Hazrat Ali كَرَّمَاللهُ تَعَالىٰ وَجْهَهُ الْكَرِيْم Ka Huzoor Nabi-E-Akram صَلَّى الله تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَالِه وَسَلَّم Kee Bargah Me Qurb Aur Maqaam Wa Martabe Ka Bayan
ٱلْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ ٱلْعَالَمِينَ وَالصَّلوٰةُ والسَّﻻَمُ عَلىٰ سَيِدِ الْمُرْ سَلِيْنَ
اَمّاَ بَعْدُ فَاَعُوْذُ بِاللهِ مِنَ الشَّيْطٰنِ الرَّجِيْم بِسْمِ اللَّهِ ٱلرَّحْمـٰنِ ٱلرَّحِيم
07/130
“Hazrat Sa’d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Ghazwa-E-Tabook Ke Mauqa Par Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Madinah Me Chhod Diya, Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ne Arz Kiya :
Ya RasoolAllah ﷺ!
Kya Aap Mujhe Aurton Aur Bachchon Me Pichhe Chhod Kar Jaa Rahe Hain ?
Aap SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :
Kya Tum Is Baat Par Raazi Nahin Ki Mere Saath Tumhaari Wohi Nisbat Ho Jo Hazrat Haroon عَلَيْهِ السَّلَام Kee Hazrat Moosa عَلَيْهِ السَّلَام Se Thi AlBatta Mere Baa’d Koi Nabi Nahin Hoga.”
Yeh Hadith Muttafaque Alayh Hai Aur Mazkoorah Alfaaz Imam Muslim Ke Hain.
–
[Bukhari Fi As-Sahih, 04/1602, Raqam-4154,
Muslim Fi As-Sahih, 04/1871, Raqam-1870,
Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/638, Raqam-3724,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/185, Raqam-1608,
Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/370, Raqam-6927,
Bayhaqui Fi As-Sunan-ul-Kubra, 09/40,
Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/119, Raqam-130.]
Comments
Post a Comment