"Maulana Ashraf Ali Thanvi Shab Ne apni kitab "Jamalul Aulia" me aur kai akabir e deoband ne is waqiye ko apne kitab me likha hai ke Huzoor Sarkar Gaus-e-Aazam (RadiAllahu Anhu) waaz farma rahe hain, dauran-e-Khitab upar se ek cheel guzri aur ijtema ke upar jab aayi to zor se cheekhne lagi jisse ek shor bapa hua aur logo ki tawajjoh hat gayi Aapke Khitab se.
Aapne upar nahi dekha aur Aapki Zuban se kalimat nikle "Ma lakey sakatAllah hu nuqaq" yaani "cheekhne waale tumhe kya hai, Khuda teri gardan kaat de!"
Bus Zuban se itne Kalimat Jalal me nikle cheel margayi aur zameen par aake girpadi!
Aapka Khitab khatm hua, log musafa karke rawana hue, Aap bhi Gharko jaane lage. Jab Jaane lage to dekha ek bada parinda mara pada hai, us waqt Khayal idhar aaya "Ye parinda kahase aaya?"
Arz kiya: Hazrat Khitab ke dauran Aapki Zubaan se ye kalimat nikle to margaya!
Huzoor Gaus-e-Aazam (RadiAllahu Anhu) Muskura pade aur thokar mari aur farmaya:
"Ja ud ja tumhe maarna nahi chahte they sabak sikhana chahte they!" aur wo cheel zinda hokar ud gayi!
Mard-e-Kamil wo hai ke jiski zubaan se agar ye nikal jaaye ke "Mar Ja" usi waqt Rab ka Amr "Kun Fayakun" saadir hojata hai aur us par maut waarid hojati hai! Aur murde keliye zuban se nikal jaaye ke zinda hoja fir Amr e Kun Fayakun saadir hojata hai aur zindagi nasib hojati hai!"
-Shaykh-ul-Islam Dr. Tahir-ul-Qadri
Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadiw wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Barik wa Sallim.

Comments
Post a Comment