Skip to main content

Hazrat Syed Nizamuddin Hasan Madni r.a (Kada shareef )

Hazrat Syed Nizamuddin Hasan Madni (رحمتہ اللہ علیہ)

\

Aap Bade Aarif-billah Sahibe kamal, sahibe taqwa wa taharat, aalim ba amal aur mujahid fisabeelallah the’n. Ba Hawala Malfooz Sarkar Ameer Kabir Syed Qutubuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) Jab Ameer Kabir (رحمتہ اللہ علیہ) delhi mein the’n uss waqt ibteda mein yeh khayal tha ki sultani afwaaj ki madad hasil ki jaaye aur mujahideen aur sultani afwaaj mil kar jihad kare’n. uss waqt Ameer Syed Nizamuddin (رحمتہ اللہ علیہ) ne iss ki mukhalfat ki aur yeh rae di ki sultani afwaaj ki shamuliyat ke baad se sharf e jihad khalis hum logo’n ke liye na rah jayega behtar ye hai ki hum log Allah ke bharose parr khud jihad kare’n. Ameer Kabir Syed Qutubuddin Madni r.a ne apne farzand ki ye baat manzoor kar liya aur ye kaarnama aur sharf inke hisse mein aaya.

Ameer Syed Nizamuddin (رحمتہ اللہ علیہ) tamam maarko’n mein apne walid majid ke dosh badosh balki pesh pesh rahe’n. Kada ke pahad jaise buland aur sangeen qila ko fateh karne mein unhone badi dileri aur shujaat ka muzahira pesh kiya aur usi ke muhasreh mein wo pat’thar ke zarb se zakhmi bhi hue’n. Kannuj aur Kada fateh ke baad Ameer Kabir Syed Qutubuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ne tohfa aur khat de kar aap ko sultan Ghaznavi ke paas ghazni bheja chunanche woh ghazni gaye’n  apne kaam kaaj ko anjaam diya aur apni aheliya Shahzadi Khunaiza Khatoon ko lekar wapas laut aye’n. lekin qila Kada ke muhasreh ke waqt jo zakhm laga tha uss wajah se aap aleel rahte the’n aur akhir isi marz mein aapne shahadat ka jaam nosh farmaya. 

Malfoozat e Sarkar Ameer Kabir Syed Qutubuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ)mein Hazrat Ameer Kabir farmaate hai’n, agarche in zakhmo se ki jinka pahle zikr ho chuka hai, shifayab ho chuke the’n lekin aleel the’n har roz marz badhta jata tha aur tabeebo’n ke ilaj wa mualje faida nahi dete the’n yahan tak ke woh rahmate Khuda se ja mile’n aur apna ek farzand arjumand chhoda Insha Allah ta’ala iski aur un rafiqo’n ki nasl mein jinhone islam ke iss amr mein jaansipari ki hai qayame qayamat aur hashr wa nashr tak khalal aur laghzish nahi hogi.

 Aap ka mazaar shareef 

Ba Hawala Zahoor-e-Qutbi Sarkar Ameer Kabir Syed Qutubuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ)aur Ameer Syed Nizamuddin Hasni Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ek hi makhbare mei’n madfoon hai’n. Ameer Kabir Syed Qutubuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ki qabr ke pashchim janib Ameer Syed Nizamuddin Hasan Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ka mazaar hai.


Aap ki Shaadi aur Aap ke Farzande aein :

Ba Hawala Zahor-e-Qutbi wa Tazkirah Shah Ilmullah Qutbi aap ki shaadi Shahzadi Khunaiza Khatoon se hui thi jinke batn se ek farzand Ameer Syed Ruknuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) tawallud hue’n .Inki nasal mein jitne Aulia wa Ulema paida hue’n unki nazeer Hindustan ke kisi dusre khandan mein mushkil se milegi.

Ba Hawala Tazkiratul Abraar unke ikhlaaf mein itne Ulema aur mashaikh uthe’n ki dusre khanwado’n mein maloom nahi hai.

Hazrat Sarkar Ameer Syed Ruknuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ):

Hazrat Sarkar Ameer Syed Ruknuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) Ameer Syed Nizamuddin (رحمتہ اللہ علیہ) ke farzand-e-rasheed aur ek jalilul qadr shaikh aur aalim wa faqih the’n. ye wahi hai’n jinke mutalliq Syed Ameer Nizamuddin ke wisal ka zikr karte hue. Sarkar Ameer Kabir Syed Qutubuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ne duao’n wa kalemaat se nawaaza tha.

AAP KI PARWARISH WA TALEEM: 

Hazrat Sarkar Ameer Syed Ruknuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ne parwarish apne jad amjad Hazrat Sarkar Ameer Kabir Syed Qutubuddin Madni r.a ki aaghosh e rehmat wa shafqut mein paai. aur taleem wa tarbiyat apne Chacha mohtram Ameer Syed Qwamuddin Mahmood Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ki khusoosi nigrani mein Delhi ja kar hasil ki.

Apni jalalte shaan ilm wa amal aur zuhado taqwa mein aap mumtaz haisiyat ke malik the’n. Qazi Ziauddin Barni (رحمتہ اللہ علیہ) ne aap ke ma’arif wa kamalaat ka zikr apni kitab tareekh Firoz shahi mein tafseel se kiya hai. Ba Hawala Tareekh Firozshahi Ameer Syed Ruknuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) jo Syed Tajuddin Madni(رحمتہ اللہ علیہ) ke bhatije hai’n. Kada ke Qazi the’n. Allah ne Syed Ruknuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ko hamasifat mausoof paida kiya tha. wo sahibe kashfo karamat the’n. Sahibe sima the’n aur ajeeb wajd wa kaifiyat rakhte the’n tark wa tajreed aur sakhawat wa aisaar mein aap ka paya bahut buland tha. maulif Tareekh Firozshahi ne Syed Tajuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) wa Syed Ruknuddin Madni(رحمتہ اللہ علیہ) ki mulaqat aur qadam bosi ki sa’adat hasil ki hai. Qazi Ziauddin Barni r.a farmate hai’n maine aise Sadaat-e-Uzzam aise buland ausaaf aise shauqat wa hashmat jo Allah Ta’ala ne inko naseeb ki thi, kam dekhi hai. Sayadat khulasae manaqib hai aur Janab Rasool Allah ṣallā Allāhu alayhi wa- ala aālehi wa-sallam se nisbate farzandi sabse bada aezaz hai agar chahoo’n in Sadaat aur dusre Sadaat jo noor deedaye Mustafa ṣallā Allāhu alayhi wa-ala aālehi wa-sallam aur jigar goshaye Murtaza raziallah ta’ala anhu hai’n ki Tareef mein kuch likhu’n to hairan rah jata hoo’n aur apne ajz ka aetiraf karna padta hai.

Sahibe Nuzhatul Khwatir likhte hai’n ke aali janab Sahibe izzat wa sharf Qazi Syed Ruknuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ibn Ameer Syed Nizamuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ibn Ameer Kabir Syed Qutbuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) apne zamane ke Imamo’n mein se ek aur alam bardare azmat wa faqr the’n. inke walid ka chunki  inke bachpan mein hi wisal ho gaya tha. iss liye apne dada mohtram ke aaghoshe shafqat mein parwarish pai. aur apne chacha Hazrat Qwamuddin Mahmood Madni Dehlvi (رحمتہ اللہ علیہ) se ilm hasil kiya phir apne chacha Ameer Syed Tajuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ke Badaun muntaqil kardiye jaane ke baad Kada ke Qazi muqarrar hue’n. Woh ek aali martaba bawaqar aur bade ba raub buzurg the’n. jo maroof ka hukm dete aur napasandida aur bure kamo se rokte the’n. Khwaja Gargullah (Kadak Shah abdal) r.a inse chaukanna rehte the’n. aur apni barehngi ko chupa lete the’n. jaisa ki abdal mazkoor ke malfoozat mein hai. Mash’hoor hai ki Khwaja  Gargullah (Kadak Shah abdal) (رحمتہ اللہ علیہ) apne jazb ki kaifiyat se hamesha barehna rahte the’n magar Hazrat Qazi Syed Ruknuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ko dekh kar jo kapda milta tha usko odhh lete the’n. aur farmate the’n ki yahi ek shaqs hai jisko dekh kar mujhe sharm aati hai. Khwaja Kadak Shah abdal (رحمتہ اللہ علیہ) aap ko bahut chahte the’n aur ehtram baja laate the’n. wo jab bhi aap se milte to kahte the’n 

” TU WAQT KA SARDAR HAI TERI AULAD BHI SARDAR HONGI TERE FARZAND MERE FARZAND E AEIN HAI’N JO KOI UNKO TAKLEEF PAHUCHAYEGA USKE HAQ MEIN ACHCHA NA HOGA”

Khwaja Kadak Shah abdal (رحمتہ اللہ علیہ) ke wisal ke baad unke jalal ki wajah se kisi ko unke jism mubarak ke paas jane ki jasarat nahi hoti thi aise mein Hazrat Qazi Syed Ruknuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ne wahan pahuch kar unko ghusl diya kafnaya aur namaze janaza padhai .

Ba Ahade Alaudin Khilji Hazrat Qazi Syed Ruknuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) qazi e shaher Kada hue’n. aur quza’at ke mansab ko raunaq afrooz karte rahe’n.

Ba Hawala Kitab Bahrul Ansab Hazrat Syed Alauddin Jaweri (رحمتہ اللہ علیہ) wa Hazrat Syed Ruknuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) peer sohbat aur humtash the’n. aur Hazrat Syed Alauddin Jaweri (رحمتہ اللہ علیہ) Hazrat Syed Ruknuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) se barkate’n hasil karte the’n aur aap ki hurmat karte the’n.

Hazrat Qazi Syed Ruknuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ka wisal kada shareef mein hua aur aap ka mazaar marjae khalaiq khaso aam tha.

Hazrat Qazi Syed Sadruddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ)

Hazrat Syed Sadruddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) bin Qazi Syed Ruknuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) bin Syed Nizamuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) bin Hazrat Syed Ameer Kabir Qutubudin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) woh ilm wa fazl aur sulook wa marifat dono mein dastgah kamil rakhte the’n. Neez zuhad wa taqwa shujaat wa sakhawat, aesar wa taura mein apne walid aur dada ke naqsheqadam par the’n. Hazrat Syed Sadruddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ko Allah ta’ala ne aulad e saleh se nawaza inki nasal mein Hazrat Fazlullah Goshai’n Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) jaise buzurg hai’n jinhone Kada se muntaqil ho kar Mohalla Baradari manmahelaat sooba Bihar mein sukoonat akhtiyar kar li thi. aur waha’n inki zaat marjae khalayak ban gayi thi.inki chati pusht mein ek buzurg Hazrat Syed Shah Muhammad Taqi jinko darwesh e beriya ke naam se yaad kiya jaata hai. Apne asr ke mashahir ulema aur sahibe silsila mashaekh mein the’n. Badshah Farruq siyaar in ka shagird aur mureed tha. aur inka silsila iss nawah mein abhi bhi baaqi hai. Inke alawa Hazrat Syed Sadruddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ke silsilae aulad mein Syed Shah Muhammad Ismail Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) (maurise sadaat e qutbia Kurra sadaat) aur inke jalilul qadr farzand Syed Shah Jalaluddin Jalal Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) wa Syed Shah Muhammad Saleh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) (maurise sadaat e qutbia Fatehpur) wa Qazi  Syed Hasan (رحمتہ اللہ علیہ) (maurise sadaat e qutbia Ajhwa wa rasoolpur) wa Syed Shah Khaleel Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) (maurise sadaat e qutbia paati gali Manikpur) wa Syed Faizullah Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) (maurise sadaat e qutbia mauza kaurali Allahabad) wa Syed Qutubuddin Saani (رحمتہ اللہ علیہ) (maurise sadaat e qutbia jais wa nasirabad wa Takia Raibarelly wa Tonk Rajasthan wa dalmau) jaise ulema wa Aulia nazar aate hai’n.

Hazrat Syed Sadruddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) apne waalide buzurgwar Qazi Syed Ruknuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ke baad Qazi e Shaher Kada rahe’n aur wahi’n aap ka wisal hua aur apne waalide buzurgwar ke pahlu mein supurde khaak hue’n.

Ba Hawala Tareekh Aaina-e-Awadh Hazrat Syed Ameer Kabir Qutubudin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ki aulad inke wisal san 677 hijri ke 220 saal yaani san 897 hijri mutabiq 1492 eiswi ba ahad Sultan Sikandar Lodhi tak Kada mein izzat wa neknaami ki zinadgi basar karti rahi jin mein se zyadatar afraad apne ilm wa fazl aur taqwa wa taharat ke bina par mukhtalif maqamaat par mansabe qaza par yake baad deegre fa’ez hote rahe’n hain. iss lambe arse mein ek jagah se dusri jagah muntaqil hone ke sabab bhale he khandane risalat ki kuch azimat baaqi na rahi thi phir bhi sadaat e qutbiya ko is qadar jaah wa hashmat hasil thi ki hazaro mauza bataur jageer wa maafi inke kabze mein thi aur 700 palki nasheen inke khidmat mein shumaar hote the’n.

 Sadaate Qutbiya ki Dusre Maqamaat par muntaqli 

Ba Hawala Seeratus Sadaat, Malfooz e Qutbiya, Tazkirahtus Sadaat, Tareekh Aaina-e-Awadh : Aur jab aa’n  Hazrat  Sarkar Ameer Qutubuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ki aulad badhne aur zyada hone lagi (iss haal mein) ke inmein se zyada tar log Qabil aur sahibe kamalaat the’n wo mutafarriq ho kar ja baja mukhtalif maqamaat par qayam pazeer hue’n. wahan unhone bahut shohrat paai aur mumtaz hue’n.

  • 1.  Hazrat Fazlullah Goshai’n Qutbi رحمتہ اللہ علیہ :

    Ba Hawala Kitab Zahoor e Qutbi, Tareekh Aaina Awadh, Seeratus Sadaat, Nuzhatul Khawatir

    Kada se uth kar Bihar mein sukunat akhtiyar ki. wo Majzoob aur saalik the’n. Bihar ka raja inka Mautqid hokar apni zabaan mein taziman inhe’n Goshai’n kahta tha aur Goshai’n hindustan ki zabaan mein Taarikut duniya ko kahte hai’n.

    Hazrat Fazlullah Goshai’n Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) Majzoob saalik ibn Syed Nasiruddin ganj ilm ibn Syed Hasan ibn Syed Ali Shah ibn Syed Bade Majzoob ibn Syed Qayamuddin ibn Syed Sadruddin ibn Syed Ruqnuddin ibn Syed Nizamuddin Hasan (رحمتہ اللہ علیہ) ibn Syed Ameer Kabir Qutubuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ)

    Aap Hazrat Makhdoom Bandagi Qutubuddin beena e dil Qadri Jaunpuri ki damadi aur amzaad ke rishte se pahle jaunpur tashreef le gaye’n phir wahan se muntaqil ho kar Mohalla Baradari  Bihar jo ab Zila hai sakin hue’n. In ke aane ki barkat aur dua se iss jagah ke raja ke ghar mein jo aulad se mehroom tha farzande nareena(Beta) paida huwa. Iss wajah se woh Raja maye apne reaaya aap ko aqeedatan Goshai’n  ji kehne laga. Aur akhir isi laqab se aap mashoor hue’n.

    Sahibe Nuzhatul Khawatir inke mutalliq raqmtaraz hai’n



    Hazrat Shah Fazlullah Goshai’n Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ke farzand Hazrat Syed Shah Mahmood huwe aur inke Hazrat Syed Shah Naseeruddin aur inke Hazrat Syed Shah Rafiuddin aur inke Hazrat Syed Shah Muhammad Muttaqi aur inke Hazrat Syed Shah Muhammad Taqi aur inke Hazrat Syed Shah Naqi (Darwesh e be riya) aur inke Hazrat Syed Shah khaleel Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) yake baad deegre sajjadanasheen wa janasheen apne walid buzurgwaar ke hokar apne rushdo irshad noor zahiro baatin se ek aalam ko munawwar karte rahen hain.

    Hazrat Shah Fazlullah Goshai’n Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ki aulad hamesha zaahiri eqtedaar aur baatni rushdo hidayat ki wajah se muazziz wa mumtaaz rahi hai. iss elaqe ke sheikho sadaat in se rishtedaari ko fakhr jaante rahe hai’n. Muhammad Farrukh siyar san (1713 se 1718) eiswi wa Ahmad Shah (1748 se 1752) wa Azeezuddin Alamgeer Saani (1752 se 1759) wa Aaligohar Shah Aalam (1759 se 1760) Shahane dehli ke ahed mein inki aulad mein se Syed Qutub Al Aqtaab Khan wa Syed Ghaus Al Aazam Khan wa Syed Mohiuddin Khan Tamgha e jageer wa khitaabkhani se sarfaraz hote rahe. Azeemoshaan wa Farrukh siyar dono baap beto ne bapase sayadat Syed sahab ki Khankah mein pure aezaz ke sath hazir ho kar Hazrat Shah Khaleelullah wa Hazrat Shah Muhammad Naqi (رحمتہ اللہ علیہ) ki ziyarat se musharraf huwa. Aur Farrukh siyar Hazrat Shah Muhammad Naqi (رحمتہ اللہ علیہ) ka Mureed hogaya Angreezi hukumat ke amaldari mein ye log apne sabiq khandani aezaz ke peshe nazar angreezi hukkam ke samne kam hazir huwe.inke ekhlaf mein Hazrat Shaikh Nizamuddin (رحمتہ اللہ علیہ)  huwe jo sahibe Aulad rahe’n jinse aulado’n ka silsila qayam raha. 







Hazrat Makhdoom Bandagi Qutubuddin beena e dil  Jaunpuri (رحمتہ اللہ علیہ) :

Bahawala Tazkiratul Ansab ,Kanzul Ansab : aap Shaikhine uzzam aur Aulia aali maqam se hain jo qutub e waqt aur sahebe tasarrufaat the’n.nasab naama aap ka iss tarha hai.

Hazrat Qutubuddin beena e dil  Jaunpuri (رحمتہ اللہ علیہ) bin Syed Hasan bin Syed Ali bin Syed Ameeruddin bin Syed Qayamuddin (رحمتہ اللہ علیہ) bin Syed Sadruddin (رحمتہ اللہ علیہ) bin Syed Ruknuddin (رحمتہ اللہ علیہ) bin Syed Nizamuddin Hasan (رحمتہ اللہ علیہ) bin Syed Qutubul Aqtab Ameer Kabir Qutubuddin Muhammad Al Madni (رحمتہ اللہ علیہ)

Aap ki aulad Kada Manikpur mein sukunat rakti thi’n. aap ka wisal 17 rabi uss sani san 1057 hijri mein huwa aur aapka mazaar Jaunpur mein marjae khalayak khas o aam hai.[az guldastae gulshan e faqeeri] 

 

  • 2.Hazrat Meer Syed Ahmed Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) :

    Ba Hawala Kitab Zahoor e Qutbi, Tareekh Aaina Awadh,  Seeratus Sadaat 

    Hazrat Meer Syed Ahmed Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ibn Syed Meer Sarwar ibn Syed Husamuddin ibn Syed Imamuddin ibn Syed Badruddin ibn Syed Abu Bakar ibn Syed Ziauddin ibn Syed Ruqnuddin bin Syed  Nizamuddin Hasan (رحمتہ اللہ علیہ) bin Syed Ameer Kabir Qutubuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ne Maaltipur Bengal mein qayam kiya.

    Woh apne ahad ke wali e Kamil aur zahid o akmal the’n aur inki inke zamane mein in jaisi misal na thi. Mashoor hai ta’at wa riyazat mein inki koi nazeer na tha.

    Naql hai ki inhone yaha’n tak mujahidat e nafsi kiya ki 40 saal tak dane ko haat tak na lagaya.

    inke behad aur beshumar karamate hai’n inki aulad  maltipur Bengal mein mauziz aur muhtaram thi’n aur inki mazaar maltipur Bengal mein marja e khalaeq khaso aam hai.

    Shajra Aulad Meer Syed Ahmed Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) (Ye Shajra inki auladon se dasteyab huwa jo haal muqeem Kanpur hai’n.

    Meer Syed Ahmed Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ke bete Meer Syed Abul Qasim ke bete Meer Syed Abdul Majeed ke bete Asadullah ke bete Syed Mansoor ke bete Lal Muhammad ke bete Ghulam Zahid (lawald) aur Ghulam Ahmad inke bete Iman Ali inke bete Umeed Ali inke bete Najaf Ali (lawald) aur Amjad Ali inke bete Adul Rahman  ke bete Abdul Wahab (aap ke chaar pisar huwe Farooq Ali, Qurban Ali, Najaf Ali, Subhan Ali in mein se  Farooq Ali ke teen Bete hue’n. Muhammad Javed, Parvez Ali, Naseem Ahmed aur Naseem Ahmad ke bete Abdul Salam ) 

    Amjad Ali ke dusre bete Abdul Aziz hue’n aur inke bete Abdul Hameed (lawald) aur Abdul Majeed ke bete Abdul Rashid(lawald) Abdul Saeed (inke bete Ansar Ahmad) Abdul Waheed (inke bete Izhar Ahmad) Abdul Hameed (Pakistan chale gaye) 

    Meer Abdul Wahab ke aulado’n mein Farooq Ali ke teen bete hue’n Syed Naseem Ahmad, Syed Muhammad Javed aur Syed Parvez Ali 

    1.Naseem Ahmad ke bete Syed Abdul Salam hue’n 

    2.Syed Muhammad Javed ke do bete Imran Ali aur Gufraan Ali hue’n

    3. Syed Parvez Ali ke teen bete Syed Jamshed Ali,Syed Zargham Ali aur Syed Shamsher Ali hue’n

    Furkan Ali ibn Meer Abdul Wahab ke teen bete Muhammad Ibrahim,Muhammad Miyan aur Ahmad Miyan hue’n.






 

  • 3.Hazrat Syed Qutubuddin Saani Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) : 

    aap ne Kada se uth ke Jais zila Raibarelly mein sukunat akhtiyaar ki. aap jalilul qadr Aulia Allah mein the’n.

    3.1 Hazrat Syed Qutubuddin Saani Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ):

    Ba Hawala Zahoor Qutbi, Tareekh Aaine Awadh, Tazkira Shah Ilmullah, Seerat Syed Ahmad Shaheed, Nuzhatul khwatir, Zikr sadaat e Qutbia Jais : Hazrat Syed Qutubuddin saani (رحمتہ اللہ علیہ)  kada se uth ke jais mein muqeem hogaye’n the’n. wahi inhone aur inki aheliya ne wafat pai. Aap dono ki mazaar ansariyo’n ke mohalla mein waqe hai. aur is mazar ke gharbi jaanib jo masjid hai wo hazrat Syed Qutubuddin saani (رحمتہ اللہ علیہ) ki hi banwai hui hai.

    3.2 Hazrat Syed Alauddin Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) :

    Syed Qutubuddin saani ke khalfe rashid Syed Alauddin ko inke zohdo ilm ke bina par Sultan Ibrahim Lodhi ne pargana Nasirabad ka Ohoda e Qaza  tafweez kiya. iss waqt se Syed sahib ne Kazba Nasirabad khas mein aakar sukunat akhtiyar ki. jis Mohalla mein inka Qayam tha iss ka naam Qazi ki nisbat se Qaziyana pad gaya aur aaj bhi isse naam se mausoom hai.

    3.3 Hazrat Syed Mahmood Qutbi(رحمتہ اللہ علیہ) :

    Syed Alauddin Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ke baad inke farzand Ohoda e Qaza pe faez hue’n. inho ne san 868 hijri mein wafaat pai. Bagh Qazi mein Madfoon hue’n. inke do naamwar farzand the’n.

    1. Hazrat Syed Muhammad (رحمتہ اللہ علیہ)


  • 2. Hazrat Syed Ahmad(رحمتہ اللہ علیہ)

    Qazi Syed Muhammad r.a 868 mein apne walid ke ohod e Qaza  par faez hue’n. aur 27 saal isko raunak bakshi. 12 rabiul awwal san 898 hijri mein wisal farmaya. inke kai farzand hue’n jo sab ke sab apne abao ajdad ke naksh qadam par the’n. Khusosun Syed Fateh Alam r.a jo san hijri 935 mein apne chacha buzurgwar (Qazi Syed Ahmad (رحمتہ اللہ علیہ)) ke baad Nasirabad ke Qazi hue’n. aur 958 hijri mein inteqaal farmaya. inke farzand Qazi Syed Abdul aziz wa Qazi Syed Abu Muhammad the’n.Jo Shahjahan Baadshah e Hind ke Darbaari Ameer aur Hazrat Syed Shah Ilmullah ke Haqeeqi mamu the’n.

    Qazi Syed Ahmad bin Syed Mahmood (رحمتہ اللہ علیہ) (mashoor ba Syed raje) ahteyaat e deeni hamiyat aur adaab shariyat mein mumtaz maqaam rakhte the’n. san 898 hijri mein apne bhai Qazi Syed Muhammad ke janasheen hue’n aur 37 baras tak masnade adalat wa qaza ko apne wajood se zeenat bakshi.

    inka ek waqiya iss tarah bayan hota hai.

    Qazi syed Ahmad ke baad Naseerabad mein Qazi ka mansab Syed Fateh Alam bin Syed Muhammad Bin Syed Mahmood r.a ne sambhala.inhone mughal darbaar se ilaqa khaas paida kiya inke farzand Syed abu Muhammad shahzada Murad baksh bin Shahjahan ke yahan Diwani ki khidmat pe mamur the’n.Qazi Syed Ahmad ke wisal ke baad inke farzand Syed Muhammad Muazzam Khandaan walon ke paas Naserabad chale gaya’n.inke do bete the’n Syed Muhammad Fuzail aur Syed Muhammad Ishaq dono bade aabid o zahid the’n. Khususan Syed Muhammad Fuzail ko ilm e zahiri wa baatini mein buland martaba hasil tha.Apne waqt ka zayadatar hissa azizo humsaayo’n aur zaifo’n ki khidmat mein basar karte the’n. inka ek waqiya iss tarah bayan hota hai.

    Inki Shaadi Qazi Syed Fateh aalam ki sahabzadi sahibun nisa bibi se hui. Bade Farzand Syed Dawood teen baras ke honge’n ki aap wisal kar gaye’n. chote farzand Syed Shah Ilmullah inke wisal ke 2 maheene 14 din baad paida hue’n. Yahi Syed Shah Ilmullah r.a Hazrat Syed Ahmad Shaheed ke jadamjad the’n. Ahad Alamgeer ke ahle Haq mein inka misl aur nazeer koi nahi tha.

    Syed Muhammad Ishaq aadam banoori ke muasir the’n. inko aksar mashaikh aur buzurgo se istafada ka mauqa mila. tamam umr mujahidaat, riyazato’n aur nafs kashi mein guzri. inke farzand Deewan Syed Khawaja Ahmad aalim mutbaher aur sahib e baatin buzurg the’n. inke dusre farzand maulana Syed Hidayatullah wa Syed Tajuddin ilm aur fazal kamalaat zahiri aur baatini mein buland paye rakhte the’n.

    Deewan Syed Khawaja iss khandan ki naamwar shaksiyaton mein aap ka naam faramosh nahi kiya ja sakta. aap ilm fazal aur sulook marfat dono mein dastagah kamil rakhte the’n. wo badsutoor apne mustaqir Nasirabad mein muqeem rahe’n. ibtedai taleem nasirabad mein hasil ki is ke baad Allahbad jakar Hazrat Sheikh Muhibullah Allahabadi ke samne zanue talmeez tae kiya aur ek arse tak inki khidmat mein rah kar maqolat aur manqolat ki takmeel ki akhir mein jazbe ilahi ka ghalba hua aur bechaini badhne lagi tu Hazrat Adam ba noori ki talash mein nikle. aur gwalior mein inka daaman pakda aur inke hijrat se Qabl khilafat se sarfaraaz hue’n. inki saari zindagi dars wa ifadah ibadat wa zikr aur muraqba mein guzri shariat par istiqamat kamal zuhdo ahtiyat aur is ilm wa marfat ke saath karamaat wa khwariq ka bhi is kasrat se sudoor hota tha jo inke darje ke kisi aalim wa shaikh se sunne mein nahi aaya. kafi kitabe tasneef ki lekin zamane ki dastbard ne inko baqi na rakha. 86 saal ki umr pakar san 1088 hijri mein Nasirabad mein inteqaal farmaya aur apni masjid ke sehan mein dafan hue’n. Aur Madarzaad Wali Syed Muhammad Ibrahim ko yaadgar chodda. aap ki aulad mein beshumar Aulia Allah guzre’n jin  mein sab se badh kar Hazrat Khawaja Ahmad sani nasirabadi the’n.

    3.4 Hazrat Khawaja Ahmad sani nasirabadi (رحمتہ اللہ علیہ)

    apne zamane ke bade Aulia Allah mein shumar kiye jate the’n. Hazaro’n Jahilo’n ko deen wa shariyat ki talim dekar shirk wa bidaat se bacha liya chunanche in ke dast mubarak par hazaro’n ne baet aur taqmeel sulook ki inke Khulefa aur majazeen mein bade bade ulema the’n. lekin in ki umr ne zayada wafa na ki aur wo jawaani ke haalat mein san 1289 hijri mein apne rab se ja mile’n. aur apne jad Dewaan Syed Khawaja Ahmed r.a ke qareeb madfoon hue’n.

    aap ke do farzand Syed Abdullah aur Syed Khalilur rahman urf ji miya yaadgaar the’n.

    3.5 Hazrat Syed Shah Ilmullah Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ):

    Hazart Syed Shah Ilmullah Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) tareekh islam ke un khushkismat aur muntakhib ashkhas mein hai’n jo na sirf apne zaat se naboowat e Muhammad  sallallaho alaihe wasallam ke kamalaat wa ausaf ka zinda maujza aur islam ki abdiyat wa salahiyat aur iski saherangezi aur inqelab afreeni ki raushan nishani thi. balki inke sabhi sahabzade aur pote apne apne waqt mein Aulia e Kamileen, sulook o marifat ke malik the’n.

    Aap ki paidaish 12 rabiulawwal san 1033 hijri ko wajood mein aai. aap ke paida hote hi sunnate yattemi wa yaseri ki takmeel hui. walid ka saya inki wiladat se taqriban dhaai maheena pahle uth chuka tha aur walida ki wafaat bhi inki wiladat ke teen saal baad hogayi. Aap ki parwarish aapke maamu Hazrat Deewan qazi Syed Abu muhammad ne farmai.

    Bahawala Tareekh Aaine Awadh Hazrat Shah ilmullah (رحمتہ اللہ علیہ) ilm zahir ke husool aur silsila e naqshbandia mein baet hone k baad ilm baatin k ektisab mein masroof hue yahan tak ki ettiba kitabullah aur pairwi sunan rasool allah sallallahu alaihe wasallam aur mujahidate nafsi se shuhra e aafaq hue. aakhir apne ghar ka saara saman raahe khuda mein eisaar kar k kuch din qila raibarailli mein muqeem rahe’n. Jab taalibane raahe khuda ka hujoom hua to takiya ki zameen mein khankah bana kar aqamat guzi’n hue aur bade ahtimam aur kamaal ahtiyat se apne mureedo’n ke saath khud lag kar kursi nadi k kinare maujooda masjid taiyar kar k juma aur jamaat qaim ki.

    Aap ki karamate’n bahut hain ye mukhtasar kitaab in k bayan ki gunjaish nahi rakhti.

    Baadshah Aurangzeb aap k mautqido’n mein tha us ne inki madah apne reqaat mein aksar tahreer ki hai.

    Tazkirahtul abraar mein hai ki aapki bahut aarzoo thi ki aapki umr huzoor sallallahu alaihe wasallam k umr se mutajawez na ho aur akhirkaar ye sa’adat bhi aap ko haasil hui aur san 1096 hijri ko 63 saal ki umr mein wafaat paakar hayat e jawedani hasil ki.

    Auranzeb ka khwaab Kitab Zahor e Qutbi se naqal hai.


    Hazrat Shah Ilmullah (رحمتہ اللہ علیہ) ki shaadi Bibi saleha dukhter Syed Mohammad Hashim Jaisi(رحمتہ اللہ علیہ) se hui. jin se chaar sahabzade Syed Ayatullah (رحمتہ اللہ علیہ), Syed Muhammad Huda (رحمتہ اللہ علیہ), Syed Abu Hanifa (رحمتہ اللہ علیہ) aur Syed Muhammad Maroof ba Muhammad jee hue’n. Aur ye charo hazraat apne aba o ajdad ke haqiqi janasheen the’n.

    Hazrat Syed  Shah  Ilmullah (رحمتہ اللہ علیہ) ke silsilae aulad mein  Syed shah Muhammad Huda, Syed Muhammad jee, Syed Muhammad ehsan, Syed muhammad zia, Syed Muhammad Moin, Syed Muhammad Sabir, Syed Muhammad Noor, Syed Muhammad Sana, Syed Abdul Baaqi, Syed Muhammad Hukm, Syed Shah Abu Saeed, Syed Shah Muhammad Irfan ye sab apne apne waqt ke jalilulqadr Aulia wa Ulema tasleem kiye jate rahe’n hai’n.

    Syed Ayatullah (رحمتہ اللہ علیہ) bade shuja aali himmat aur buland hausla hoone ke saath saath bade aabid aur zahid shakhs the’n. inke paanch farzand Syed Muhammad Ahsan, Syed Muhammad Zia, Syed Azimuddin Shaheed, Syed Muhammad Fayaz, Syed Muhammad Sabir aur do sahabzaadia’n hui’n.

    Syed Muhammad Zia apne walid ke  wafat  ke baad 30 saal tak masnad e irshad wa islah ko zeenat bakhshi aur  bahut se ahle Himmat aur ahle talab(mureed) in se faizyab hue’n. inhone do farzand yaadgaar chhode Syed Shah Abu Saeed aur Syed Muhammad Moin.

    Syed Shah Abu Saeed (رحمتہ اللہ علیہ) aap apne waqt ke mashoor Aulia Allah mein se the’n. Hazrat Shah Waliullah ke mureed khaas aur majaz the’n. Hazaro’n Tishnigane marifat ko apne faiz se mustafeed kiya. Syed Shah Abu Saeed r.a Hazrat Syed Ahmed  Shaheed r.a ke haqiqi nana Syed Muhammad Sabir ke damad aur  Syed Ahmad Wajih ke bahnoi the’n. Shah Abu Saeed ke ilm o fazal aur zohodo taqawa par uss zamane ke sare ulema ka ittefaq tha. in ke aulad mein shah Abul Lais, Syed Abdul jaleel, Syed Abdul Rasheed aur Hafiz Syed Muhammad Ahsan ashabe ilm guzre hai’n.

    Hafiz Syed Muhammad Ahsan Sahab ke Silsila e Aulad mein kuch afraad Mera Road, Mumbai Maharashtra mein sukoonat pazeer hai’n. jin mein se Syed Naseem Ahmad sahab ek advertisement company ke malik hai’n aur apne ek farzand  Syed Rayyan Qutbi aur do dukhtar ke saath shaad o abaad hai’n. inka silsila e nasab Hafiz Syed Muhammad Ahsan sahab tak iss tarah hai. Syed Rayyan Ahmed Hasani ibn Syed Naseem Ahmed Hasani ibn Syed Aziz Ahmed Hasani ibn Syed Nazeer Ahmed Hasani ibn Syed Abdul Ghani Hasani ibn Hafiz Syed Muhammad Ahsan Qutbi.

    3.6 Syed Muhammad Adal urf Syed Shah lal (رحمتہ اللہ علیہ) :

    Syed shah Ilmullah ke poto’n mein sab se mumtaz aur raushan naam Syed Muhammad Adal urf shah lal ka hai. jo syed Muhammad jee ke farzande asghar syed muhammad hukm ke biradare khurd hai’n. apne waqt ke naamwar mashaikh wa Aulia Allah mein hai’n. Awadh ke iteraf mein zayadatar silsile aise hai jinka inse baet wa iradat ya ijazat wa khalafat ka taluq hai. Hindustan ke Mashoor Markaz e ilm aur halqae dars Firangi Mahal ke baaz naamwar ulema bhi jo inke muasir the’n ek arse tak inke khidmat mein rah kar inke faiz sohbat wa tarbiyat se faizyab aur khalafat se sharfyab hue’n. is tarah Kakori ke mashoor silsila e Naqshbandia aur baaz akabir silsila e Qalandariya ki nisbat roohani bhi aap hi se hai.

    Seerat e Ilmia ke woh hashiya jisko Nuzhatul khawatir mein darj kiya hai. wo iss tarah hai.

    Syed Shah Abul Hasan Shaheed (رحمتہ اللہ علیہ) Aaine Awadh mein likhte hai’n ke Jang se pahle Hafiz Rehmat Khan Rohaliya Raees Raibarelli ne Shah lal (رحمتہ اللہ علیہ) ke pass apne fateh ki dua karane ke gharaz se ek darkhwast bheji. inhone iss par ye farmaya ki tum na haq pe ho maye tumhare liye Dua’e khair nahi karonga. aur wo tahreer ittefaq se pakdi gayi aur nawab Shujauddaulah ke samne pesh hui. Nawab Hazrat ki haq nuaesi ko dekh kar inka bahut Mautqid wa madah hua. Aap 85 saal ki umr mein 11 ramzanul mubarak san 1192 hijri ko wisal kar gaye aur Roza Shah Illmullah (رحمتہ اللہ علیہ) mudfoon hue’n.

    3.7 Hazrat Syed Ahmad Shaheed (رحمتہ اللہ علیہ):

    ibn Syed Muhammad Irfan Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)r.a  13vi sadi Hijri ke mujaddid wa musleh aur mujahide aazam Musannif Tareekh Aaine Awadh Syed Muhammad Abul Hasan apne Kitab mein likhte hai’n. akhir zamane  mein Syed Ahmad sahab aise muqaddas hue’n ke apne aba o ajdad par goye sabqut le gaye’n aur ek alam ko jo jehel wa zalalat mein mubtela tha shirk aur bidat se bacha kar rahe rast par laye’n aur Arab se Ajam tak targheeb jihad ka ghalghala buland kiya. Syed Ahmad Shaheed (رحمتہ اللہ علیہ) ki wiladat maah safar san 1201 hijri mein Daira Shah Ilmullah mein jo ab Takia Kala’n se mashoor hai hui.aap ko bacpan se he Jihad ka shauk tha chunanche  iski tayari ke liye warzish karne kushti ladne aur mardana wa sipahyana khelo mein aap bahut dilchaspi lete the.Sane Baloogh ko pahuche tu khidmate khalq ka aisa jazba paida hua ki acche acche  buzurg aur Allah wale hairan rahe gaye’n. Saath hi Ibadat wa zikr Ilahai ka bhi bahut zauq tha. Raat ko tahajjud guzari wa din ko khidmat guzari wa dua wa munajaat mein mashghul rahte’n. Jawan hue tu Delhi jakar Shah Abdul Aziz bin Shah Waliullah Muhaddis Dehlvi (رحمتہ اللہ علیہ) se baet hue’n. Shah sahab Mausoof  aur inke bhaiyon Shah Abdul Qadir wa Shah Rafiuddin ke faiz sohbat aur wadiyate Khudawandi se aap mein aise aise kamalat paida huwe ke khud Khanwada e Waliullah ke afraad khususan Maulana Abdul Hai wa Maulana Muhammad Ismail aap se baet hogaye’n. Din ba din aap ke shuhrat badhti gayi bade bade ulema wa suleha aapki taraf mutawajjeh hue’n Bahar se bhi qasrat se dawatnama aana shuru hogaya. Aapne Shah Abdul Aziz (رحمتہ اللہ علیہ) ki ijazat se mukhtalif maqamat ka safar kiya aur saikdoh Khanwado aur Hazaro’n logone aapse baet karke shirq wa bidat se tauba ki. San 1238 hijri mein aap 757 humrahi ke saath aap Haj e Baitullah aur Ziyarat e Madina Munawwara se sharfyab hue’n. Iss waqt punjab ke musalamano ki halat qabile rahem thi aur hadh darje sharmnak thi. Raja Ranjeet Singh aur dosre Sikho ke gharon mein khullam khulla musalmaan aurte thee’n jinke saath janwaron sa suluk kiya jaata tha. Masajid ki koi hurmat baqi na rahi thi. Lahore ke mashoor shahi Masjid ke hujro mein Sikh raja ka astabal tha. In haalat ko Syed Ahmad Sahab ki hamiyat aur ghairate deeni bardasht na kar saki chunanche aap haj ke baad mukammal Jihad ki tayari karke san 1241 hijri mein Ba azm Jihad kooch kiya aur Afghanistan pahunch kar tamam afghaniyon ko mutey wa farma bardaar kiya aur 24 zilqadh san 1246 hijri mutabiq 1831 eiswi ko Peshawar ke saradh par maqam Balakoat mein Raja Ranjeet singh ke lashkar se jang karte huwe Sardar Peshawar aur iski qaum ki Ghaddari ki wajah se Islami Lashkar ko shiqast hui.   Aur Hazrat Syed Ahmad Qutbi Shaheed (رحمتہ اللہ علیہ) Maulana Shah Ismail ke saath Darjae Shahadat par faez hue’n. Sikho’n ne (mashoor riwayat ke mutabiq) Hazrat Syed Ahmad (رحمتہ اللہ علیہ) ke jasade mubarak ko shinakht karke nehayat ahtiram se  Islami tareeqe par daffan kardiya. Maulavi Abdul Ahad likhte hain Hazrat Syed Ahmad Sahab ke haath par 40 hazaar se ziyada ghair muslim musalman hue’n. 30 lakh se zyada Musalmano ne aapke Haath par baet ki. Aur jo silsilae Baet aap ke Khulefa aur khulefa ke khulefa ke zariye tamaam roo e zameen par jari hai iski tayedad croro hai. san 1975 mein Syed Tufail Ahmad Madni sahab ne Hazrat Syed Ahmad  Shaheed r.a ko Khiraje aqidat pesh karte huwe ek nazam ba unwan Hazrat Shaheed likhi thi. jisme sarkar Ameer Kabir Qutubbudin Madni r.a wa Syed Ahmad Shaheed r.a wa Syed Maulana Abul Hasan Qutbi r.a ka zikr kuch iss tarha se kiya hai.



    3.8 Syed Muhammad Ibrahim wa Syed Muhammad Is’haaq  jo aap ke haqiqi bhai the aap hi ke tarah Sahibe zohdowara aur himmatwar buzurg the’n.

    3.9 Zikr Sadaat e Qutbia Riyasat Tonk (Rajasthan):

    Hazrat Maulavi Abdul Subhan bin Syed Usman bin Syed Muhammad Noor bin Syed shah Muhammad Huda bin Hazrat Shah Ilmullah r.a aalim wa abid buzurg  wa apne islaf ka namoona the’n. san 1212 hijri mein aap ka wisal hua. inhone chaar laiq farzand Syed Muhmmmad Ali wa Syed Ahmad Ali wa Syed Hamiduddin Hamidi wa Syed Abdul Rehman apni yaadgar chhode. ye charon sahabzadgaan Syed Shah Ahmed Shaheed r.a ke bhanje aur mehboob aziz the’n. in charon ne akhir umr tak Hazrat Shaheed ka saath dekar jaanisari aur jaansipari ka suboot diya.

    In buzurgo’n se riyasat Tonk rajasthan abaad huwa waali e riyasat Tonk Waziruddaulah ke shadeed israr aur khushamad par in hazraat ko Tonk muntaqil hona pada. Nawab sahab ne in hazraat ko sabse badi jagir ata ki aur khud darwaze par khadimana hazir hone ka mamool rakha. Ye log aur inke mutalliqin jahan abaad huwe’n woh mujahideen ki nisbat se mohalla kafila kahelaya.(ye Khanwada baad mein pakistan muntaqil huwa aur kuch log apne aabai watan Takiya Raibarelli UP muntaqil huwe.)

    3.10 Syed Abdul Ali Nasirabadi (رحمتہ اللہ علیہ) : 

    Syed Abdul Ali Nasirabadi (رحمتہ اللہ علیہ) bin Syed Ali Muhammad bin Syed Akbar Shah bin Muhammad Shah bin Syed Muhammad Taqi bin Syed Abdul Rahim bin Syed Hidayatullah bin Syed Is’haaq bin Syed Muazzam bin Qazi Syed Ahmad bin Qazi Syed Mahmood (رحمتہ اللہ علیہ) (nawase Syed Ilmullah (رحمتہ اللہ علیہ)) Aap Syed Muhammad Zahir (janasheen Hazrat Syed Ahmad Shaheed (رحمتہ اللہ علیہ)) ke damad the’n. aur isi rishtey ke bina par apne teen bhaiyon Syed Abdul Razzaq wa Syed Abdul Wahab wa Syed Abdul Aziz ko Nasirabad mein hi chood kar Takia Shah Ilmullah Raibarelli  mein aakar Qayam pazir hogaye the’n. Inke Sahabzaade Maulwi Hakim Syed Fakruddin khayali apni Kitab Mehere Jahantaab (Farsi) mein apne walid majid ke mutalliq likhte hain wo zahidozama wa muttaqi zora’n the’n. Riyasat Nagoad(Bundelkhand) mein Tehsildar aur Munsif the’n maqool mushiarh tha. Magar talluqe duniya  aur silsilae mulazimat ke bawajood bahama aur behama the’n dil byaar aur daste bukar ka mazmoon tha. Nihayat khush auqat zakir wa shaghil buzurg the’n khane peene mein nihayat mohtat the’n. Kisi fareeq muqadma ke yahan khana nahi khate the’n aur na uska tohfa qubool karte the’n. us qurbejawaar ke log aap ki barkat wa faiz e suhobat se pabande shariyat wa soomsalat hogaye 40 saal ki umr mein 1269 hijri mein Nagoad mein wafat pa gaye’n. Akhri Kalma zaban par “Bil Rafiq Al Ala” tha. Iss kufristan mein pahle masjid jo aap ki wajah se bani thi iske jawaar mein dafan hue’n.

    3.11 Hazrat Maulavi Hakim Syed Fakruddin khayali (رحمتہ اللہ علیہ)

    Maulana Hakim Syed Abdul hai (رحمتہ اللہ علیہ) ke walid majid aur Maulana Syed Abdul Ali Nasirabadi (رحمتہ اللہ علیہ) ke sahabzade apne zamane ke jalilulqadr Urdu Farsi language ke musannif wa shayar the’n khayali takhallus Tasaneef ka ek daftar bepaya’n yaadgaar chhoda jis mein Mehere Jahantaab (Farsi) khususiyat se qabile zikr hai jiski pahli jild 1300 safo’n par tamam hui hai. alawa az ye ki Seerat us Sadaat bhi inki mashoor kitab hai. puri umr gumnami zohdoqanat mein  aur ilmi khidmat mein guzari. Baet aur Khalfat apne Phupha Imam e Rabbani Maulana Syed Khawaja Ahmad Qutbi Nasirabadi r.a se hasil ki jo zakir aur shaghil buzurg the’n. Intiqal ke waqt bawajood is natawani kaan laga kar sunna dushwar tha Qalb is qadr jari tha ki door tak Allah Allah ki awaaz aa rahi thi. san 1326 hijri  mein wafaat pai shorae urdu ke tazkirah mein Gul Rana mein aap ke halaat wa qalam ka namoona hai. inki shaadi Haswa mein Syeda Azizun nisa bibi dukhtar maulana Syed Sirajuddin se hue jo apne waqt ke bade aalim wa shaikh tareeqat the’n. Aap ke ek Laiq farzand Syed Abdul hai hasni (رحمتہ اللہ علیہ) hue’n.

    3.12 Maulana Syed Abdul Hai Hasni Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)

     Aap 18 ramzanul mubarak san 1286 hijri mein takiya shah ilmullah r.a mein paida hue’n. Bade sahibe fazl deendaar aur Allah waale buzurg the’n. peshe se ek tabeeb the’n. Inke jaleelulqadr farzand hazrat Syed Abul Hasan Ali Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) apne kitab “Carvane Zindagi” mein likhte hain ki walid sahab ka saara waqt tasneef wa taleef matab aur nadwatul ulema ki nizamat mein guzarta tha. Aap tabiyat ke bade yaksoo khamosh aur mashghool insaan the’n. Aapko matab aur nadwa ki nizamat se jo waqt bachta wo sab “Nuzhatul Khwatir” ki tasneef mein sarf karte the’n jo aapki mash’hoor maroof tasneef hai. Nuzhatul Khwatir ke alawa aur bhi bahut si tasaneef aapki mash’hoor hain jinme se “Gul Rana” khususi taur par qabil e zikr hai jiski ahmiyat ka aetiraaf Allama Iqbal aur Rasheed Ahmad Siddique aur dusre bahut se ahle ilm ne kiya hai. 15 jamadiul aakhir san 1341 hijri mutabiq 2 feburary 1923 eiswai baroz Juma Lucknow mein aapka Inteqaal huwa aur Shah Ilmullah Takiya Raibarelli mein Madfoon hue’n.Aap ki pahli shaadi Syeda Zainab bibi dukhtar Syed Abdul Aziz Wasti Haswi se hui. jin se ek farzand Dr. Syed Abdul Ali paida huwe. chand saal baad Zainab bibi ka inteqaal hogaya tu aap ka aghd sani Syeda Khairunnisa bibi dukhtar Shah Ziaunnabi Hasni Qutbi r.a se huwa. jo khud badi sahib e dil aur arifa khatoon thi’n. Aap Quran majeed ki jayyad Hafiza thi’n.akhiri umr tak jab tak taqat wa tawanai rahi apne ghar mein pabandi se Tarawih sunati rahi’n. Shariyat ki pabandi ka khas lehaz rakhti ki koi khilaf e shara kaam na karne paye. subha fajr se namaze isha tak wazaif mein mashghool rahti thi’n. raat ko jaldi uth jaati’n aur tahajjud waghairah mein mashghool ho jaati thi’n. Aap apne waqt ki rabiya basariya thi’n. aap shayera bhi bahut achchi thi’n. Aapke nazmo’n aur munajaat ki ek kitab jo “Kaleed e Rahmat” ke naam se manzare aam par aai bahut maqbool hui. ladkiyo’n ke liye kai kitabe tasneef ki jinme se “Hasan mu’ashrat” aur “zaeqah” qabile zikr hai. 6 jamadiussani 1388 hijri mutabiq 13 August 1967 eisvi baroz sanichar aap ka inteqaal hua aur takiya Shah Ilmullah Raibareli mein apne shauhar Maulana Shah Abdul Hai Hasni Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ke pahlu mein dafn hui’n. Aap ke do sahabzaadi Syeda Azeezunnisa bibi wa Syeda Aisha bibi aur ek jaleelul qadr farzand Hazrat Maulana Syed Abul Hasan Ali Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) urf (Ali miyan) paida hue’n.

    3.13 Hazrat Maulana Syed Abul Hasan Ali Nadwi Qutbi r.a urf (Ali miyan)

    Mufakkirul Islam Mujaddid Deenomillat Imamul Asr Hazrat Maulana Syed Abul Hasan Ali Nadwi Qutbi r.a Arabi zaban wa adab ke qadirul kalam adeeb aalim islam ke batle jaleel payam insaniyat ke alambardar millat islamia Hind ki aabro Motadad taleemi milli wa samaji tahreeko’n ke rooh rawa’n baani wa sarparast hone ke alawa alam e Islam ki kai ilmi wa tahqiqi anjumano’n ke ruknruki’n the’n. Aap ki ilmi Deeni Mazhabi Fikri wa Tahqiqi Qaumi wa insani Khidmaat guzishta ek sadi par muheet hai. In khidmaat ko na sirf Hindustan mein qadr ki nigahon se dekha gaya balki bairone Hind  bhi inka iteraf kiya gaya aur inko kai Award pesh kiye gaye’n.1998 mein Hukumat e Dubai ne ap ko Islami centuary ki sab se badi shaksiyat Qarar diya gaya. INTERNATIONAL  TRADE Center mein aap ki Khidmat mein AWARD pesh kiya jisko aap ne mahaz ek atiya e Ilahi qarar diya aur inaam mein milne wali raqam one million dirham taqreeban 2 crore Rupiya Hind wa Bairone Hind mein Deeni Taleem ki Farogh deeni ke liye waqf kardiya. In sab Aezazat ke alawa aap ko sab se Bada Manvi Aezaz mila woh ye ki na jane kitne sarbarahan e Mumliqat aur Ulema e Khawas ki maujoodgi mein Kaaba ke Kaleedbardar ne Aap ko Kaleede Kaaba aap ke daast mubaark mein di aur  farmaya ki dare Kaaba ka Qufl aap khole’n aur bargaahe Ilahi mein maujood logo’n ko sajdaraiz hone ka mauqa inayat kare’n jisne Fateh Mecca ke mauqe par uswae Nabi ﷺ ki yaadgaar taaza kardi 

    Aap ki Wiladat 6 Muharramul Haram 1332 hijri mutabiq 5 dec 1913 eiswi  Taqia Kala Raibarelli mein hui. Aur november 1934 mein aapki shaadi aapke mamu Syed Ahamd Saeed ki Dukhter Syeda Taiyyabun nisa Bibi se hui jin se koi aulad nahi hui aur inka inteqaal 1989 eiswi mein ho gaya.

    Maulana Syed Abul Hasan r.a ka kaarnama e hayat taqreban puri sadi par phaila huwa hai wo apne zaat mein ek mutahriq sadi the’n. Aap ka tafseeli zikr Tazkira Sadaat e Qutbi aur in jaisi saikdo’n kitabo’n mein milta hai.

    Aap ka wisal 31 dec 1999 eiswi mutabiq 22 Ramzanul Mubarak 1420 hijri baroz juma Surah Yaseen ki Tilawat karte hue huwa. Aap ki Namaz e Janaza Haram e Kaba mein Lakhon logo ke majme mein  ghaebaana taur par padhai gai Aur taqreeban pure Duniya mein iska ahtemam kiya gaya. Aap ko Rauza shah Ilmullah mein mudfoon kiya gaya. Professor Syed Tufail Ahmad Madni Qutbi sahab ne Hazrat e wala se apne aqidat wa mohabbat wa tassurat e qalbi ko ash’haar ki shakal di thi wo zere nazar qareenekram hai.



    3.14 Zikr Sadaat e Qutbia Mohalla Khalishaat Raibarelli

    Hazrat Syed Shah Dawood bin Syed Muhammad Fuzail (رحمتہ اللہ علیہ) Shah Ilmullah (رحمتہ اللہ علیہ) ke bade bhai the’n. aur Khud bhi apne Ilm o fazl zuhado qanat duniya se beraghbati aur ittebae shariyat mein aap islaaf ke qadam ba qadam the’n.inki aulad Naseerabad se muntaqil hokar mohalla khalis haat zila raibarelli mein qayam pazir hui’n.woh sab Ilm e Marifat zuhad o qanat mein yakta e asr rahe’n.

    3.15 Zikr Sadaat e Qutbia dalmau wa Kanpur

    Hazrat Syed Abu Muhammad (Syed Shah Ilmullah ke mamu) ke auladon mein se do bhai Maulavi Syed Abdul Ahad aur Maulavi Syed Abdul Samad ba rishta damadi Mir Shujati Ali wakeel sarkar zila Kanpur (jinki asl sadaat bazaidpur se thi) dalmau mein sakin huwe’n.Syed Abdul Samad lawald faut hue.jab ki Maulavi Syed Abdul Ahad sahibe aulad hue’n.inke bete khalf rasheed Syed Muhammad Asharaf musannif Tareekh Aaine Awadh ke zamane mein maujood the’n.inko Mir Shujat Ali ke tarke se bhi hissa mila tha.Aur yahi inke wahan qayam ka ba’is tha.

    Shajra e Nasab inka ye hai: Syed Muhammad Ashraf ibn Maulavi Syed Abdul Ahad ibn Syed Abdul Rahman ibn Syed Aale Nabi ibn Syed Muhammad Hammam ibn Syed Barkatullah ibn Syed Ubaidullah ibn Syed Madinatullah ibn Syed Abu Muhammad ibn Syed Fateh Alam ibn Syed Abu Muhammad ibn Syed Mahmood Naseerabadi ibn Qazi Syed Alauddin ibn Qazi Syed Qutubuddin Saani Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)

    Aap Sahibe Aulad the’n aur aapki aulade’n Dalmau zila Raibarelli aur  Kanpur mein aabad rahi’n.

    <<<<>>>>>>>>









    4.Hazrat Syed Hasan Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) :

    Ba Hawala Zahoore Qutbi,Tareekh Aaine Awadh ,Siratus Sadaat ,Ansab Ashraaf,Tareekh Kada wa Manikpur 

    aap ne Kada se uth ke Ajhwa  mein qayam kiya. aap kamil Aulia Allah mein shumar hote the’n.

    Mauza Ajhwa Syedus Sadaat aali darjaat Meer Qazi Hasan Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ke naam salateene delhi ke taraf se maaf tha.isliye wo isko apni panahgah samajh kar Kada se Ajhwa Muntaqil hogayee.Inki Aulad mein se aksar log Mashahir zamana rahe’n hai’n.Shujaat wa sakhawat wa tawazah is khandana ka turrae imtiyaz tha.Taharat nasab jaddi wa maadri in logo’n ki aise thi ki kul Sadaat e Qutbia wa Bukhari wa Isfahani wa Gardeezi iss Khandan mein rishta karne ko Afzal jante the’n. Magar Afsos Kasrate Aulad ke bawajood jinka shumaar 40-50 gharon ka tha akhir mein sirf 2 ghar baaqi rah gaye

    4.1 Pehle Syed Farzand Ali urf Bechu Miyan ka jin ko Musannif Tareekh Aaine Awadh ke walid Majid Syed Muhammad Mahdi Baksh ki phuphi Syeda Daulatun nisa Bibi mansoob thi’n.jinke batn se teen pisar Syed Abdul Ali , Syed Bakshish Ali wa Syed Hamid Ali paida hue’n.Lekin bawajood Kasrate Aulad ke sab lawald rahe’n.1305 hijri mutabiq 1880 eiswi mein in mein se sirf Syed Bakshish Ali ke pote Syed Rafiuddin aur Syed Abdul Ali wa Syed Hamid Ali ke nawase zade Syed Amir Husain apne Buzurgon ke naamon ki yaadgar the’n.

    4.2 Dusre Haji Syed Shukrullah urf Syed Sadli bin Syed Dost Muhammad bin Syed Ali bin Syed  Bazaid  bin Syed Ruknudin bin Syed Qazi Hasan Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) .Syed Shukrullah ke farzand Syed Ghulam Ghaus ke chaar pisar Syed Qasim Ali , Syed Muhammad Ali ,Syed Hasan Ali , Syed Husain Ali huwe.

    Syed Qasim Ali ke ek pisar Syed Ramzan Ali hue’n inka aage chal ke dukhtari aulad ke baad silsila khatam hogaya.

    Syed Muhammad Ali ki aulad e dukhteri mein Musannif Aaine Awadh ki dadi thi’n.Aage inki aulad ka silsila bhi khatam hogaya.

    Syed Hasan Ali ke farzand Qazi Syed Abdul Rasool urf Syed Amri ajhwa se rasoolpur pargana kotla tehsil khaga zila Fatehpur muntaqil hogaye aur maures e sadaat e Qutbia rasoolpur Zila Fatehpur huwe.Ye mauza inke naam qayam raha.Aap ke ek farzand Maulavi Syed Ali Asghar huwe.Inke ek farzand Syed Maqsood Ali the’n jinki shaadi Bibi Zarab dukhtar Syed Shah Hashim (رحمتہ اللہ علیہ) sakin Kurra sadaat se hui.inke ek bete syed Shujaat Ali paida hue’n jinki shaadi Zainab Bibi Dukhtar Hazrat Karim Baksh r.a bin Syed Hashim r.a sakin kurra se hui.jin se teen pisar  Syed Qazim Ali ,Syed Ata Husain,Syed Bahadur Ali huwe.Jin mein Syed Ata Husain ki shaadi Ghaforun nisa bibi dukhtar Syed Mahdi Baksh bin Hazrat Karim Baksh (رحمتہ اللہ علیہ) bin Syed Hashim (رحمتہ اللہ علیہ) sakin kurra sadaat se hui.iske baad aap kurra sadaat qayam pazir huwe. Syed Ata Husain ke teen bete huwe Syed Maulavi Asghar Ali wa syed Muhammad Abu Zaffar aur Syed Abul Abbas huwe.Yeh sab Sahibe Aulad the’n.




    Syed Husain Ali ki aulad mein Syed Waris Ali wa Syed Kudrat Ali wa Syed Babbar Ali aur Syed Hurmat Ali hue’n.

    san 1857 eiswi mein siwae Syed Babbar Ali jo nabina then teeno bhaiyon ko Angrezo ne Shaheed Kardiya (Takhtaedaar par chadah diya) Syed Babbur Ali apne binai ki mahroomi ki wajah se bache rahe’n aur iss tarah inki aulad ka silsila qayam raha.inke ek pisar Syed Umar Ali huwe inke teen pisar Syed Waris Ali ,Syed Qudrat Ali aur Syed Hurmat Ali 

    Syed Waris Ali ,Syed Qudrat Ali lawald rahe’n.Jab ki Syed Hurmat Ali  ke do pisar Syed Nazir Ahmad wa Syed Abul Hasan aur ek dukhtar Zubaida Khatoon bibi huin.

    Syed Nazir Ahmad lawald rahen jab ki Syed Abul Hasan ke ek pisar Syed Ibrahim Hasan aur ek dukhtar Safiya bibi hue’n 

    4.3 Syed Ibrahim Hasan:

    Inhone qurbe jawaar mein acchi shuhrat pai inki shaadi kurra sadaat ke Syed Abul Muzaffar urf kallan miyan ki dukhtar riyasatun nisa se hui jin se do pisar Syed Nazir Hasan urf bahadur miyan wa Syed Abrar Hasan  aur ek dukhtar Rukhsana Khatoon (Zauja Maulavi Syed Razi Ahmad Qutbi Manikpuri ) huin. Syed Abrar Hasan lawald rahen aur jawani mein inteqaal kargaye. Syed NazirHasan urf  bahadur miyan jinki shaadi Shah Waris Hasan r.a Kodah Jahanabadi ki dukhtar quraisha khatoon se hui. jin se teen pisar Syed Hasan ,Syed Tahir Hasan ,Syed Aziz Hasan aur chaar dukhtaran Mahjabi’n Khatoon(zauja Aziz Ahmad Fatimi) Qamarjabi’n Khatoon (Zauja Syed Tufail Ahmad) Shakeela Khatoon (Zauja Shaikh Azimullah Phoolpuri) wa Aqeela Khatoon (Zauja Syed Zainulabideen) se hui.

    Syed Hasan naql watan karke Karachi Pak ja base aur apni khuda daad salahiyaton se bada martaba hasil kiya. inki shaadi Syeda Khatoon dukhtar Shaikh Muhammad Yunus Phoolpur Zila Allahabad se hui aur sahibe aulad huwe. Inka Inteqal Karachi mein hua aur wahi mudfoon huwe.

    Syed Tahir Hasan ghair shaadi shuda faut huwe.

    Syed Aziz Hasan shaista khaleeq aur milansar aadmi hai’n. Apne aabai gaon Ajhwa mein zaraat wa Kashtkari mein masroof rahte hue apne Khandani waqar ke saath sukoonat pazir hain. Ajhwa ke bashinde inko adab wa aheteram se ab bhi Mir Sahab ke naam se pukarte hai’n. inki shaadi Syeda Khatoon Dukhtar Syed Muhammad Musa sakin eiraya’n sadaat se hui. jin se 8 pisar Syed Suleman Hasan, Syed Siddique Hasan, Syed Usman Hasan,Syed Farooq Hasan,Syed Zeshan Hasan ,Syed Kamran Hasan,Syed Rehan Hasan,Syed Rizwan Hasan aur ek dukhtar Aiyesha khatoon hai’n. aur ye sab sahibe aulad hai.

    Shajrah e Aulad Hazrat Qazi Hasan Qutbi r.a











  • 5.Hazrat Syed Shah Muhammad Saleh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) : 

    Ba Hawala Tareekh Aaine Awadh, Zahoor e Qutbi, Ansab Ashraf, Seeratus Sadaat

    Hazrat Syed Shah Muhammad Saleh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ibn Syed Shah Dawood ibn Syed shah lal ibn Syed shah raje shah ibn Syed shah ibn Syed Musa ibn Syed Ziauddin ibn Syed Qayamuddin ibn Syed Sadruddin ibn Qazi Syed Ruqnuddin (رحمتہ اللہ علیہ) ibn Syed Nizamuddin Hasan (رحمتہ اللہ علیہ) ibn Syed Ameer Kabir Qutubuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) jo hazrat shah  ismail qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) (Muarise Sadaat e Qutbia Kurra sadaat) ke sage bhateje the’n. 

    Aapne Kada se uth ke Fatehpur mein qayam kiya. kamalat maanvi wa soori ki wajah se inka shumar mashahir Aulia Allah mein hota hai.inke uloom wa ma’arif zohado taqwa aur qowate nisbat ka shohra ek zamane tak raha. Aaj bhi inke nasl mein khidmate deen ka jazba paaya jaata hai.

    Mash’hoor hai ki Jallu qawwal mureed syed sahab ka fun e mauseeqi mein yakta e asar tha. Jab usne Akbar Badshah  ki farmaish par deepak raag gaya tu iska sara badan jal ke khaak hogaya us waqt badshah Akbar ne usko ba Huzoor Syed sahab bhej diya. “Hukm hua Jallu kuch gaoo jab usne gana shuru kiya tu halat e sima mein irshad hua jallu uth khade ho jao. iss irshad ki taseer se uska apahijpan jata raha aur woh uth khada hua.” Badshah Akbar is karamat ko dekh kar bahut mutassir hua aur aapka muatqid hokar hawali Fatehpur mein kai muaza aapki khankah ki akhrajat ke liye nazr kar diye’n.

    Aap ka wisal san 990 hijri mein huwa. Inki khankah aur mazar Talaab Kund ke Kinare Fatehpur Khaas mein waqe hai aur ye jagah Pathariya Mahal ke naam se mashoor hai. inki aulad waqtan fawaqtan ahele aitebar se hoti rahi taqriban 236 baras ka arsa guzar chuka hai Syed Umar Ali, Syed Shah Ali ,Syed Muhammad Ali, Syed Dargahi ,Maulana Syed Badr Ali,Syed Rahat Ali wa Syed Ibrahim Ali maafi daraa’n inhi ki nasal se baohda tauliyat naama mamur the’n. Inke baad san 1265 hijri mutabiq 1853 eiswi mein Hakim Syed Husain Raza, wa Maulavi Syed Asad Ali wa Mir Ghulam Imam wa Mir Aulad Ali wa Mir Amanat Ali isi nasal se maujud the’n. Aur san 1305 Hijri mein sirf Syed Muhammad Taqi wa Syed Muhammad Naqi wa Mir Wazir Ali waghaira chand log raih gaye’n the’n. Inki shaadiya’n aur rishtedaria’n Koda jahanabad wa bandagi wa kuwarpur hoti rahi’n. Maafi ki Zapti aur Zamindari ke khateme ki wajah se dusre zamindaar khandano ki tarah ye log bhi hairan wa pareshan rahe’n.

    Iss nasal ke logo’n mein Syed Amanat Ali ki aulad mein Syed Badrul Hasan aur inki sahabzade Maulavi Syed Hakim Manzoorul Hasan wa Mir Syed Wazir Ali ki aulad mein Syed Khairat Hasan aur Mir Aulad Ali ki aulad mein Dr. Syed Maqsood Ali ibn Syed Zakir Ali maye apne khandano’n ke Karachi Pakisatan mein sukonat pazir hai’n. Aur in sab ki tabiyat mein Deen se bahut lagao hai. Irshad Ali ki aulad mein Muhammad Sultan maye apne khandan ke Kanpur mein qayaam pazir hai’n. Muhammad Suleman Jalon rahete hai’n. inke beton mein se Syed Muhammad Qasim wa Syed Muhammad Naseem Karachi mein hai’n. Muhammad Usman maye apne sahabzadgan Furqan Ali, Alim Ali wa Wahid Ali Karachi Pakistan mein rahte’n hai’n.

    Hazrat Syed Muhammad Saleh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) maurise Sadaat e Qutbi Fatehpur ne kai shadiya ki jo mukhtalif tabqat se talluq rakhti thi’n chunanche awwalo zikr aulad ke alawa dusri shakh mein Mir Syed Hatim Ali hue’n inki aulad mein Mir Mukhtar Nabi Qutbi the’n jinke bete Iftikhar Nabi wa Aale Nabi aur Nehal Nabi maye apne khandan ke Karachi mein maujood hai’n.

    Shajra Aulad Hazrat Syed Saleh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)


    6.Hazrat Syed Shah Khaleel Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)

    Ba Hawala Tareekh Aaine Awadh ,Tareekh Kada manikpur ,Ansab Ashraf

    aap ne Kada se uth ke paati gali Manikpur mein qayam kiya. aap jalilul qadr Aulia mein se the’n.

    Hazrat Syed Shah Khaleel Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ki shaadi dukhtar Shah Ali Raza Husami Sajjadanashen Patigali Manikpur se hui jin se do pisar Syed Shah Babullah wa Syed Shah Qasim huwe. Ye dono Batarka e nanhiali baet wa khirka khalafat ke husul ke baad apne nana ke janasheen huwe. Syed Shah Babullah ba maqam patigali aur Syed Shah Qasim apne nana ki dargah ke mutasil khankah bana kar masnade irshad par baithe aur nana ki mureedeen ko barabar barabar taqsim kar liya.Musannif Tareekh Aaine Awadh likhte hai’n Tareekh Alaihdgi Shah Babullah apne biradar shah qasim se phir koi rhistedari inse ya digar khandan e sadaat e Qutbia wa gardezi wa Bhukhari wa Isfhani waghaira se waqe nahi hui. Illa shaadi sani Shah Ghulam Husain (رحمتہ اللہ علیہ) ki  ba khandan Shah Syed jee jo Aulad Hazrat Maulana Khawajgi Kadvi (رحمتہ اللہ علیہ) se the’n hui.

    Syed Shah Babullah ke pote Syed Shah Ghulam Hasan Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) aise murtaz ba kamal darwesh the’n jinke mureedeen ki kasrat Mulk Bengal mein zyada thi aur Qaum jinn inke Taabe thi aur aap “Ya Haiyyo Ya Qaiyyum” ke amil the’n. Aap ki wafaat 2 jamadiul aakhir san 1067 hijri mein hui. Musannif Bahre Zakhar ne Hazrat Ameer Kabir Qutubuddin Madni r.a ke Mutalliq inhi ka Qaul naql kiya hai. Patigali ki khankah ki nayi imarat Shah Babullah par pote Shah Abdullah ne tameer karai aur ganj khana Mutasil Darwaza Dargah Husamiya jis mein Shah Ghulam Hasan chilla kashi karte the’n aur woh munhadim hogaya tha. san 1316 hijri mein Syed Shah Faiyyazul hasan sajjadanasheen Khankah Patigali ne az-sare-nau Tameer karaya magar taqseem e Barre Sagheer ke baad ye sab imarate’n munhadim ho chuki hai isme rahne wale ya tu wisal kar chuke hai’n ya tu hijrat karke Pakistan chale gaye’n hai’n.

    Mauza Ibna e Buzurg pargana Kada jo Qazi Shamshuddin raees e Kada ne iss khandan mein nazar kiya tha.wo zamidari ke khatme tak is khandan ke kabze mein raha.

    Hazrat Shah Babullah maurise khandan patigali ne jo baet aur khilafat apne dadhiali khandan (Sakin Mohalla Barahdari Bihar ) se hasil ki thi iska silsila hasab zeil hai. 






    Hazrat Shah Babullah ke ek farzand Syed Shah Ghulam Peer huwe. inke chaar pisar Syed Muhammad Auz, Syed Shamshuddin, Syed Husamuddin, Syed Shah Ghulam Hasan Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) huwe. Awwal zikr teeno farzand sahibe aulad rahe’n.

    Syed Shah Ghulam Hasan (رحمتہ اللہ علیہ) ki do shaadi hui. Pahli shaadi se do pisar Syed Abdul Haq aur Syed Abul Hasan aur ek dukhtar Kulsoom bibi hui’n.dusri biwi(jo ajhwa se biyah ayi thi’n) se do pisar Syed Makhdoom Baksh ,Syed Chirag Ali aur ek dukhtar Menda bibi hui’n.

    Shajra Aulad Shah Babullah Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)


    6.1 Zikr Aulad Shah Qasim bin Shah Khaleel Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)

    Syed Shah Qasim ke do pisar Syed Jhau (Lawald) aur Syed Shah Farid huwe. Syed Farid ke do pisar Syed Shah Rahmat Ali (lawald) aur Syed Ashraf Ali huwe.Syed Ashraf ali ki shaadi Bibi At’harun nisa dukhtar Mir Ummed Ali Qutbi maullif Kitab Zahor e Qutbi sakin Qutbi Mohalla Kada se hui. jin se ek pisar Hazrat Syed Shah Mazhar Ali aur ek dukhtar machundar bibi hui’n.

    6.2 Hazrat Syed Shah Mazhar Ali Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)

    Aap ne akhir zamane apne aaba e kareem ke tareekh sulook pe kamzan hokar pahle apne walid se baet aur silsila ki, baad kuch aur jagho’n par baet talab ki akhir ruhani tasqeen Maulana Shah Abdul Aziz se hasil hui aur wahi silsila qayam rakha. 17 baras barabar mujhaidate nafsi karte rahen aur 3 baras tak ek pahad par muqeem rah kar sirf auraq ashjaar pe iqtefa ki.Naql hai ki ek martaba wo Sahibe walayat Hazrat Makhdoom shah Husamuddin (رحمتہ اللہ علیہ) ke Urs mein sharik gagar the’n aur hazaraha aadmi bataqleed gagar mujood the’n jis waqt shah sahab gagar liye Makhdoom sahab ke darwaze par pahuche us waqt un par wajd ki kaifiyat taari hui aur besakhta unke muh se Ba awaz buland yeh sher nikla 

    Musannif Aaine Awadh Syed Shah Abul Hasan Qutbi  Shaheed (رحمتہ اللہ علیہ) jo us waqt wahan maujud the’n woh likhte hai’n main kahta hoon ki jisne ye sher suna unki tasir qalbi se apne jagah qayam na raha aur aksar log behosh hokar gir gaye’n aur jo na gire un par ek wajdi kaifiyat taari hui.In ke Karamat ke waqiyat bahut hai’n.san 1258 hijri ba maqam Allahabad aap ka wisal huwa aur Dargah Maulana Hazrat Ismail Quraishi R.A mauza Bamrauli zila Allahabad mein aap ki mazar maujud hai.

    Aap ne do shaadi farmai .Pahli shaadi Syed Fahimun nisa urf bibi ji dukhtar Mir Sa’adat Baksh bin Syed Ummed Ali Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) se hui.jin se teen pisar Syed Mazhar Hasan, Maulavi Syed Mazhar Hussain, wa Syed Mazhar Rahim aur ek dukhtar hui’n.

    Hazrat Shah Mazhar Ali ki dusri Shaadi syeda wahidun nisa bibi dukhtar Haji Syed Shakir Khan sahab (Aap Hazrat Syed Jalaludin surkh Bukhari ke aulado’n mein thi’n)  raees azmimabad se hui.aap se ek pisar Syed Shah Mazhar Karim aur teen dukhtaran Syedun nisa bibi (Zauja Syed Ali Hamza az Sadaat Bukhari) Faridun nisa bibi (Zauja Shah Muhammad Jaffar ahle Khandan Khankah Manikpur) aur rahmatun nisa bibi (zauja Syed Shah Abul Hasan Qutbi Shaheed (رحمتہ اللہ علیہ)) 

    Shajra Aulad Hazrat Syed Shah Qasim Bin Syed Shah Khaleel Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)


7.Hazrat Syed Faizullah Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) :

Ba Hawala Tareekh Aaine Awadh ,Zahoor e Qutbi:

Aap ne Kada se uth ke mauza kaurali Allahabad mein sukunat akhtiyaar ki. aap jalilul qadr wali the’n.

Silsila e Nasab : iss tarah hai Hazrat Syed Faizullah bin Syed Maluk bin Syed Ali bin Syed Khan bin Syed Tahir bin Syed Ruqnuddin bin Syed Qutubuddin Bin Syed Akhundshah bin Syed Bade bin Syed Qayamuddin bin Syed Sadruddin bin Syed Ruqnuddin bin Syed Nizamuddin Hasan bin Syed Ameer Kabir Qutubuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ)

Aksar Sadaat Qutbi iss mauza mein mashahir rozgaar hue’n chunanche Syed Faizullah ki chati pusht mein Syed Shah Ziauddin (رحمتہ اللہ علیہ) hue’n.In ke mutalliq maulif Zahoor e Qutbi Syed Ummed Ali likhte hai’n.


Hazrat Syed Ziauddin ki aulado’n  mein Hazrat Haji Syed Faizullah hue’n.jo apne zahiri wa batini uloom aur rohani kamalat ki wajah se shohra e afaaq huwe.Hatta ki Badshah e waqt Aurangzeb Alamgir ne inka saaya apne upar banazar barkat dala.Inke Mutalliq Syed Ummed Ali iss tarah raqmtaraz hai’n.


Hazrat Haji Syed Faizullah R.A ne apne Shaikh ki wasiyat ke mutabiq Allahabad ke Sadaat e Bukhari mein Syed Musa Raza bin Syed Zahirudin Bukhari ki dukhtar se shaadi ki jin ke batn se 2 pisar Syed Ibrahim urf Mir Muhammadi wa Syed Ghulam Yahya aur 2 dukhtar Syeda Gul bibi (zauja Syed Muhammad urf saif mungari bin Syed Hamid Qutbi bin Syed Saleh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) sakin kada shareef ) Syed Fatima Bibi (walida Syed Ummed Ali Qutbi maulif Zahoor e Qutbi).

Hazrat Haji Syed Faizullah (رحمتہ اللہ علیہ) ka mazaar Shareef  Sarhad Kaurali Rajputana mein maujood hai.

Hazrat Haji Syed Ibrahim urf Mir Muhammadi (رحمتہ اللہ علیہ) Hajiul Harmain alim ba amal Mahire Tafsir wa Hadees wa Fiqh wa Tareekh aur Shayar Bebadal the’n.Hafiza itna qavi tha ke charo’n Mazhabi kitab hifz thi. Kai Zabaano jaise ki Urdu Arabi Farsi Hindi aur dari mein maharat rakhte the’n. Hazaro’n Shagird e rashid the’n.Apni issi Khususiyat ki wajah se salateen, umra,wuzra,ruhan  buzurgo’n ahalullah,fuqha,sulha,hukma,mufassireen,muhaddiseen,matsufeen. Al gharaz iss zamane ke har tabqa ke mashahir mein Maqbool wa mahroof the’n.Sahib e Kitab Zahoor e Qutbi Mir Syed Ummed Ali ne inka tazkira kuch iss tarah kiya hai.


7.1 Syed Ghulam Yahya (رحمتہ اللہ علیہ):

BaHawala Zahoor e Qutbi Syed Shah Faizullah ke chote sahabzade Syed Ghulam Yahya (رحمتہ اللہ علیہ) ne bhi pukhta irada imakun musharrafa ki ziyarat ka karke tark e watan kar diya.Ye us waqt bandargah Surat pahuche ke jab jahaz par sawaar hone ka zamaana guzar chuka tha.lekin hasan e itefaq ke unko chote kashti ke mallah ne sooba Orissa pahucha diya jo bangal ka door tareen ilaqa hai.Jo us waqt Bung ke naam se jana jata tha.Waha ka Subedaar Saeed Ahmad Khan Saulat Jang ulema wa Sufiyo’n ka behad qadr da tha.Woh inke ilmi liyaqat wa zahiri baatni kamalat se bahut mutassir huwa.Unke saath Izzat wa ahteram se pesh aaya aur Makka shareef jaane ki tareekh tak unki khatir wa tawazo ka umda intezaam kardiya.Kuch hi din guzre  the’n ki ek syed se subedar ko narazgi ho gayi aur woh unko qatl karne ke mansoobe par agaye itefaq se woh Syed sahab qaid khane se farar ho kar Syed Ghulam Yahaya ke wahan panahguzi huwe.udhar woh subedaar unke talash mein lag gaya aur bil akhir jasooso ke zariye unhe farar syed sahab ki Syed Ghulam Yayaha sahab ke ghar mein hone ki khabar mil gai. Soobedaar ko Khabar kiye baghair Qaid khane ke hukkam Syed Ghulam Yahaya se ulajh pade aur farar Syed sahab ko talab karne lage .Hazrat Syed Ghulam Yahaya sahab ne behad uzr aur maazrat ki aur kaha ki mae Soobedar se baat karonga ye meri panah mein hai.lekin jail ke nigehbano ne ek na suni aur baat badhti gayi aur dono taraf se harbo zarb nikal aye’n yahan tak Hazrat Syed Ghulam Yahaya r.a apne chand aur rafiqo’n ke saath jaame shahdat nosh farmaya.Jab iss waqia ki puri khabar soobedar ko mili tu woh tamam log jo is fail ke murtakib huwe the’n sab ke sab par aetaab huwa unke ghar khudwa ke phek diye gaye aur sara saman lutwa diya gaya.un Syed Buzurg Syed Ghulam ka koi na tha na ahel na ayal bajuz naam aapki kuch yaadgar na rahi.

               Shajra Aulad Syed Shah Faizullah Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)

8. Bahawala Kitab Zahoor e Qutbi ,Tareekh Aaine Awadh ,Seeratus Sadaat 

  • Mir Syed Ali maye biradar apne jab kada se jane lage ek hajjam aur ek kaest ko bhi hamrah legaye’n aur Rudauli pargana Chunargarh zila Mirzapur mein ja base’n aur minjanib shahaan bataur madad o maash mauza sikhar wa rudauli pargana Chunargarh zila Mirzapur wa husampur pargana bahloli wa ghausandi pargana dhaus Zila Mirzapur ata hue’n.jab aulado’n ki kasrat hui.Tu 12 bhaiyon par woh mauza taqseem hokar 12 pattiyan qarar paya.san 1243 hijri mein iss khandan ki jo aulade jo yaha par qayam thi’n unke naam ye hai’n.Mir Syed Farzand Ali, Mir Syed Qayum Ali,Mir Syed Tahoor Ali,Mir Syed Maqsood Ali,Mir Syed Madad Ali,Mir Syed Peer Ali,Mir Syed Muhammad Ali shaadi beyah ye log aapas mein hi karte rahe aur ba shart zaroorat sadaat wa shaikh banaras se karte rahe’n.

  • 9. Qutbi sadaat mein se ek giroh mauza  kaundhan patti shah mein jakar aabad hua.

  • aur kuch afraad rasoolpur pargana kotla mein ja kar aabad ho gaye’n.Iss kahandan ki shakh Qazi Syed Abdul rasool Qutbi urf syed umri (رحمتہ اللہ علیہ) se thi.

  • 10. Qutbi sadaat mein se ek giroh mauza kaurali pargana sauram zila Allahabad mein aabad hua.

    Ye Khandan Hazrat Syed Shah Faizullah Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ka hai.(Ab ye Mazhabe imamiya se hai’n.)

  • 11.Bahawala Kitab  Tareekh Aaine Awadh 

    iss khandan ke jadamjad Hazrat Mir Syed Peer (رحمتہ اللہ علیہ) the’nAap kade shareef se uth kar mauza Rajupur pargana dalmau zila Raibarelli mein jakar aabad hue’n.Inka Shajra nasab is tarah hai.Mir Syed Peer ibn Syed Ruqnuddin ibn Syed Musa ibn Syed Firozuddin ibn Syed Ruqnuddin Ibn Syed Tajuddin ibn Syed Akhundshah ibn Syed Mir Bade ibn Syed Qayamuddin ibn Syed Sadruddin ibn Syed Ruqnuddin Madni ibn Syed Nizamuddin Hasan ibn Syed Amir Kabir Qutubuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ).

    Bahawala Aaine Awadh wahan kuch gharana sadaat e qutbi ke the’n. san 1857 mein Mir Bakshish Ali ne waha’n se Manikpur aakar sukunat akhtiyar kiya aur apni do ladkiya’n sadaat gardezi se aur ek sadaat qutbia naseerabad mein biyah diya. inke ek farzand Syed Inayat Hussain san 1880 mein Shahabuddinabad mein qayam pazir huwe.

    Shajra Aulad Syed Peer Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ):


  • 12. Hazrat Syed Shah Muhammad Ismail Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) (Ba Hawala Seeratus Sadaat): 

    jo sarhalqa-e-mashaikh kibaro wa sargiroh silsila e Kabeer Qutbiya aur apne Baap dada ke mureed wa khalifa the’n. Kurra sadaat mein tarah aqamat daali. Aap jalilul qadr Aulia Allah mein the’n. (Meer Syed Qutubuddin Muhammad Aquib Qutbi Hasni Sajjada Nasheen Aastana e Aaliya Suherwardiya Firdausiya kubrawiya Qutbiya kabeeriya kada shareef Zila kaushambi (U. P India) aap ki aulado’n mein hai’n)


Shajra Aulaad Hazrat Qazi Meer Syed Ruknuddin Madni r.a ibn Meer Syed Nizamuddin Madni r.a ibn Hazrat Sarkaar Qutub Al Aqtaab Meer Syed Qutubuddin Madni (walayat-e-hind) rahmatullah alaeh.

Zikr e Sadaat Qutbia(Mauza Kurra Sadaat Zila Fatehpur)

Ba Hawala Seeratus Sadaat, Zahoor e Qutbi, Tareekh Kada wa Manikpur, Tareekh Aaina-e-Awadh, Carvaan e Zindigi Arbi nasl khandan ki ilmi wa deeni khidmaat kazba kodah Tareekh wa shakhsiyaat, Aukhab Shah Badiuzzama, Qutub dairah: Kurra sadaat (Jiska zikr Hazrat Ameer Kabir ki fatuhaat ke silsile mein ho chuka hai) Hazrat Ameer Kabir r.a ke waqt he se inki aulad ki jageer raha. Sultan Sikandar Lodhi (894 hijri mutabiq 1488 eiswi se 923 hijri mutabiq 1517 eiswi) ke zamane mein bashamool dusre dehato’n ke az-rue taqseem Hazrat Meer Syed Shah Ismail Qutbi r.a ke kabze mein aaya 1492 eiswi aur 898 hijri mutabiq 1493 ke darmiyaani arse mein rajgaan e kantit ke khalfishaar wa istila ke sabab se Hazrat Meer Shah Syed Ismail Qutbi r.a jo sarhalqa-e-mashaikh kibaro wa sargiroh silsila e Kabeer Qutbiya aur apne Baap dada ke mureed wa khalifa the’n Sarzameen e Kurra sadaat mutabarrak samjh kar wahi’n muntaqil ho gaye’n aur usi mauza mein tarah aqamat ki daali.
inka silsila baet wa ansab pidari ye hai.

  1. Hazrat Meer Syed Shah Ismail Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ibn 
  2. Hazrat Syed Shah Laad Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ibn
  3. Hazrat Syed Shah Raje Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ibn
  4. Hazrat Shah Syed Mian Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ibn
  5. Hazrat Syed Shah Musa Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ibn
  6. Hazrat Syed Shah Ziauddin Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ibn
  7. Hazrat Syed Shah Qayamuddin Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ibn
  8. Hazrat Syed Shah Sadruddin Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ibn
  9. Hazrat Meer Syed Shah Qazi Ruqnuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ibn
  10. Hazrat Meer Syed Shah Nizamuddin Hasan Madni Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ibn
  11. Hazrat Sarkar Ameer Kabir Qutubudin Madni (رحمتہ اللہ علیہ)

Al gharaz Sarkar Ameer Kabir Qutubudin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ki gyarwi pusht par  Hazrat Meer Syed shah Ismail Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) kada se uth kar mauza kurra sadaat tashreef laye’n.
Hazrat Meer Syed shah Ismail Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)  woh awwaleen Qutbi buzurg hai’n.jinhone ahed Sultan Sikander Lodhi mein Kada se uth ke Kurra mein boodobash akhtiyar kiya. aap jaleelul qadr aulia mein shumar hote hai’n Naql hai ki inhone yahan tak riyazat shaqiyah mujahidaat e nafsi kiye’n ke harmain sharifaen zaad hama’ullah sharfan ke safar ke waqt  apne ghar se ehraam haj bandha aur isse ehraam se ziyarat Makkah muazzama se musharraf hue’n.
Aapne Masnade irshad par baith kar ek alam ko munawwar wa mujalla farmaya.Aapne Kurra sadaat mein parda farmaya aur wahi’n supurde khaak hue’n.
Aap ke ek farzand Hazrat Meer Syed Jalaluludin jalal qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) hue’n.

12.1 Hazrat Meer Syed Jalaluludin jalal qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)  

Hazrat Meer Syed shah Ismail Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ke baad inke khalf rasheed Syed Shah Jalaluddin Jalal aalim aamil kamil fazil muttaqi jaleelulqadr sajjadanasheen aur ja nasheen hue’n.Inhone na sirf apne aabaekiram ke tareeq ko zinda rakha balke apne rushdo irshad aur noor baatin se ek aalam munawwar farmaya.Inka mazaar aabadi kurra sadaat ke gosha pashchim wa dakkhin mein waqe hai.
Ahle nisbat aap ki mazaar puranwaar se faizyaab hote aaye’n hai’n.Aap ki mazaar puranwaar pe aap ke likhe hue ashar naqsh the’n. jo zere nazar qareenkiraam hai.



Aap ke teen farzand e arjumand  ba khasaes mukhtalif paida hue’n 

  1. Hazrat Syed Muhammad Akbar (رحمتہ اللہ علیہ)
  2. Hazrat Syed Muhammad Jahan (رحمتہ اللہ علیہ)
  3. Hazrat Syed Shah Hamza (رحمتہ اللہ علیہ)

12.2 Hazrat Syed Muhammad Akbar (رحمتہ اللہ علیہ)

aap bahut shuja aur buzurg the’n. inki aulad salateen Deccan Qutub shah wa Adil Shah ke afwaaj mein shamil hokar Qila kushai karte rehe’n. ab jo log bhi inke nasl se hai’n. Shujaat wa Tahoor mein yakta e asr hai’n.

12.3 Hazrat Syed Muhammad Jahan (رحمتہ اللہ علیہ):

Aap bahut jari aur hauslahmand buzurg the’n. Tabiyat inki zamindari ke taraf mael hui.lehaza ye aur inki aulade’n Talluqedaro’n ke tareeq par aamlane shahi se ladte bhidte rahe’n chand martaba rajgaan Asothar se lade’n agarche in mein se aksar maqtool (shaheed) hue’n magar muzaffar wa mansoor hue’n.  Nawab Asifuddaulah bahadur waali e Awadh ki amaldari tak beswadah jo ab zila Raibarelli mein hai ki nizamat se mutalliq 60-70 mauza aur pargana haswa ki nizamat Syed Muhammad Jahan ki Aulad mein Meer Syed Imam Ali ke naam chali aai.Aur 5,7 sau khaasbardar inki ardali mein rehte the’n.Ba wasf kasrat e aulad ab koi aulad pisri inki baaqi nahi. Aulad e dukhtari inke naam ki yaadgaar ka zariya hai.

Inki Silsilae aulad mein ek pisar Syed Kamaluddin Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) hue’n jinke ek pisar Syed Ibrahim Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) hue’n jinke ek pisar Syed Ismail Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) hue’n  jinke ek pisar Syed Haider raees Qutbi mohalla Kada hue’n jinke ek pisar Syed Ziaullah Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) hue’n.jinki ek dukhtar Syeda Sehatunnisa Bibi hui’n (Ye Akhri Khatoon is khandan aalishan ki yaadgaar rahi’n. Inki Silsila e Aulad mein Syed Shah Qutubuddin Muhammad Aquib Qutbi Hasni Sajjada nasheen Aastana e Aaliya Suherwardia Firdausia kubrawiya Qutbia kabeeriya kada shareef Zila kaushambi (U. P.) India hai.

  12.4 Hazrat Syed Shah Hamza Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)

Hazrat Syed Shah Hamza (رحمتہ اللہ علیہ) pisar asghar Hazrat Syed Shah Jalaluldin Jalal Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) iktesab e ilm zahir wa batin wa mujhahidat e nafsi se farigh ho kar apne walid e buzurgwar se baet ki aur khirka e khalafat Qutbiya Kabirya hasil kiya aur masnad e sajjadgi par baith kar ek aalam ko munawwar farmaya aur jab inho ne wisal farmaya tu inke darwesh seerat farzand Hazrat Syed Shah Abdul Rasool Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) inke janasheen hue’n.Aap bhi apne aabao ajdad ke tarah jalelulu qadr Aulia aur ulema mein shumaar hote the’n. aap hi ke naam se rasoolabad railway station mausoom hai (darmiyan allahabad- fatehpur ). aap ke wisal ke baad aap ke farzand Hazrat Shah Syed Peer Muhammad  Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ne  masnade Khalafat ko raunaq baksha.

(Aap Ka Mazaar Lucknow mein Teele wali Masjid mein marjae khaleq khas o aam hai .According to Bahre Zakhar manuscript of which is kept at Aligarh Muslim University library, Fidaye Khan Koka, governor during the reign of Shahjahan, had built this mosque. He was the disciple of Shah Peer Mohd and built the mosque, which was completed in two years, near Pir’s mausoleum. Incidentally, the first namaz offered at this mosque was that of ‘Alvida’.) baad Hazrat Shah Syed Peer Muhammad  Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ke inke farzand Hazrat Syed Shah Fateh Muhammad Qubi (رحمتہ اللہ علیہ) masnade sajjadgi ko aarasta kiya aur apne noor zahir o baatin se ek aalam ko munawwar farmaya. Ye sabhi Hazraat apne aba o ajdad ke sahi janasheen aur unke tareeqe ko zinda aur  silsilae sulok wa ehsaan ko jaari rakhne wale the’n.

Hazrat Syed Shah Fateh Muhammad (رحمتہ اللہ علیہ) ki zauja aula se koi aulad nahi hui issliye inho ne akhri umr mein ba gharaz baqae nasal wa naam inho ne Syeda bondi bibi dukhtar Maulwi Syed Ruknuddin ibn Syed Sadruddin ibn Syed shah peer Muhammad (رحمتہ اللہ علیہ) se dusri shaadi ki jin se do farzand Hazrat Syed Shah Muhammad Hashim Qutbi(رحمتہ اللہ علیہ) aur Syed Shah Muhammad Ali Qutbi r.a paida hue’n. Abhi in dono ki taleem ilm zahir aur baatin ki naubat nahi pahuchi thi ki Hazrat Syed Shah Fateh Muhammad r.a is jahan se parda kar gaye’n.

Hazrat Syed Shah Muhammad Hashim Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) apne walid buzurgwar ke wisal ke baad  Hazrat Syed shah Ibrahim se jo Hazrat Raje Hamid Shah manikpur (رحمتہ اللہ علیہ) ki aulad mein se the’n silsila e chishtiya mein baet ki aur apne walid buzurgwar  ke janasheen hue’n.

Dusre pisar Syed Muhammad Ali ki tabiyat sipahgiri ke taraf mael thi.Lihaza aise ashghal mein masroof na ho sake’n.

Hazrat Syed shah Fateh Muhammad sahibe daulat wa jageer the’n.Kaafi maal wa jayedad dono bhaiyon ko mila.Syed Muhammad Ali ko iss maal wa jayedad  se faeda na hua aur woh kuch arso mein hi kam maye ho gaye lekin Syed Shah Muhammad Hashim ne is maal ko tijarat mein lagaya aur wo sahibe daulat aur sarwat rahe’n apne aabai jayedad ke alawa mauza ussraina pargana haswa jo kurra sadaat se teen kos ke fasileh par G.T road par hai. aap ke jayedad mein shumar hota tha. 

Naql hai ki jab inho ne apni dukhtar ki  shaadi Syed Bashir Ali taluqedaar patti shah tahseel khaga zila fatehpur ke saath kiya to baraat ke darwaaze tak pahuchne se pahle hi jahez ke alawa baraat ka kul kharch Syed Shah Bashir Ali ke pass bhijwa diya.

Syed Shah Muhammad Hashim (رحمتہ اللہ علیہ) ki shaadi Syeda Bibi Saira  dukhtar Syed Aleemullah bin Syed Muhammad Fazil bin Syed Shah Muhiuddin bin Syed Shah Hamza (رحمتہ اللہ علیہ) se hui. Jin se do pisar Syed Shah Karim Baksh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) wa Syed Shah Ali Baksh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) aur chaar dukhtaran
Bibi Syeda Zaraab zauja Mir Syed Maqsood Ali az Sadaat Rasoolpur jinse Syed Shujaat Ali paida hue’n.
Bibi Syed daulatun nisa zauja Syed Farzand Ali az sadaat ajhwa.
Bibi Syeda Bobodhia Syed Bashir Ali talluqedaar patti shah tahseel khaga zila fatehpur se hui.
Bibi Syeda Subhun nisa urf bibi sabqa jinke pote Mir Syed Akbar Ali sakin kurra sadaat the’n.

12.5 Hazrat Shah Syed Karim Baksh r.a farzand e akbar Hazrat  Syed Shah Muhammad Hashim (رحمتہ اللہ علیہ)

Hazrat Syed Shah Muhammad Hashim (رحمتہ اللہ علیہ) ke  wisal ke baad  Hazrat Shah Syed Karim Baksh masnade sajjadgi par jalwa afrooz hue’n. aap alim ba amal apne abojad ke tareqe ko zinda rakhne wale aur apne  walide buzurwar ke sahi janasheen the’n. inki shaadi Bibi Syeda Sehatunisa dukhtar Syed Ziaullah bin Syed Haider Raees Qutbi mohallah Kada se hui. jin se ek farzand Hazrat Syed Muhammad Mahdi baksh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) paida hue’n. aur chaar dukhtaraan Syeda Bibi kulsoom wa Syeda bibi meena wa Syeda Bibi Zainab wa Syeda Bibi chunni hui’n.

Hazrat Syed Ali baksh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) woh bagharaz husool e ilm delhi gaye’n wahan ba wajah sayadat qazl basho wa mughalon ke darmiyaan wajibut tazeem hue’n. Aur inhi ke suhbat mein inhone mazhabe asnae ashri akhtyaar kiya.Aur woh Sache Maulai the’n.

12.6 Hazrat Syed Muhammad Mahdi baksh Qutbi r.a ibn Hazrat Shah Syed Karim Baksh (رحمتہ اللہ علیہ)

Al mukhatib ba Syed Mahdi Ali khan  Syed Muhammad Abul Hasan Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) (Muarrikh Tareekh Ainae Awadh) apne walid majid Syed Muhammad Mahdi Baksh ke halaat qalam band karte hue” ki jab Syed shah Muhammad Hashim(رحمتہ اللہ علیہ) ne dekha ki inke dusre pisar Maulwi Syed Ali Baksh ne delhi jakar asnae ashri akhtiyaar kar liya tu inho ne apne pote Syed Muhammad Mahdi baksh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ko husoole taleem  ke liye Maulwi Burhanudin saheb (رحمتہ اللہ علیہ) raees dewa pargana wa zila nawabganj Barabanki ke paas bhej diya.

Husoole taleem ke baad Hazrat Syed Muhammad Mahdi baksh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ne chalees saal tak ba ohda wakalat  zila banda mamoor rahe’n. aur wahan lakhon rupiya kama ke sarf hasnaat karte rahe’n. Jiski shohrat us waqt tamam jawaar mein thi.Chunanche Nawab Fazal Ali Khan urf  Aetimatuddaulah ba muwakhza Sultani lucknow se farar hue’n tu ek maheene Syed Muhammad Mahdi baksh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ke mehmaan rahe’n aur marasim mehmaandari hasab shan unke ada kiye gaye’n.jab nawab sahab phir ohdae safarat pe mamur hue’n tu unhone bagaraz atae ohda safarat Syed Muhammad Mahdi baksh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ko lucknow talab karke Syed Mahdi Ali Khan se nawaza.

Hazrat Muhammad Mahdi baksh Qutbi r.a bahut abid o zahid muttaqi parhezgaar aur sakhi buzurg the’n. aap ka wisal 3 muharramul Haraam san 1259 hijri ko hua. aur aap Kurra Sadaat ke pashchim mein hudarriya ke maidan mein waqe apne abai qabrastan mein madfoon hue’n.

Aap ki pahli shaadi Syeda At’harun nisa urf ataanbibi dukhtar Syed Shah Barkaat Ali haswii se hui.jab inse ek dukhtar Syeda Gafoorun nisa ki paidaish ke baad koi aulad pisri na hui tu aap ne dusri shaadi Syed Rahimun nisa bibi dukhtar Syed Nasir Ali shah Qutbi se farmayi.jin se paanch farzand 

  1. Hazrat Syed Shah Abul Hasan Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)
  2. Hazrat Syed Shah Muhammad Ismail Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)
  3. Hazrat Syed Shah Muhammad Abu Nasr Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)
  4. Hazrat Syed Shah Muhammad Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)
  5. Hazrat Syed Shah Abul Muzaffar Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) (urf kallan miyan )
  6.  Aur ek dukhtar Bibi Syeda Ruqaiya hui’n.

Bibi Syeda Gafoorun nisa ki shaadi Meer Ata Husain Qutbi mauza rasoolpur pargana kotla zila fatehpur mein abaad qutbi sadaat mein hui aur Bibi Syeda Ruqaiya ki shaadi Meer Syed Banda Ali bin Meer Syed Turab Ali asfahani se hui.

Shajra Aulad Hazrat Syed Muhammad Mahdi baksh Qutbi r.a






12.7 Hazrat Syed Shah Abul Hasan Qutbi Shaheed (رحمتہ اللہ علیہ) (Maurrikh Tareekh Aeina e Awadh) 

Hazrat Syed Shah Abul Hasan Qutbi al Husami manikpuri watanan, hanfi mazhaban,naqshbandi wa qadri wa chishti mashruban (jaisa ki khud inho ne apne mutalliq tareekh Aaina e Awadh safa 2 par likha hai).aur inke baaz bhaiyo’n ka maulid khaas aur jaae nashonuma Khankah manikpur inka nanhiyaal hai.inka san paidaish 1820 eiswi hai. inke nau umri mein hi inke walid majid ka wisal hogaya tha. aur Bhaiyon mein sab se bade hone ke naate chote bhaiyon aur bahno ki zimmedari inhi ke sar aayi. jise inhone ba hasan wa khobi nibhaya. kuch arse kurra sadaat mein rah kar aap Khankah sharif Manikpur jo aap ka sasural bhi tha muntaqil hogaye’n.

Aap bade barobe ,wajih ,wazadar aur bawaqar shaksiyat ke hamil the’n.Sahibe ilm wa fazal aise the’n ke apne ahed ke intehai zeeilm afrad mein shumar kiye jaate the’n. nashir kitab Tareekh Aina e Awadh ne inko maurrikh jaamiul kamalat majmiul aafadaat raast guftar ba insaaf mamla nigar beaetsaaf, allama e zaman Maulana Syed Abul Hasan Manikpuri daam bil faiz al maanvi wal suri ke aala alfaz se yaad kiya hai.

Aur ye inhi ke rasookh aur koshish ka nateeja tha ke Govt. Aliya Angreezi ne inke biradar khurd Syed Shah Ismail Qutbi sajjadanasheen Khankah Husamiya Manikpur ko hazri adalat se mustasna kardiya. aur ye hukum record ke taur par UP ke gazzet mein shaya hua tha. Inhone kuch arse Banda mein mulazimat ki iske baad Raja Balrampur ki jaedad ke Manager hogaye’n. Maah Shaban 1287 hijri mutabiq maah november 1869 eiswi mein Honr’able RH DUES sahib Bahadur Chief Commissioner Mulk Awadh ki farmayish par inhone Tareekh Aaina e Awadh ka kaam shuru kiya aur san 1305 hijri ko mutabiq 1880 eiswi ko muqammal kiya.is kitab mein inhohne Awadh ke sadaat aur sheikh khandano ki tafsilaat aur haalat e salateen wa farmanrawaya’n hind wa awadh az zamana haam bin nooh a.s ta ahed Sultan Ibrahim Lodhi (932 hijri mutabiq 1526 eiswi) wa deegar tareekhi malomaat mye waqiat is tarikhe se tarteeb diye hai’n ki jumla nasab naamo mein ye ek tareekhi ahmiyat ki hamil hai. 

Maulana Syed Fakhruddin Khayali inke mutalliq apni kitab Seeratus sadaat mein likhte hai:


Shajra Aulad Syed Shah Hamza Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)




Hazrat Syed Shah Abul Hasan Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ne paanch shaadi farmayi 

  1. Pahli Shaadi Kurra Sadaat ke Meer Amjad Ali bin Syed Ali Baksh ki dukhtar Syeda Middraan bibi se hui jin se ek bete Syed Abul Husain paida hue’n.
  2. Dusri Shaadi Shah Abul Hasan Sahab ne Kada ke Shah Mazhar Ali urf Dhoom shah ki dukhtar Rehmatunnisa bibi se farmayi. jin se ek dukhtar Abida Khatoon urf Ubaida Bibi hui’n.
  3. Teesri Shaadi Hazrat Shah Syed Abul Hasan ne khankah Husami Manikpur ke Hazrat shah Muhammad Mohsin bin Hazrat shah Gulam chishti ki dukhtar Haajra Bibi se farmayi. jin se teen pisar Hazrat Syed Ahmed Saeed urf Mullan miyan,Wa Hazrat Syed Ahmed Zaki urf zakku miyan wa Hazrat Syed Muhammad Ayyub urf raje shah aur ek dukhtar Syeda bibi Wajihun nisa hui’n.
  4. Syed Shah Abul Hasan Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) chautha nikah jaisa ki uss zamane mein rausa ka dastoor tha ghar mein kaam karne waali ek khadima ki ladki zaitoon se farmaya jinse ek pisar Syed Zubair Ahmed Qutbi urf noorul hasan paida hue’n.
  5. Syed Shah Abul Hasan Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ne paanchwa nikah Lucknow ki ek Begum se farmaya tha.

Shah Sahib Mausoof ne akhri umr Manikpur mein hi guzari. Baaz Sasurali ahle khandan se jaedad ke masle par ranjish thi chunanche khaatma Kitab Tareekh Aaina e Awadh mein wo likhte  hai’n.
Usi zamaane mein jab mere mardam khana ki khabar alalat pahuchi tu main apne ghar chala aaya aur akhir wo alalat baese halaqut hui. Abhi inki taaziyat se faraghat nahi hui thi ki ek muqadma minjanib ahle khandan mujh par aisa daer hua jiske haar jane mein meri buniyaad kisi tarah qayam na rah jaati lehaza qul kaamkaaj chodkar pore chaar baras iski pairvi mein raha.Akhir muzaffar wa mansur hua. Jab muqadme mein Kamyabi na hui tu dushmano ne mauqa pa kar Garmi ki ek raat mein Jab ki wo sehan Khankah mein so rahe’n the’n chand qasabaan kada ke zariye aap ko Shaheed kara diya gaya.

Hazrat Shah Abul Hasan Qutbi Shaheed (رحمتہ اللہ علیہ) rauza Hazrat Shah Peer Abdul karim Chishti husami (رحمتہ اللہ علیہ) khankah sharif Manikpur mein supurde khaak hue’n.

Zikr aulad Syed Shah Abul Hasan Qutbi Shaheed (رحمتہ اللہ علیہ) :

  1. Syed Abul husain ibn Syed Abul Hasan Qutbi Shaheed (رحمتہ اللہ علیہ): jawaan hone aur husool e taleem se faraghat ke baad inki shaadi mohalla yahiyapur Allahabad mein Syed Shah Abdul Qadir ki dukhtar Ayesha bibi se hui. Shaadi ke baad unhone Yahiyapur mein he rehaish akhtiyar kar li.

  2. Syed Shah Ahmed Saeed urf mullan miyan nihayat nake saleh zeeilm aadmi the’n. arbi ki taleem mukhtalif madarso’n se hasil kiya.aap tabeeb bhi the’n.Kyunki inke chacha Syed Shah Muhammad Ismail Qutbi r.a sajjadanasheen khankah Husamia lawald the’n.issliye unhone apni zindagi he mein inko apna janasheen naamzad kiya tha.chunanche Haji Syed Shah Muhammad Ismail Qutbi r.a ke wafaat ke baad wahi sajjadanasheen khankah Husamiya huwe. inki shaadi Rabiya Khatoon dukhtar Syed Kamaluddin sakin Mahmood patti phulpur se hui.

  3. Syed Shah Zakiuddin urf zakku miyan r.a ibteda mein Bhopal mein Thanedaar rahe’n. lekin apne walid Syed Shah Abul Hasan Qutbi Shaheed (رحمتہ اللہ علیہ) ki wafat ke baad manikpur laut aye’n.aur phir ta umr wahin rahe’n.Aap nihayat nake deendar aabid aur zahid apne aabao ajdad ki sunnato’n ko zinda karne wale bahut khilwatnasheen buzurg the’n. apne biradare akbar Hazrat Syed Shah Ahmed Saeed ke baad sajjadanasheen khankah Manikpur hue’n. kaar sajjadgi batareeq ehsan anjam dete aur khankah ke bahar qadam nahi rakhte the’n. inki shaadi Habibun nisa bibi dukhtar Shah Abdul Samad bin Shah Abdul Qadir Husami Manikpuri se hui. jin se teen pisar Syed Shah Junaid Ahmed urf junnu miyan, Syed Shah Israr Ahmed urf issu miyan, Syed Shah Muhiuddin urf chote miyan aur ek dukhtar jameela Khatoon (zauja Shah Huzoor Asharf sajjadanasheen khankah Jais) huwe’n. 
    1. Syed Shah Junaid Ahmed Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) : Aap nihayat nake baikhlaq milansar yaarbash mehman nawaz shikaar ke shaukeen aur paband saum salaat buzurg the’n.inki shaadi apne Bade baap Syed Shah Ahmed Saeed urf mullan miyan ki sahibzaadi Sulema Khatoon bibi se hui.20 jan 1950 mein aapka wisal hua aur khazirah Hazrat Shah Abdul Karim Chishti r.a mein madfoon hue’n.inke teen farzand hue’n Syed Shah Maqsood Ahmad Qutbi urf bassan miyan ,Syed Shah Ubaid Ahmed urf ubban miyan r.a (Sajjadanasheen Khankah Husamiya) ,Syed Shah Irfan Ahmed urf munnu miyan.aur do dukhtar shamima khatoon aur naseema khatoon hui’n.

    Syed Shah Ubaid Ahmed urf ubban miyan (رحمتہ اللہ علیہ) (Sajjadanasheen Khankah Husamiya):

    Aap apne walid Syed Shah Junaid Ahmad Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ke baad sajjadanasheen Khankah Husamiya hue’n. Lihaza Khankah ghar wa jaedad ki dekhbhal aur intezamaat ki sari zimmedaari aap ke pass thee. jisse aap ne bakhubi nibhaya .Aap abido zahid muttaqi parhezgar buzurgh the’n. Aap ne umr kam pai aur apni walida ke zindagi mein he thode din bimar rahkar san 1978 eiswi ko wisal farma gaye’n. Aap ki shaadi Syed Shah Huzoor Ashraf Jaisi r.a ki dukhtar Syeda Abida khatoon urf bibban bibi se hui jin se ek bete Syed Shah Hasib Ahmad Qutbi hue’n jo ke apne walid ke baad Sajjadanasheen Khankah Husamiya hue’n.

    2.Syed shah Israr Ahmad urf issu miyan : Aaap ka jawani mein hi inteqaal hogaya.

    3. Hazrat Syed Shah Muhiuddin Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)

    Ba Hawala Kitab Tazkirh Sadaat QutbiyaHazrat Syed Shah Muhiuddin Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) gandumi rangat charere badan aur lambe qad ke maalik Hazrat Syed Muhiuddin banne miyan nihayat khush mazaq milansaar ba ikhlaq paband saum salaat abid zahid azizo se khaas talluq wa mohabbat rakhne wale Buzurg the’n.

    Ba Hawala Kitab Madine se Manikpur tak:Az – Meer Syed Qutubuddin Muhammad Aquib Qutbi Hasni (Sajjada Nasheen Aastana e Aaliya Suherwardia Firdausia kubrawiya Qutbia kabeeriya kada shareef Zila kaushambi (U. P) India.)

    रईसमानिकपुर
    मिस्ल हसन क़ल्बी
    इस्म शरीफ़ है जिनका
    सैय्यद मोहिउद्दीन क़ुत्बी

    हज़रत सैय्यद शाह ज़किउद्दीन क़ुत्बी के सबसे छोटे फ़रज़न्द और इस मुसन्निफ़ के दादा मोहतरम निहायत बावक़ार, ज़ी इल्म साहिबे जाह-हश्म, आबिद और ज़ाहिद, शबज़िन्दादार, इबादतगुज़ार, अपने रिश्तेदारों के हालात से बाख़बर रहने वाले और दीगर तमाम इन्सानी कमालात मे मुज़य्यन व कामिल शख़्स का नाम सैय्यद शाह मोहिउद्दीन क़ुत्बी था! अल्लाह ने आपको ऐसे ख़ानदान आली वक़ार मे पैदा फ़रमाया जो हर निस्बत से हर दौर मे अफ़ज़ल व आला रहा है, चाहे वो बुज़ुर्गी के एतबार से हो चाहे हसब नसब के या चाहे दौलत और रईसी के एतबार से हो! चूंकि आप अपने घर मे सबसे छोटे थे इसलिये आपको छोटे मियां के लक़ब से नवाज़ा गया और बाहर आपको लोग बन्ने मियां भी कहते थे! आप मानिकपुर खानकाह शरीफ़ मे ही पैदा हुए आपका नाम हज़रत सैय्यदना ग़ौसुलवरा मोहिउद्दीन अब्दुल क़ादिर जीलानी रहमतउल्लाह अलैह के नाम की मुनास्बत से सैय्यद शाह मोहिउद्दीन रखा गया! अपने वालिद और बड़े भाईयों के दामने शफ़क़त मे पले बढ़े और दीनी दुनियावी इल्म से आरास्ता और पैरास्ता हुए! चूंकि आपके बड़े भाई सैय्यद इसरार अहमद क़ुत्बी ने शादी नही फ़रमाई थी इसलिये अपनी सारी जायदाद को आपके नाम कर दिया था जिससे आप अपने ख़ानदान में भी दोहरी जायदाद के मालिक हो गयें और इस एतबार से आप अपने और अपने बड़े भाई की जायदाद की वजह से सारे मानिकपुर और अपने ख़ानदान मे भी सबसे बड़े ज़मींदार हो गयें थे! आपके इबादत का तो ये आलम था कि सारा दिन इबादत और रियाज़त मे काटते और सारी रात तहाज्जुद मे कटती थी बस कुछ ही देर आराम फ़रमाते थे, मेरे वालिद बताते हैं कि दादा मोहतरम की नमाज़ पूरी ज़िन्दगी मे जब से फ़र्ज़ हुई तबसे लेकर आपके इन्तक़ाल तक कभी भी कज़ा नही हुई! आप निहायत सख़ी और दरियादिल भी थे आपने अपने जायदाद का बहुत सा हिस्सा उन ग़रीबों के नाम कर रख़ा था जो इस ख़ानदान की ख़िदमतगुज़ारी मे रहते थें, आप इस क़द्र सीधे थे कि कभी किसी को एक उँगली तक न छुलाया क्या अच्छा क्या बुरा सभी से हुस्ने सुलूक़ से पेश आते थें! सब्र का आलम तो ये था कि इतनी बड़ी रियासत ख़त्म होने पर भी कभी ख़ुदा से कोई शिकवा न किया और हमेशा ख़ुदा का शुक्र अदा करते रहें और यही दर्स हम लोगों को भी देते रहें! आपको हज़रत पीर क़ासिम शाह रहमतउल्लाह अलैह से जिनका मज़ार मुबारक अन्दरून ख़ानकाह शरीफ़ मानिकपुर है जो चिश्तिया सिलसिले के एक बहुत बड़े वली गुज़रे हैं बहुत लगाव रहा है, जब भी आप मानिकपुर जाते घंटों उनकी मज़ार मुबारक की सफ़ाई सुथराई करते और फ़ातेहा और क़ुरआन पाक की तिलावत करते रहते थें, और इसका नतीजा ये हुआ कि हज़रत पीर क़ासिम शाह रहमतउल्लाह अलैह ने आप पर ऐसी नज़रे इनायत फ़रमाई कि हमेशा के लिये अपने क़दमों मे आपकी आरामगाह मुक़र्रर करदी! आपका इन्तक़ाल सन् 1996 ई. मे बहत्तर साल की उम्र मे इलाहाबाद मे हुआ और हज़रत पीर क़ासिम शाह रहमतउल्लाह अलैह के पैताने ख़ानकाह शरीफ़ मानिकपुर मे दफ़्न हुएं! दादा हुज़ूर के विसाल के बाद वालिदे मोहतरम ने क्या ख़ूब शेर कहा था कि मुझे ख़बर  थी मंज़िल है दो क़दम आगेये बात वाज़ेह हुई बाद मेरे मरने के!

औलादें-:आपकी शादी सैय्यदा ख़ातून बीबी बिन्त सैय्यद शाह यूसुफ़ अशरफ़ जायसी उर्फ़ बब्बू मियां से हुई (आप औलाद हज़रत सैय्यदना मख़दूम जहाँगीर अशरफ़ समनानी किछौछ्वी रहमतउल्लाह अलैह से थें हज़रत सैय्यदना मख़दूम जहाँगीर अशरफ़ समनानी रहमतउल्लाह सिम्नान के सुल्तान थें खुदा के हुक्म से तख़्तो ताज को ठुकरा कर दर्वेशी अख़्तियार करली और सिम्नान से किछौछे तशरीफ़ ले आएं जहां आज भी आपका रूहानी फैज़ आपके मज़ारे अक़दस से जारी और सारी है!) जो निहायत आबिदा ज़ाहिदा सख़ी दरियादिल ग़रीबों से मोहब्बत रखने वाली और पर्दानशीन ख़ातून थीं जिनके बत्न से तीन फ़रज़न्द (1) सैय्यद शाह सलाहउद्दीन क़ुत्बी उर्फ़ वसीम मियां (2) सैय्यद शाह शम्सउद्दीन क़ुत्बी उर्फ़ बब्बू मियां (3) सैय्यद शाह नजमुद्दीन क़ुत्बी उर्फ़ नजमी मियां हुएं और पाँच दुख़्तर (1) सैय्यदा इक़बाल फ़ातिमा ज़ौजा सैय्यद इसरार अहमद बांदवी (2) सैय्यदा इशरत फ़ातिमा ज़ौजा मुख़तार अहमद (3) सैय्यदा अफ़रोज़ फातिमा ज़ौजा सैय्यद जलालउद्दीन हैदर (4) सैय्यदा रईस फ़ातिमा ज़ौजा सैय्यद मेराज अशरफ़ जायसी (5) सैय्यदा शहनाज़ फ़ातिमा ज़ौजा शाह सलीम आलम हुसामी मानिकपुरी हुईं!

Shajra Aale Syed Shah Abul Hasan Qutbi Shaheed Peerzaada Manikpur r.a:


 





13 Zikr Sadaat e Qutbia Qasba Haswa Zila Fatehpur:

Bahawala Zahoor e Qutbi ,Tareekh Aainae Awadh,Seeratus sadaat ,Tazkirah Ulema e Hind

Hazrat Mir Syed Ali jinhone qasba haswa zila Fatehpur mein jakar sukoonat akhtiyar ki inke panchwe pusht mein Syed Laal Muhammad bade Mutbaher Aalim hue’n.inhone bahut si Kitabe’n aur hashia ilm e maqulaat par tahreer farmai aur Kitab nasab banam khud tahreer farmakar tamam Sadaat Arab wa Ajam ka nasab yakja kiya chunanche Laqab inka NASSAB E HIND hai.woh apni Kitab mein nasab naama apna is tarah bayan karte hai’n.

Syed Laal Muhammad bin Syed Hasan bin Syed Faizullah bin Syed Maluk bin Syed Ali bin Syed Khan bin Syed Tahir bin Syed Ruqnuddin saani bin Syed Qutubuddin bin Syed Akhundshah bin Syed Ameer Bada bin Syed Qayamuddin bin Syed Sadruddin bin Syed Ruqnuddin bin Syed Nizamuddin Hasan bin Syed Ameer Kabir Syed Qutubuddin Muhammad Madni (رحمتہ اللہ علیہ)

Aur nasab naama maadri inka 

Syedul wasileen Syed Alaudin javeri shakar barash (رحمتہ اللہ علیہ) par muntahi hota hai jo khalifa aur mureed Hazrat Syed Qawamuddin Mahmood ibn Syed Ameer Kabir Syed Qutubuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ke the’n.

Sahibe Kitab Tazkirah Ulema e Hind Maulvi Rehman Ali inke mutalliq yu raqm taraz hai’n

inke mutalliq maullif Zahoor e Qutbi farmate hai’n

 

Muddat tak Hazrat Syed Laal Muhammad (رحمتہ اللہ علیہ) ne qasba haswa mein Madarsa qayam karke hazarha taliban e ilm ko ilm maqool wa munqool ki taleem dete rahe’n.chunki aap lawald the’n isliye aap ke baad aapke bhayio’n ki aulad barishta damadi haswa ka qayam tark karke Kurra sadaat sakin hue’n. ab unke Bhai ki aulad mein bhi koi pisari aulad na rahi.

Syed Akbar Ali urf Manu miyan: pisar Mir Khuda Baksh jo nasal Syed Qazi Hasan maurise aala Ajwa se the’n.apne walid ke wisal ke baad mauza dilawarpur pargana Kada apne nanhihal ja base’n.inhone dukhtar Syed Haider Ali se nikah kiya aur sakin Kurra sadaat hue’n.100 baras zinda rahkar san 1265 hijri mein is jahan se guzur gaye’n.inke ek pisar Mir Akbar Ali the’n.jinhone batark mazhab aabai mazhab imamiya akhtiyar kiya inki do shaadi hui.jin me pahli shaadi dukhtar Syed Ali raees Ajhwa se hui. jin se do pisar Muhammad Ali aur Syed saani hue’n.Mir Akbar Ali ki dusri shaadi duktar Chiragh Ali se hui jinse ek pisar Mir Syed Husain hue’n jinki shaadi Bibi Tajan nawasi Chaudhary Ahmad Yaar se hui is qarabat ki wajah se Syed Husain ne apne walid ki mukhalfat karke mazhab ahele sunnat akhtiyar kiya.

14 Zikr Sadaat e Qutbia jo sakin Kada rahe’n:

Bahawala Zahoor e Qutbi ,Tareekh Aainae Awadh 

14.1 Awwal jad Hazrat Mir Syed Ali Naqi(رحمتہ اللہ علیہ) :

Aap Mir Adli ohade par mamur the’n.aur akhir tak sakin Kada rahe’n.inke ek bete Mir Adal Syed Abdul Rahim hue’n .inke ek bete Mir Adal Syed  Haider hue’n inke do pisar Syed Muhammad Panah wa Mir Adal  Syed Ziaullah hue’n.Syed Muhammad Panah lawald faut hue’n.Jabki Mir Adal Syed Ziaullah Qutbi ki ek sahabzadi bibi Syeda Sehatunnisa hui’n.jo biyah kar Kurra Sadaat mein Hazrat Syed Karim Baksh bin Syed Muhammad Hashim ke ghar aai’n.Mir Adali ka ohda Syed Ziaullah tak qayam raha. Ba Riwayat Syed Abul Hasan Shaheed r.a (Maullif Tareekh Aainae Awadh) inke zamana tak yani 1880 eiswi  tak  inlogo ke pukhta makanaat ke aasaar Qutbi Mohalla Kada mein maujood the’n. Magar ab wo sab Khet Khaliyan ho chuke hai’n.

Shajra Aulad Mir Syed Ali Naqi (Waris Qutbi Mohalla Kada UP)

  1. Mir Adal Syed Ali Naqi 
  2. Mir Adal Syed Abdul Rahim
  3. Mir Adal Syed  Haider
  4. 4.1  Syed Muhammad Panah(Lawald)  4.2 Mir Adal Syed Ziaullah 
  5. Bibi Syeda Sehatunnisa (Zauja Hazrat Syed Karim Baksh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)) (inhi ke aulado’n mein Syed Qutubuddin Muhammad Aquib Qutbi quddasirrahul aali jo waris qutbi mohalla aur sajjada nasheen aastana e aaliya qutbiya kabeeriya kada hain.)

14.2  Jad Doam (dusre jadd e amjad) Hazrat Syed Saleh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) (ye bhi sakin Kada rahe’n)  :

inhone Shahjahan ke ahade hukumut 1628-1657 eiswi mein apne baap dada ke masnade irshad par baith kar apne noor batin se ek alam ko munawwar kiya.inke karamat ke waqiyat lataydad hai’n.Naql hai ki Badshah ne kisi amr e khaas mein Syed Shujat Ali Khan Soobedaar Allahabad ko maukoof kar ke kisi jurm ke sabab darbar mein talab kiya usne ba khauf e ghazab shahi Hazrat Syed Saleh Qutbi ko apne humraah lejakar apna shafi gardaya Badshah bapaas unki azmat aur sayadat ke uske qasoor se darguzar kiya aur phir se ohda e soobedaari par bahaal kar diya.

inki khalf rashid Syed Hamid Qutbi hue’n woh bhi apne abaoajdad ke tarah sulook wa marifat par qayam rahe’n.inke do pisar Syed Shah Ghaisi (رحمتہ اللہ علیہ) wa Syed Muhammad urf Syed Mungri (رحمتہ اللہ علیہ) huwe.

1)Hazrat Syed Shah Ghaisi (رحمتہ اللہ علیہ) : apne waqt ke kamil guzre’n.inke karamat ke waqiyat lataydad hai’n.inke do pisar Hazrat Shah Khabban wa Syed Ghulam Raza hue’n. 

Hazrat Shah Khabban (رحمتہ اللہ علیہ) ba martaba e Ghausiyat pahuch kar saif zabaan hogae’n the’n.goya ki inki zabaan teer e qaza thi.in par hamesha kaifiyat e jazb taari rahti thi.Magar siwaye Aulad e duktari ke aulad pisari nahi thi.

Syed Ghulam Raza ek marke mein shaheed hogaye’n.Aap ki nasal aage nahi chali.

2) Syed Muhammad urf Syed Mungri (رحمتہ اللہ علیہ)

inki aulad mohalla sadaat e qutbia mein sukunat pazir rahe’n.inke Aulad mein Mir Muhammad Azim ke karim e waqt rahe’n.inhone afifa iffat janab ke batn se aur Syed sayadatma’ab ki pusht se paida hokar apne aba ajdad ke taur tareeqe par yani roti khilane, ghurbanawazi, musafirparwari, himmat, wa shujaat aur sakhawat par qayam rahe’n.

Afsos ki iss khandan e aalishan se koi Aulad e pisari ya dukhtari baaqi na rahi.Mundarja bala log ruhani peshwa aur faqeer roshan zameer hone ke saath saath nihayat mardana aur  farzana huwe’n.Aur aksar sultani afwaaj se milkar shujat ka muzahira pesh karte rahe’n.jis ke sabab khitab khani wa ata e tamgha mumtaz hote rahe’n.Naql hai ki jo hakim kada mein mamoor hota tha pahle in buzurgo’n ke paas hazir hokar inko apne humrah darul imarat tak rahmat wa barkat ke gharz se lejata aur inki ijazat se pahle roz masnade hukumat par baith kar nazar pesh karta tha. Allah hu akbar. Ye Hai Khanwada e Qutbiya Ki Azmat ki har adna o aala awwal ta akhir is gharane ka mautqid nazar aaya hai.

Shajra :


14.3  Jad Soam (Teesre jadd e amjad) Hazrat Syed Shah Muhammad  wa Syed Ruqnuddin (رحمتہ اللہ علیہ) (ye bhi sakin Kada rahe’n):

Hazrat Syed Shah Muhammad  wa Syed Ruqnuddin (رحمتہ اللہ علیہ) ibnan Syed Musa bin Syed Firozuddin bin Syed Ruqnuddin bin Syed Tajuddin bin Syed Akhund Shah bin Syed Mir Bade bin Syed Qayamuddin bin Syed Sadruddin Bin Syed Ruqnuddin bin Syed Nizamuddin Hasan bin Hazrat Syed Amir Kabir Syed Qutubuddin Muhammad  Madni (رحمتہ اللہ علیہ)

Syed Ruqnuddin r.a bin Syed Musa ke ek pisar Syed Muhammad hue’n.Inke pisar Syed Farid saani hue’n inke pisar Syed Fazlullah inke pisar Syed Raji Muhammad urf Syed Sidhari hue’n inke pisar Syed Shah Mir hue’n inke pisar Syed Muhammad Wazir aur inke pisar Syed Abdullah hue’n inki shaadi Machondar Bibi dukhtar Syed Ashraf Ali se hui jin se Syed Mir Muhammad Hasan paida hue’n. 

Mir Muhammad Hasan San 1880 eiswi mein mohalla bazaar jo pahle qazi tola kahlata tha qayam pazir the’n. inki chaar humshira thi’n. jinki tafseel hasab zail hai.

  1. Humshira Aola :Syed Basit Ali (Maullif Aaine Awadh ke mamu) ko mansoob hui’n. shaadi ke baad syed basit Ali 10 roz baad wisal farma gaye’n.lekin inki zauj shareek e khandan Maullif Aaine Awadh rahi’n.
  2. Humshira Sania :Syed Muhammad Ismail biradar Maullif Aaine Awadh ko mansoob hui’n.lekin wo shaadi ke ek saal zinda rah kar wisal farma gai’n.
  3. Humshira salsah : Apne mamuzaat Syed Mazhar Hussain bin Shah Mazhar Ali  ko mansoob hui’n.inse aulad bahut hui’n magar zinda na rahi’n. sirf ek dukhtar ikhlakun nisa bibi hui’n.jo Maullif Aaine Awadh ke sab se chote bhai Syed Abul Muzaffar urf kallan miya ko mansoob hui’n.
  4. Humshira rabiah :Mir Fazal Ali zamidaar taranagar ko mansoob hui’n. inke batn se 6 pisar wa 2 dukhtar kul 8 aulade’n hui’n.

san 1880 eiswi mein bahawala Tareekh Aaine Awadh Kada mein baqi bache Qutbi sadaat mein sewaye Syed Muhammad Hasan aur dukhtar Maulavi Muhammad Mazhar Hussain zauja Abul Muzaffar ke Itlaaq e Qutbiat ka az roo e maadri wa pidri kisi dusre par nahi ho sakta tha.

Shajra:


Zikr Aulad Hazrat Syed Shah Muhammad ibn Syed Musa (Sakin Kada rahe’n)

Syed Shah Muhammad inke pisar Syed Shah Ghulam Husam inke Syed Shah Khaleel hue’n inki shaadi jaisa ki pahle zikr ho chuka hai bakhana aulad Makhdoom Shah Husamuddin sahabe walayat Manikpur dukhtar Shah Ali Raza Husami sajjadan nasheen patigali Manikpur se hui.jin se do pisar Syed Shah Babullah aur Syed Shah Qasim hue’n.ye dono batarka nanhihali baad husool Baet wa Khirka khalafat apne nana ke janasheen huwe.Syed Babullah Patigali mein aur Syed Shah Qasim apne nana ki Dargah ke mutasil Khankah bana kar masnade irshad par baithe.aur apne nana ke mureed ko taqseem kar liya.Syed Shah Khaleel ka mazar andar ahata makaan Mir Ummed Ali Musannif Zahoor e Qutbi ke waqe hai.

Shajra


14.4 Zikr Khandan Syed Ummed Ali Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) Musannif Zahoor e Qutbi (1175 hijri):

Sahibe Kitab Tareekh Aaine Awadh Syed Shah Abul Hasan Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) iss khandan Aalishan ke mutabiq safa 267 par raqam taraaz hai’n.


Mir Ummed Ali Qutbi hamesha Nazim e Bangal wa Salateen e Delhi ki rafaqut wa masahbat mein rahe’n aur Aksar 2000 sawaro’n ke Afsar rahe’n.Akhir zamaane mein Sadaat e Qutbia mein kisi ko aisa zahiri eqtidaar hasil nahi huwa.Asal karnama inka Zahoor e Qutbi ki tasneef hai.Zarori hai ki yaha’n par Zahoor Qutbi ka tafseeli zikr kiya jaye. Kyunki ek Kamyab Farsi Makhtuta hone ki wajah se bahut kam Qareen ki is kitab tak rasai hui hogi.


Mir Ummed Ali ke ek pisar  Syed Mirza Sa’adat Baksh Khan aur ek dukhtar Atharun nisa hue’n.Syed Mirza Sadat Baksh Khan ki  shaadi Raja Syed Shah Ghulam Hussain  urf Raja Hela Raees wa Talluqdar Shahabuddinabad zila Pratapgarh  ki beti se hui.jinse ek beti Syeda Fahimun nisa urf Bibiji hui’n. jinki shaadi Syed Shah Mazhar Ali se hui.Mirza Sa’adat Baksh ne dusri shaadi ek ghair Biradari ki aurat se kiya jin se ek pisar Mir Syed Jamiluddin urf Mir Bhola paida hue’n.Jab Mirza Syed Sa’adat Baksh ka wisal huwa tu inke jaedad ko lekar Shah Mazhar Ali aur Mir Bhola ki darmiyan muddat tak jhagda raha akhir bahami tasfiya ke mutabiq Bap ki naukri aur adha ilaqa Mir Bhola ne paya aur adha ilaqa Bibi ji zauja Syed Shah Mazhar Ali ne paya.

Mir Syed Jamiluddin urf Mir Bhola ne do shaadi ki pahli biwi se Mir Syed Hasan hue’n aur Dusri Biwi se Mir Syed Muhammad Ali hue’n.in dono bhaiyo’n ne apni-apni jaedad farookht kardi.Mir Syed Hasan apne sasural mauza barozah zila Fatehpur ja base aur Mir Syed Muhammad Ali mulazmat ke wajah se Alwar mein rahe’n.

Bibi ji zauja Shah Mazhar Ali ke tarqe ki jaedad ko unke Bete Maulvi Mazhar Husain ke inteqaal ke baad unke wariso’n ne bandi Rambaksh Mahajan sakin audhan pargana kada ke pass rahen kar diya.

Syed Turab Ali Qudrat shaheed

Mir Syed Ummeed Ali ke manjhle bhai apne waqt ke Rustame Dastan aur behtreen shayar the’n.35 saal ki umr mein san 1170 hijri mein Jang Raja Tiloi yani Gangapaar ke Rajao’n ke ladai mein Toap ke gole ke phatne se aap shaheed ho gaye.

Syed Turab Ali Qudrat Haji Syed Ibrahim Muntahi ke shagird the’n jo mashoor sahibe Deewan shayar Shaikh Muhammad Afzal saabit Allahabadi ke arshad talamzah mein se the’n.Mir Ummeed Ali apni Kitab jild Awwal Zahoor e Qutbi mein likhte hai’n.


Inke Kuch Ash’aar bataur yaadgar iss tarah hai’n.>>>>>>>>>



Ash’aar Syed Turab Ali Shaheed

Syed Zainul Abideen urf jana miyan : 

Aap Hazrat Mir Syed Ummed Ali Qutbi ke teesre bhai hai’n.aap bhi shayar bebadal the’n.Nawab Asifuddaulah jab Kada tashreef laaye’n tu woh guzraangarh bhi gaye’n jahan Jana miya ka Markaz tha aur aap ki khidmat mein haazir hue’n Mulaqat ke baad inko apne humraah Lucknow legaye’n.jab Mushaira ki naubat aai tu shora e Lucknow ke Muqable mein inhone 100 ash’aar leke’n. sab log inke kamal ke mautarif hue’n.lekin Nawab Sahab ke shadeed israr ke baawajood inki rafaqut tark karke apne watan chale aaye’n aur lawald is jaha’n se guzar gaye’n.

Shajra Aulad Syed Noorullah Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) Kada shareef .


Comments

Popular posts from this blog

Hadith Jhoot Bolne Walo Par

  *بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ* *اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞* Al-Qur’an:-“Beshak Jhoot Bolne Walo Par Allah Ki Laanat Hai.  Reference  (Surah Aal-e-Imran 3:61) Hadees No:- 1 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate Hai:-“Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunah Ki Taraf Le Jata Hai,Aur Gunah Jahannum Me Pahunchaane Wala Hai.”  Reference  (Sunan Abi Dawud 4989-Sahih) Hadees No:- 2 “Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannum Me Phenk Diye Jaayenge, Sirf Apni Zuban (Jhooth) Ki Wajah Se.  Reference  (Tirmizi Shareef) Hadees No:- 3 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate hai:- “Main Zamanat Deta Hu Jannat ke Darmiyaan 1 Ghar ki, Us Shaksh Ko Jo Mazak Me Bhi Jhoot Na Bole.”  Reference  (Sunan Abu Dawood 4800) Hadees No:- 5 “Laanat Aur Halaqat Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot...

JERUSALEM AND UMAR IBN AL-KHATTAB (RA)

Jerusalem is a city holy to the three largest monotheistic faiths – Islam, Judaism, and Christianity. Because of its history that spans thousands of years, it goes by many names: Jerusalem, al-Quds, Yerushaláyim, Aelia, and more, all reflecting its diverse heritage. It is a city that numerous Muslim prophets called home, from Sulayman and Dawood to Isa (Jesus), may Allah be pleased with them. During the Prophet Muhammad ﷺ’s life, he made a miraculous journey in one night from Makkah to Jerusalem and then from Jerusalem to Heaven – the Isra’ and Mi’raj. During his life, however, Jerusalem never came under Muslim political control. That would change during the caliphate of Umar ibn al-Khattab, the second caliph of Islam. Into Syria During Muhammad ﷺ’s life, the Byzantine Empire made clear its desire to eliminate the new Muslim religion growing on its southern borders. The Expedition of Tabuk thus commenced in October 630, with Muhammad ﷺleading an army of 30,000 people to the border with...

The Qur’an & 100 Questions

1) What is the meaning of the word ‘Qur’an’? A) That which is Read. 2) Where was the Qur’an revealed first? A) In the cave of Hira (Makkah) 3) On which night was the Qur’an first revealed? A) Lailatul-Qadr (Night of the Power) 4) Who revealed the Qur’an? A) Allah revealed the Qur’an 5) Through whom was the Qur’an revealed? A) Through Angel Jibraeel (Alaihis-Salaam) 6) To whom was the Qur’an revealed? A) To the last Prophet, Muhammed (Sallahu Alaihi Wasallam) 7) Who took the responsibility of keeping the Qur’an safe? A) Allah himself 8) What are the conditions for holding or touching the Qur’an? A) One has to be clean and to be with wudhu (ablution) 9) Which is the book which is read most? A) The Qur’an 10) What is the topic of the Qur’an? A) Man 11) What are the other names of the Qur’an according to the Qur’an itself?A) A l-Furqaan, Al-Kitaab, Al-Zikr, Al-Noor,Al-Huda 12) How many Makki Surahs (chapters) are there in the Qur’an? A) 86 13) How many Madani Surahs (chapters) are there in...