Skip to main content

22 Rajab Niyaz_Syedna_Imam_Jafar_Al-Sadiq_(AlahisSalam)


 22 Rajab ul Murajjab

Niyaaz:- Aaimma e Ahle Baith e Chathe 6th Imaam Tajdare Imamat wa Wilayat Imaam ul Auliya Imaaam ul Aaimma Imaam ul Fuqaha Imaaam ul Muhaddiseen Imaaam ul Mufasireen Imaaam ul Ilm Imaaam ul Science Hazrat Syedna Mola Imaam Jafar Sadiq (Alaihis Salam) Bin Hazrat Syedna Mola Imaam Muhammad Baqar (Alaihis Salam)

Jashne Eid Ghous e Kubriyat Tamaam Aalam e Islaam Ko Bhut Bhut Mubarak

Kunde Sharif Ki Niyaaz

22 Rajab ul Murajjab 122 Hijri Ki Raat Yani 21 Ka Din Guzar Kar 22 Rajab Ki Raat Ba Waqte Namaz e Tahajjud Allah Kareem Ne Hazrat Syedna Mola Imaam Jafar Sadiq (Alaihis Salam) Ko “Maqam e Ghousiyat e Kubra” Ata Farmaya, Subha 22 Rajab Ko Mola Imaam Jafar Sadiq (Alaihis Salam) Ne Allah Azzavajal Ki Janib Se Ye Azeem Naimat Milne Par Bator e Shukur Ada Karne Ke Liye Niyaz Banwayi Jo Doodh Aur Chawal Milakar Banayi Gayi, Jise Hum Kheer Kehte Hain, Aapke Ghar Me Tooti Chatayi Aur Mitti Ke Bartan Hi The Isi Par Aap Shakir o Sabir The, Aapne Mitti Ke Piyale Me Niyaz Rakhkar Apne Dost o Ahbabo Ko Bulakar Farmaya Ke Aaj Raat Allah Kareem Ne Mujhe Maqam e Ghousiyat e Kubra Ata Farmaya Hain, Isi Ka Shukur Ada Karte Hue Ye Niyaaz Aap Logo Ko Pesh Karta Hu, Aapke Sahabzade Hazrat Syedna Mola Imaam Musa Kazim (Alahis Salam) Aur Aapke Digar Musahebeen Ne Daryaft Kiya Ke Isme Hamare Liye Faida Hain ? Mola Imaam Jafar Sadiq (Alaihis Salam) Ne Farmaya Rabbe Kabah Ki Qasam Allah Ne Jo Naimat Mujhe Ata Farmayi Jiska Me Shukur Ada Karta Hu Niyaz Ki Shakal Me Isi Tarha Isi Tareekh Me Jo Bhi Shukur Ada Karega Aur Hamare Wasile Se Jo Dua Mangega To Allah Paak Uski Murad Zaroor Puri Farmayega Aur Dua Zaroor Qabool Hogi Kyuki Allah Paak Apne Shukur Guzar Bando Ko Mayus Nahi Farmata, Mola Imaam Jafar Sadiq (Alaihis Salam) Ke Parpote Hazrat Syedna Mola Imaam Hasan Askari (Alaihis Salam) Se Kuch Dushmane Ahle Baith Ne Sawal Kiya Ke Jab Hamare Ghar Me Pital Tanbe Ke Behtarin Bartan Moujood Hain To Mitti Ke Kundo Ki Kya Zaroorat Hain, Aapne Farmaya Hamare Nana Jan Muhammad ur Rasool (Sallallahu Alaihi wa Aala Aalehi wa Sallam) Ki Sunnat Hain Mitti Ke Bartan Me Khana, Aaj Musalmano Ne Hamare Nana Jaan Ki Sunnato Ko Tark Kar Diya Hain Humne Is Niyaaz Ko Mitti Ke Piyalo Me Is Liye Zaroori Qarar Diya Taaki Kam Az Kam Saal Me 1 Martaba Hi Nana Jaan Ki Ummat Mitti Ke Kundo Me Niyaz Khakar Sunnat e Rasool (Sallallahu Alaihi wa Aala Aalehi wa Sallam) Ko Ada Kar Sake, 22 Rajab ul Murajjab Ko Imaam Jafar Sadiq (Alaihis Salam) Ki Kunde Sharif Ki Niyaaz Aapko Maqaam e Ghousiyat e Kubra Milne Par Ada Ki Jati Hain…

👥 Share this Msg Your other Group and Other Contacts

Comments

Popular posts from this blog

Kanzul Muttalib fee Manaqib Ali Ibne Abi Talib Alahissalam

1. QUBOOL-E-ISLAM ME AWWAL AUR NAMAZ PADHNE ME AWWAL 1. "Ek Ansari Shakhs Abu Hamza se riwayat karte hain ke maine Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu ko farmate hue suna ke sabse pehle Hazrat Ali RadiAllahu Anhu Imaan laaye." Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kaha hai ke ye Hadees Hasan Saheeh hai. 2. "Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu se he marvi ek riwayat me ye alfaaz hain: "Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par sabse pehle Islam laane waale Hazrat Ali RadiAllahu Anhu hain." Is Hadees ki Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya hai. 3. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Peer ke din Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Baysat hui aur Mangal ke din Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne Namaz padhi." Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai. 4. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke wo farmate hain sabse pehle Hazrat Ali RadiAl

Rijalul ghayb

      https://youtu.be/DBJF3hL27FU   Rijal Al-Ghaib or Awliy’Ulah are always praying for the ummah and the world , imama gazali rehmatuallah “said if somebody prays for their help allah will show them their help ” ” , Rijal Al-Qeyb pray for the whole Umah of prophet Muhammed . Online Article There are at any given time 124000 or over (Allah knows best ) Awliy Ulah living on earth.They are not known and recognized by the general public. You should know O the beloved of Allah All these are hidden from them and the general public too , only Allah is the one who knows them all . In the Hadith 1) The Prophet (SCW) said: “The Substitutes (Abdaal) in this Community are thirty like Ibrahim the Friend of the Merciful. Every time one of them dies, Allah substitutes another one in his place.” [Musnad Ahmad 5:322] 2) The Prophet (SCW) said: “The earth will never lack forty men similar to the Friend of the Merciful [Prophet Ibrahim], and through them people receive rain and are given help. None of

Taziyadari jayaz hai