*بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ*
*اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞*
Al-Qur’an:-“Beshak Jhoot Bolne Walo Par Allah Ki Laanat Hai.
Reference
(Surah Aal-e-Imran 3:61)
Hadees No:- 1
“Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate Hai:-“Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunah Ki Taraf Le Jata Hai,Aur Gunah Jahannum Me Pahunchaane Wala Hai.”
Reference
(Sunan Abi Dawud 4989-Sahih)
Hadees No:- 2
“Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannum Me Phenk Diye Jaayenge, Sirf Apni Zuban (Jhooth) Ki Wajah Se.
Reference
(Tirmizi Shareef)
Hadees No:- 3
“Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate hai:-
“Main Zamanat Deta Hu Jannat ke Darmiyaan 1 Ghar ki, Us Shaksh Ko Jo Mazak Me Bhi Jhoot Na Bole.”
Reference
(Sunan Abu Dawood 4800)
Hadees No:- 5
“Laanat Aur Halaqat Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot Bole”.
Reference
(Abu Dawood:-4990)
Comments
Post a Comment