MERE ISLAMI BHAIYO ISE 1 BAAR ZAROOR PADHNA
(Hadees-e-pak Mafhum)
Rasoolallah(Salllalaho Alaihiwasallam) Ki badi Maroof aur Mashhoor Hadees-e-Pak hai Jisme Sarkar (Alaihisalam) ne Sahaba Ikram(Ridwanullahi ta’ala alaihim ajmaeen) se Farmaya:
“ Meri Ummat me 73 firke Honge..! 72 Jahannam me Jayenge..! Sirf ek Jannat me Jayega..!” Sahaba Ikram ne Jab Arz kiya “ Ya Rasoolallah(Salllalaho Alaihiwasallam), Vo Jannati firka Kaun hai, Uski Pehchan kya hai ” Huzoor(alaihisalam) ne Farmaya: “Jis par main hun Aur mere Sahabi hain” (Subhan Allah).
Huzoor (Salllalaho Alaihiwasallam) Ka ye Mubarak Javaab Kaabil-e-gaur hai, Aur Isme Beshumar Hikmate bhari hui hai. Aur Agar Koi shaks Is Hadees-e-Pak Ko Muhabbat Aur Sachhe Dilse Se Samajh le to Zarur Haq Aur Batil Ko Pehchaan lega..(Insha allah)
Jab Sahaba Ikram(Ridwanullahi ta’ala alaihim ajmaeen) ne Savaal Kiya to Huzoor(Salllalaho Alaihiwasallam) Ka itna farma dena hi Kaafi tha ke “Jo Mere Raste Par chale,Vo Jannati hai” Lekin Huzoor(Alaihisalam) ne Ye kyu Farmaya “ Jis Par Main hun Aur mere Sahabi hai”.
Isse Saaf Zahir Hogaya ke Huzoor(Salllalaho Alaihiwasallam) ne Apni Deen-e-Haq ki Pehchaan ke Liye Apne Sachhe Ghulamon ka Intekhaab Farmaya..Tamam duniya walon ko Zehen Diya Ae Logon, Mere Parda Farmane ke Baad agar Deen-e-haq Sikhna Ho to Mere Sahaba se Sikhna Aur Jo unke Khilaf ho to Vohi Gumraah aur Badmazhab hai.
Isse Pata Chalta hai ke Deen e Haq ki Pehchan ke Liye Allah Ta’ala Aur Uske Pyare Habeeb ne Har Daur me Apne Sachhe Ghulamon ka Intekhaab Farmaya.
Jab Huzoor(Salllalaho Alaihiwasallam) ne Hamari Ankho se Parda farmaya
“to Jannatiyon ki Pehchaan Sahaba Ikraam hue,
Ek Daur Aya Jab Kalma Padne walon ne Zakat ka Inkaar karna shuru kiya” To Haq ki Pehchan Abu Bakr Siddiq hue”, Farooque Azam Hue, Usman-e-Zunnurain Hue, Maula Ali Hue(Ridwanullahi ta’ala alaihim ajmaeen)
Yahi Nahi Jab Karbala Ka wakiya Pesh Aaya Yazidi Bhi Usi Nabi ka kalma Padte the,Bazahir Hukumat bhi Yazid ki thi, Tadaad Yazid ke Paas thi “
Lekin Haq ki Pehchaan Husain-e-Azam Aur unke 72 Afraad ke lashkar se hui”
Jab Sahaba Ikram ne Is Duniya-e-fani se Parda Farmaya
to Jannatiyon ki Pehchaan “Tabaeen Hue” ( Yani Jinhone Sahaba Ikram se Deen Ko sikha)
Isi Tarah Se Kabhi Ek Daur me Deen –e-Haq ki Pehchan Sarkar Gaus-e-Azam Huey, Kabhi Sarkar Gareeb Nawaz Huey, Kabhi Sarkar Mujaddid Alf-e-Saani Huey.
Allah Ta’ala ne apne Fazl se Zarurat ke Waqt me Apne Deen ki Hifazat ke liye Apne Mehboob Bando ko Paida Farmaya Aur unhi ke Naam Se us Daur Me Deen-e-Haq ki Pehchaan Hoti Rahi…
Comments
Post a Comment