Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 26
٢٦. عَنِ ابْنِ عُمَرَ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُما قَالَ: سَمِعْتُ رَسُولَ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ عِنْدَ حُجْرَةِ عَائِشَةَ رَضِيَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا يَدْعُو: الَّلهُمَّ بَارِکْ لَنَا فِي مُدِّنَا وَ بَارِکْ لَنَا فِي صَاعِنَا وَ بَارِکْ لَنَا فِي شَامِنَا وَ يَمَنِنَا ثُمَّ اسْتَقْبَلَ الْمَشْرِقَ فَقَالَ: مِنْ هَاهُنَا يَخْرُجُ قَرْنُ الشَّيْطَانِ وَالزَّلَازِلُ وَالْفِتَنُ وَمِنْ هَاهُنَا الْفَدَّادُونَ.
رَوَاهُ الطَّبَرَانِيُّ.
26. “Hazrat (‘Abd Allah) Bin ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Hazrat ‘Aa’ishah Siddiqah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Hujre Ke Qareeb Du’a Karte Hu’e Suna, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Farma Rahe They: Ae Allah! Hamaare Mudd Aur Hamaare Saa’a (Mudd Aur Saa’a Ghalla Maapne Ke Do² Aale Hain) Me Barkat Daal Aur Hamaare Shaam Aur Yaman Me Barkat ‘Ata Farma, Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Mashriq Rukh Ho Ga’e Aur Farmaya: Yaha’n Se Shaitaan Ka Seeng Niklega Aur (Yahi’n Se) Zalzale Aur Fitne Zaahir Honge Aur Yahin Se Sakht Guftaar, Takabbur Ke Saath Chalne Waale (Log Zaahir) Honge.”
–
[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/252, Raqm-7421,
Aboo Nu’aym Fi Al-Musnad Al-Mustakhraj ‘Ala Sahih Al-Imam Muslim, 04/44, Raqm-3183,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-39, 40, Raqm-26.]
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 27
٢٧. عَنْ عَبْدِ ﷲ بْنِ عَمْرِو بْنِ الْعَاصِ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُم قَالَ: سَمِعْتُ رَسُولَ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ: سَيَخْرُجُ أُنَاسٌ مِنْ أُمَّتِي مِنْ قِبَلِ الْمَشْرِقِ يَقْرَءُونَ الْقُرْآنَ لَا يُجَاوِزُ تَرَاقِيَهُمْ کُلَّمَا خَرَجَ مِنْهُمْ قَرْنٌ قُطِعَ کُلَّمَا خَرَجَ مِنْهُمْ قَرْنٌ قُطِعَ حَتَّی عَدَّهَا زِيَادَةً عَلَی عَشْرَةِ مَرَّاتٍ کُلَّمَا خَرَجَ مِنْهُمْ قَرْنٌ قُطِعَ حَتَّی يَخْرُجُ الدَّجَّالَ فِي بَقِيَتِهِمْ. رَوَاهُ أَحْمَدُ وَالْحَاکِمُ.
27. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr Bin ‘Aas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Mein Ne RasoolAllah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ko Yeh Farmate Hu’e Suna: Meri Ummat Me Mashriq Kee Jaanib Se Kuchh Aise Log Niklenge Jo Qur’an Padhte Honge Lekin Woh Un Ke Halq Se Neeche Nahin Utrega Aur Un Me Se Jo Bhi (Shaitaan Ke) Seeng Kee (Soorat) Me Niklega Kaat Diya Jaa’ega. Un Me Se Jo Bhi (Shaitaan Ke) Seeng Kee (Soorat) Me Niklega Kaat Diya Jaa’ega Yaha’n Tak Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yoo’n Hee Das¹⁰ Daf’a Se Bhi Ziyaada Baar Dohraaya Farmaya: Un Me Jo Bhi (Shaitaan Ke) Seeng Kee Soorat Me Zaahir Hoga Kaat Diya Jaa’ega Yaha’n Tak Ki Un Hee Kee Baaqi Maaninda Nasl Se Dajjaal Niklega.”
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/198, Raqm-6871,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/533, Raqm-8479,
Ibn Hammad Fi Al-Fitan, 02/532,
Ibn Rashid Fi Al-Jami’, 11/377,
Ajuri Fi Ash-Shari’ah, 01/113, Raqm-260,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 06/228,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-40, Raqm-27.]
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 28
٢٨. عَنْ عَبْدِ ﷲ بْنِ عَمْرٍو رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُما قَالَ: يَأتِي عَلَی النَّاسِ زَمَانٌ يَجْتَمِعُونَ وَ يُصَلُّونَ فِي الْمَسَاجِدِ وَ لَيْسَ فِيْهِمْ مُؤْمِنٌ.
رَوَاهُ ابْنُ أبِي شيبة وَ الْحَاکِمُ.
وَ قَالَ الْحَاکِمُ: هَذَا حَدِيْثٌ صَحِيْحُ الإِسْنَادِ عَلَی شَرْطِ الشَّيْخَيْنِ.
28. “Hazrat ‘Abd Allah Bin ‘Amr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Logo’n Par Ek Aisa Zamaana Aa’ega Ki Woh Masaajid Me Jam’a Honge Aur Namaze’n Ada Karenge Lekin Un Me Se Momin Ko’i Nahin Hoga.”
–
[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/163, Raqm-30355,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/505, Raqm-37586,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 04/489, Raqm-8365,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/441, Raqm-8086,
Aboo Mahasin Fi Mu’tasar Al-Mukhtasar, 02/266,
Firyabi Fi Sifat-un-Nifaq Wa Dhamm-ul-Munafiqin, 01/80, Raqm-108, 110,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-41, Raqm-28.]
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 29
٢٩. عَنْ أبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ يَقُولُ: قَالَ رَسُولُ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ: يَخْرُجُ فِي آخِرِ الزَّمَانِ رِجَالٌ يَخْتِلُونَ الدُّنْيَا بِالدِّيْنِ يَلْبَسُونَ لِلنَّاسِ جُلُودَ الضَّأنِ مِنَ الِلّيْنِ، ألْسِنَتُهُمْ أحْلَی مِنَ السُّکْرِ (وَفِي رِوَايَةٍ: أَلْسِنَتُهُمْ أحْلَی مِنَ الْعَسَلِ) وَ قُلُوبُهُمْ قَلُوبُ الذِّءَابِ، يَقُولُ ﷲ عزوجل: أبِي يَغْتَرُّوْنَ أمْ عَلَيَّ يَجْتَرِءُوْنَ؟ فَبِي حَلَفْتُ لَأبْعَثَنَّ عَلَی أوْلَئِکَ مِنْهُمْ فِتْنَةً تَدَعُ الْحَلِيْمَ مِنْهُمْ حَيْرَانًا. رَوَاهُ التِّرْمِذِيُّ.
وَ قَالَ أبُو عِيْسَی: هَذَا حَدِيْثٌ حَسَنٌ.
29. “Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Aakhiri Zamaane Me Kuchh Log Paida Honge Jo Dunya Ko Deen Ke Zari’e Haasil Karenge, Logo’n Ke Saamne Bhed Kee Khaalo’n Ka Narm Libaas Pehnenge. Un Kee Zubane Shakkar Se Ziyaada Shiri’n Ho’n Gee (Ek Riwayat Me Hai Ki Shehd Se Bhi Ziyaada Meethi Hongi) Aur Un Ke Dil Bhediyo’n Ke Dil Honge. Allah ‘Azza Wa-Jalla Farmata Hai: “Kya Yeh Log Mujhe Dhoka Dena Chaahte Hain Ya Mujh Par Dileri Karte Hain? (Ki Mujh Se Nahin Darte?)Mujhe Apni (Zaat Kee) Qasam! Jo Log Un Me Se Honge, Mein Zaroor Un Par Aise Fitne Bhejunga Jo Un Me Se Burdbaar Logo’n Ko Bhi Hairaan Kar Denge.”
–
[Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/604, Raqm-2404, 2405,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/235, Raqm-35624,
Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 05/362, Raqm-6956,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/379,
Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/17, Raqm-50,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/510, Raqm-8919,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 01/32,
Ibn Hannad Fi Az-Zuhd, 02/347, Raqm-860,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-41, 42, Raqm-29.]
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 30
٣٠. عَنْ أَبِي بَکْرَةَ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ قَالَ: قَالَ رَسُولُ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ: سَيَخْرُجُ قَوْمٌ أَحْدَاثٌ أَحِدَّاءُ أَشِدَّاءُ ذَلِقَةٌ أَلْسِنَتُهُمْ بِالْقُرْآنِ يَقْرَءُونَهُ لاَ يُجَاوِزُ تَرَاقِيَهُمْ. فَإِذَا لَقِيْتُمُوهُمْ فَأَنِيْمُوهُمْ ثُمَّ إِذَا لَقِيْتُمُوهُمْ فَاقْتُلُوهُمْ فَإِنَّهُ يُؤْجَرُ قَاتِلُهُمْ. رَوَاهُ أَحْمَدُ وَالْحَاکِمُ وَابْنُ أَبِي عَاصِمٍ.
رِجَالُ أَحْمَدُ رِجَالُ الصحيح، وَ قَالَ ابْنُ أَبِي عَاصِمٍ: إِسْنَادُهُ صَحِيْحٌ، وَقَالَ الْحَاکِمُ: هَذَا حَدِيْثٌ صَحِيْحٌ.
30. “Hazrat Aboo Bakr RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Riwayat Kee Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: ‘Anqareeb Nau-‘Umr Log Niklenge Jo Nihaayat Tez Tarraar Aur Qur’an Ko Nihaayat Fasaahat-o Balaagat Se Padhne Waale Honge Woh Qur’an Padhenge Lekin Woh Un Ke Halq Se Neeche Nahin Utrega. So Jab Tum Un Se Milo To Unhe’n Maar Do Phir Jab (Un Ka Ko’i Doosra Giroh Nikle Aur) Tum Unhe’n Milo To Unhe’n Bhi Qatl Kar Do, Yaqeenan Un Ke Qaatil Ko Ajr ‘Ata Kiya Jaa’ega.”
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/36, 44,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/159, Raqm-2645,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/456, Raqm-937,
‘Abd Allah Bin Ahmad Fi As-Sunnah, 02/637, Raqm-1519,
Bayhaqi Fi As-Sunan-ul-Kubra,, 08/187,
Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/322, Raqm-3460,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 06/230,
Harith Fi Al-Musnad, (Zawa’id Haythami) 02/714, Raqm-704,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-42, 43, Raqm-30.]
Comments
Post a Comment