Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 21
٢١. عَنِ ابْنِ عُمَرَ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُما أنَّ رَسُولَ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ قَامَ عِنْدَ بَابِ حَفْصَةَ فَقَالَ بِيَدِهِ نَحْوَ الْمَشْرِقِ: الْفِتْنَةُ هَاهُنَا مِنْ حَيْثُ يَطْلُعُ قَرْنُ الشَّيْطَانِ قَالَهَا مَرَّتَيْنِ أوْ ثَلَاثًَا. رَوَاهُ مُسْلِمٌ.
21. “Hazrat Ibne ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Riwayat Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Jab Ki Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Baabe Hazrat Hafsah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anha Ke Paas Khade Hu’e They Apne Daste Aqdas Se Mashriq Kee Taraf Ishaara Karte Hu’e Farmaya: Fitna Wahaa’n Se Hoga Jaha’n Se Shaitaan Ka Seeng Niklega Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Yeh (Kalimaat) Do² Ya Teen³ Martaba Ada Farmaa’e.”
–
[Muslim Fi As-Sahih, 04/2229, Raqm-2905,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-36, Raqm-21.]
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 22
٢٢. عَنِ ابْنِ عُمَرَ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُما: أَنَّ رَسُولَ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ قَالَ: اللَّهُمَّ بَارِکْ لَنَا فِي شَامِنَا وَ يَمَنِنَا مَرَّتَيْنِ فَقَالَ رَجُلٌ: وَ فِي مَشْرِقِنَا يَا رَسُولَ ﷲ؟ فَقَالَ رَسُولُ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ: مِنْ هُنَالِکَ يَطْلُعُ قَرْنُ الشَّيْطَانِ وَلَهَا تِسْعَةُ أَعْشَارِ الشَّرِّ. رَوَاهُ أَحْمَدُ وَالطَّبَرَانِيُّ.
22. “Hazrat Ibne ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Ae Allah! Hamaare Liye Hamaare Shaam Me Aur Hamaare Yaman Me Barkat ‘Ata Farma Aur Aisa Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Do² Martaba Farmaya, To Ek Aadami Ne ‘Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Aur Hamaare Mashriq Me (Bhi Barkat Ho) To Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Waha’n Se To Shaitaan Ka Seeng Niklega Aur Waha’n Das¹⁰ Me Se Nau⁹ Hisso’n (Ke Baraabar) Shar Hoga.”
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/90, Raqm-5642,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/249, Raqm-1889,
Rooyani Fi Al-Musnad, 02/421, Raqm-1433,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 10/57,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-36, 37, Raqm-22.]
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 23
٢٣. عَنْ أَنَسٍ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ قَالَ: ذُکِرَ لِي أَنَّ رَسُولَ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ قَالَ: وَلَمْ أَسْمَعْهُ مِنْهُ: إِنَّ فِيْکُمْ قَومًا يَعْبُدُونَ وَ يَدْأَبُونَ حَتَّی يُعْجَبَ بِهِمُ النَّاسُ وَ تُعْجِبَهُمْ نُفُوسُهُمْ يَمْرُقُونَ مِنَ الدِّيْنِ مُرُوقَ السَّهْمِ مِنَ الرَّمِيَةِ.
رَوَاهُ أَحْمَدُ وَ رِجَالُهُ رِجَالُ الصحيح.
23. “Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mujhe Bataaya Gaya Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya Hai Aur Mein Ne Khud Yeh Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Se Nahin Suna, Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Be-Shak Tum Me Se Aise Log Honge Jo ‘Ibadat Karenge Aur Apni ‘Ibadat Me Tandehi Se Kaam Lenge Yaha’n Tak Ki Woh Logo’n Ko Bhale Lagenge Aur Woh Khud Bhi Apne Aap Par Itara’enge Haala’n Ki Woh Deen Se Is Tarh Khaarij Honge Jis Tarh Ki Teer Shikaar Se Khaarij Ho Jaata Hai.”
–
[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/183, Raqm-12909,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 06/229,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-37, Raqm-23.]
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 24
٢٤. عَنْ عَبْدِ ﷲ بْنِ رِبَاحِ الْأنْصَارِيِّ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ قَالَ: سَمِعْتُ کَعْبًا رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ يَقُولُ: لِلشَّهِيْدِ نُورٌ وَلِمَنْ قَاتَلَ الْحَرُورِيَةَ عَشْرَةُ أَنْوَارٍ (و في رواية ابن أبي شيبة: فَضْلُ ثَمَانِيَةِ أَنْوَارٍ عَلَي نُوْرِ الشُّهَدَاءِ) وَ کَانَ يَقُولُ لِجَهَنَّمَ سَبْعَةُ أَبْوَابٍ ثَلَاثَةٌ مِنْهَا لِلْحَرُوْرِيَةِ. رَوَاهُ عَبْدُ الرَّزَّاقِ وَ ابْنُ أَبِي شيبة.
24. “Hazrat ‘Abd Allah Bin Ribah Ansaari RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Mein Ne Hazrat Ka’b RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ko Farmate Hu’e Suna Ki Shahid Ke Liye Ek¹ Noor Hoga Aur Us Shakhs Ke Liye Jo Harooriyya (Khawaarij) Ke Saath Qitaal Karega Das¹⁰ Noor Honge “Aur Ibn Abi Shaybah Kee Riwayat Me Hai: (Deegar) Shuhda’ Ke Noor Ke Muqaabale Me Woh Noor Aath⁸ Guna Ziyaada Fazeelat Rakhta Hoga.” Aur Aap Yeh Bhi Farmaya Karte They Ki Jahannam Ke Saat⁷ Darwaaze Hain Un Me Se Teen Harooriyya (Khawaarij) Ke Liye (Mukhtas) Hain.”
–
[Abd-ur-Razzaq Fi Al-Musannaf, 10/155,
Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/557, Raqm-37911,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-37, 38, Raqm-24.]
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’ : 25
٢٥. عَنْ حُذَيْفَةَ رَضِيَ ﷲ تَعَالىٰ عَنْهُ قَالَ: قَالَ رَسُولُ ﷲ صَلَّى ﷲ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ: إِنَّ مَا أَتَخَوَّفُ عَلَيْکُمْ رَجُلٌ قَرَأَ الْقُرْآنَ حَتَّی إِذَا رُئِيَتْ بَهْجَتُهُ عَلَيْهِ وَ کَانَ رِدْئًا لِلْإِسْلَامِ غَيْرَهُ إِلَی مَاشَاءَ ﷲ فَانْسَلَخَ مِنْهُ وَ نَبَذَهُ وَرَاءَ ظُهْرِهِ وَ سَعَی عَلَی جَارِهِ بِالسَّيْفِ وَرَمَاهُ بِالشِّرْکِ قَالَ: قُلْتُ: يَا نَبِيَّ ﷲ، أَيُهُمَا أَوْلَی بِالشِّرْکِ الْمَرْمِيُّ أَمِ الرَّامِي قَالَ: بَلِ الرَّامِي.
رَوَاهُ ابْنُ حِبَّانَ وَالْبَزَّارُ وَالْبُخَارِيُّ فِي التَّارِيْخِ، إِسْنَادُهُ حَسَنٌ.
25. “Hazrat Hudhayfah RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Bayan Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Be-Shak Mujhe Jis Cheez Ka Tum Par Khadsha Hai Woh Ek Aisa Aadami Hai Jis Ne Qur’an Padha Yaha’n Tak Ki Jab Us Par Us Qur’an Ka Jamaal Dekha Gaya Aur Woh Us Waqt Tak Jab Tak Allah Ne Chaaha Islam Kee Khaatir Doosro’n Kee Pusht Panaahi Bhi Karta Tha. Pas Woh Us Qur’an Se Door Ho Gaya Aur Us Ko Apni Pusht Peechhe Phaink Diya Aur Apne Padosi Par Talwaar Le Kar Chadh Dauda Aur Us Par Shirk Ka Ilzam Lagaya, Raawi Bayan Karte Hain Ki Mein Ne ‘Arz Kiya: Ae Allah Ke Nabi! Un Dono’n Me Se Kaun Ziyaada Shirk Ke Qareeb Tha Shirk Ka Ilzaam Lagaane Waala Ya Jis Par Shirk Ka Ilzaam Lagaaya Gaya Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya: Shirk Ka Ilzaam Lagaane Wala.”
–
[Ibn Hibban Fi As-Sahih, 01/282, Raqm-81,
Bazzar Fi Al-Musnad, 07/220, Raqm-2793,
Bukhari Fi At-Tarikh-ul-Kabir, 04/301, Raqm-2907,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 20/88, Raqm-169,
Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/254, Raqm-1291,
Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 01/24, Raqm-43,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 01/188,
Ibn Kathir Fi Tafsir-ul-Qr’an Al-Azim, 02/266,
Al-Intibahu Lil-Khawariji Wa-Al-Haroora’, Safha-38, 39, Raqm-25.]
Comments
Post a Comment