Bismillahirrahmanirrahim ——— ✦ Badey gunah (Kabira Gunah) ——— ✦ Al Quran: Agar tum Un Bade Gunahon se bachoge jinse tumhe mana kiya gaya to hum tumhare (chote) gunaah maaf kar denge aur tumhey Ezzat ke Maqam mein dakhil karenge Surah An-Nisa (4) Aayah 31 ✦ Al Quran : Aap se Sharaab aur juye (gambling) ke bare mein puchte hain kah do inmein bada gunaah hai aur logon ke liye kuch fayde bhi hain magar unka Gunah unke fayde se bahut bada hai Surah Al-Baqara, (2), Verse 219 ✦ Al Quran : Aur Yateemo ko unke maal de do aur napak ko paak se na badlo aur un ke maal apne maal ke saath mila kar kha na jaya karo , ye bada gunah hai Surah An-Nisa , Aayat 2 ✦ Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se badey (kabira) gunahon ke baare mein pucha gaya to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya 1. ALLAH ke saath kisi ko Sharik karna, 2. Waaldein ki nafarmani karna, 3. Kisi ki (nahaq) jaan lena ,4. aur Jhooti gawahi dena. Sahih Bukhari, Vol 4,2653 ✦ Abdulllah bin...