03/01 : Hazrat Ali كَرَّمَاللهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Kee Qubool-E-Islam Aur Namaz Padhne Me Awwaliyyat Ka Bayan 06/129 “Hazrat Salman Farsi RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Woh Bayan Karte Hain Ki Ummat Me Se Sab Se Pehle Hawz-E-Kawsar Par Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Khidmat Me Haazir Hone Waale Islam Laane Me Sab Se Awwal Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Hain.” Is Hadith Ko Imam Ibn Abi Shaybah Aur Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai. – [Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 07/267, Raqam-35954, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/265, Raqam-6174, Shaybani Fi Al-Ahad Wa’l-Mathani, 01/149, Raqam-179, Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 02/31, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id, 09/102, Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/118, Raqam-129.]