Skip to main content

Hazrat Syed Qwamuddin Mahmood Madni r.a

 

Hazrat Syed Qwamuddin Mahmood Madni r.a




Ameer Kabir Hazrat Syed Qwamuddin Mahmood Madni r.a Hazrat Sarkar Ameer Kabir Syed Qutubuddin Madni r.a ke manjhle farzand Hazrat Syed Qwamuddin Mahmood Madni r.a Sultan Shamshuddin Altamash ke ahad mein ek mumtaz wa naamwar sheikh the’n.apne walid majid ke futuhaat ke baad inhone delhi ko apna mustaqir banaya aur masnade sulook aur irshad ko arasta wa pairasta kiya.

Tazkiratul Abrar ke alfaaz mein Hazrat Syed Qwamuddin Mahmood Madni r.a allama e waqt the’n kaseer taedaad mein log inke hidayat wa irshad se mustafaid wa mustafeez hote the.

Kitab Mambaul Ansab ke mutabiq Hazrat Meer Syed Alauddin Jaweri r.a (Jo khud ek bade shaikh aur sahibe halqa buzurg the’n.) inke khalifa aur mureed the’n. apne walid ki zindagi tak woh delhi se aksar unse mulaqat aur dedaar ke liye Kada aate rehte the’n.

Kitab Behrul Ansab ke mutabiq:




Kitab Nuzhatul khawatir ke Mutaliq:




Aapki aulade’n Delhi hi mein qayam pazeer rahi’n jo sab apne apne waqt ke jalilulqadr Aulia Tasleem kiye jaate rahe’n hai’n.

Aap ka Mazaar Mubaark Qutub Minar mein waqe Shahi Qabrastan mein maujood hai.

Hazrat Ahmed Hajib Shakarbar narhadhi ibn Hazrat Shamsuddin Tabrizi uraizi multani r.a ka Hazrat Qutubul aqtab Meer Syed Qwamuddin Mahmood Madni dehlvi r.a se Ilim hasil karna:

Bahut kam logo Ko iss baat ka ilm hoga ki Hazrat Hajib Shakarbar r.a ki jab ilm hasil karne ki Umr hui To aap ke Walid Sahab yani Hazrat Shamsuddin uraizi multani r.a ne Aapko Hazrat Qutubul Aqtab Meer Syed Qwamuddin Mahmood Madni dehlvi r.a Ibn Hazrat Qutubul Aqtab Ghausul Aalmeen Sarkar Ameer Kabeer Syed Qutubuddin Muhammad Al Madni Al kadwi r.a ke hawale Kiya aur Aap se arz guzar hue ki inki parwarish Zahir o baatin aap farmaye jise Hazrat Qwamuddin Mahmood Madni r.a ne Khushi Khushi Tasleem kar liya phir Hazrat Sarkar Ameer Kabeer Syed Qutubuddin Muhammad Al Madni Al kadwi r.a Sarkar Do Aalam sallallahu alaihe wasallam ke Ata se Hindal wali banaye gye aur Aap Ko hukm hua ki sarzamine Hindustan mein Islam ki Isha’at tumhare haatho ho gi aur Islam ka parcham tumhare haatho phairega lehaza tumhe hukm hota hai ki Hindustan jao aur jungo jaddal karo aur tumhe Fateh aur Nusrat ki Basharat dee jaati hai. Lehaza Hazrat Sarkar Ameer Kabeer Syed Qutubuddin Muhammad Al Madni Al kadwi r.a ne Sarzamine Madeena se Sarzamine Hindustan k taraf Kooch Kiya aur Iraq Iran Afghanistan Baghdad Ghazni Hote huwe Aaye’n Jaha’n ke Shurfa Aur Rausa aapke fauj mein Shamil hue inmein Hazrat Ahmad Hajib Shakarbar narhadi bhi maujood the Aur Hazrat Sarkar Ameer Kabeer Syed Qutubuddin Madni r.a ki qayadat mein Delhi pahuche Jahan se Hindustan ke ilaqo Ko Fateh karte hue Hazrat Qutubuddin Madni r.a Sarzamine kada (Kara) pahuche Jahan ka Raja jaye Chand rathaur tha jis se sarkar ne jung Kiya aur Fateh paai chunki Hazrat Sarkar do Aalam sallallahu alaihe wasallam ke taraf se Sarkar Ameer Kabeer Syed Qutubuddin Muhammad Al Madni Al kadwi r.a ko kada mein hi qayam karne ka hukm tha lehaza aapne kada mein qayam Kiya Lekin Apne sath aaye tamam humrahi Mujahideen Ko ijazad di ki jo apne watan Laut jana chahta hai Laut jaye Lekin sab Aapke Daman e Daulat se wabasta rahe Aur kade aur uske girdonawah mein Aabad hue Hazrat Ahmad Hajib Shakarbar r.a ne Apne farzand ba ism Shamsuddin urf maulana Khwajgi r.a ko kada mein chhoda aur Sarkar Ameer Kabeer Qutubuddin Madni r.a se ijazad talab ki k mujhe kooch ki ijazat dije Hazrat ne bakhushi Aapko ijazat de di aur iss tarah aap kada se narhad (Rajasthan) tashreef laaye Jahan ke Raja se aapki ladai hui aur Aap wahi Shaheed hue aur wahi aapki aakhri Aaramgaah hui.
(Ye tareekh Hazrat Shamsuddin urf maulana Khwajgi kadvi Ibn Hazrat Ahmad Hajib Shakarbar Narhadi r.a ke Aulado’n se Aapke khandani tareekh se dastyaab hui) Alawah iske Mambaul Ansab, Tareekh Aaina e Awadh, Ansabul Ashraaf, Zahoor e Qutbi, Malfoozate Qutbiya, Malfoozate Ameer r.a se bhi iss baat ka khulasa hota hai)

 

 

Message : If there is anybody who claims to be descendant of Hazrat Qwamuddin Mahmood Madni Qutbi r.a Please contact us 8004974849/8299518028

Comments

Popular posts from this blog

Kanzul Muttalib fee Manaqib Ali Ibne Abi Talib Alahissalam

1. QUBOOL-E-ISLAM ME AWWAL AUR NAMAZ PADHNE ME AWWAL 1. "Ek Ansari Shakhs Abu Hamza se riwayat karte hain ke maine Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu ko farmate hue suna ke sabse pehle Hazrat Ali RadiAllahu Anhu Imaan laaye." Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kaha hai ke ye Hadees Hasan Saheeh hai. 2. "Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu se he marvi ek riwayat me ye alfaaz hain: "Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par sabse pehle Islam laane waale Hazrat Ali RadiAllahu Anhu hain." Is Hadees ki Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya hai. 3. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Peer ke din Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Baysat hui aur Mangal ke din Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne Namaz padhi." Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai. 4. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke wo farmate hain sabse pehle Hazrat Ali RadiAl

Rijalul ghayb

      https://youtu.be/DBJF3hL27FU   Rijal Al-Ghaib or Awliy’Ulah are always praying for the ummah and the world , imama gazali rehmatuallah “said if somebody prays for their help allah will show them their help ” ” , Rijal Al-Qeyb pray for the whole Umah of prophet Muhammed . Online Article There are at any given time 124000 or over (Allah knows best ) Awliy Ulah living on earth.They are not known and recognized by the general public. You should know O the beloved of Allah All these are hidden from them and the general public too , only Allah is the one who knows them all . In the Hadith 1) The Prophet (SCW) said: “The Substitutes (Abdaal) in this Community are thirty like Ibrahim the Friend of the Merciful. Every time one of them dies, Allah substitutes another one in his place.” [Musnad Ahmad 5:322] 2) The Prophet (SCW) said: “The earth will never lack forty men similar to the Friend of the Merciful [Prophet Ibrahim], and through them people receive rain and are given help. None of

Taziyadari jayaz hai