Hazrat Shafiq Balkhi Farmate Hain Ki Ek Roz Hazrat Khwaja Sultan Ibrahim Bin Adham(QaddasAllahu Sirrahu Al Aziz) Basra Ke Bazaar Se Guzar Rahe The . !
.
To Logon Ne Aapki Khidmat Me Haazir Hokar kaha, Huzoor! Qur’an Me ALLAH Ta’ala Ne Farmaya Hai Ki Tum Mujhse Dua Maango Mein Qubool Karuga! Hum bahut Waqt se Dua Maangte Rahe Hain Magar Qubool Nahi Hoti! Iski Kya Wajah Hai?
.
Hazrat Khwaja Sultan Ibrahim Bin Adham (RadiAllahu Ta’ala Anhu) Ne Jawab Diya Ki, Aye Logon! Tumahre Dil 10 Chizon Se Murda Ho gaye Hain! Fir Tumahri Dua Kaise QuboolHogi?
.
(1) Tumne Khuda Ko Pehchana Magar Uski Maarfat Ka Haq Ada Na Kiya!
(2) Tumne Qur’an Padha Magar Us per Amal Nahi Kiya!
(3) Tumne Mohabbat-e-Rasool Ka Daawa Kiya Magar Unki Sunnat Per Amal Na Kiya!
(4) Tumne shaitan ke khilaf hone ka dawa kiya, lekin tunme uske khilaf kuch na kiya (sirf bate hi ki)
(5) Tumne Jannat Ko Chaha Magar Usme jaane Ke liye kuch acche kaam na Kiye!
(6) Tumne Jahannam Se bachna chaaha Magar Khud Hi Apne Nafs (ego) Ko Usme Daal Diya!
(7) Tumne Mout Ko sach Jana Magar Uske Liye Taiyyari Na Ki!
(8) Tumne Bhaiyon Ki peeth piche burai ki Magar Apni kamiya na dekhi!
(9) Tumne Allah Ki Nematain Khai Magar Uska Shukr Ada Na Kiya!
(10) Tumne Murdon Ko Dafan Kiya Magar unki maut se koi sabak na liya!
.
Reference : (Durratun-Nasihin, Safa No 513)
.
Matlab ye hai, ke jab hum gunah karte rahenge to dua bhi der se Qubool hogi, isliye gunaho se bachiye, Allah aur uske rasool ki baato ko maaniye, phir hamari duaon mein bhi asar peda hoga,
Allah hum sabko amal ki taufeek ata kare, illahi Aameen Ba Risalat e Rasool Us Saqlain ..
Comments
Post a Comment