Aasman Ke Taro (Stars) Ke Barabar Nekiyan
Sayyeda Ayesha رضي الله عنها Farmati Hain Ek Baar Rasool Allah ﷺ Mere Ghar Tashreef Farma The Aur Raat Roshan Thi Tu Maine Arz Kiya Ya Rasool Allah ﷺ Kya Kisi Ki Nekiyan Aasman Ke Sitaro Ke Barabar Hongi?
Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Haa Hai Aur Wo Hazrat Umar e Farooq رضي الله عنه Hai Jinki Nekiyan Aasman Ke Sitaro Ke Barabar Hain.
Hazrat Ayesha Siddiqa رضي الله عنها Farmati Hain Phir Maine Arz Kiya Ya Rasool Allah ﷺ Phir Mere Walid (Father) Hazrat Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه Ki Nekiyan Kis Darje Me Hai?
Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Hazrat Umar رضي الله عنه Ki Tamam Nekiyan Hazrat Abu Bakr Siddiq رضي الله عنه Ki Ek Nekiyon Me Se Sirf Ek Neki Ke Barabar Hain
Yani Hazrat Umar Ki Asman Ke Sitaro Ke Barabar Nekiya Hazrat Abu Bakr Siddiq Ki Ek Neki Ke Barabar Hai Tu Socho Unki Ek Neki Ki Ye Shan o Azmat Hai Tu Sari Nekiyon Ka Kya Aalam Hoga Jab Ek Neki Ka Ye Alam Hai
Aur Isse Ye Bhi Pta Chala Ke Hazrat Ayesha Siddiqa Ka Aqeeda Ke Huzoor ﷺ Ko Iska Bhi ilm Hai Ke Aasman Me Kitne Sitare Hai Aur Uske Barabar Kiski Nekiya Hai Tabhi Tu Unhone Pucha Warna Kya Wo Nahi Janti Thi Ki Ye Koi Nahi Janta Ke Asmaan Me Sitare Kitne?
Reference Book
Mishkat al Masabih
Page 1711 Hadees 6059
Comments
Post a Comment