiska Mujhe Allah Ta'ala ki taraf se
Hukm mila."
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal, Nasai aur Hakim ne riwayat kiya hai
aur Imam Hakim ne kaha Ye Hadees Sahih ul Isnaad hai.
147. "Hazrat Amr ibne Maimuna RadiAllahu Anhu Hazrat Abdullah ibne Abbas
RadiAllahu Anhuma se ek taweel Hadees me riwayat karte hain ke Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Masjid ke tamam darwaze band
kardiye siwaye Hazrat Ali Alaihissalam ke darwaze ke aur Aap SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ali halat-e-janabat me bhi Masjid me daakhil
hosakta hai. Kyunke yahi Uska raasta hai aur iske alawa Uske Gharka koi aur
raasta nahi hai."
Is Hadees ko Imam Ahmed ne riwayat kiya hai.
148. "Hazrat Abdullah ibne Umar RadiAllahu Anhuma bayan karte hain ke
hum Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke zamane
me kaha karte they ke Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam tamam logon
se Afzal Hain aur Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke baad Hazrat Abu
Bakr Siddiq RadiAllahu Anhu aur fir Hazrat Umar RadiAllahu Anhu aur ye ke Hazrat Ali Alaihissalam ko 3 Khaslaten ata ki gayi hain. Inme se agar ek bhi
Mujhe mil jaaye to ye mujhe surkh qeemti unton ke milne se zyada mehboob
hai. (Aur wo 3 Khaslaten ye hain) ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi
wa Aalihi wa Sallam ne Unka Nikaah Apni Sahabzaadi se kiya jis se Unki Aulad
hui aur dusri ye ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
Masjid-e-Mabawi ki taraf khulne waale tamam darwaaze band karwa diye
magar Unka darwaza Masjid me raha aur teesri ye ke Unko Huzoor Nabi-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Khaybar ke Din jhanda ata
farmaya."
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya hai.
149. "Hazrat Jabir bin Samurah RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali Alaihissalam
ke alawa Masjid-e-Nabawi ki taraf khulne wale tamam darwazo ko band karne
ka Hukm farmaya. Hazrat Abbas RadiAllahu Anhu ne arz kiya: Kya sirf Mere
aane jaane keliye raasta rakhne ki ijazat hai? Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ne farmaya: Mujhe iska Huk nahi, so Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi
wa Sallam ne Hazrat Ali Alaihissalam ke darwaze ke alawa sab darwaze band
karwa diye aur bas awqaat Wo halat-e-janabat me bhi Masjid se Guzar jaate."
Isey Imam Tabrani ne Al Mujam al Kabir me riwayat kiya hai.
16. AAP ALAIHISSALAM KA ILMI MAQAAM
WA MARTABA
150. "Hazrat Ali Alaihissalam se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Mai Hikmat ka Ghar hun aur
Ali Uska Darwaza hai."
Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai.
151. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma bayan karte hain ke
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Mai
ilm ka Shehar hun aur Ali Uska Darwaza hai. Lihaza jo is Shehar me daakhil
hona chahta hai usey chahiye ke wo darwaze se aaye."
Is Hadees ko Imam Hakim ne riwayat kiya hai aur kaha Ye Hadees Sahih ul
Isnaad hai.152. "Hazrat Jabir ibne Abdullah RadiAllahu Anhuma bayan karte hain ke
Maine Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate
hue suna: Mai ilm ka Shehar hun aur Ali Uska darwaza hai. Lihaza jo koi ilm
haasil karne ka irada rakhta hai usey chahiye ke wo is darwaze se aaye."
Is Hadees ko Imam Hakim aur Tabrani ne riwayat kiya hai.
153. "Hazrat Ali Alaihissalam farmate hain: Mai Quran ki har Aayat ke
baareme jaanta hun ke wo kiske baare, kis jagah aur kis par naazil hui, beshak
Mere Rab ne Mujhe bahot zyada samajh waala Dil aur faseeh Zuban ata
farmayi hai."
Isey Abu Nuaim ne Hilyatul Auliya me aur Ibne Saad ne Tabqatul Kubra me
riwayat kiya hai.
154. "Hazrat Abdullah ibne Muhammad ibne Umar ibne Ali ibne Abi Talib
(RadiAllahu Anhum) Apne Waalid se riwayat karte hain ke Hazrat Ali
RadiAllahu Anhu se pucha gaya ke kya wajah hai ke Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Sahaba me se Aap kasrat se Ahadees
riwayat karne waale hain? To Aapne jawab me irshad farmaya: Ke iski wajah
ye hai ke jab Mai Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se koi sawal karta
tha to Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Mujhe uska jawab irshad
farma dete they aur jab Mai khamosh hota to Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam Mujhse Baat shuru farma dete they."
Isey Ibne Saad ne Tabqatul Kubra me bayan kiya hai.155. "Hazrat Abu Tufayl RadiAllahu Anhu riwayat karte hain ke Hazrat Ali
Alaihissalam ne farmaya: Mujhse Kitabullah ke baareme sawaal karo pas
beshak koi bhi Aayat aisi nahi hai jiske baareme Mai ye na jaanta hun ke Wo
din ko naazil hui ya raat ko, pahaad me Naazil hui ya maidan me."
Isey Ibne Saad ne Tabqatul Kubra me riwayat kiya hai.
17. "SAHABA-E-KIRAM RADIALLAHU ANHUM
ME SABSE BEHTAR FAISLA KARNE WAALE
156. "Hazrat Ali Alaihissalam se marvi hai ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Mujhe Yaman ki taraf Qaazi banakar bheja. Mai
arz guzzar hua: Ya RasoolAllah! Aap Mujhe bhej rahe hain jabke Mai nau-umr
hun aur faisla karne ka bhi Mujhe ilm nahi.Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Beshak Allah Ta'ala ankareeb Tumhare
Dil ko Hidayat ata kardega aur Tumhari Zubaan uspar qaayam kardega. Jab
bhi fariqain Tumhare saamne baith jaayen to jaldi se faisla na karna jab tak
dusre ki baat na sun lo jaise Tumne pehle ki suni thi. Ye tariqekaar Tumhare
liye faisle ko waajeh kardega. Aap bayan karte hain ke is dua ke baad Mai
kabhi bhi faisla karne me shak me nahi pada."
Is Hadees ko Imam Abu Daud ne riwayat kiya hai.157. "Hazrat Ali KarramAllahu Wajhahul Kareem bayan karte hain ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Mujhe Yaman ki taraf
bheja to Maine arz kiya: Ya RasoolAllah! Aap SallAllahu Alaika wa Sallam
Mujhe bhej rahe hain ke Mai unke darmiyan faisla karun haalanke mai
naujawan hun aur ye bhi nahi jaanta ke faisla kya hai? Pas Huzoor Nabi-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Apna Dast-e-Aqdas Mere
Seene pe maara fir farmaya: Ay Allah Iske dil ko Hidayat ata farma aur Iski
Zubaan ko Haq par qaayam rakh. Farmaya: Iske baad Maine 2 aadmiyon ke
darmiyan faisla karne me kabhi bhi shak nahi kiya."
Is Hadees ko Imam Ibne Majjah ne riwayat kiya hai.
158. "Hazrat Abu Is-haaq RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Hazrat
Abdullah RadiAllahu Anhu farmaya karte they Ahle Madina me se sabse acha
faisla farmane waala Ali Ibne Abi Talib RadiAllahu Anhuma Hain."
Is Hadees ko Imam Hakim ne riwayat kiya hai.159. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma bayan karte hain ke
Hazrat Umar RadiAllahu Anhu ne farmaya: Ali Hum sabse behtar aur saaib
faisla farmane waale hain aur Abi ibne Kaab Hum sabse badhkar Qaari hain."
Is Hadees ko Imam Hakim ne riwayat kiya hai.
160. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Hazrat Umar
Ibne Khattab RadiAllahu Anhu ne farmaya ke Hum sabse behtar faisla farmane
wale Ali (RadiAllahu Anhu) hain.
Isey Ibne Saad ne Tabqatul Kubra me riwayat kiya hai.
161. "Hazrat Saeed bin Musayyab RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Hazrat
Umar RadiAllahu Anhu us naqabeel-e-hal aur mushkil masla se jisme Hazrat
Ali Alaihissalam nahi hote they Allah ki panah manga karte they."
Isey Ibne Saad ne Tabqatul Kubra me riwayat kiya hai.
18. FARMAN-E-NABAWI SALLALLAHU ALAIHI
WA AALIHI WA SALLAM: ALI KE CHEHRE KO
DEKHNA IBADAT HAI
162. "Hazrat Abdullah ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma bayan karte hain ke
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ali ke
Chehre ko Takna Ibadat hai."
Is Hadees ko Imam Hakim ne aur Tabrani ne Al Mujam al Kabir me riwayat
kiya hai.
163. "Hazrat Imran bin Huswayn RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ali ki taraf
dekhna bhi Ibadat hai."
Is Hadees ko Imam Hakim ne riwayat kiya hai aur kaha Ye Hadees Sahih ul
Isnaad hai.164. "Hazrat Taleeq bin Muhammad RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke
maine Hazrat Imran bin Huswayn RadiAllahu Anhu ko dekha ke wo Hazrat Ali
KarramAllahu Waj-hahu ko tiktaki baandh kar dekh rahe they. Kisi ne unse
pucha ke Aap aisa kyun kar rahe hain? Unhone jawab diya ke maine Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue suna hai
ke Ali ki Taraf dekhna bhi Ibadat hai."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne Al Mujam al Kabir me riwayat kiya hai.
165. "Hazrat Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha se riwayat hai ke Huzoor Nabi-
e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ali ka Zikrbhi Ibadat
hai."
Is Hadees ko Daylami ne riwayat kiya hai.
166. "Hazrat Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha bayan karti hain ke Maine Apne
Waalid Hazrat Abu Bakr Siddiq RadiAllahu Anhu ko dekha ke Wo kasrat se
Hazrat Ali Alaihissalam ke Chehre ko dekha karte. Pas Maine Aapse pucha: Ay
Abbajaan! Kya wajah hai ke Aap Kasrat se Hazrat Ali KarramAllahu Wajhahu
ke Chehre ki taraf takte rehte hain? Hazrat Abu Bakr Siddiq RadiAllahu Anhu
ne jawab diya: Ay Meri Beti! Maine Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ko farmate hue suna hai ke Ali ke Chehre ko Takna bhi Ibadat
hai."
Is Hadees ko Ibne Asakir ne Taarikh Damishq al Kabir me bayan kiya hai.167. "Hazrat Abdullah ibne Mas'ud RadiAllahu Anhuma bayan karte hain ke
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ali ke
Chehre ki taraf Dekhna Ibadat hai."
Is Hadees ko Ibne Asakir ne Taarikh Damishq al Kabir me bayan kiya hai.
168. "Hazrat Abu Hurairah RadiAllahu Anhu Hazrat Muaaz ibne Jabal
RadiAllahu Anhu se riwayat karte hain ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu
Alahi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ali ke Chehre ko Takna Ibadat hai."
Is Hadees ko Ibne Asakir ne Taarikh Damishq al Kabir me bayan kiya hai.
169. "Hazrat Jabir ibne Abdullah RadiAllahu Anhuma bayan karte hain ke
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ali ke
Chehre ko takna Ibadat hai."
Is Hadees ko Ibne Asakir ne Taarikh Damishq al Kabir me bayan kiya hai.
170. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhuma bayan karte hain ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ali ke Chehre
ko Takna Ibadat hai."
Is Hadees ko Ibne Asakir ne Taarikh Damishq al Kabir me bayan kiya hai.
19. HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU
ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KE GUSL
KELIYE AAP RADIALLAHU ANHU KA
INTEKHAAB
171. "Hazrat Abdul Wahid ibne Aoun RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali ibne
Talib RadiAllahu Anhuma se Apne us marz me jisme Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ki Wafaat hui, Farmaya: Ay Ali! Jab Mai Faut hojaun to Mujhe
Gusl dena to Aap RadiAllahu Anhu ne arz kiya: Ya RasoolAllah! Maine kabhi
kisi mayyat ko gusl nahi diya to Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ne farmaya: Beshak ankareeb Tu iske liye tayyar hojayega.
Hazrat Ali Alaihissalam bayan karte hain: pas Maine Aap SallAllahu Alaihi wa
Aalihi wa Sallam ko Gusl diya."
Is Hadees ko Ibne Saad ne "Tabqatul Kubra" me bayan kiya hai.
172. "Hazrat Aamir RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Hazrat Ali aur Fazal
ibne Abbas aur Usama bin Zaid RadiAllahu Anhum ne Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Gusl diya jab Hazrat Ali Alaihissalam
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Gusl derahe they to kehte they:
Ya RasoolAllah! Mere Maa Baap Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Par
Qurban Hon, Aap Wisaal farmakar aur Zinda rehkar Dono Haalaton me
Paakiza they."
Is Hadees ko Ibne Saad ne "Tabqatul Kubra" me bayan kiya hai.173. "Hazrat Aamir RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Hazrat Ali
Alaihissalam Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko
Gusl derahe they aur Hazrat Fazal aur Usama RadiAllahu Anhuma ne Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par Parda kiya hua tha."
Is Hadees ko Ibne Saad ne "Tabqatul Kubra" me bayan kiya hai.
20. HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU
ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM KA AAP
RADIALLAHU AHNU KO SHAHADAT KI
KHABAR DENA
174. "Hazrat Saeed bin Zaid RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Ay Hira
(pahaad) pursukoon raho pas beshak tukhpar Nabi hai ya Siddiq hai ya Saheed
hai (aur koi nahi). Raawi bayan karte hain ke us pahaad par Huzoor Nabi-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam aur Hazrat Abu Bakr Siddiq, Hazrat
Umar, Hazrat Usman, Hazrat Ali, Hazrat Talha aur Hazrat Zubair aur Hazrat
Saad bin Abi Waqqas RadiAllahu Anhum Ajmaeen they."
Is Hadees ko Imam Muslim ne riwayat kiya hai.175. "Hazrat Ammar bin Yasir RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke gazwa
"Zaatul Ushaira" me Hazrat Ali Alaihissalam aur mai ek dusre ke saath they
pas jab Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam us jagah
aaye aur wahan qayaam farmaya, humne Banu Mudlij ke logo ko dekha ke wo
ek khajoor taley Apne ek chasme me kaam karrahe hain. Hazrat Ali
Alaihisslaam ne mujhe farmaya: Ay Abul Yaqzaan tumhari kya raaye hai agar
hum un logo ke paas jaaye aur dekhen ke wo kya kar rahe hain? Pas hum unke
paas aaye aur unke kaam kpkuch der tak dekha fir hame neend aane lagi to
mai aur Hazrat Ali RadiAllahu Anhu wahan se chale aur khajooron ke darmiyan
mitti par he let kar sogaye. Pas Allah ki Qasam Hame Huzoor Nabi-e-Akram
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke alawa kisine nahi jagaya. Aap
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne hame Apne Mubarak Qadmon ke mas
se jagaya jabke hum khoob khaak aalud hochuke they pas us din Huzoor Nabi-
e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Hazrat Ali Alaihisalam se
farmaya: Ay Abu Turab! Aur ye Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne
Aap RadiAllahu Anhu ke Jism par mitti ko dekhkar farmaya. Fir Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Kya Mai Tumhe 2 babakht tareen
aadmiyo ke naam na batau? Hamne kaha: Haan Ya RasooAllah! Aap SallAllahu
Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Pehla shakhs qaum-e-samood ka
ahimar tha jisne Swaleh Alaihissalam ki untni ki taange kaati thi aur dusra
shkhs wo hai jo Ay Ali jo Tumhare Sar par waar karega. Yahan tak ke (khoon
se ye) Daadhi tar haoajegi."
Is Hadees ko Imam Ahmed bin Hanbal ne Musnad me aur Imam Nasai ne
"Sunan al Kubra" me riwayat kiya hai.176. Hazrat Abdullah ibne Saba'a RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke maine
Hazrat Ali Alaihissalam ko farmate hue suna ke ye Daadhi sar ke khoon se
surkh hojaegi aur iska intezar ek badbakht kar raha hai. Logon ne kaha Ay Amir
ul Momineen uske baareme khabar dijiye hum uski nasal ko tabah kardenge.
Aap RadiAllahu Anhu ne farmaya: Allah ki Qasam tum siwaye Mere qaatil ke
kisiko qatal nahi karoge. Unhone kaha: Humpar kisiko Khalifa muqarrar
karden. Aapne farmaya: nahi, lekin Mai usi cheez ki taraf chodta hun jiski taraf
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne choda (yaani
bahmi mushawarat). Unhone kaha Aap Apne Rab se kya kahenge jab Aap Uske
paas jayenge. Aapne farmaya: Mai kahunga "Ay Allah Tune jitna arsa Chaha
Mujhe unme baaqi rakha fir Tune Mujhe Apne paas bula liya, lekin Tu unme
Baaqi hai agar Tu Chahe to unki islaah farma de aur agar Tu Chahe to unme
bigaad paida karde."
Is Hadees ko Imam Ahmed ne riwayat kiya hai.
177. "Hazrat Abdullah ibne Saba'a RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Hazrat
Ali Alaihissalam ne ek din hame Khutba diya aur farmaya: Us Zaat ki Qasam
Jisne daane ko phada aur makhlooqat ko zinadgi ata farmayi, Ye Daadhi zarur
biz zarur khoon se khajaab ki jayegi (yaani Meri Daadhi Mere Sar ke Khoon se Surkh hojaegi) raawi bayan karte hain ke logo ne kaha pas Aap hame bata den
wo kaun hai? Ham uski nasl mita denga. Aap Alaihissalam ne farmaya: Mai
tumhe Allah ki Qasam deta hun ke Mere qaatil ke alawa kisiko qatal na kiya
jaaye. Logo ne kaha agar Aap ye jaante hain to kisiko Khalifa muqarrar karden,
Aapne farmaya: Nahi lekin Mai tumhe wo chiz sonpta hun jo Huzoor Nabi-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne tumhe sonpi (yaani baahmi
mushawarat se Khalifa muqarrar karo)."
Is Hadees ko Imam Ahmed ne riwayat kiya hai.
178. "Hazrat Abu Tufayl bayan karte hain ke Hazrat Ali Alaihissalam ne logo
ko baiyat ki daawat di to abdur Rehman bin muljim muradi aaya pas Aap
RadiAllahu Anhu ne 2 dafa usko wapas bhej diya, jab wo tessri martaba aaya
to Aap RadiAllahu Anhu ne farmaya: is badbakht ko kaun rokega? Fir farmaya:
Zarur biz zarur is (daadhi ko) khajaab kiya jaega ya khoon se ranga jaega yaani
Sar ke khoon se Meri Daadhi sukh hogi, fir Aapne ye 2 sher padhe:"
Tu Maut Keliye Kamar Basta Ho
Beshak Maut Tujhe Aane Waali Hai
Aur Qatal Se Khaufzada Na Ho
Jab Wo Teri Waadi Me Utar Aaye.
"Khuda ki Qasam ye Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Sallam ka Mere saath Ahad hai."
Isey Ibne Saad ne Tabqatul Kubra me riwayat kiya hai.
21. AAP RADIALLAHU ANHU KI JAAME
SIFAAT KA BAYAN
179. "Hazrat Abdullah RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Huzoor Nabi-e
Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne sayyeda Fatima Salamullahi
Alaiha se farmaya: Kya Tu Raazi nahi ke Maine Tera Nikaah Ummat me sabse
pehle Islam laane waale, sabse zyada ilm waale aur sabse zyada burdbaar
Shakhs se kiya hai."
Is Hadees ko Imam Ahmed ne riwayat kiya hai.
180. "Hazrat Umme Salma RadiAllahu Anha Farmati hain ke Maine Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko farmate hue suna ke Ali
aur Quran ka choli daaman ka saath hai. Ye Dono kabhi bhi juda nahi honge
yahan tak ke Mere paas Hauz-e-Kausar par (ikatthe) aaenge."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne "al-Mujam al Awsat" me riwayat kiya hai.181. "Hazrat Jabir bin Abdullah RadiAllahu Anhuma se riwayat hai, wo bayan
karte hain: Maine Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
ko farmate hue suna: Log juda juda Nasab se talluq rakhte hain jabke Mai aur
Ali ek he Nasab se hain."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne "al-Mujam al-Awsat" me riwayat kiya hai.
182. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke
Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
Sabqat lejaane waale 3 hain. Hazrat Musa Alaihissalam ki taraf (Unpar Imaan
laakar) sabqat lejaane waale Hazrat Yusha bin Noon hain. Hazrat Isa
Alaihissalam ki taraf sabqat lejaane waale Sahab Yaseen hain aur Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki taraf sabqat lejaane
wale Ali ibne Abi Talib hain."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne "al-Mujam al-Kabir" me riwayat kiya hai.183. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai: Wo
farmate hain, Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne
Hazrat Umme Salma RadiAllahu Anha se farmaya: Ye Ali ibne Abi Talib Hai,
Iska Gosht Mera Gosht hai aur Iska Khoon Mera Khoon hai aur Ye Mere liye
aise hai jaise Hazrat Musa Alaihissalam keliye Hazrat Haroon Alaihissalam ,
magar Mere baad koi Nabi nahi."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne "al-Mujam al-Kabir" me bayan kiya hai.
184. "Hazrat Abdullah ibne Akeem RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Huzoor
Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya ke Allah Ta'ala
ne Shab-e-Meraj Wahi ke Zariye Mujhe Ali ki 3 Sifaat ki Khabar di. Ye ke Wo
Momin ke Sardar hain, Muttaqeen ke Imam hain aur (Qayamat ke roz)
Noorani Chehre waalon ke Qaaid honge."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne "al-Mujam al-Sageer" me bayan kiya hai.185. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai Wo
farmate hain ke Ye Aayat
"Innal Lazina Aamanu wa Amilus Swalihaati Sayaj Alu Lahumur Rehmaanu
Wudda"
Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ki Shaan me utri hai. Aur Unhone farmaya Is se
murad Momineen ke dilon me (Hazrat Ali RadiAllahu Anhu) ki Muhabbat hai."
Is Hadees ko Imam Tabrani ne "al-Mujam al-Awsat" me riwayat kiya hai.
186. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma bayan karte hain ke
Quran-e-Pak ki jitni Aayaat Hazrat Ali Alaihissalam ke haq me Naazil hui hain
kisi aur ke haq me Naazil nahi hui."
Is Hadees ko Imam ibne Asakir ne apni Taarikh me riwayat kiya hai.
187. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma riwayat karte hain ke
Hazrat Ali Alaihisslam ke haq me Quran-e-Kareem ki 300 Aayaat Naazil huin."
Is Hadees ko Imam Ibne Asakir ne apni Taarikh me riwayat kiya hai.

Comments

Popular posts from this blog

Rijalul ghayb

      https://youtu.be/DBJF3hL27FU   Rijal Al-Ghaib or Awliy’Ulah are always praying for the ummah and the world , imama gazali rehmatuallah “said if somebody prays for their help allah will show them their help ” ” , Rijal Al-Qeyb pray for the whole Umah of prophet Muhammed . Online Article There are at any given time 124000 or over (Allah knows best ) Awliy Ulah living on earth.They are not known and recognized by the general public. You should know O the beloved of Allah All these are hidden from them and the general public too , only Allah is the one who knows them all . In the Hadith 1) The Prophet (SCW) said: “The Substitutes (Abdaal) in this Community are thirty like Ibrahim the Friend of the Merciful. Every time one of them dies, Allah substitutes another one in his place.” [Musnad Ahmad 5:322] 2) The Prophet (SCW) said: “The earth will never lack forty men similar to the Friend of the Merciful [Prophet Ibrahim], and through them people receive rain and are given help. None of

Taziyadari jayaz hai