Skip to main content

Posts

Showing posts from July, 2019

Shafat E Rasool صلى الله عليه وسلم

Munkireen E Shafat Kay Dalail Ayat 01: وَاتَّقوا يَومًا لا تَجزي نَفسٌ عَن نَفسٍ شَيئًا وَلا يُقبَلُ مِنها عَدلٌ وَلا تَنفَعُها شَفاعَةٌ وَلا هُم يُنصَرونَ “Aur Daro Us Din Se ki Koi Jaan Dusre Ka Badla Naa Hogi Aur Naa Usko Kuch Lekar Chode Aur Naa Kafir Ko Koi Sifarish Nafa De Aur Naa Unki Madad Ho” (Surah Baqraah Ayat 123) Ayaat 02: يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنوا أَنفِقوا مِمّا رَزَقناكُم مِن قَبلِ أَن يَأتِيَ يَومٌ لا بَيعٌ فيهِ وَلا خُلَّةٌ وَلا شَفاعَةٌ ۗ وَالكافِرونَ هُمُ الظّالِمونَ   “Allah Hai Jiske Siwa Koi Ma’bood Nahi Woh Aap Zinda, Auro’n Ka Kayam Rakhne Waala Usse Naa Oong Hai Naa Neend Ussi Ka hai Jo Kuch Aasmano Me hai Aur Jo Kuch Jameen Me Woh Kaun hai Jo Uske Yahan Sifarish kare be Uske Hukm Kay Jaanta hai Jo Kuch Unke Aage Aur Jo Kuch Unke Piche” (Surah Baqraah Ayat 254) Ayaat 03: وَأَنذِر بِهِ الَّذينَ يَخافونَ أَن يُحشَروا إِلىٰ رَبِّهِم ۙ لَيسَ لَهُم مِن دونِهِ وَلِيٌّ وَلا شَفيعٌ لَعَلَّهُم يَتَّقونَ “Aur Is Quran Se Unhe Darao Jinhe Khauf Ho ki Apne Rab Ki Taraf

Gustaakhaane Rasool Kee Alaamaat….Ahadithe Nabawi ﷺ Kee Roshni Me-Part06

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 26 ٢٦.          عَنِ ابْنِ عُمَرَ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُما قَالَ: سَمِعْتُ رَسُولَ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ عِنْدَ حُجْرَةِ عَائِشَةَ رَضِيَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا يَدْعُو: الَّلهُمَّ بَارِکْ لَنَا فِي مُدِّنَا وَ بَارِکْ لَنَا فِي صَاعِنَا وَ بَارِکْ لَنَا فِي شَامِنَا وَ يَمَنِنَا ثُمَّ اسْتَقْبَلَ الْمَشْرِقَ فَقَالَ: مِنْ هَاهُنَا يَخْرُجُ قَرْنُ الشَّيْطَانِ وَالزَّلَازِلُ وَالْفِتَنُ وَمِنْ هَاهُنَا الْفَدَّادُونَ. رَوَاهُ الطَّبَرَانِيُّ. 26.          “Hazrat (‘Abd Allah) Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Hazrat ‘Aa’ishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Hujre Ke Qareeb Du’a Karte Hu’e Suna, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farma Rahe They: Ae Allah! Hamaare Mudd Aur Hamaare Saa’a (Mudd Aur Saa’a Ghalla Maapne Ke Do² Aale Hain) Me Barkat Daal Aur Hamaare Shaam Aur Yaman Me Barkat ‘Ata Farma, Phir Aap

Twelve Imam Alaihissalam

#Hadees_e_Pak #12_Khalifa #12 Imam Alaihimus Salam 💚 _ Hz. Jabir Bin Samura ر Se Riwayat Hai Ke, Maine RasoolAllah ﷺ Ko Kehte Huye Suna ke :: "Islam Ghalib Rahega 12 Khalifa'oñ Ki Khilafat Tak" _ Iske Baad, AAP ﷺ Ne Kuch Farmaya, Jo Mujhe Samajh Naa Aaya Tou Maine Mere Walid Se Pooncha Tou Unhoney Kaha ke, RasoolAllah ﷺ Ne Farmaye :: "(Woh 12 Khalifa), Sab Ke Sab Quraish Se Honge" _ Reference :: (Sahih Muslim, Volume 5, Hadees No.4708) --------------------------------------------------------------- Hz. Jabir Bin Samura ر Se Orr Bhi Riwayateñ Milti Haiñ, Jisme RasoolAllah ﷺ Farma Raheñ hain Ke :: " Ye Khilafat Tab Tak Tamaam Naa Hongi, Jab Tak Isme 12 Khalifa Naa Honge " _ Reference :: (Sahih Muslim, Hadees No.4705) _ Ek Or Riwayat Me Hai Ke, RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya :: " Hamesha Logoñ Ka Kaam Chalta Rahega, Yahañ Tak Ke Unki Hukumat Karenge 12 Aadmi (Yaani 👉 12 Khalifa)" _ Reference :: (Sahih Muslim, Hadees No.4705) ------------------------

Gustaakhaane Rasool Kee Alaamaat….Ahadithe Nabawi ﷺ Kee Roshni Me-Part05

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 21 ٢١.          عَنِ ابْنِ عُمَرَ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُما أنَّ رَسُولَ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ قَامَ عِنْدَ بَابِ حَفْصَةَ فَقَالَ بِيَدِهِ نَحْوَ الْمَشْرِقِ: الْفِتْنَةُ هَاهُنَا مِنْ حَيْثُ يَطْلُعُ قَرْنُ الشَّيْطَانِ قَالَهَا مَرَّتَيْنِ أوْ ثَلَاثًَا. رَوَاهُ مُسْلِمٌ. 21.          “Hazrat Ibne ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Jab Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Baabe Hazrat Hafsah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Paas Khade Hu’e They Apne Daste Aqdas Se Mashriq Kee Taraf Ishaara Karte Hu’e Farmaya: Fitna Wahaa’n Se Hoga Jaha’n Se Shaitaan Ka Seeng Niklega Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh (Kalimaat) Do² Ya Teen³ Martaba Ada Farmaa’e.” – [Muslim Fi As-Sahih, 04/2229, Raqm-2905, Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-36, Raqm-21.] Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 22 ٢٢.          عَن

Meraj Un Nabi aur Aqaid E Ahle Sunnat

https://youtu.be/9_9Ok4BQGBY 1) Meraj Me 50 Se  5 WAKT Namaz Hone Ka Bayan Kuch badmazhab Aise Hattdharm hote hai unhe jab ye tamam dalil dedi jaaye uske baad bhi wo ye kehte milenge k nahi nahi Meraj me Jibril عليه السلام  Ka deedar Hua tha naaki Allah سُبْحَانَهُ وَ تَعَالَى ka ye wo hai jo Namaz sabse zyada padhne ka daawa karte hai jo kaum e wahabiya hai hadees padhte hai par inke halak se niche nahi utarti hai halanki 50 wakt se 5 wakt waali hadees me hi saara khulasa hai shayar ne kya khoob manzar kashi ki hai            JO ISHQ E NABI CHODKE PADHTE HAI BUKHARI       AATA HAI BUKHAR UNKO BUKHARI NAHI AATI Hazrat Anas Bin Malik رضي الله عنه se meraj ki tavil rivayat hai Jab ye Tohfa E NAMAZ ummat k liye jo 50 wakt thi leke Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم aarahe the to   “Aate Huwe Jab Aap Hazrat  Moosa عليه السلام k pass Pahuche to wo arz Guzar Huwe k Aap K RAB NE AAPKI UMMAT PE KYA FARZ FARMAYA ? RASOOLALLAH صلى الله عليه و آله وسلم ne Farmaya 50 Namazein. Is par Moosa عليه

Gustaakhaane Rasool Kee Alaamaat….Ahadithe Nabawi ﷺ Kee Raushni Me-Part04

Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 16 ١٦.          عَنِ ابْنِ عُمَرَ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُما: أنَّهُ سَمِعَ رَسُولَ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ وَ هُوَ مُسْتَقْبِلُ الْمَشْرِقِ يَقُولُ: ألَا إِنَّ الْفِتْنَةَ هَاهُنَا مِنْ حَيْثُ يَطْلُعُ قَرْنُ الشَّيْطَانِ. مُتَّفَقٌ عَلَيْهِ. 16.          “Hazrat (‘Abd Allah) Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Suna Jab Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mashriq Kee Jaanib Chehra Mubarak Kar Ke Farma Rahe They: Khabardaar Ho Jaa’o Ki Fitna Udhar Hai Jaha’n Se Shaitaan Ka Seeng Niklega.” – [Bukhari Fi As-Sahih, 06/2598, Raqm-6680, Muslim Fi As-Sahih, 04/2228, Raqm-2905, Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/91, Raqm-5659, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/122, Raqm-387, Muqri Fi As-Sunan-ul-Waridah Fi Al-Fitan Wa Ghawa’iliha Wa As-Sa’ati Wa Ashratiha, 01/246, Raqm-43, Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-28, 29, Ra