Skip to main content

Hazrat Sarkar Ameer Syed Ruknuddin Madni r.aAur Kadak shah abdal r.a.

Hazrat Sarkar Ameer Syed Ruknuddin Madni r.a: (Aap Hazrat Sarkar Ameer Kabeer Qutubuddin Muhammad Al Madni Al kadwi r.a ke pote Aur Hazrat Sarkar Nizamuddin Hasan Al Madni Al kadwi r.a ke Farzand Hai'n.)
------------------------------------------------------------
Qazi Ziauddin Barni r.a ne aap ke ma’arif wa kamalaat ka zikr apni kitab tareekh Firoz shahi mein tafseel se kiya hai. Ba Hawala Tareekh Firozshahi Ameer Syed Ruknuddin Madni r.a jo Syed Tajuddin Madni r.a ke bhatije hai’n. Kada ke Qazi the’n. Allah ne Syed Ruknuddin Madni r.a ko hamasifat mausoof paida kiya tha. wo sahibe kashfo karamat the’n. Sahibe sima the’n aur ajeeb wajd wa kaifiyat rakhte the’n tark wa tajreed aur sakhawat wa aisaar mein aap ka paya bahut buland tha. maulif Tareekh Firozshahi ne Syed Tajuddin Madni r.a wa Syed Ruknuddin Madni r.a ki mulaqat aur qadam bosi ki sa’adat hasil ki hai. Qazi Ziauddin Barni r.a farmate hai’n maine aise Sadaat-e-Uzzam aise buland ausaaf aise shauqat wa hashmat jo Allah Ta’ala ne inko naseeb ki thi, kam dekhi hai. Sayadat khulasae manaqib hai aur Janab Rasool Allah ṣallā Allāhu alayhi wa- ala aālehi wa-sallam se nisbate farzandi sabse bada aezaz hai
Sahibe Nuzhatul Khwatir likhte hai’n ke aali janab Sahibe izzat wa sharf Qazi Syed Ruknuddin Madni r.a ibn Ameer Syed Nizamuddin Madni r.a ibn Ameer Kabir Syed Qutbuddin Madni r.a apne zamane ke Imamo’n mein se ek aur alam bardare azmat wa faqr the’n. inke walid ka chunki inke bachpan mein hi wisal ho gaya tha. iss liye apne dada mohtram ke aaghoshe shafqat mein parwarish pai. aur apne chacha Hazrat Qwamuddin Mahmood Madni Dehlvi r.a se ilm hasil kiya phir apne chacha Ameer Syed Tajuddin Madni r.a ke Badaun muntaqil kardiye jaane ke baad Kada ke Qazi muqarrar hue’n. Woh ek aali martaba bawaqar aur bade ba raub buzurg the’n. jo maroof ka hukm dete aur napasandida aur bure kamo se rokte the’n. Khwaja Gargullah (Kadak Shah abdal) r.a inse chaukanna rehte the’n. aur apni barehngi ko chupa lete the’n. jaisa ki abdal mazkoor ke malfoozat mein hai. Mash’hoor hai ki Khwaja Gargullah (Kadak Shah abdal) r.a apne jazb ki kaifiyat se hamesha barehna rahte the’n magar Hazrat Qazi Syed Ruknuddin Madni r.a ko dekh kar jo kapda milta tha usko odhh lete the’n. aur farmate the’n ki yahi ek shaqs hai jisko dekh kar mujhe sharm aati hai. Khwaja Kadak Shah abdal r.a aap ko bahut chahte the’n aur ehtram baja laate the’n. wo jab bhi aap se milte to kahte the’n

” TU WAQT KA SARDAR HAI TERI AULAD BHI SARDAR HONGI TERE FARZAND MERE FARZAND E AEIN HAI’N JO KOI UNKO TAKLEEF PAHUCHAYEGA USKE HAQ MEIN ACHCHA NA HOGA”

Khwaja Kadak Shah abdal r.a ke wisal ke baad unke jalal ki wajah se kisi ko unke jism mubarak ke paas jane ki jasarat nahi hoti thi aise mein Hazrat Qazi Syed Ruknuddin Madni r.a ne wahan pahuch kar unko ghusl diya kafnaya aur namaze janaza padhai .
Ye wahi Kadak Shah Abdal r.a hain jinki dua ne Alauddin Khilji Ko Badshah banaya tha.iska waqiya iss tarah bayan Kiya jaata hai.
------------------------------------------------------------------

अलाउद्दीन को बनाया था शहंशाह

कौशाम्बी : जब जलालुद्दीन खिलजी दिल्ली पर सन् 1290 में बादशाह के तख्त पर बैठा तो उसने अपने भतीजे व दामाद अलाउद्दीन खिलजी को कड़ा का सूबेदार बना दिया। ख्वाजा साहब अक्सर कजियाना मुहल्ले के पास एक मस्जिद के पास फकीर के साथ बैठे रहते थे। एक दिन अलाउद्दीन घोड़े पर सवार होकर अपने सिपाहियों के साथ शहजादपुर जा रहा था। उसे देखकर ख्वाजा साहब ने दिल्ली का शहंशाह कहकर आवाज लगाई। अलाउद्दीन करीब पहुंचा और कहा कि मैं मामूली सा सूबेदार हूं। ख्वाजा साहब ने कहा कि तू दिल्ली का शहंशाह है, आज तेरी ताजपोशी करूंगा। ख्वाजा साहब ने एक रोटी मंगाकर उसके चार टुकड़े किए। एक टुकड़ा बगल में बैठे फकीर को दिया, दूसरा टुकड़ा अलाउद्दीन को। बाकी टुकड़े उसके सिर पर कपड़े से बांधकर कहा कि जा तेरी ताजपोशी हो गई, तू दिल्ली का शहंशाह बन गया। इसके बाद अलाउद्दीन दिल्ली गया। यहां बादशाह जलालुद्दीन अपने दामाद व भतीजे को मरवाने की ताक में लगा था। जलालुद्दीन ने अपनी बेटी जो अलाउद्दीन की पत्‍‌नी थी, विश्वास में लेने के लिए लालच दिया। उसने अपनी बेटी से कहा कि मेरी एक बात मानो। मेरे बाद दिल्ली की गद्दी तुमको मिलेगी, तुम्हारे पति ने कुछ ऐसी हरकत की है जिसके चलते उसे मरवाना चाहता हूं। बेटी से अलाउद्दीन को जहर देने की बात कही। उसने यह बात अलाउद्दीन को बता दी। इस पर वह रात में ही कड़ा भाग आया। खबर होने पर जलालुद्दीन साढ़े तीन लाख फौज के साथ सन् 1296 में कड़ा के लिए रवाना हो गया। उसने कड़ा स्थित गंगा पार मानिकपुर में फौज को ठहराया। उसने अलाउद्दीन को हाजिर होने का परवाना सिपाही से कड़ा भेजा। अलाउद्दीन ने ख्वाजा साहब से पूरी बात बताई। उन्होंने रुबाई पढ़ना शुरू किया- हर कि आमद बरसरे जंग, तन सरे कश्ती सर दरे गंग। इस पर अलाउद्दीन हिम्मत करके अकेले नाव पर सवार होकर जलालुद्दीन से मुलाकात करने पहुंचा। उधर बीच नदी में जलालुद्दीन भी अपनी फौज के साथ मौजूद था। अलाउद्दीन ने जैसे ही कदमबोशी के लिए सिर झुकाया, सिपाहियों ने तलवार चलाई लेकिन ख्वाजा साहब के करिश्मा के चलते सिर जलालुद्दीन का आ गया। सिर गंगा में गिरा और धड़ कश्ती में। इस जगह का नाम उसी वक्त से गुमसिरा पड़ गया और ताज बहता हुआ आगे मिला। इसे मल्लाहों ने लाकर अलाउद्दीन को दिया। ताज जहां मिला था उसका नाम मल्लाहन पड़ा। दोनों नाम आज भी सिराथू तहसील के राजस्व अभिलेखों में मौजूद हैं। फिर अपनी बादशाहत का एलान करते हुए अलाउद्दीन ने ख्वाजा साहब से दुआएं लीं।

Comments

Popular posts from this blog

Hadith Jhoot Bolne Walo Par

  *بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ* *اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞* Al-Qur’an:-“Beshak Jhoot Bolne Walo Par Allah Ki Laanat Hai.  Reference  (Surah Aal-e-Imran 3:61) Hadees No:- 1 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate Hai:-“Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunah Ki Taraf Le Jata Hai,Aur Gunah Jahannum Me Pahunchaane Wala Hai.”  Reference  (Sunan Abi Dawud 4989-Sahih) Hadees No:- 2 “Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannum Me Phenk Diye Jaayenge, Sirf Apni Zuban (Jhooth) Ki Wajah Se.  Reference  (Tirmizi Shareef) Hadees No:- 3 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate hai:- “Main Zamanat Deta Hu Jannat ke Darmiyaan 1 Ghar ki, Us Shaksh Ko Jo Mazak Me Bhi Jhoot Na Bole.”  Reference  (Sunan Abu Dawood 4800) Hadees No:- 5 “Laanat Aur Halaqat Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot...

JERUSALEM AND UMAR IBN AL-KHATTAB (RA)

Jerusalem is a city holy to the three largest monotheistic faiths – Islam, Judaism, and Christianity. Because of its history that spans thousands of years, it goes by many names: Jerusalem, al-Quds, Yerushaláyim, Aelia, and more, all reflecting its diverse heritage. It is a city that numerous Muslim prophets called home, from Sulayman and Dawood to Isa (Jesus), may Allah be pleased with them. During the Prophet Muhammad ﷺ’s life, he made a miraculous journey in one night from Makkah to Jerusalem and then from Jerusalem to Heaven – the Isra’ and Mi’raj. During his life, however, Jerusalem never came under Muslim political control. That would change during the caliphate of Umar ibn al-Khattab, the second caliph of Islam. Into Syria During Muhammad ﷺ’s life, the Byzantine Empire made clear its desire to eliminate the new Muslim religion growing on its southern borders. The Expedition of Tabuk thus commenced in October 630, with Muhammad ﷺleading an army of 30,000 people to the border with...

Waqia e Al-Harrah

THE BATTLE OF HARRAH (27 Zilhajj, 63 Hijri). The Battle of al-Harrah is a battle fought at al-Harrah in 683 CE, (27 Zilhajj, 63 Hijri) then lying to the northeast of Medina. The battle was fought against the armies of Yazid ibn Muawiyah by Abdullah ibn Zubayr and his allies, the people of Medina and several notable Sahabas, many of whom were killed in the battle. It is the second most infamous battle during the reign of Yazid bin Muawiyah, the 2nd Umayyad Caliph. When Yazid ibn Muawiyah became Umayyad Caliph in 680 CE he faced two major crises. First was the dissent of Husayn ibn Ali and the other was the revolt of Abdullah ibn Zubayr. Husayn ibn Ali rejected the legitimacy of Yazid ibn Muawiyah as Caliph, which ultimately led to his death in the Battle of Karbala on October 10, 680. This event further deepened the schism between Sunni and Shia denominations. After killing of Husayn ibn Ali that Abdullah ibn Zubayr, the hero of the Battle of Sufetula which was fought in 647 against the...