“Ek roz Jannat aur Dozakh ka muqaabla hua, aapas me munazra hua. Jannat ne kaha: Dozakh mai tujse bahot zyada behtar hun. Dozakh ne kaha: Nahi! mai tumnse behtar hun. Jannat ne pucha tu kaise behtar hogayi? Dozakh ne kaha: Kul bade bade jo badshah hain sab mere paas hain! Dozakh ne kaha ye saare jawabera (jabran hukumat pe kabza karne waale), sab aamir aur naam liya saare namrud, firoun mere paas hain, isliye mai aala hun! Dozakh ki ye baat sunkar Jannat chup hogayi. Allah Pak ne Jannat ki taraf Wahi bheji, Paigam bheja Farishte ke zariye: Ay Jannat chup na kar khamosh na ho! Lajawab na ho is dozakh ko jawab de ke tere paas badbakht jawabera hain, wo sultan o badshah hain jo badbakht hain. Saare insani tarikh ke jhoote badshah aur salateen aur jaabir aur aamir ek taraf, unse to teri badbakhti he badhegi. Mere Khushbakhti aur Sa’aadat, Husn o Jamaal, Azmato Kamaal aur Buzurgi aur Bartari keliye, Khuda ne Kaha Jannat isko kehde Sirf HASAN-O-HUSSAIN 2 he kaafi hain!! To Jannat Hasan aur H...