Bismillah Hir Rehma Nir Raheem ka matlab hai ke “Allah ke Naam se Shuru Jo Nihayat Meharban Hamesha Rahem farmane Wala Hai.” Jab pehle Allah Ta’ala ka Naam hai to Arabi me fir “Allah” se pehle BA aur ISM kyu hai? Shaykh-ul-Islam Dr. Tahir-ul-Qadri apni kitab Tafsir e Minhaj ul Quran Surah Fatiha part 1 page 79 se 83 tak me ISM ke Raaz ko detail me explain kiya ke ISM ka matlab “Alamat” hai, lekin Allah Ta’ala ki Alamat ko paana kisike bus me hai he nahi, hamari waha tak rasayi he nahi na aqal pahunch sakti hai, to pata kaha se chale, to ek Aisi Alamat ki Zarurat thi Jise Rabb-e-Kainat ki Khabar bhi ho aur Wo dusro ko bhi Khabar de. Jo Apni Zaat ke Mazhar me bhi Kaamil ho aur Us Zaat-e-Mutlaq ke Izhar keliye bhi Kamil ho. To Aisi Kamil Hasti Jo ISM ke Khawaas ki Sahih Taur par Hamil bhi ho, Wo Sirf Zaat-e-Muhammadi SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam he Hai! yaani Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Aalihi wa Sallam ki Taraf Ishara! Lekin ISM ke pehle aur ek huruf hai BA. BA se agar u