Mai hamesha kehta aaya hun Quran ki Roshani me Sayyeduna Maula Ali Alaihissalam ko Allah Ta’ala ne Waqt, Time pe authority ata farmayi thi. Aap Alaihissalam Waqt me Malik hain! Is baat ka aur ek proof Karbala me bhi milta hai. Jab Maula-e-Kainat Jung-e-Siffin keliyeb tashreef lejarahe they tab raste Karbala ka maidan aaya aur Aapne waha padaw dalne ka Hukm diya aur fir waha ki mitti ko sungha aur Zor se farmaya “Ay Abu Abdullah (Hussain) Sabr karna, Ay Abu Abdullah Sabr karna, Ay Abu Abdullah Sabr karna.” Logo ne pucha Ameerul Momineen kya kya hua, to Maula-e-Kainat ne Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Peshangoyi bayan farmaye ke kaise yaha Imam Hussain aur Ahle Bayt ko Shaheed kiya jayega fir Aap Alaihissalam ne Ahle Bayt ke Khemon ki jagah, Unki Unto ke baithne ki jagah, sabki nishandahi farma diye.
Ab yaha khaas baat ye us waqt Imam Hussain Alaihissalam waha maujud nahi thi. Aur Maula-e-Kainat ne direct Imam Hussain Alaihissalam se farmaya ke Bete Hussain Sabr karna sabr karna sabr karna, Imam Hussain to waha us waqt hai he nahi aur us waqt jaha bhi they taklif nahi thi.
Is baat se sirf ek he baat pata chalti hai conclusion me aur wo ye ke Maula-e-Kainat 25 saal ke baad jo Karbala me hone wala tha, us waqt Imam-e-Aali Muqaam ka jo imtehan horaha tha, Us waqt keliye farma rahe they aur direct mukhatib hokar farma rahe they, iska matlab hai Karbala me us din Maula Ali Alaihissalam 25 saal pehle jo farma rahe they wo 25 saal baad ke Imam Hussain Alaihissalam ko usi muqaam par sunayi deraha tha. Maula Ali Alaihissalam 25 saal pehle Karbala me Tashreef farma they lekin Aapko waqt pe jo Qudrat hasil thi, Aap wahi se 25 saal ke future ke marqe ko samne dekh rahe they, na sirf dekh rahe they balke past se future me message bhi pahunvha rahe they ke Beta Hussain Sabr Karo!!!
Padhe darud o salam,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Comments
Post a Comment