Taziyadaari Kya Taziyadari Jaiz Hai ?? Quran Aur Hadees Mein Koi Bhi Aisi Misaal Nai Hai Jo Taziya Shareef Ke Khilaf Jaye Balki Taziyadari Ke Haq Mein Misaal Maujood Hein. “Beshaq Safa Aur Marwa Allah Ki Nishaniyon Mein Se Hein” ( Para-02)
Is Aayat-e-Kareema Main Allah Ta’ala Ne Safa Aur Marwa Do Pahadiyo Ko Apni Nishani Qarar Diya Hai Is liye Ki Ek Waliyah Ke Qadamo Se Inhein Nisbat Ho Gayi Hai Aur Allah Ta’ala Ki Nishani Ho Jati Hai, Azmat Aur Nisbat Waali Cheez Ki Tazim Wa Tauqeer Deen Mein Shaamil Hai. Imam-e-Hussainع Se Nisbat Ki Wajah Se Taziya Shareef Banaya Jata Hai Upar Humne Jana Ki Safa Aur Marwa Sirf Do Pahadiya Thi Lekin Ek Waliyah Ke Qadam Se In Pahadiyon Ko Nisbat Ho Gai Hai, Toh Ye Allah Ta’ala Ki Nishani Ban Gayi Azmat Wali Pahadiyan Ho Gai, Ussi Tarah Taziya Shareef Ko Imam Hussainع Ki Taraf Nisbat Di Jaati Hai Isliye Taziya Shareef Laaik-e-Tazeem Ban Jata Hai Aaj Kuch Lailm Log Ye Kehte Hein Ki Shiya Bhi Taziyadari Karte Hai Isliye Taziyadari Nahi Karna Chahiye Unlogo Ko Mera Seedha Jawab Hai Woh Imam Hussainع Ko Mante Hein Toh Tum Ab Imam Hussainع Ko Mat Maano Woh bhi Roza Namaz Hajj Karte Hein Tum Ab Ye Bhi Mat Karo Jis Tarah Namaz Roza Hajj Ye Deen Ki Buniyaad Hein Ussi Tarah “Muhabbate Ahle Bait Muhabbate Imame Hussainع Tamam Musalmanon Par Wajib Hai” Ye Koi Shiya Sunni Ka Masla Nahi Hai Muhabbate Imam Hussainع Imaan Ka Hissa Hai Chand Mashur Aur Maruf Buzurgon Ka Hawala Jinse Taziya Shareef Ki Ziyarat Sabit Hai Waise Toh Beshumar Auliya Allah Se Ziyarate Taziya Shareef Sabit Hai Lekin Yaha Chand Mashur Aur Maruf Auliyah Ka Hawala Jinke Naam e Paak Se Sabhi Waqif Hein. Hazrat Qiblae Aalam Janasheene Gauso Khwaja Huzoor Shah Niyaz Beniyaz Rahimahullahu Ta’ala Jo Zabardast Aalime Deen Waliye Kameel Buzurg Hein Zamana Jinke Buzurgi Shan O Azmat Ka Qaail Hai Aap Se Ek Azeem Karamat Zahir Huye Aap Shabe Aashura 2 Baje Taziyon Ki Ziyarat Ko Tashreef Le Jate Aur 5 Ya 7 Taziyon Ki Ziyarat Farma Kar Wapas Khanqah Shareef Mein Roonaq Afroz Hote Akheeri Umar Mein Jab Zaheri Jismani Taqat Zaeefi Ki Wajah Se Kam Huye Aur Ziyarat Ko Nahi Ja Sake Aur Aap khamosh Baithe Thae Ussi Waqt Bibi Sayyedaس Jalwagar Huye Aur Farmaya Ke Niyaz Aaj Hamare Baccho Ki Ziyarat Ko Na Uthoge? Is Irshade Bibi Sayyedaس Sunna Tha Ke Aapko Ek Kaifiyat Taari Huyi Aapne Khuddamo Ko Huqm Diya Ke Humko Le Chalo Khadimo Ne Arz Kiya Ke Huzoor Ko Chaarpayi Pe Le Chale Aap Ne Farmaya Nahi Balki Paidal He Le Chalo Lehaza Dono Janib Khuddam Ne Pakda Aur Aap Paidal Ziyarate Taziya Shareef Ko Tashreef Lae Gaye. Reference-[Makhzanul khazain] [Karamaate Nizamiya] @maula_parast Hazrat Shah Niyaz Beniyaz Rahimahullahu Ta’ala Aap Paabandi Se Taziya Ki Ziyarat Karte Thae, Ek Baar Kisi Molvi Sahab Ne Huzoor Shah Niyaz Beniyaz Se Is Mamul Par Kuch Aitraaz Kiya Aap Ko Jalal Aagaya Chunanche Aapne Uski Gardan Pakad Kar Ek Taziye Ki Taraf Ishara Karte Huye Khas Jazbe Ke Saath Farmaya Maulvi Dekh Kya Nazar Aata Hai? Maulvi Dekhte He Behosh Ho Kar Gir Pada Der Tak Usi Halat Mein Raha Hosh Aane Par Riqqat Taari Ho Gayi Jab Halat Durust Huyi Toh Logon Ke Daryaft Karne Par Bataya Ke Mujhe “Hasnain Kareemain” Ki Ziyarat Huyi Jis Se Mujh Par Behoshi Taari Ho Gayi Main Bayaan Nahi Kar Sakta Ke Maine Kya Nazara Dekha Hai. Reference-[Riyaz Ul Fazail Safa No-229, 230] Aale Rasool Syed Abdul Razzak Rahimahullahu Ta’ala Jis Waqt Taziya Uthta Toh Khade Rehte Aur Jab Taziya Rukhsat Hota Toh Nange Paao Taziya Shareef Ke Saath Jaate Thae Aap Aale Rasool Waliye Kamil Buzurg Thae Jinki Nasal Se Hazrat Warise Paak Rahimahullahu Ta’ala Tashreef laye. [Reference Razzakiya Safa No-15] Hazrat Syed Shah Abdul Razzak Bosvi Rahimahullahu Ta’ala Farmate Hein Ki Taziya Shareef Ko Koi Yeh Na Jane Ki Ye khaali Kaagaz Ya Panni Hai Balki Saheedane Karbala Ki Muqaddas Ruh Hai Is Taraf Mutawajje Hoti Hai. Reference [Karamate Razzakiya 15] Hazrat Waris-e-Paak Rahimahullahu Ta’ala Taziya Waale Gharo Par Tashreef Lae Jate Thae Hazrat Warise Paak Jab Taziya Shareef Ki Taraf Dekhte Toh Aap Par Ek kaifiyat Taari Ho Jaati Thi Aap Taziya Shareef Ke Saath Saath Chalte Aur Kandha Dete Thae. Reference- [Miskaat-e-Haqqaniya]
Comments
Post a Comment