Skip to main content

Hazrat Syed Tajuddin Madni r.a

 

Hazrat Syed Tajuddin Madni r.a




Hazrat Sarkar Meer Syed Tajuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ)

Aap Sarkar Hazrat Ameer Kabir Syed Qutubuddin Muhammad Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ke sab se chote farzand hai’n. Aap ka shumar un babarqat aur gira’n qadr hasthiyon mein tha jo Ghayasuddin Balban Badshah ke ahade hukumat ke liye sarmaya e iftikhar kahe jaate the’n. Sharafat, Najabat, Aala hasab nasab ke sath sath unke jauhar zaati aala istedad wa zahiri aur baatni kamalaat ke wajah se Aapko us ahad ke ulema wa ayaan aur Sufiya aur Mashaikh mein ek nayi shaan aur naya husn ata kiya tha aur usmein Aausaf e Nabwi aur Kamalaat e Nabwi ki jhalak ahele baseerat ko nazar aati thi. Barso tak aap shaher Kada UP ke Qazi rahe’n Phir Sultan Alauddin Khilji ne aap ko muntaqil karke Badaun ka Qazi bana diya uske baad aap puri zindagi Badaun me hi muqeem rahe’n. Aur aap ki aulado’n ne bhi waha’n ki bodobash akhteyar kar li aur woh sab ilm aur amal mein mash’hoor hue’n.

Hazrat Syed Tajuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ka wisal Badaun mein hi huwa.Kitab Bahrul Ansab ke mutabiq unka Mazaar Sirajush Shaheed ke naam se mash’hor hai.Qazi Ziauddin Barni r.a ne aap se mulaqat ka sharf hasil kiya.inke mutaliq apne chashmdeed tassurat jo inhone Tareekh Firozshahi mein darj kiya hai woh iss tarah hai. 


Muhammad Qasim Farishta Musaniff Tareekh Farishta ne Syed Tajuddin Qazi e Awadh wa Badaun aur inke biradarzada Syed Ruqnuddin Qazi Kada ke Kamalaat e insaani wa ausaf e hamida ka khususi taur par zikr kiya hai wo iss tarah hai.


Hazrat Qazi Syed Qutubuddin saani Madni (رحمتہ اللہ علیہ):

Apne walid Hazrat Syed Tajuddin ke wisal ke baad Badaun ke Qazi Muqarrar hue’n.wo zuhodo taqawa taluq maye Allah uloom e zahiri wa batni mein mumtaz aur azimat wa isteqamat mein buland paae rakhte the’n.

Hazrat Qazi Syed Azauddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ):

Apne walid  Hazrat Qazi Syed Qutubuddin saani Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ke baad Badaun ke Qazi Hue’n.Aap bhi apne aabojad ke tarah kamal e Taqwa wa ahtiyat e deeni hamiyat adab e shariyat aur digar ausaf mein mumtaz maqaam ke malik the’n.chunanche aap done ke mutalliq  Qazi Ziauddin Barni (رحمتہ اللہ علیہ) ne Tareekh Firozshahi mein Hazrat Qazi Syed Tajuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ke zikr ke baad kuch in alfazo’n mein zikr kiya hai.




Hazrat Syed Qazi Tajuddin (رحمتہ اللہ علیہ) ka Khanwada muddato’n Baduan mein raha aur waha’n ka Qazaya aap ki aulad ke supurd raha aap ki chati pusht mein aap ke ham naam Hazrat Tajuddin saani (رحمتہ اللہ علیہ) ko ahad e Badshah Babur mein 4 lakh ki jageer mili aur ye Khanwada Sigdi Tahsil Zila Azamgarh mein Jainpur ke nazdeeq ek basti Danapur mein ja basa.Phir wahan se ye Qafila aage badah tu iski ek shakh Baxur ke nazdeeq ek basti Turk chakiya mein muqeem huwa aur dusri shakh Sikandpur zila Baliya chali aai.

Hazrat Syed Ahmad (رحمتہ اللہ علیہ):

Hazrat Qazi Syed Azauddin ke sahabzaado’n mein ek sahabzade Syed Ahmad apne dusre bhaiyon ke haq mein Badaun ki Qazaya se dastbardar huwe Mizaaj par Tasawwuf ka ghalba tha lihaza Duniya se Kinarakash hokar safar Hajj par rawana hogaye’n.Wahan se wapsi ke baad aap ne sari umr Tableegh e Haq wa Tarweej e Deen wa Shariyat mein guzari. inke ilm wa fazl aur zuhud o Taqwa se mutassir hokar Hakim e Waqt ne inhe jaedad aur ilaqe nazar kiye’n.chunanche inka khandan Qazba Roni malaba mein sukunat pazir huwa.

Hazrat Qazi Syed Qutubuddin (رحمتہ اللہ علیہ): 

Hazrat Syed Ahmad ke farzand Qazi Syed Qutubuddin Roni malaba mein hi qayam pazir rahe aur aap ka wisal wahi’n huwa.aap ke do farzand Syed Muhammad Hasan aur Syed Azizuddin hue’n.

Hazrat Syed Muhammad Hasan ek Sufi aur shayar the’n.inke ek pisar Hazrat Tajuddin saani hue’n. aur Syed Azizuddin ke ek pisar Syed Badruddin hue’n aur inki ek duktar Bibi Raji hui’n.jo Syed Badiuddin bin Syed Tajuddin saani ko biyah gai’n.

Hazrat Syed Tajuddin saani (رحمتہ اللہ علیہ):

Syed Tajuddin saani (رحمتہ اللہ علیہ) jo Baadshah Babar ke ahad ke Buzurg the’n. Aur Badshah ke taraf se Azamgarh ke eteraf mein maafi aur jageer ata hui thi chunanche Muhammad Ali deenarwi ne manzoom nasab naame mein iss waqiya ko iss tarah nazm kiya hai.

“Chaar Lakh daam ki mili jageer      aye’n purab mein sab sagheer o Kabeer
Danapur tha maqam rahne ka          haa’n Badaun supurd Ruqnuddin ko huwa”

Syed Tajuddin saani (رحمتہ اللہ علیہ) ki shaadi Bibi Ummatul Fatima dukhtar Sheikh Ziaullah se hui.jin se ek pisar Syed Badiuddin tawallud hue’n.Syed Badiuddin ki shaadi jaisa ki pahle zikr ho chuka hai bibi Raji bint Syed Badruddin bin Syed Azizuddin se hui.jinse ek pisar Syed Fazlullah hue’n inke ek pisar Syed Sanaullah hue’n inke ek pisar Syed Hamdullah hue’n inke ek pisar Syed Sharullah hue’n aur inke ek pisar Syed Amrullah hue’n.

Hazrat Syed Amrullah (رحمتہ اللہ علیہ)

Aap ka shumaar as’habo fazl wa  kamal mein tha. inka talluq Sheikh Muhammad Afzal Allahabadi ke khandan se tha.inhone uloom ki tahseel maulana Syed Muhammad Askari Jaunpuri aur Sheikh Ghulam Hussain Allahbadi jaise ulemae Kibar se ki thi.Hakiman e waqt ki qadrdani wa tawajjo ki bina par wo girdonawah Gazipur ke Mansab e Ifta par faez hue’n aur ek zamane tak ye khidmat anjaam dete rahe’n jiss mein darja ba darja taraqqi bhi hoti rahi.inki shaadi Bibi Khooban Dukhtar Abdul sakin lahna se hui. jin se Syed Madamullah paida hue’n.Syed Madamullah ki paidaish apne nanhihal lahna mein hui aur taleem tarbiyat bhi wahi’n payi aur shaadi yusufpur mein Qazi Yusuf ke Khandan mein Subuhi Bibi se hui.Syed Madamullah ke do pisar Syed Ghulam Yusuf wa Syed Ashraf Ali huwe.

Hazrat Syed Ashraf Ali urf Makhdoom Ghulam Ashraf (رحمتہ اللہ علیہ)

Hazrat Makhdoom Ghulam Ashraf (رحمتہ اللہ علیہ) ka zikr har jagah izzat ke saath milta hai.ibteda jawaani mein aap fauj mein ek ohde par the’n aur bade sahibe jurrat the’n baad mein tabiyat apne aabai rang par agayi rohaniyat ghalib hui har waqt ibadat aur riyazat mein masroof rehne lage bafazl darjaat Aliya tak paunche.Syed Waazhul Haq masroor Aurangabadi ne apni Kitab Tazkiratul Aba mein likha hai


Kitab Aasar e Raftga’n mein Maulan Anwarul Haq Shahudi raqmtararz hai’n.


Aap ki shaadi Bibi Daulat Dukhtar Syed Habibullah se hui (jo Shah Junanid Qadri ke bhanje the’n).jin se ek pisar Waris Ali Hue’n.Syed Waris Ali ek bade Zamindaar aur Shayar the’n.inki Shaadi Bahauddin urf Muhib Ali sahab sakin  Yusufpur ki phuphi se hui.jin se chaar pisar Qazi Syed Subhan Ahmad ,Qazi Syed Abdul Hamid ,Qazi Syed Abdul Hafiz aur Qazi Syed Abdul Hakim hue’n.

Hazrat Qazi Syed Abdul Hakim(رحمتہ اللہ علیہ):

jin mein se Qazi Syed Abdul Hakim (رحمتہ اللہ علیہ) san 1207 hijri mein bamaqam Aamdari paida hue’n.riwayat hai ke bachpan mein inke walid ka inteqal hogaya tha isliye inki sari talim wa tarbiyat inke Dada Syed Ghulam Ashraf (رحمتہ اللہ علیہ) ne ki.natejatan woh apne dada ke haath par bait hue’n aur khalafat payi aur dada ke wisal ke baad inke sajjada par baithne ka sharf hasil kiya.Aap Deen aur Duniya dono ke jaame the’n.Baliya,Ghazipur aur Banaras ke aeteraf mein aap ke bahut mureed the’n.inki shaadi Mulayma Bibi dukhtar Syed Abdul samad sahab se katkoli mein hui. jin se Qazi Syed Ali Haq paida hue’n. 17 safar ko aap ka wisaal hua .Mauza Aamdari zila Baliya mein Aap ka Mazar maujood hai.

Hazrat Qazi Syed Ali Haq (رحمتہ اللہ علیہ):

san 1820 eiswi mein bamaqam aamdari paida hue’n.ibtedai talim walid majid ki nigrani mein hui aur saanwi talim Ghazipur mein mukammal ki.ibteda se hi inke tabiyat mein angrezo’n ke khilaf bezaari ka unsur shamil tha.1857 mein jab angrezo’n ke khilaf pahli Azadi ki ladai shuru hui tu inhone dilojaan se iski himayat ki aur khulkar iske rahnumao’n yani Bihar ke Raja Kunwar Singh aur Azamgarh ke Raja Iradatjahan ka saath diya.Anjam kar Hindustaniyo’n  ki nakami ke baad dusre jaanisar e watan ki tarah inpar bhi Firangi aetab nazil huwa.Aur na sirf jaedad zabt karli gayi balki Ghazipur ki had se bahar nikal jana pada.Majbooran aap apni sasural Sahsaram aa gaye’n.aur kuch waqt baad wisal farma gaye’n.25 shabaan san 1278 hijri ko inka wisal huwa aur Sahsaram mein Dargah Makhdoom Muhammad Saleh mein mudfoon huwe’n. Inki shaadi Niyamat Bibi dukhtar Shah Banda Ali se hui.jinsi do pisar Syed Wahidul Haq wa Syed Azizul Haq paida hue’n.

Hazrat Syed Wahidul Haq urf Wahid Asdaqi (رحمتہ اللہ علیہ):

san 1846 eiswi mein bamaqam Aamdari paida hue’n.shuru ki talim aamdari mein hui. Phir 1857 eiswi ke ghadar ke baad Sahsaram aana pada jiske baad apne nana Shah Banda Ali ke saye aatfat mein rahe’n.Phir Sahsaram ke mash’hoor Aalim Syed Ahmad Husain Simravi ke hawale kiye gaye’n aur Taleem ke sare marahil inhi ke nigrani mein taye huwe. Walid sahab ne bachpan mein hi inse bait le li thi.Aur phir chand saal baad hi walid ka wisal ho gaya to baatni tarbiyat ka marhala baaqi tha uloom zahiri ki takmeel ke baad jab Qazi Wahidul Haq ko Murshid ki talash hui to nigah intekhab Hazrat Maulana Khwaja Qayam Asdaq par thairi jinka ek aalam shaida’n tha.aur jinke Khulfa mein Mirza Ghalib ke numaya talamzah Fakhruddin Sukhan Dehlvi aur Baqar Baighovi jase masha’hir ilm o adab the’n.Maulana Qayam Asdaq ki nigah khas aur tawajjo ne inki Duniya badal di.Aur inhone bahut Tezi se  marahil sulooq taye kiya.Phir Murshid ke hukum se Banaras mein qayam pazir hue’n.Jahan rushdo Hidayat ka silsila shuru huwa aur khalq e Khuda aap ke taraf ruju hui.Aap ke kaseer murideen the’n.inhone ek masnavi ruqqae ibtila mein apne jadamajd Hazrat Sarkar Ameer Kabir Syed Qutbuddin Muhammad Madni r.a se lekar apne walid Qazi Ali Haq ke mauza aamdari se jila watan kiye jane tak ke halaat pur dard andaaz mein nazm kiye hai’n.Qareen ki dilchaspi ke liye is masnavi ke chand shair yahan pesh kiye ja rahe’n hai’n.


Aap ka wisal halat e sima  mein huwa.Mazar Mohalla Kabirchura Banaras mein Masjid ke haata se mila huwa hai.inki shaadi Bihar ke mash’hoor o mahroof Buzurg Aalim wa shayar khateeb wa imam eidgah shershahi Sahsaram Hazrat Maulana Fareeduddin Fareedi Asdaqi ki badi sahabzadi Hamida Fatima se hui jine se do pisar Syed Wazul Haq wa Syed Wasiul Haq aur ek dukhtar Azmat Bibi paida hui’n.

Hazrat Shah Azizul Haq urf Shah Abdul Aziz (رحمتہ اللہ علیہ):

Qazi Ali Haq ke dusre sahabzade Shah Azizul Haq urf Shah Abdul Aziz san 1848 mein aamdari mein paida hue’n nau dus baras ki umr mein apne walid aur bhai ke saath Sahsaram muntaqil hue’n.inki taleem aur tarbiyat inke nana Shah Banda Ali aur Maulana Syed Ahmad Husain simravi ke zere saya hui. saari zindagi dars wa tadrees mein mashghool rahe’n.apne jadamajd Makhdoom Syed Ghulam Ashraf (رحمتہ اللہ علیہ) ke naam par ek Madarsa Dairatul Ashraf qayam kiya.jo inki zindagi tak mash’hoor wa maqbool raha.inki shaadi Sheikh Amjad Husain ki dukhtar se hui jo mash’hoor zamana buzurg wa Murshid Badshah SherShah Suri Hazrat Sheikh Buddh Firdausi r.a ke aal se the’n.inki aulad zakoor mein Shah Shamsuddin, Dr. Syed Masihuddin, Hakim Syed Shah Sadruddin  aur Maulana Shah Bahauddin aur Dukhtar Marhuma Umatul Fatimah thi’n

Syed Shah Wazul Haq Masrur (رحمتہ اللہ علیہ):

Aap apne ahed ke bakamal buzurgo’n mein ek numaya maqam rakhte the’n.uloom e deeniya aur falsafah ilme ilahiyat ke mahir khanwadae Asdaqiya Faridiya ke lal shab chiragh Khandane Qutubuddin Madni ke Gulesar aur nihayat khush kalam shayar the’n.san 1351 hijri mein bamaqam Sahsaram paida hue’n.Taleem wa Tarbiyat apne nana Maulana Fareeduddin Farid ki zere nigrani payi.Ba Haisiyate Hakim apne ilaqe aur qurbo jawar mein mash’hoor zamana the’n.Tareeqat mein apne walid majid ke naamzad sajjada the’n.mureedo’n ka ek azdaham tha.inka mazar Aurangabad zila Bihar mein hai.inke teen pisar Syed Wasimul Haq,Syed Naimul Haq wa Syed Naimul Haq aur do dukhtar Mazhari Fatima aur Azhari Fatima hui’n.dono sahabzadiyo’n ki shaadiyan Sahsaram ke mash’hoor Fareedi khandan mein hui.

Hafiz Syed Shah Wasiul Haq miskeen ibn Syed Shah Wahidul Haq Wahid:

san 1330 hijri mein bamaqam Sahsaram paida hue’n.Taleem wa Tarbiyat apne nana Maulana Fareeduddin Faridi Asdaqi  ki zere nigrani payi aur inhi ke zere nigrani Hifz mukammal kiya.baad mein Bihar ke mash’hoor madarasa Khankahe Kabiriya Sahsaram mein dakhila liya jahan se Darjae som tak talim mukammal kiya.suluk ka safar taye karne ke liye sajjadanashen Khankah Asdaqiya Maulan Hafiz Shahudul Haq (رحمتہ اللہ علیہ) ke haath par bait hue’n aur tarbiyat e rohani ke atmam tak pahuche.inki zaat marjae khalayaq ho chuki thi saari umr ibadaat zikr o fikr aur shariyat e Muhammadi ki pairvi mein guzaar di .inke tahrero’n mein sufiyana shayri, zikr Rasool, irshadat e murshid, munaqib aur irshadat basilsila  e masael tasawwuf hi dastyab hai.13 jamadus saani san 1377 hijri mutabiq 5 january 1958 eiswi mein aap ka wisal huwa aur Mohalla Shah Haroon Sahsaram mein madfoon hue’n.inki shaadi mauza devhara ke zamidaar Mir Sadiq Hussain ki poti Kaniz Fatima bint Mir Ashiq Hussain se hui jin se chaar pisar Syed Shah Waliul Haq,Syed Shah Safiul Haq, Hafiz Maulana Syed Shah Muhammad Anwarul Haq Shahudi nazish Sahsarami ,Dr. Syed Izaharul Haq Asif Sahsarami aur teen dukhtaran Jamil Fatima,Muleh Fatima wa Fatima bibi hui’n.

Hafiz Maulana Syed Shah Muhammad Anwarul Haq Shahudi nazish Sahsarami:

Apne ahed ke ek bakamal aalim, Sufi,Shayar, nashr nigar, Muqarrir, Ustad aur mujahid azadi the’n. Deeni wa ilmi satah par ek maroof shakhsiyat rahe’n.Aap Bihar ke akhri nisf sadi ka naqabile faramosh hissa the’n. inki paidaish 1915 eiswi mein bamaqam Sahsaram hui. Taleem ki ibteda hifz e Quran se hui. jo inke walid majid ki nigrani mein hui.Takmeel hifz ke baad darsiyat ke takmeel ke liye Jamia Naemia Muradabad taqriban 2 saal rahe’n.Jahan apne Jigar Muradabadi ke samne zanu e talammuz taye kiye’n.Phir kuch dino Madarsa Subhaniya Allahabad mein padha bil akhir sanad Aalimat Madarsa Faizul Ghurba Aara se hasil hui.inki sari rohani talim walid buzurgwar ki nigrani mein mukammal hui.walid majid ki hayat hi mein bahukum walid wa murshid logo’n se baet lena shuru kiya.Aur apne walid ke wisal ke baad Daira Hazrat Wasi r.a ke sajjada hue’n. Tu wabastgano’n ka ek jamme ghafeer inki taraf mutawajje huwa.aur akhiri umr tak madarsa Khankah Kabiriya Sahsaram se jude rahe’n.san 30 dec. 1983 aap ka wisal huwa aur Sahsaram mein mudfoon hue’n.Aap ki shaadi Shauqat aara dukhtar Syed Khairuddin khair Sahsarami se hui jinse 10 aulade’n hui’n lekin hayat sirf do pisar rahe’n.Syed Husainul Haq aur Syed Aainul Haq.

Syed Husainul Haq :

2 nov. 1949 mein aap ki paidaish Sahsaram mein hui.Madarsa Board Bihar se maulvi ka imtehan pass kiya phir madarsa Khankah Kabiriya se aalim tak dars ki takmeel ki.Patna university se urdu aur farsi mein M.A aur Phd ki.aur phir shobae urdu Magadh University se wabasta hogaye’n jahan ke aap sadar bhi rahe’n.Aap Urdu Duniya ke Mash’hoor wa maroof shaksiyat hain aur apne walid majid ke mureed o majaaz wa janasheen aur Sufi sifat aadmi hai’n.inki shaadi 1977 eswi mein Nishat aara dukhtar Syed Abrarul Haq sakin bazaidpur (nazdeek Munersharif Patna) se hui.jinse do pisar Syed Shareh Ali Haq wa Syed Shaoor nazish aur do dukhtar Aaima Husain wa Aaiman nishat hui’n.

Syed Aainul Haq aain Tabish:

san 1958 mein aap ki paidaish Sahsaram mein hui.Madarsa Khankah Kabiriya Ke aalim urdu ke mash’hoor aur muatbar shayar, nashr nigar, sahafi, muqarir apne walid majid ke mureed o majaaz aur bahut saari sifaat se arasta hai’n.Patna University se angrezi mein M.A kiya aur phil waqt Mirza Ghalib College Gaya ke Reader hai’n.Adabi duniya mein inka naam mohtaj tarruf nahi Urdu ka koi adabi risala nahi hoga jis mein inki takhlikat shaya na hui ho.

Maslan “Haath Hamare qalam huwe” , “Raat ke akhir hote hote” ,”iss khusboo ka ye qissa hai” ,”Aadmi ada mein hai” jaise maqbool shayri intekhabat ke alawa nashr mein bhi inki do kitabe’n “Harfe Tamanna” aur “Nazish Sahsarami” shaya ho chuki hai.inki shaadi Shahla Raza dukhtar Sayed Muhammad Raza marhoom se hui. Aap ke 3 bete wa 2 beti hai’n.

 Shajra Aulad Hazrat  Qazi Syed Tajuddin Madni r.a (Qazi Badaun)





 


Shajra Virasaat Qutbi Gujrat

Comments

Popular posts from this blog

Hadith Jhoot Bolne Walo Par

  *بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ* *اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞* Al-Qur’an:-“Beshak Jhoot Bolne Walo Par Allah Ki Laanat Hai.  Reference  (Surah Aal-e-Imran 3:61) Hadees No:- 1 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate Hai:-“Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunah Ki Taraf Le Jata Hai,Aur Gunah Jahannum Me Pahunchaane Wala Hai.”  Reference  (Sunan Abi Dawud 4989-Sahih) Hadees No:- 2 “Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannum Me Phenk Diye Jaayenge, Sirf Apni Zuban (Jhooth) Ki Wajah Se.  Reference  (Tirmizi Shareef) Hadees No:- 3 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate hai:- “Main Zamanat Deta Hu Jannat ke Darmiyaan 1 Ghar ki, Us Shaksh Ko Jo Mazak Me Bhi Jhoot Na Bole.”  Reference  (Sunan Abu Dawood 4800) Hadees No:- 5 “Laanat Aur Halaqat Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot...

JERUSALEM AND UMAR IBN AL-KHATTAB (RA)

Jerusalem is a city holy to the three largest monotheistic faiths – Islam, Judaism, and Christianity. Because of its history that spans thousands of years, it goes by many names: Jerusalem, al-Quds, Yerushaláyim, Aelia, and more, all reflecting its diverse heritage. It is a city that numerous Muslim prophets called home, from Sulayman and Dawood to Isa (Jesus), may Allah be pleased with them. During the Prophet Muhammad ﷺ’s life, he made a miraculous journey in one night from Makkah to Jerusalem and then from Jerusalem to Heaven – the Isra’ and Mi’raj. During his life, however, Jerusalem never came under Muslim political control. That would change during the caliphate of Umar ibn al-Khattab, the second caliph of Islam. Into Syria During Muhammad ﷺ’s life, the Byzantine Empire made clear its desire to eliminate the new Muslim religion growing on its southern borders. The Expedition of Tabuk thus commenced in October 630, with Muhammad ﷺleading an army of 30,000 people to the border with...

Waqia e Al-Harrah

THE BATTLE OF HARRAH (27 Zilhajj, 63 Hijri). The Battle of al-Harrah is a battle fought at al-Harrah in 683 CE, (27 Zilhajj, 63 Hijri) then lying to the northeast of Medina. The battle was fought against the armies of Yazid ibn Muawiyah by Abdullah ibn Zubayr and his allies, the people of Medina and several notable Sahabas, many of whom were killed in the battle. It is the second most infamous battle during the reign of Yazid bin Muawiyah, the 2nd Umayyad Caliph. When Yazid ibn Muawiyah became Umayyad Caliph in 680 CE he faced two major crises. First was the dissent of Husayn ibn Ali and the other was the revolt of Abdullah ibn Zubayr. Husayn ibn Ali rejected the legitimacy of Yazid ibn Muawiyah as Caliph, which ultimately led to his death in the Battle of Karbala on October 10, 680. This event further deepened the schism between Sunni and Shia denominations. After killing of Husayn ibn Ali that Abdullah ibn Zubayr, the hero of the Battle of Sufetula which was fought in 647 against the...