Skip to main content

Shahadat e Imaam e Aali’maqaam Mola Imaam Hussain (Alaihis Salam) Aur Ahle Sunnat Kutub Se Kuch Rivayaat

 


بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ

اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞

Shahadat e Imaam e Aali’maqaam Mola Imaam Hussain (Alaihis Salam) Aur Ahle Sunnat Kutub Se Kuch Rivayaat

1. Hazrat Umme Salma (Salam un Aleha) Farmati Hai:- Ke Hasan (Alaihis Salam) Aur Hussain (Alaihis Salam) Dono Mere Ghar Me Rasool Allah ﷺ Ke Samne Khel Rahe The Ke Jibreel e Ameen Khidmate Akdas Me Hazir Hue Aur Kha Ke Aye Muhammad ﷺ Beshak Apki Ummat Me Se Ak Jamaat Apke Is Bete Hussain (Alaihis Salam) Ko Apke Bad Qatl Kar Degi, Aur Apko Waha Ki Thori Si Matti Di, Huzoor e Akram ﷺ Ne Us Matti Ko Apne Seene Mubarak Se Chimta Liya Aur “ROOYE” Phir Farmaya:- Aye Umme Salma (Salam un Aleha) Jab Ye Matti Khoon Me Badal Jaye To Jan Lena Mera Ye Beta Qatl Ho Gya, Hazrat Umme Salma (Salam un Aleha) Ne Us Matti Ko Botal Me Rakh Liya Aur Har Roz Usko Dekhti Aur Farmati Aye Matti Jis Din To Khoon Me Badal Jayegi Wo Azeem Din Hoga…
📚 Reference 📚

  1. Sirul Shahadatain
  2. Al Khasais e Kubra:- Jild – 2, Safa – 125

2. Umm ul Momimeen Hazrat Umme Salma (Salam un Aleha) Ne Khuwab Me Hazrat Nabi e Akram ﷺ Ko Dekha Aur Apke ﷺ Sar Aur Darhi Par Matti Padhi Hue Thi, Apne Huzoor ﷺ Se Pocha To Apne Farmaya:- Abi Hussain Ko Qatl Kiya Gya Hai.

📚 Reference 📚

  1. Al Muajjam Al Kabeer
  2. Sirul Shahadatain
  3. Jame Tirmizi:- Hadees No:- 3796

Mola e Kaynat Mola Imam Ali (Alaihis Salam) Aur Shahadat e Imaam e Aali’maqaam Mola Imaam Hussain (Alaihis Salam)

3. Yahya Hazrami Se Riwayat Hai Wo Kehte Hai Ke Mai Safar e Siffin Mai Hazrat Ali Sher E Khuda (Alaihis Salam) Ke Sath Tha Jab Aap (Alaihis Salam) NENUWA Ke Kareeb Pohoche To Aap (Alaihis Salam) Ne Farmaya “Aey Aba Abdullah, Furat Ke Kinare Sabr Karna” Maine Arz Kiya Ye Kya Farmaya Hai ? Imam Ali (Alaihis Salam) Ne Farmaya Ke Rasool Allah (Sallallāhu Ta’ala Alaihi wa Aala Aalehi wa Sallam) Ne Farmaya Ke Jibril (Alaihis Salam) Ne Mujhe Bataya Hai:- Keh Hussain (Alaihis Salam) Furat Ke Kinare Qatl Kiye Jayenge Aur Mujhe Waha Ki Mitti Dikhayi..
📚 Reference 📚

  1. Khasais e Kubra:- Jild – 2
  2. Tehzeeb al Tehzeeb:- Jild – 2,
    Safa – 347

4. Asbag Bin Hanana Se Riwayat Hai Ke Hum Hazrat Ali Sher e Khuda (Alaihis Salam) Ke Sath Imam Hussain (Alaihis Salam) Ki Qabr Ki Jagah Par Aaye To Hazrat Ali (Alaihis Salam) Ne Farmaya Ye Inke Oonto Ke Bethne Ki Jagah Hai, Aur Ye Inke Kajawe Rakhne Ki Jagah Hai, Aur Ye Inke Khoon Behne Ka Muqam Hai, Aal e Mohammad (Sallallāhu Ta’ala Alaihi wa Aala Aalehi wa Sallam) Ka Ek Giroh Is Maidan Mai Shaheed Hoga, Jis Par Aasman Aur Zameen Royenge..
📚 Reference 📚

  1. Khasais al Kubra:- Jild – 2, Safa – 166..

Hazrat Syedna Imaam e Aali’maqaam Mola Imaam Hussain (Alaihis Salam) Ko Shaheed Kiye Jane Par Sitare Tootne Lage

5. Yazidi Lashkariyo Ne Imaam Hussain (Alaihis Salam) Ke Lashkar Me Se Ek Ount Zibah Kiya To Uska Gosht Surkh Ho Gya, Use Pakaya To Uska Gosht Karwa Ho Gya, Dhoop Ka Rang Zafrani Ho Gya, Sitare Ak Dusre Par Toot Kar Girte Rahe..

📚 Reference 📚

  1. Shaheed Ibne Shaheed:- Safa – 365, 366
  2. Sawaik Al Muharrika:- Safa – 645

Comments

Popular posts from this blog

Kanzul Muttalib fee Manaqib Ali Ibne Abi Talib Alahissalam

1. QUBOOL-E-ISLAM ME AWWAL AUR NAMAZ PADHNE ME AWWAL 1. "Ek Ansari Shakhs Abu Hamza se riwayat karte hain ke maine Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu ko farmate hue suna ke sabse pehle Hazrat Ali RadiAllahu Anhu Imaan laaye." Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kaha hai ke ye Hadees Hasan Saheeh hai. 2. "Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu se he marvi ek riwayat me ye alfaaz hain: "Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par sabse pehle Islam laane waale Hazrat Ali RadiAllahu Anhu hain." Is Hadees ki Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya hai. 3. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Peer ke din Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Baysat hui aur Mangal ke din Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne Namaz padhi." Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai. 4. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke wo farmate hain sabse pehle Hazrat Ali RadiAl

Rijalul ghayb

      https://youtu.be/DBJF3hL27FU   Rijal Al-Ghaib or Awliy’Ulah are always praying for the ummah and the world , imama gazali rehmatuallah “said if somebody prays for their help allah will show them their help ” ” , Rijal Al-Qeyb pray for the whole Umah of prophet Muhammed . Online Article There are at any given time 124000 or over (Allah knows best ) Awliy Ulah living on earth.They are not known and recognized by the general public. You should know O the beloved of Allah All these are hidden from them and the general public too , only Allah is the one who knows them all . In the Hadith 1) The Prophet (SCW) said: “The Substitutes (Abdaal) in this Community are thirty like Ibrahim the Friend of the Merciful. Every time one of them dies, Allah substitutes another one in his place.” [Musnad Ahmad 5:322] 2) The Prophet (SCW) said: “The earth will never lack forty men similar to the Friend of the Merciful [Prophet Ibrahim], and through them people receive rain and are given help. None of

Taziyadari jayaz hai