Skip to main content

Bismillah Hir Rehma Nir Raheem ka Raaz





Bismillah Hir Rehma Nir Raheem ka matlab hai ke “Allah ke Naam se Shuru Jo Nihayat Meharban Hamesha Rahem farmane Wala Hai.” Jab pehle Allah Ta’ala ka Naam hai to Arabi me fir “Allah” se pehle BA aur ISM kyu hai? Shaykh-ul-Islam Dr. Tahir-ul-Qadri apni kitab Tafsir e Minhaj ul Quran Surah Fatiha part 1 page 79 se 83 tak me ISM ke Raaz ko detail me explain kiya ke ISM ka matlab “Alamat” hai, lekin Allah Ta’ala ki Alamat ko paana kisike bus me hai he nahi, hamari waha tak rasayi he nahi na aqal pahunch sakti hai, to pata kaha se chale, to ek Aisi Alamat ki Zarurat thi Jise Rabb-e-Kainat ki Khabar bhi ho aur Wo dusro ko bhi Khabar de. Jo Apni Zaat ke Mazhar me bhi Kaamil ho aur Us Zaat-e-Mutlaq ke Izhar keliye bhi Kamil ho. To Aisi Kamil Hasti Jo ISM ke Khawaas ki Sahih Taur par Hamil bhi ho, Wo Sirf Zaat-e-Muhammadi SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam he Hai! yaani Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Aalihi wa Sallam ki Taraf Ishara! Lekin ISM ke pehle aur ek huruf hai BA. BA se agar uska nuqta nikal diya jaaye to baa ki identity khatam hojati hai aur uska kuch matlab nahi rehta. To BA ke Nuqte me BA ki identity hai. aur fir sabko pata hai Sayyeduna Maula Ali Sher e Khuda KarramAllahu Wajahahul Kareem ne farmaya: Bismillah Shareef ke BA ka Nuqta Mai Hun! Aur Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya jisko Meri Bargah me aana hai usey Ali ke waaste se he aane ki ijazat hai warna nahi! aur fir shuru se aakhir tak Quran Gawah hai ke Allah ki Bargah tak rasayi bhi sirf o sirf Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Waaste se he milti hai! To Bismillah Hir Rehma Nir Raheem ka Matlab aisa hua, “Pehle Ali Ali kar fir Huzoor ka Waseela de, tab jaake Allah ko paayega Jo Nihayat Meharban Hamesha Rahem Farmane Wala hai!”!

Comments

Popular posts from this blog

Hadith Jhoot Bolne Walo Par

  *بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ* *اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞* Al-Qur’an:-“Beshak Jhoot Bolne Walo Par Allah Ki Laanat Hai.  Reference  (Surah Aal-e-Imran 3:61) Hadees No:- 1 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate Hai:-“Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunah Ki Taraf Le Jata Hai,Aur Gunah Jahannum Me Pahunchaane Wala Hai.”  Reference  (Sunan Abi Dawud 4989-Sahih) Hadees No:- 2 “Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannum Me Phenk Diye Jaayenge, Sirf Apni Zuban (Jhooth) Ki Wajah Se.  Reference  (Tirmizi Shareef) Hadees No:- 3 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate hai:- “Main Zamanat Deta Hu Jannat ke Darmiyaan 1 Ghar ki, Us Shaksh Ko Jo Mazak Me Bhi Jhoot Na Bole.”  Reference  (Sunan Abu Dawood 4800) Hadees No:- 5 “Laanat Aur Halaqat Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot...

Kanzul Muttalib fee Manaqib Ali Ibne Abi Talib Alahissalam

1. QUBOOL-E-ISLAM ME AWWAL AUR NAMAZ PADHNE ME AWWAL 1. "Ek Ansari Shakhs Abu Hamza se riwayat karte hain ke maine Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu ko farmate hue suna ke sabse pehle Hazrat Ali RadiAllahu Anhu Imaan laaye." Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kaha hai ke ye Hadees Hasan Saheeh hai. 2. "Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu se he marvi ek riwayat me ye alfaaz hain: "Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par sabse pehle Islam laane waale Hazrat Ali RadiAllahu Anhu hain." Is Hadees ki Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya hai. 3. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Peer ke din Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Baysat hui aur Mangal ke din Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne Namaz padhi." Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai. 4. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke wo farmate hain sabse pehle Hazrat Ali RadiAl...

SAINT IBN ARABI ON IMAM MAHDI AND HIS HELPERS

بِسْمِ اللَّـهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ Peace and Blessings of Allah be upon Prophet Muhammad his family and companions. Excerpt from Ibn Arabi’s Al Futuhat Al Makkyya (Meccan Revelation): Inspired Knowledge and Divine Governance: The Mahdi’s “Helpers” Al Futuhat Al Makkiyya: Chapter 366: Concerning Inner Knowledge of the Stage of the Helpers of the  Mahdi (Who is to) Appear at the End of Times: …Know–may God support us!–that God has a viceregent (khalifa) who will come forth when the earth has become filled with injustice and oppression, and will then fill it with  justice and equity. Even if there were only one day left for this world, God would  lengthen it so that he (i.e., the Mahdi) could rule. …He will wipe out injustice and its  people and uphold Religion (al-Din), and he will breathe the spirit back into Islam. He will reinvigorate Islam after its degradation and bring it back to life after its death He will levy the poll-tax and call (mankind) to God with the sword, so that ...