Skip to main content

Jumada Al Awwal Ki Ibadaat o Mamolaat Aur Waqiyaat

 

https://youtu.be/dVEkRoNi2Rc
Maahe Jamaadi-ul-Awwal
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦

Jamaadi ka ma’ana hai Barf jamna.
Jab is mahine ka naam rakha gaya tab sakht sardi thi aur kuchh mulko me barf pad rahi thi, taalaab wagairah jame hue the. Is liye ise Jamaadi-ul-Awwal kaha jaata hai.

******
Maahe Jamaadi ul awwal ka chaand dekhkar Surah al-Ikhlaas padhen :

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ
اللَّهُ الصَّمَدُ
لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ
وَلَمْ يَكُنْ لَهُ كُفُوًا أَحَدٌ

Bismillāhir Rahmānir Raheem.
Qul huwallāhu ahad.
Allāhus samad.
Lam yalid wa lam yoolad.
Wa lam yakunl lahu kufuwwan ahad.

Phir yeh masnoon dua padhen :
اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ، رَبّي ورَبُّكَ اللَّه ، هلال رشد وخير

Allāhumma ahillahu alayna bil amni wal eimaani was salaamati wal islaami Rabbee wa Rabbuk-Allāh hilaalu rushdin wa khayrin.

अल्लाहुम्म अहिल्लहु अलयना बिल अम्नि वल ईमानि वस्सलामति वल इस्लामि रब्बी व रब्बुकल्लाह हिलालु रुश्दिन व ख़ैरिन।

Tarjuma :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aye ALLĀH is chaand [mahine] ko hum par amn aur eimaan aur salaamati aur islaam ke saath , Tera Rabb aur mera Rabb ALLĀH hai, yeh chaand hidaayat aur khair waala ho.

Translation :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
O Allāh, let this moon appear on us with security and faith with safety and Islaam. (O moon!) Your Rabb and mine is Allāh. May this moon be bringing guidance and good.

(Jaami Tirmizi, Jild -2, Hadeeṡ -1376 /Hasan;
Tabarani, Al-Mujam-ul-Awsat, Hadeeṡ -6241)

*******
♦ Maahe Jamaadi-ul-Awwal ki ibaadat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Maahe Jamaadi-ul-awwal ki pehli raat ko namaaz e maghrib ke baad 8 rak'at nafl namaaz 2-2- karke padhen.
Har rak' at me Surah al-Faatiha ke baad 11 martaba Surah al-Ikhlaas padhen.
Namaaz ke baad dua karen.
In shaa Allāh ALLĀH ta’ala beshumaar ṡawaab aur fazl ata farmaega.

******
♦ Maahe Jamaadi-ul-Awwal ke khaas din :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾

1 Jamaadi ul awwal – Yaum e wisaal Hazrat Haaji Abdur Rahmān Shaah Qaadri rahmatullāhi alaihi (Mumbai, Maharashtra);
1 Jamaadi ul awwal – Yaum e wisaal Hazrat Muzaffar Ali Shaah rahmatullāhi alaihi (Bundi, Rajasthan);
1 Jamaadi ul awwal – Yaum e wisaal Hazrat Mufti Mohammad Rizwaan-ur-Rahmān Raza Faarooqi rahmatullāhi alaihi (Malwa, Madhya Pradesh);
1 Jamaadi ul awwal – Yaum e wisaal Hazrat Saifullāh Shaah Sardaari urf Surat Ali Shaah rahmatullāhi alaihi (Latur, Maharashtra);
2 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Shaikh Ali al-Muttaqi al-Hindi rahmatullāhi alaihi (Makka mukarrama);
2 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Sayyed Shaah Saifullāh Rifai rahmatullāhi alaihi (Surat, Gujarat);
2 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Maulana Raza Ali Khan rahmatullāhi alaihi (Bareilly, Uttar Pradesh);
3 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Shaahe Meeran Sayyed Ali Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi (Khambhat, Gujarat);
4 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Meer Abdus Samad Khudanuma rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);
4 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Sayyed Shaah Abdul Lateef Qaadri Kaazmi urfe Imaam Bari Sarkaar rahmatullāhi alaihi (Islamabad / Pakistan);
5 Jamaadi ul awwal – Yaum e wisaal Hazrat Zaid ibn Haariṡah radiy-Allāhu ta’ala anhu (Mu’tah / Jordan);
5 Jamaadi ul awwal – Yaum e wisaal Hazrat Ja’afar bin Abu Taalib radiy-Allāhu ta’ala anhu (Mu’tah / Jordan);
5 Jamaadi ul awwal – Yaum e wisaal Hazrat Abdullāh ibn Rawaahah radiy-Allāhu ta’ala anhu (Mu’tah / Jordan);
5 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Shaikh Maajeed al-Kurdi rahmatullāhi alaihi (Qawsan / Iraq);
5 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Haafiz Jamaalullāh Chishti Multani rahmatullāhi alaihi (Multan / Pakistan);
6 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Khwaja Ubaidullāh Chishti Multani rahmatullāhi alaihi (Multan / Pakistan);
6 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Mujaahid-e-Millat Maulaana Habeeb-ur-Rahmān rahmatullāhi alaihi (Dhamnagar, Odisha);
7 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Rukn-e-aalam Rukn-ud-deen Abul Fat'h Suharwardi rahmatullāhi alaihi (Multan / Pakistan);
7 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Wasi Ahmad Mohaddeeṡ Surati rahmatullāhi alaihi (Pilibhit, Uttar Pradesh);
9 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Sayyed Ahmad urfe Ali Sher Chishti rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);
9 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Peer Abdur Rahmān Bharchundwi rahmatullāhi alaihi (Bharchundi / Pakistan);
10 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Shaikh Najm-ud-deen Kubra rahmatullāhi alaihi (Khwarezm / Turkmenistan);
10 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Shaah Sikandar Qaadri Kaithali rahmatullāhi alaihi (Kaithal, Hariyana);
10 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Qari Abdul Lateef Sabri Naeemi rahmatullāhi alaihi (Seekri, Uttar Pradesh) ;
12 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Sayyed Ghulaam Nabi Shaah Kashmiri urfe Samandari Baaba rahmatullāhi alaihi (Srinagar, Kashmir);
12 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Shaah Ahmad Mukhtaar Siddeeqi Meeruti rahmatullāhi alaihi (Daman);
12 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Peer Abdul Haleem Shaheed rahmatullāhi alaihi;
12 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Soofi Dulhe Khan urfe Topi waale baaba rahmatullāhi alaihi (Mumbai, Maharashtra);
13 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Sayyed Meeran Husaini Qaadri Baghdadi rahmatullāhi alaihi (Hyderabad, Telangana);
13 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Allama Maulana Muhammad Noor-bakhsh Tawakkali rahmatullāhi alaihi (Faisalabad / Pakistan);
13 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Yāsin Shaah Qaadri rahmatullāhi alaihi (Jetpur, Gujarat);
15 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Sham e Burhaani Sayyed Uṡmaan Mash'hadi rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);
15 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Maulana Abdul Hameed Qaadri Badayuni rahmatullāhi alaihi (Badaun, Uttar Pradesh);
16 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Shaikh Shuja Kirmani Kashmiri rahmatullāhi alaihi;
16 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Sayyed Asad-ud-deen Aaftaabe Hind rahmatullāhi alaihi;
16 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Allama Waariṡ Hasan Korrwi rahmatullāhi alaihi;
17 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Sayyed Badi-ud-deen Ahmad Zinda Shaah Madaar rahmatullāhi alaihi (Makanpur, Uttar Pradesh)
17 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Hujjat-ul-Islaam Haamid Raza Khan rahmatullāhi alaihi (Bareilly, Uttar Pradesh);
17 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Makhdoom Sayyed Sama-ud-deen Suharwardi rahmatullāhi alaihi (Delhi);
18 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Imaam Jalaal-ud-deen Abdur Rahmān Suyuti rahmatullāhi alaihi (Cairo / Egypt);
18 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Mufti Shaah Abdur Rahmān Mohibba Rahmatullāhi alaihi (Pokhraira, Bihar);
19 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Sayyed Jalaal-ud-deen Surkh-posh Bukhari rahmatullāhi alaihi (Uch, Punjab / Pakistan);
19 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Shaikh Muhammad Saif-ud-deen Sirhindi Naqshbandi rahmatullāhi alaihi (Sirhind, Punjab);
19 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Sayyed Abdul Qaadir Baadshaah Chishti rahmatullāhi alaihi (Sangli, Maharashtra);
19 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Shaikh Umar bin Abdullāh al-Khateeb rahmatullāhi alaihi (Singapore);
20 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Shaikh Zia-ud-deen Abul Najeeb Suharwardi rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);
20 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Umar al-Attaas rahmatullāhi alaihi (Huraydah / Yemen);
20 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Peer Sayyed Faiz-ul-Hasan Shaah Naqshbandi rahmatullāhi alaihi (Allo Mahar / Pakistan);
21 Jamaadi ul awwal – Yaum e wisaal Hazrat Khwaja Siraaj-ud-deen Chishti rahmatullāhi alaihi (Patan, Gujarat);
22 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Sayyed Ahmad Kabeer Rifai rahmatullāhi alaihi (Basra / Iraq);
23 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Sayyed Abdul Kareem Rifai rahmatullāhi alaihi (Hydearabad, Telangana);
25 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Peer Sayyed Jahaangeer Shaah rahmatullāhi alaihi (Terre Rouge / Mauritius);
25 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Peer Muhammad Ilm-ud-deen Saahibzaada Qaadri rahmatullāhi alaihi (Karachi / Pakistan);
26 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Khwaja Sultaan Ibrāheem bin Ad'ham rahmatullāhi alaihi (Jableh / Syria);
26 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Peer Sayyed Mohammad Shaah Qaadri rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);
26 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Sayyed Shaah Zahoor Hasan Marehrawi rahmatullāhi alaihi (Dhari, Gujarat);
27 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Sayyed Abdus Salaam Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi (Damascus / Syria);
27 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Sayyed Sharf-ud-deen al-Daghestani rahmatullāhi alaihi (Rashadiya, Gunekoy / TR);
27 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Maulana Ghulaam Rabbaani Fa'iq rahmatullāhi alaihi;
27 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Muhammad Saeed al-Kurdi rahmatullāhi alaihi (Irbid / Jordan);
28 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Khwaja Ghulaam Muhammad Miskeen Shaah Chishti rahmatullāhi alaihi (Jaipur, Rajasthan);
28 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Aalahazrat Sha Inam ur Rehman Sahab Quddusi rahmatullāhi alaihi (Saharanpur, Uttar Pradesh);
29 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Khaalid bin Waleed radiy-Allāhu ta’ala anhu (Homs / Syria);
29 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Khwaja Shaah Allāh-Bakhsh Chishti Taunsawi rahmatullāhi alaihi;
29 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Muhammad Anwarullāh Faarooqi rahmatullāhi alaihi;
29 Jamaadi ul awwal - Yaum e wisaal Hazrat Sadr-ul-Ulama Sayyed Ghulaam Jeelaani Meeruti rahmatullāhi alaihi;
30 Jamaadi ul awwal – Yaum e wisaal Hazrat Khwaja Fareed-ud-deen Attaar rahmatullāahi alaihi (Nishapur / Iran);
30 Jamaadi ul awwal – Yaum e wisaal Hazrat Maulana Noor Ahmad Badayuni rahmatullāhi alaihi (Badaun, Uttar Pradesh).

****
ALLĀH ta’ala is Maah e mubarak me us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ko hidaayat ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sahi tareeqe se zyada ibaadat karne ki taufiq ata farmae aur Hamare nek amal qubool farmae aur In buzurgaan e deen ko isaal e sawaab karne ki taufiq ata farmae aur Islaam ka bolbala ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyabi aur izzat ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae aur Sab ko Ilm me, Amal me aur Rizq me barkat ata farmae.
Aameen.

Comments

Popular posts from this blog

Kanzul Muttalib fee Manaqib Ali Ibne Abi Talib Alahissalam

1. QUBOOL-E-ISLAM ME AWWAL AUR NAMAZ PADHNE ME AWWAL 1. "Ek Ansari Shakhs Abu Hamza se riwayat karte hain ke maine Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu ko farmate hue suna ke sabse pehle Hazrat Ali RadiAllahu Anhu Imaan laaye." Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kaha hai ke ye Hadees Hasan Saheeh hai. 2. "Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu se he marvi ek riwayat me ye alfaaz hain: "Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par sabse pehle Islam laane waale Hazrat Ali RadiAllahu Anhu hain." Is Hadees ki Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya hai. 3. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Peer ke din Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Baysat hui aur Mangal ke din Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne Namaz padhi." Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai. 4. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke wo farmate hain sabse pehle Hazrat Ali RadiAl

Rijalul ghayb

      https://youtu.be/DBJF3hL27FU   Rijal Al-Ghaib or Awliy’Ulah are always praying for the ummah and the world , imama gazali rehmatuallah “said if somebody prays for their help allah will show them their help ” ” , Rijal Al-Qeyb pray for the whole Umah of prophet Muhammed . Online Article There are at any given time 124000 or over (Allah knows best ) Awliy Ulah living on earth.They are not known and recognized by the general public. You should know O the beloved of Allah All these are hidden from them and the general public too , only Allah is the one who knows them all . In the Hadith 1) The Prophet (SCW) said: “The Substitutes (Abdaal) in this Community are thirty like Ibrahim the Friend of the Merciful. Every time one of them dies, Allah substitutes another one in his place.” [Musnad Ahmad 5:322] 2) The Prophet (SCW) said: “The earth will never lack forty men similar to the Friend of the Merciful [Prophet Ibrahim], and through them people receive rain and are given help. None of

Taziyadari jayaz hai