Skip to main content

Shafat E Rasool صلى الله عليه وسلم

customLogo


Munkireen E Shafat Kay Dalail


Ayat 01:
وَاتَّقوا يَومًا لا تَجزي نَفسٌ عَن نَفسٍ شَيئًا وَلا يُقبَلُ مِنها عَدلٌ وَلا تَنفَعُها شَفاعَةٌ وَلا هُم يُنصَرونَ
“Aur Daro Us Din Se ki Koi Jaan Dusre Ka Badla Naa Hogi Aur Naa Usko Kuch Lekar Chode Aur Naa Kafir Ko Koi Sifarish Nafa De Aur Naa Unki Madad Ho”
(Surah Baqraah Ayat 123)

Ayaat 02:
يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنوا أَنفِقوا مِمّا رَزَقناكُم مِن قَبلِ أَن يَأتِيَ يَومٌ لا بَيعٌ فيهِ وَلا خُلَّةٌ وَلا شَفاعَةٌ ۗ وَالكافِرونَ هُمُ الظّالِمونَ


 

“Allah Hai Jiske Siwa Koi Ma’bood Nahi Woh Aap Zinda, Auro’n Ka Kayam Rakhne Waala Usse Naa Oong Hai Naa Neend Ussi Ka hai Jo Kuch Aasmano Me hai Aur Jo Kuch Jameen Me Woh Kaun hai Jo Uske Yahan Sifarish kare be Uske Hukm Kay Jaanta hai Jo Kuch Unke Aage Aur Jo Kuch Unke Piche”
(Surah Baqraah Ayat 254)

Ayaat 03:


وَأَنذِر بِهِ الَّذينَ يَخافونَ أَن يُحشَروا إِلىٰ رَبِّهِم ۙ لَيسَ لَهُم مِن دونِهِ وَلِيٌّ وَلا شَفيعٌ لَعَلَّهُم يَتَّقونَ
“Aur Is Quran Se Unhe Darao Jinhe Khauf Ho ki Apne Rab Ki Taraf Yu’n Uthaye Jaaye Ki Allah Kay Siwa Naa Unka Koi Himayati Ho Na Koi Sifarish Is Ummid Par Ki wo parhezgaar Ho Jaayen”


(Surah Anam Ayat 51)

Is Tarah Ki hi Aayat jo Shafat Kay inkaar me nazar aati hai unhe aajke khwarij Musalmano kay aage padhte hai aur Shafaat Ka Inkaar karte hai darasal aayat sahi quote ki gayi par maane galat liye gaye in jaise tamam aayat ka talluk Kuffaro Mushrikeen Se hai Jo Apne Butho Kay muttalik Ye Aqeeda rakhte huwe unki ibadat karte the kay unke buth baroz E Kayamat ALLAH Taala ki Bargaah me inki shafat karenge inki Sifarish karenge Jiska zikr Khud Quran me Rab Taala Karta Hai


Ayaat 04 :
وَيَعبُدونَ مِن دونِ اللَّهِ ما لا يَضُرُّهُم وَلا يَنفَعُهُم وَيَقولونَ هٰؤُلاءِ شُفَعاؤُنا عِندَ اللَّهِ
“Allah Kay Siwa Aisi Cheez Ko Pujte Hai Jo Unka Bhala Naa Kare Aur Kahte Hai Ki Ye ALLAH kay yahan hamare Sifarish hain”
(Surah Yunus Ayat 18)


To pata Chala kay Shifarish Ki Ummid Se Mushrikeen Apne Butho ko Pujte the aur unki shafaat kabool na hogi par Musalmano Kay Liye Kya Hai Dekhe.

Shafaat Kinki Nahi Hogi ?


Ayat 05 :
وَلَقَد أوحِيَ إِلَيكَ وَإِلَى الَّذينَ مِن قَبلِكَ لَئِن أَشرَكتَ لَيَحبَطَنَّ عَمَلُكَ وَلَتَكونَنَّ مِنَ الخاسِرينَ
“Agar Tumne Shirk Kiya To Zaroor Tumhare Amal Barbaad Hojaynge Aur Tum Nuksaan Uthane Waalon Mein Se Hojaoge”
(Surah Al Zumar Ayat 65)

Shafaat Ka Saboot Quran E Karim Se


Ayat 06 :
لا يَملِكونَ الشَّفاعَةَ إِلّا مَنِ اتَّخَذَ عِندَ الرَّحمٰنِ عَهدًا
“Log Shafat K Malik Nahi Magar Wohi Jinhone Rehman k Pass Karar Rakha Hai”


(Surah Maryam Ayat 87)

Ayat 07:
يَومَئِذٍ لا تَنفَعُ الشَّفاعَةُ إِلّا مَن أَذِنَ لَهُ الرَّحمٰنُ وَرَضِيَ لَهُ قَولًا
“Us Din Kisi ki Shafat Kaam Na Degi Magar Jise Rehman Ne Izazat De Diya Hai Aur Uski Baat Pasand Farmayi”
(Surah Taha Ayat 109)
In aayat E Karima Se Maloom huwa kay Allah Taala apne bando ko Shafat ka haq Dega kay baroz E kayamat Dusre gunahgaro ki shafat karwake unhe Jannat le jaaye.
Ahle Sunnat Ka Aqeeda hai Huzoor Rehmat E Aalam kay elawa Auliya, Ulema, Fuqaha, Huffaz, Huzzaz wagairah bhi Shafat Karenge ALLAH Taala Kay Izn Se.
Munafikeen, Khwarijeen , Huzoor Se mooh Pherte Hai


Ayaat 08 :
وَإِذا قيلَ لَهُم تَعالَوا يَستَغفِر لَكُم رَسولُ اللَّهِ لَوَّوا رُءوسَهُم وَرَأَيتَهُم يَصُدّونَ وَهُم مُستَكبِرونَ
Aur Jab Unse Kaha Jaata Hai Ki Aao Allah Kay Rasool Tumhare Liye Maafi Chahe To Sar Gumate Hai Aur Tum Unhe Dekho Ki Gaur Karte Huwe Moo’nh Pher Lete Hai
(Surah Munafiqun Ayat 05)
Ye Ayaat E karima me Allah Taala Ne Munafikeen ki ek khasiyat batayi kay jab unko kaha jaata hai Rasool  Ki bargaah me aao kay Rasool  Tumhare Haq Dua kare to ulta pair hojate hai to aaj bhi dekhle kay jinko kaha jaaye aao Quran kay farmaan kay mutabik.


Ayaat 09 :
وَما أَرسَلنا مِن رَسولٍ إِلّا لِيُطاعَ بِإِذنِ اللَّهِ ۚ وَلَو أَنَّهُم إِذ ظَلَموا أَنفُسَهُم جاءوكَ فَاستَغفَرُوا اللَّهَ وَاستَغفَرَ لَهُمُ الرَّسولُ لَوَجَدُوا اللَّهَ تَوّابًا رَحيمًا
Aur Humne Koi Rasul Na Bheja Magar isliye Kay ALLAH Kay Hukum Se Uski  Itaat Ki Jaaye Aur Agar Jab Who Apni Jaano Per Zulm Kare Toh A Mehbub Tumhare Huzur Haazir Ho Aur Phir ALLAH Se Maafi Chahe Aur Rasul Unki Shafa’at Farmaye Toh Zarur ALLAH Ko Bahut Tauba Qabul Karne Wala Maherbaan Paye”
(Surah Nisa Ayat 64)
Rasool ALLAH ki Bargaah me kay apne gunaho ki maafi mange kay Rasool Tumhare haq dua kare to aajke munafik bhi ulte pair hojate hai to Quran bata raha hai kay Huzoor ﷺ Se Bhagne waale Quran Ki istelah me Munafik Hai aaj bhi dekhlo aajke munafik kaise bhagte hai jab Kaha Jaaye Aao Rasool Allah صلى الله عليه وسلم ki bargaah me to chahre ka rang badal jaata hai.


Hadees 01:
“Hazrat Awf bin Malik Al Ashja Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Rasool Allah Ne Farmaya Mere Rab Ki Taraf Se Ek Aane Waale Mere Pass Aaya Aur kaha Ki Allah Ne Aapko Do Cheezon Kay Darmiyan Ikteyar Diya Hai Ki Yaa To Aapki Aadhi Ummat Ko Jannat Me Daakhil Kar Diya Jaaye Yaa Phir Aapko Shafat De Di Jaaye To Maine Shafat ko Ekteyar Kiya Aur Ye Un Sabke Liye Hogi Is Haal Me Mar Jaaye Ki ALLAH kay Saath Kisi ko Sharik Nahi Karta Ho”
Reference :
(Jamai Tirmizi Vol : 04, Pg : 429-430, Kitab Shafat E Kayamat Ar Rikaaq Wal Wara Rasool Allah , Baab No 13, Hadees : 2441)


Hadees 02:
Hazrat Awf bin Malik Al Ashja Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Rasool Allah Ne Farmaya Tum Jaante Ho Raat Mere Rab Ne Mujhe Kya Ikhtiyaar Diya Hai ?


Hum Ne Arz Kiya :

Allah Ta’ala Aur Us Ka Rasool Sab Se Behtar Jaante Hain.

Aap Ne Farmaya :

Us Ne Mujhe Yah Ikhtiyaar Diya Hai Ki Agar Mein Chaahun To Meri Nishf Ummat Ko (Bila Hisab-O-Kitab) Jannat Me Daakhil Kar Diya Jaa’e Ya Yah Ki Mein Shafa’at Karoo’n, Meine Shafa’at Ko Pasand Kiya Sahaba Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ne Arz Kiya :

Ya RasoolAllah ﷺ !

Allah Ta’ala Se Hamaare Liye Duaa Farma’ein Ki Allah Ta’ala Hamein (Bhi) Shafa’at Ke Haquedaron Me (Shaamil Kar De.

Aap Ne Farmaya :

Wo Har Musalman Ke Liye Hai.”

References :

(Sunan Ibn Majah Vol : 05, Pg : 409, Kitabuz Zuhd, Baab : Zikr E Shaafat, Hadees : 4317)

(Imam Hakim Al Mustadraq Vol :01, Pg : 135, Hadees : 221)
(Imam Tabarani Al Muajam ul Kabir, Vol : 18, Pg : 68, Hadees : 126)


(Imam Tabarani Musnad-ush-shamiyyin, Vol : 01, Pg : 326, Hadees :575)


Huzoor ﷺ ka Apni Ummat Kay Haq Dua Karna


Hadees 03:
"Abu Hurraira Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Huzoor ﷺ Ne Farmaya Har Nabi k Liye Ek Dua Aisi Hoti Hai Jo Bahot Khas Hoti Hai.,
Jisko Khuda Wand Taa’la Kabool Farmata Hai Aur Mai Apni Ye dua ko Qayamat K Din Kay Liye Mehfooz Rakhi Hai Jis Se Kay Apni Ummat Ki Shafat Karunga"
References :
(Sahi Bukhari Vol :08, Pg :178, Kitabut Duwat,  Baab 01 :Har Nabi Ki Ek Aisi Dua Jo Allah Taala Raddh Nahi Farmata, Hadees : 6304)
(Sahi Muslim Vol :01, Pg : 331, Hadees: 487)
(Sahi Bukhari Vol :08, Pg :178, Kitabut Duwat,  Baab 01 :Har Nabi Ki Ek Aisi Dua Jo Allah Taala Raddh Nahi Farmata, Hadees : 6305 Rivayat Hazrat Anas ibn Malik)  

Hadees 04:
“Abu Hurraira Radiallahu anhu Se Rivayat Hai Huzoor ﷺ Ne Farmaya Har Nabi k Liye Ek Dua Aisi Hoti Hai Jo Bahot Khas Hoti Hai., Jisko Khuda Wand Taa’la Kabool Farmata Hai Aur Mai Apni Ye dua ko Qayamat K Din Kay Liye Mehfooz Rakhi Hai Jis Se Kay Apni Ummat Ki Shafat Karunga Aur Ye Un Sabke Liye Hogi Is Haal Me Mar Jaaye Ki ALLAH kay Saath Kisi ko Sharik Nahi Karta Ho”
Reference :
(Sunan ibn Majah Vol:05, Pg 401: Kitab Uz Zuhd, Baab : Zikr E Shafat, Hadees : 4307)

Tamam Insano Kay Sardar Huzoor Honge, Sabse Pahle Huzoor Rehmat E Aalam Apne Roza E Aqdas Se Niklenge Aur Allah Ki Hamd Ka Jhanda Huzoor Rehmat E Aalam Kay Dast E Aqdas Me Hoga
Hadees 05:
عَنْ أَبِي سَعِيدٍ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ أَنَا سَيِّدُ وَلَدِ آدَمَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ وَلاَ فَخْرَ وَبِيَدِي لِوَاءُ الْحَمْدِ وَلاَ فَخْرَ وَمَا مِنْ نَبِيٍّ يَوْمَئِذٍ آدَمُ فَمَنْ سِوَاهُ إِلاَّ تَحْتَ لِوَائِي وَأَنَا أَوَّلُ مَنْ تَنْشَقُّ عَنْهُ الأَرْضُ وَلاَ فَخْرَ ‏"‏ ‏.‏ قَالَ أَبُو عِيسَى وَفِي الْحَدِيثِ قِصَّةٌ وَهَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ ‏.‏ وَقَدْ رُوِيَ بِهَذَا الإِسْنَادِ عَنْ أَبِي نَضْرَةَ عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم ‏.‏
Hazrat Abu Saeed Khudri Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Rasool Allah Ne Farmaya Mai Roze E Kayamat Tamam Aulad E Aadam Ka Sardar Rahunga Aur Mujhe Ispe Fakr Nahi,
Allah Ki Hamd Ka Jhanda Mere Dast E Karam Me Hoga Aur Mujhe Ispe Fakr Nahi,
Kayamat K Din Saare Ambiya Khwah Aadam Sab Mere Jhande Kay Saaye Honge,
Sabse Pahle Jameen Mere Liye Kholi Jaygi Aur Mai Ispe koi Fakr Nahi Karta”
Reference :
(Jamai Tirmizi Vol : 06, Pg : 315, Kitab Al Manaqib, Hadees : 3615)
Wahabi Idara Darusalam ye Hadees Hasan hai

Hadees 06:
Hazrat Abu Saeed Khudri Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Rasool Allah Ne Farmaya Mai Roze E Kayamat Tamam Aulad E Aadam Ka Sardar Rahunga Aur Mujhe Ispe Fakr Nahi,
Sabse Pahle Jameen Mere Liye Kholi Jaygi Aur Mai Ispe koi Fakr Nahi Karta
Sabse Pehli Mai Shafat Karunga Aur Sabse Pahle Meri Shafat Kabool Ki Jaygi Aur Ispe Koi Fakr Nahi Karta
Allah Ki Hamd Ka Jhanda Mere Dast E Karam Me Hoga Aur Mujhe Ispe Fakr Nahi Karta"
Reference :
(Sunan Ibn Majah Vol :05, Pg :402, Kitab Uz Zuhd, Baab : Zikr E Shafat, Hadees :  4308) Wahabi Idara Darusalam ye Hadees Sahi hai



Hadees 07:
نْ أَبِي هُرَيْرَةَ، رضى الله عنه قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ أَنَا أَوَّلُ مَنْ تَنْشَقُّ عَنْهُ الأَرْضُ فَأُكْسَى الْحُلَّةَ مِنْ حُلَلِ الْجَنَّةِ ثُمَّ أَقُومُ عَنْ يَمِينِ الْعَرْشِ لَيْسَ أَحَدٌ مِنَ الْخَلاَئِقِ يَقُومُ ذَلِكَ الْمَقَامَ غَيْرِي ‏"‏ ‏.‏
Hazrat Abu Hurraira Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Nabi E Karim Ne Irshad Farmaya Sabse Pahle Jameen Mere Liye Khulegi Aur Mai Jannat Se Aaye Libas jebtan karunga, Phir Mai Arsh K Sidhe Jaanib Khada Rahunga, Makhlook Me Mere Elawa Us Makam Pe Koi Nahi Rahega
Reference :
(Jamai Tirmizi Vol : 06, Pg : 312, Kitab Al Manaqib, Hadees : 3611)


Imam Tirmizi Farmate Hai Ye Hadees قَالَ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ غَرِيبٌ صَحِيحٌ ‏.‏
Hasan Sahi Hai. Wahabi Idara Darusalam ye Hadees Sahi hai
Is tarah Aur bhi Hadees Kuch Alfazat k Changes K Saath Mauzood hai Jinme
(Jamai Tirmizi, hadees : 3148)
(Sunan Abu Dawood Hadees : 4673)

Huzoor ﷺ Ko MAKAM E MEHMOOD Ata Hoga



Makam E Mehmood Huzoor Ko Ata Kiya Jayga
Ayaat 11  :
وَمِنَ اللَّيلِ فَتَهَجَّد بِهِ نافِلَةً لَكَ عَسىٰ أَن يَبعَثَكَ رَبُّكَ مَقامًا مَحمودًا
“Aur Raat k Kuch Hisso Me Tahajjud Ada Karo Yeh Khas Tumhare Liye Zyada Hai, Karib Hai ki Tumhara Rab Aisi Jagah Khada Kare Jahan Sab Tumhari Hamd Karein”
(Surah Bani Israel / Isra - Ayat 79)
Hadees 08:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فِي قَوْلِهِ ‏:‏ ‏(‏ عَسَى أَنْ يَبْعَثَكَ رَبُّكَ مَقَامًا مَحْمُودًا ‏)‏ سُئِلَ عَنْهَا قَالَ ‏"‏ هِيَ الشَّفَاعَةُ ‏"
“Hazrat Abu Hurraira Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Nabi E Akram Se
Is Aayat
عَسَى أَنْ يَبْعَثَكَ رَبُّكَ مَقَامًا مَحْمُودًا
Karib Hai ki Tumhara Rab Aisi Jagah Khada Kare Jahan Sab Tumhari Hamd
Karein” Surah Bani Israel / Isra - Ayat 79”
kay baare Me Pucha Gaya To Irshad Farmaya SHAFAT”
Reference :
(Jamai Tirmizi Vol :05, Pg : 442,  Kitabut Tafseer,  Baab : Wama Surah Bani Israel, Hadees 3137)

Wahabi Idara Darusalam Ne Kaha Ye Hadees Sahi Hai.
Imam Tirmizi Farmate Hai Ye Hadees Hasan hai.  
Hadees E Paak Se Maloom Huwa Wo Makam E Shafat hai Jaha Allah Taala
Apne Mehboob Ko Khada karega aur Aaka Shafat Farmaynge
Hadees 09:
ابْنَ عُمَرَ، رضى الله عنهما يَقُولُ إِنَّ النَّاسَ يَصِيرُونَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ جُثًا، كُلُّ أُمَّةٍ تَتْبَعُ نَبِيَّهَا، يَقُولُونَ يَا فُلاَنُ اشْفَعْ، حَتَّى تَنْتَهِيَ الشَّفَاعَةُ إِلَى النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم فَذَلِكَ يَوْمَ يَبْعَثُهُ اللَّهُ الْمَقَامَ الْمَحْمُودَ‏.‏
“Hazrat Ibn Umar Radi Allaho Anho Farmate Hai Kayamat K Din Log Apne Ghutne K Bal Honge Aur Har Ummat Apne Ambiya ki pairvi karegi Aur kahegi Aye Fala Aye Fala ALLAH Taala Se Hamari Sifarish Farmade’in,
Yaha Tak K Shafat Huzoor Nabi E Akram Ko Ata Ki Jaygi Aur Wo Din Allah Taala Huzoor Ko Maqam Al Mahmood Ata Karega”
Reference :
(Sahi Bukhari Vol :06, Pg :195, Kitabut Tafseer,  Hadees : 4718)


Hadees 10:

عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ ـ رضى الله عنهما ـ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ "‏ مَنْ قَالَ حِينَ يَسْمَعُ النِّدَاءَ اللَّهُمَّ رَبَّ هَذِهِ الدَّعْوَةِ التَّامَّةِ وَالصَّلاَةِ الْقَائِمَةِ، آتِ مُحَمَّدًا الْوَسِيلَةَ وَالْفَضِيلَةَ، وَابْعَثْهُ مَقَامًا مَحْمُودًا الَّذِي وَعَدْتَهُ، حَلَّتْ لَهُ شَفَاعَتِي يَوْمَ الْقِيَامَةِ “Hazrat Jabir Ibn Abdullah Radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya Jo Shaks Azaan K baad Ye Dua Kahe اللَّهُمَّ رَبَّ هَذِهِ الدَّعْوَةِ التَّامَّةِ وَالصَّلاَةِ الْقَائِمَةِ آتِ مُحَمَّدًا الْوَسِيلَةَ وَالْفَضِيلَةَ وَابْعَثْهُ مَقَامًا مَحْمُودًا الَّذِي وَعَدْتَهُ، حَلَّتْ لَهُ شَفَاعَتِي يَوْمَ الْقِيَامَةِ Aye Allah Is Dawa’t E Taa’mma Aur Salat E Ka’eema Kay Malik Tu Hamare Sardar Hazrat Muhammad ﷺ ko Waseela Aur Fazilat Aur Bahot Buland Darja Ata Farma aur Unko Makam E Mehmood Me Khada Farma Jiska Tune Unse Waada Farmaya Hai, Us Shaks Ko Baroz E Kayamat Meri Shafat Milegi" References : (Sahi Bukhari Vol :01, Pg :318,  Kitabut Azaan Baab : Azaan K baad Dua Ka Bayan Hadees : 614)

(Sahi Bukhari Vol :06,  Pg :194  Kitabut Tafseer, Hadees : 4719)
(Sunan Nasai Vol :01,  Pg : 400, Kitabul Azaan Hadees : 681)
(Sunan Abu Dawood Vol :01, Pg : 330, Kitabus Salat Baab : Azaan Kay Baad Dua ka Bayan, Hadees : 529)

(Jamai Tirmizi Vol :01,  Pg :236, Kitabus Salat,  Hadees : 211 ) (Sunan Ibn Majah Vol : 01, Pg :477, Kitabul Azaan Wa Sunnati, Baab :
Mu’azzin K Azaan pukarne Pe Kya kahe, Hadees : 722 )
(Imam Nawawi Riyadusalaheen, Kitabul Fazail,  Hadees : 1039)

Huzoor ﷺ Ki Shafaat Kiske Liye Hai


Hadees 11 :
“Hazrat Abu Moosa Ash’ari RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram Ne Farmaya :


Mujhe Yah Ikhtiyaar Diya Gaya Hai Khwaah Mein Qayamat Ke Din Shafa’at Ko Chun Loo’n Ya Meri Aadhi Ummat Ko (Bina Hisaab Kitab) Jannat Me Daakhil Kar Diya Jaaye To Meine Us Me Se Shafa’at Ko Ikhtiyaar Kiya Hai Kyon Ki Aam Aur (Poori Ummat Ke Liye) Kaafi Hogi Aur Tum Shaayad Yah Khayal Karon Ki Wo Parhezgaaron Ke Liye Hogi ?

Nahin

Balki Wo (Meri Shafa’at) Bahut Zyaada Gunahgaron, Khatakaron Aur Bura’iyon Me Mubtila Hone Waalon Ke Liye Hogi.”

References :  

(Sunan Ibn Majah Vol : 05, Pg : 404, Kitabuz Zuhd, Baab : Zikr E Shafaat, Hadees : 4311)
(Imam Ahmad Ibn Hambal Al Musnad Vol : 02, Pg : 75, Hadees : 5452)
(Imam Bayhaqi Kitab Al Aiteqaad Vol : 01, Pg : 202)
(Imam Haythami Mazma uz Zawaid Vol : 10, Pg : 378)



Hadees 12:


“Hazart Anas Radiallahu anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram Ne Farmaya :

Meri Shafa’at Meri Ummat Ke Un Afraad Ke Liye Hai Jinohne Kabeera Gunaah Kiye”
References :


(Sunan Abu Dawood Vol : 05, Pg :233,  Kitab ul Sunnat, Baab : Fi Shafaat, Hadees : 4739)
(Jamai Tirmizi Vol : 04,  Pg : 446, Kitab Sifaat Al Kiyamati, Hadees : 2435)
(Sunan Ibn Majah Vol : 05, Pg : 404, Kitabuz Zuhd, Baab : Zikr E Shafaat, Hadees : 4311)  
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 01, Pg : 139, Hadees : 228)
وقال الحاكم : هذا حديث صحيح على شرط الشيخين
(Imam Abu Yaala Al Musnad  Vol : 06, Pg : 40,  Hadees : 3284)
(Imam Tabarani Al Muajam Us Sageer Vol : 01, Pg : 272, Hadees : 448)

 

Hadees 13:
Hazrat Anas Radi Allahu Anho Se Ek Taveel Rivayat Bayan Farmayi Huzoor Nabi E Akram Ne Irshad Farmaya
Jab Kayamat Ka Din Hoga To Log Ekhatta Kar Hazrat Adam عليه السلام K Pass Hazir Honge Aur Arz Karenge K Aap Apne Rab Ki Bargaah Me Hamari Shafat kijiye,
Woh Farmaynge Iske Liye Mai Nahi, Lekin Tum Hazrat Ibrahim عليه السلام ka Daman Pakdo Kyuki Wo Allah Kay Khalil Hai,
To Wo Hazrat Ibrahim عليه السلام Kay Pass Jaynge To Wo Bhi Farmaynge Mai Iske Liye Nahi Hoon, Lekin Tum Sayyedina Moosa عليه السلام Kay pass Jao Kyuki Wo Allah K Kalim Hai Wo Farmaynge Mai Iske Liye Nahi,


Lekin Tum Hazrat Isaa عليه السلام Ki Bargaah Me Jao Kyuki Wo Roohullah Hai Aur Kalimullah Hai wo bhi farmaynge Mai Isliye Nahi Hoon, Lekin Tum Hazrat Sayyadina Muhammad Mustafa Ki Bargaah Me Chale Jao,
Woh Mere Pass Aaynge Mai Farmaunga k Mai Hi To Shafat Karne K Liye Hoon,


فَأَسْتَأْذِنُ عَلَى رَبِّي فَيُؤْذَنُ لِي وَيُلْهِمُنِي مَحَامِدَ أَحْمَدُهُ بِهَا لاَ تَحْضُرُنِي الآنَ، فَأَحْمَدُهُ بِتِلْكَ الْمَحَامِدِ وَأَخِرُّ لَهُ سَاجِدًا فَيُقَالُ يَا مُحَمَّدُ ارْفَعْ رَأْسَكَ، وَقُلْ يُسْمَعْ لَكَ، وَسَلْ تُعْطَ، وَاشْفَعْ تُشَفَّعْ‏.‏ فَأَقُولُ يَا رَبِّ أُمَّتِي أُمَّتِ


Phir Mai Allah Taala Se Izazat Talab Karunga To Mujhe Izazat Milegi Aur ALLAH TAALA MERE KALB ME AISI HAMD DALEGA K JO MERE ILM ME HAZIR NAHI,
Mai Un Hamdo Se Hamd Karunga Aur ALLAH K Huzoor Sazde me Gir Jaunga,  Kaha Jayga


AYE MUHAMMAD SAR UTHAI’YE KAHIYE AAPKI SUNI JAYGI
MANGIYE ATA KIYA JAYGA SHAFAT KIJIYE KABOOL KI JAYGI,
Mai Arz Karunga YA RABB MERI UMMAT MERI UMMAT
To Farmaya Jayga Jaiyee Aur Apni Ummat K Har Shaks Ko Jahannam Se Nikal Lijiye Jiske Dil Me Jav K Barabar Bhi Imaan Ho Mai Jaunga Aur Unhe Nikal Launga Phir Wapas Aaunga Aur Unhi Hamdo Se Rabb Ki Hamd Karunga Phir Dobara Rab Taala k Huzoor Sazde Me Gir Jaunga
Kaha Jayga
AYE MUHAMMAD SAR UTHAI’YE KAHIYE AAPKI SUNI JAYGI
MANGIYE ATA KIYA JAYGA SHAFAT KIJIYE KABOOL KI JAYGI,
Mai Arz Karunga YA RABB MERI UMMAT MERI UMMAT


To Farmaya Jayga Jaiyee Aur Apni Ummat K Har Shaks Ko Jahannam Se Nikal Lijiye Jiske Dil Me Rai k Daane K Barabar Bhi Imaan Ho Mai Jaunga Aur Unhe Nikal Launga,


Phir Wapas Aaunga Aur Unhi Hamdo Se Rabb Ki Hamd Karunga Phir Dobara Rab Taala k Huzoor Sazde Me Gir Jaunga
Kaha Jayga
AYE MUHAMMAD SAR UTHAI’YE KAHIYE AAPKI SUNI JAYGI
MANGIYE ATA KIYA JAYGA SHAFAT KIJIYE KABOOL KI JAYGI,
Mai Arz Karunga YA RABB MERI UMMAT MERI UMMAT To Farmaya Jayga Jaiyee Aur Jiske Dil Me Rai K Daane Se Bhi Kamtar Imaan Ho, Usse Bhi Aag Se Nikal Lijiye, Chunache Mai Jaunga Aur Aisa Hi Karunga”


References :
(Sahi Bukhari, Vol :09, Kitabut Tawheed, Baab : Kalam Al Rabbi Yaum Al Kiyamati, Hadees : 7510)
(Sahi Muslim Vol : 01, Pg : 307, Kitabul Imaan, Baab : أَدْنَى أَهْلِ الْجَنَّةِ مَنْزِلَةً فِيهَا, Hadees : 311)












Sahi Bukhari Front Cover
Sahi Bukhari Cover Pic 

 









SB Shafat Anas book of Tauheed
Sahi Bukhari Hadees 7076 Hadees E Shafat Anas bin Malik,

 









SB Shafat Anas book of Tauheed 2
Sahi Bukhari Hadees 7076 Hadees E Shafat Anas bin Malik, 




Hakimul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Alaihrehma Is Hadees Ki Shara Me Farmate Hai
“Yaad Rahe Ki Hum Baa Jaat E Khud Rab Taa’la Ki Hamd Nahi Kar Sakte Hai Jab Tak K Humko Huzoor Naa Sikhaye, Hamari Hamd Huzoor k Sikhane Se Hai Aur Huzoor Ki Rab Taala K Sikhane Se Rab Taa’la Ki Jaise Hamd Huzoor E Anwar Ne Ki Hai Aur Karenge Makhlook Me Kise Ne Aisi Hamd Naa Ki, Isliye Aapka Naam ‘AHMAD’ Hai bahot Zyada Tarif Bayan Karne Waala Mazid Farmate Hai us Sazde Me Huzoor E Anwar Rab Taala Ki Bemisal Hamd Karenge Aur Makam E Mehmood par Rab Taala Huzoor Ki Aisi Hamd Karega Jo Koi Naa Kar Sakega Isliye Huzoor E Anwar Ka Naam Muhammad Hai”
(Miratul Manajih Shara E Mishkat Al Masabih Vol : 07, Pg : 417)  


Phir Issi Tarah ki Rivayat Hazrat Anas bin Malik Radi Allahu Anhu Kay Turk Se Imam Bukhari Rahmatullah Alaih Ne Apni Sahi me rivayat ki ab Har Rivayat likh paana Munasib nahi yahan isliye Chand hawale Pesh hai
* Sahi Bukhari Vol : 06, Pg: 23, Kitabut Tafseer, Hadees : 4476
*Sahi Bukhari Vol : 08, Pg: 302, Kitab Ar Riqar Baab : Jannat Aur Jahannam kay Sifaat, Hadees : 6565
*Sahi Bukhari Vol : 09 , Pg :304, 325, Kitabut Tawheed Hadees : 7410, 7440


Is rivayato me Logon Ka Hazrat Nooh Alaihsalam Kay Pass Jaana Ka Bhi Zikr hai Phir Hazrat Nooh Unhe Hazrat Ibrahim Kay pass Bhejenge. Hazrat Abu Hurraira Radi Allahu Anhu Se Bhi Is tarah ki rivayat marvi hai

* Sahi Bukhari Vol : 06, Pg : 188, Kitabut Tafseer, Hadees : 4712  
* Sahi Bukhari Vol : 04,  Pg : 341, Kitabun Nabi, Hadees : 3361

*Sahi Muslim Vol : 01, Pg : 323, Kitabul Imaan, Hadees : 194 * Sunan Tirmizi Vol 04, Pg : 442 , Kitab Shafat E Kayamat Ar Riraak Wal Wara Rasool Allah, Hadees : 2434 * Imam Nawawi Riyadusalaheen, Hadees : 1866 Hazrat Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu Se Marvi bhi rivayat jikso Imam Muslim Ne apni Sahi me rivayat kiya hai  Sahi Muslim Vol :01, Pg : 289, Kitabul Imaan, Hadees : 289 Yaha ab dekhne ka makam hai kay aakhir ye itna Lamba Process kyun ? Allah Taala Ne To Shafat di hai Huzoor Rasool E Akram Ko to phir direct logo ko Huzoor kay pass bhej diya jaana chahye tha log pahle se hi itne pareshan haal phir itna lamba process kyun ? Kabhi khwarij wahabi ne ispe gaur o fikr kiya hai jo aaaj kahte hai Jiska naam Muhammad Ya Ali ho usko koi authority nahi hai. Pahle Aadam Phir Nooh, Phir Ibrahim, Phir Moosa Phir Isaa In sabke paas kyun bheja jaa raha hai aur direct hi Kyun nahi Huzoor Kay Pass bheja jaa raha hai ? Allah Ko Tamam Logo ko Ye Makam E Muhammad Dikhana Hai kay Aaj koi Nahi Bolega Mahshar ka Khatib Mera Mehboob hoga Allah Kay Arsh Kay Sidhe Jaanib Makam Huzoor ko Milega jo Log jindagi bhar Huzoor Ki azmat kay munkir rahe wo Aaj Huzoor Ki Allah Kay Mehboob ki Azmat Shan E Bulandi ko dekhle. Aala hazrat ne kya khoob likha hai Faqat Itna Sabab Hai In'eqaad E Bazme Mehshar ka kay Unki SHAAN E MEHBOOBI dikhai jany wali hai.


Hadees : Hazart Abdullah Bin Umar RadiAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ  Ne Farmaya : Qayamat Ke Din Sooraj Logon Ke Bahut Qareeb Aa Jaa’ega Yahan Tak Ki (Us Ki Tapish Ke Baa’is Logon Ke) Nisf Kaanon Tak Paseena Pahunch Jaa’ega Log Is Haalat Me (Pahle) Hazrat Aadam عليه السلام Se Madad Maangne Jaa’einge, Phir Hazrat Moosa عليه السلام Se, Phir Aakhir Me (Har Ek Ke Inkaar Par) Hazrat Muhammad ﷺ Se Madad Maangeinge.” References : (Sahi Bukhari Vol : 02, Pg : 323, Kitabuz Zakat, Hadees : 1475) (Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 03, Pg : 269, Hadees : 3509) (Imam Tabarani Muajam Ul Awsat Vol : 02, Pg : 854, Hadees : 884)

(Imam Daylami Al Musnad Ul Firdaus Vol : 02, Pg : 377, Hadees : 3677) Scan Page









SB ibn umar shafat

SB ibn umar 2
Shafat Hadees From Sahi Bukhari Ibn Umar Narration 

Sahabi E Rasool ﷺ Ka Kharjiyo Se Ilmi Munazra


Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho Ka Khwarijeen Se Bahes O Mubahisa Jarur Padhna aur Dekho

Hadees : Yazid Al Faqir Kehte Hai Mujhe Kharjiat k Nazariat Pasand Aagye Mai Kharji Hogaya Tha. Hum Jamaat Ki Shakl Me Hajj K Liye Nikle Phir Waha Se Logo Ko Kharjiat Ki Tableeg karne Chal Pade. Unhone Kaha Hum Madina se Gujre Aur Dekha Hazrat Jabir Bin Abdullah Logo ko Masjid E Nabvi صلى الله عليه و آله وسلم Me Hadees e Rasool صلى الله عليه و آله وسلم Ka Dars De Rahe The. Jab Unhone Jahannam Ka Zikr Kiya Aur Kaha Nabi Chullu Bharenge Aur Logo Ko Jahannam Se Leke Jannat Me Le Jaaynge. (Yaani Shafat E Rasool Ka Bayan) Maine Kaha Aye Sahabi e Rasool ye Tum Kya Bayan Kar Rahe Ho ? Jabki Quran Me Allah Farmata Hai “Aye Rab Hamare Beshak Jise Tu Dozakh Me Le Jaaye Use Jarur Tune Ruswayi Di Aur Jaalimo ka Koi Madadgaar Nahi (Surah Al Imraan Ayat 192)” Phir Ek Aur Aayat Padhi “Rahe Wo Jo Behukm Hain Unka Theekana Aag Hai, Jab Kabhi Usme (Jahannam) Se Nikalna Chahenge Phir Usi Me Gira Diye Jaynge - (Surah Sajdaah Ayat 20)” Quran ye Kehte aur Tum Kya Kehte Ho ? Hum Tumhari Maane Ya Quran Ko Maane ? Jabir bin Abdullah Radi Allaho ne Farmaya itminaan se pucha Kya Tumne Quran padha Hai ? Yazid Al Faqir Kehte Hai Haa Humne Padhi Hai Quran (Bahot Josh me Aake Kaha) Jabir bin Abdullah ne Farmaya Kya Tumne Usme MAKAM E MEHMOOD K baare Me Kuch Padha hai ? {*// “Karib Hai Ki Tumhe Tumhara Rab Aisi Jagah Khada Karen Jahan Sab Tumhari Hamd Kare” (Surah Bani Israel/Isra Ayat 79) } Yazid Al Faqir Kehte hai HAA Humne Padha Hai. Jabir bin Abdullah Farmate Hai Padha Hai To Bas Aise Hi Padha Hai. Aage Farmate Hai Makam E Mehmood Wo Makam Hai Jo Allah Ne Apne Mehboob صلى الله عليه و آله وسلم Ko Ata Kiya Hai Jisko Chahenge Jahannam Se Aazad Kara denge. Phir Uske baad Ek Pool (Bridge) Ka Zirk Kiya Jiske Upar Se Log Guzrenge Aur Kaha Mujhe Aur Zyada Yaad Nahi lekin itna mere jahen me hai log Jahannam se Nikale jaynge aur kaha is tarah syaah (kaale) honge (yaani Jahannam ki aag se jalke). Phir Unhe Jannat Ki Naher me daala Jayga waha se jab niklenge bilkul Safed Kagaz (White Ppr) ki trah hojaynge. Yazeed Al Fakeer Kehte Hai Unki Guftgu Sun ne K baad Phir Hum Waha Se Nikle Aur Apne Ustado k Pass pahuche unhone Humse Sabab Pucha Lautne Ka. Saara Mazra Bayan Kiya Wo Hum Pe Naraz Huwe Phir Maine Kaha Dil Nahi Maanta k Aise Noorani Chehre Waala Sahabi Bhi Allah Kay Rasool Kay Baare Me Jhut Bol Sakta Hai Aur  Hum Sabne Khwarijat Se Tauba Karli Jo Jo Gaye The Siwaye Ek kay. References : (Sahi Muslim Vol : 01, Pg : 313, Kitabul Imaan  Hadees : 191, ‘English : Book 01, Hadees : 381, 371’) (Imam Abu Nauyem Al Hilyatul Awliya) Scan Page of Sahi Muslim









Sahi Muslim Front CoverSahi Muslim Yazeed Al Faqir Munazra With Jabir Bin Abdullah
Hazrat Jabir Munazra With Khwarij on Shafat Sahi Muslim Hadees : 191 Kitabul Imaan 

Is Hadees Pe Ab Kuch Lamha E Fiqriya Guftgu Bahot se log padh k gujar jaate hai par samajhte nahi hai lihaja iska khulasa jaruri hai.
1) ADAB E MADINA SHARIF NAHI :  Kya Kaha Madeene Se Gujar Gaye matlab kya huwa Tazeem nahi thi dil nahi tha bas achanak se Gujar gye aur Masjid E Nabvi pahuch gye dekho aaj ka munafik khwarij bhi yehi kahta hai dil me azmat nahi hoti bas pahuch gye Ek Gulam Hota hai jo MADEENA SHARIF jaane k liye tadapta hai k kaash MADINA ME HI ZINDGI GUJAR JAAYE Aur Ek ye hai bas ghumte phirte pahuch gaye pata chala ye Makamat(Places) Ki Tazeem o Taukeer nahi hoti dekho aaj ka khwarij ko wo bhi yehi karta hai.
2) SAHABI E RASOOL صلى الله عليه و آله وسلم K SAAMNE QURAN SUNA RAHE HAI :  Ye The Sahaba K Jamane K Young Generation Khud apna haalat Bayan kar rhe hai k wo Kharji hogaye the unke Haath Me Kya Tha ?  
Haath Me Kya Tha Quran Jaban PE Aayat E Ilahi Tha
QURAN aayat Padhne lage kiske aage Sahabi E RASOOl صلى الله عليه و آله وسلم, Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho k saamne wo jinhone QURAN kinse padha Nabi E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم se unko QURAN sunane lage.
3) JARURI NAHI HAR QURAN KI AAYAT PADHNE WAALA HAWALE DENE WAALA SACCHA HO :  aaj Ye bhi fitna failaya jaa raha hai k dekho hum QURAN ki aayat pesh karte hai aur tum hume bura bolte ho ab andaza lagao Musalmano dekho SAHABA k aage bhi SAHI aayat padhi gayi Sahi Hawale wo bhi QURAN hi se de raha tha na par Us aayat se Aqeeda aur Matlab galat bayan kiya jaa raha tha.
4) HAR QURAN KI AAYAT SUNANE WAALA HAQ PE NAHI HAI : Dekho ab kaha se Sazra Mila Hai nazdiyo kaa aaj jis Musalmaan k aage koi QURAN padhte QURAN ki aayat sunade wo soch aur fiqr me padh jaata hai k ab kya karu QURAN ki aayat pesh ki jaari hai.
Dekho QURAN padha jaa raha hai kiske aage aaj k aam Musalmano k aage nahi balki 1400 Saal pahle wo Bhi Sahabi k aage waha bhi logo ne isi tarah QURAN padhi hai.
5)Hazrat Abdullah ibn Jaabir Radi Allaho Anho Dars Kya De Rahe The  ? : Huzoor Nabi  E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم ki SHAFAT kaa AAKA KARIM صلى الله عليه و آله وسلم ki Shan o Azmat Ka Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم Ki Hazaat Rawayi Ka Jahannam se Aazad karana kitni badi Hazaat Rawayi Dastagiri hai Huzoor صلى الله عليه و آله وسلم K FAIDE KA Inkaar kisne kiya ?
Khwarijeen ne pata chala Nasl Kaha se aayi hai ? Nishaniyaa aaj bhi mauzood hai.
6) QURAN KI AAYAT SAHI ISTEDLAAL GALAT BAYAN KARNA :  Khwarijeen ne Kya Kiya Raddh karne lage nahi nahi aisa kuch nahi hai aur daleel kin cheezo se de rahe the QURAN se , To pata chala Har QURAN ki baat bolne waala QURAN ki Sahi aayat padhne waala Jaruri nahi Aqeeda bhi sahi bayan karde. QURAN ko koi nahi bigaad sakta balki QURAN ki aayat k maane ko uske maksad ko badal ke Sahaba k aage padhte the khwarijeen.
7)KUFFARO WAALI AAYAT KO CHISPAN MUSALMANO PE KIYA :  Aayat konsi padhi wo aayat jinka Talluk Kafiro se tha aur us aayat se raddh kar rhe kiska Huzoor Nabi  E KARIM k Faide ka to jo KAFIRO K talluk se aayi thi aayat k wo Jahannam se nikalna chahenge dobara palta diye jaaynge unko koi nahi bacha sakta us aayat ko chispaan kiya Musalmano pe balki Musalmano k Liye SHAFAT E NABI صلى الله عليه و آله وسلم hai.
Pata Chala KAFIRO Ki AAYAT MUSALMANO PE CHISPAAN kar dena ye koi aaj ki baat nahi SAHABA k saamne bhi ye Khwarijeen k shakl me the NISHANI aaj bhi bas Naam aur Chehre badadlte hai.
8) QURAN K LIYE KABHI KABHI CHEHRE BHI DEKHNE HOTE HAI: Pata chala k Hazrat yazid jo kuch kharji the tauba ki aur Musalman huwe aur kya kaha k CHEHRE dekho aisa noorani chehra jhut nahi bol sakta ab dekho to sahi aaj unke Ulma k Manhoos chehre ko dekho hamare akabireen k chehre ko pata chal jaayga kon Saccha hai kon jhuta hai.
9) HAR QURAN PADHNE WAALA QURAN SAMAJH LE JARURI NAHI : ye bhi masla maloom huwa har insaan jo Quran padhe jaruri nahi k usko Quran fehmi bhi ho yakinan QURAN ko sikhna hai Samajhna hai to tareek pe sikho Jo Manhaj Sahaba ka Auliya Fukaha Sufiya ka hai agar Khwarijio k nazariat se padhoge is tarah aayat talash karoge ye nahi kar sakte wo nahi pata ye nahi pata to QURAN to padhloge par wo tumhe kaam nahi aaygi Jahannam me jaoge.

Comments

Popular posts from this blog

Hadith Jhoot Bolne Walo Par

  *بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ* *اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞* Al-Qur’an:-“Beshak Jhoot Bolne Walo Par Allah Ki Laanat Hai.  Reference  (Surah Aal-e-Imran 3:61) Hadees No:- 1 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate Hai:-“Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunah Ki Taraf Le Jata Hai,Aur Gunah Jahannum Me Pahunchaane Wala Hai.”  Reference  (Sunan Abi Dawud 4989-Sahih) Hadees No:- 2 “Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannum Me Phenk Diye Jaayenge, Sirf Apni Zuban (Jhooth) Ki Wajah Se.  Reference  (Tirmizi Shareef) Hadees No:- 3 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate hai:- “Main Zamanat Deta Hu Jannat ke Darmiyaan 1 Ghar ki, Us Shaksh Ko Jo Mazak Me Bhi Jhoot Na Bole.”  Reference  (Sunan Abu Dawood 4800) Hadees No:- 5 “Laanat Aur Halaqat Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot Bole”.  Reference  (Abu Dawood:-4990)

JERUSALEM AND UMAR IBN AL-KHATTAB (RA)

Jerusalem is a city holy to the three largest monotheistic faiths – Islam, Judaism, and Christianity. Because of its history that spans thousands of years, it goes by many names: Jerusalem, al-Quds, Yerushaláyim, Aelia, and more, all reflecting its diverse heritage. It is a city that numerous Muslim prophets called home, from Sulayman and Dawood to Isa (Jesus), may Allah be pleased with them. During the Prophet Muhammad ﷺ’s life, he made a miraculous journey in one night from Makkah to Jerusalem and then from Jerusalem to Heaven – the Isra’ and Mi’raj. During his life, however, Jerusalem never came under Muslim political control. That would change during the caliphate of Umar ibn al-Khattab, the second caliph of Islam. Into Syria During Muhammad ﷺ’s life, the Byzantine Empire made clear its desire to eliminate the new Muslim religion growing on its southern borders. The Expedition of Tabuk thus commenced in October 630, with Muhammad ﷺleading an army of 30,000 people to the border with

The Qur’an & 100 Questions

1) What is the meaning of the word ‘Qur’an’? A) That which is Read. 2) Where was the Qur’an revealed first? A) In the cave of Hira (Makkah) 3) On which night was the Qur’an first revealed? A) Lailatul-Qadr (Night of the Power) 4) Who revealed the Qur’an? A) Allah revealed the Qur’an 5) Through whom was the Qur’an revealed? A) Through Angel Jibraeel (Alaihis-Salaam) 6) To whom was the Qur’an revealed? A) To the last Prophet, Muhammed (Sallahu Alaihi Wasallam) 7) Who took the responsibility of keeping the Qur’an safe? A) Allah himself 8) What are the conditions for holding or touching the Qur’an? A) One has to be clean and to be with wudhu (ablution) 9) Which is the book which is read most? A) The Qur’an 10) What is the topic of the Qur’an? A) Man 11) What are the other names of the Qur’an according to the Qur’an itself?A) A l-Furqaan, Al-Kitaab, Al-Zikr, Al-Noor,Al-Huda 12) How many Makki Surahs (chapters) are there in the Qur’an? A) 86 13) How many Madani Surahs (chapters) are there in