Skip to main content

Aaj Mere Chacha Abu Talib ki Aankhe Thandi Hojati!


 “Tamam Muhaddiseen, Aaimma, Ulama kasrat ke saath riwayat karte hain waqiya ye hai raawi bayan karte hain Makka me bada shadeed kehat aagaya. Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Umr-e-Mubarak bahot thodi thi, Choti Umr thi. Kehat aagaya 2 saal kehat raha, barish na thi log bade pareshan they wadiya jal gayi thi fasle jal gayi thi. Raawi kehte hain mai Haram-e-Kaaba me pahuncha to Ahle Makka Quraish sablog pareshan hokar kehat se Khana-e-Kaaba ke paas khade hokar dua karrahe they barish ki, raawi kehte hain mai bhi sharik hogaya. To dua me koi Laat ko pukarta tha koi Manaat ko pukarta koi Hubul ko pukarta koi Uzza ko pukarta aur barish mangte aur barish mangte. Jab barish nahi aayi to kisini ba-aawaz e buland kaha tum kya karte ho, kehat itna shadeed hai, aao sab milke Hazrat-e-Abu Talib ke paas chalen! To Hazrat Abu Talib ke paas chale raawi kehte hain mai bhi saath holiya aur Makka ke saare muazzazin ka wafad Hazrat Abu Talib ke paas ja pahuncha barish keliye. Unhone farmaya zara ruk jao suraj dhalley (Zohar ke baad ka waqt) aur tez hawa ruk le. Farmate hain intezar kiya aur jab suraj dhal gaya to uske baad Aapne Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Saath leliya, baaz riwayato me aata hai Ungli Pakadli, baazo me aaya ke (Goudh me) utha liya. To Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Badi Choti Umr me they, saath leliya aur Khana-e-Kaaba ki taraf leke chal padey.

Ab pehli baat to sunle har koi barish mangne keliye Laat ki taraf raaje tha, Mnaat ki taraf ruju tha, hubul aur uzza ki taraf ruju tha, jo mushrik aur kafir they wo kehat me butaan-e-Haram ko pukaarte they aur Hazrat Abu Talib ke paas jab aaye to Wo na laat ki taraf gaye na manat na hubul na uzza, Wo Mustafa ko Uthaake chal pade! SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam. To Koi Baat to Zehan me thi na? Arey ye us waqt ki baat hai jab Aaqa ki Umr-e-Mubarak Saal Do Saal thi, Jinhone Saal Do Saal ke andar itna kuch dekhliya tha ke 360 boot laat manat hubul uzza, unhe chod diya aur kehat me unko chodke Mustafa ko Utha liya. 2 saal me itni samjh aagayi thi to 40 saal ke baad Aylan-e-Nabuwwat hua to 40 saal tak ye samjh nahi aayi hogi ke Hain Kaun! Qurban jaaye Aqal par!
To leke chal pade aur Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Haatho par utha liya aur Aapki Pusht-e-Mubarak Kaabatullah se lagadi. Kabatullah se Mas karke kaha: Ay Allah! log laat o manat ko pukar rahe they aur jab Inhone Dua shuru ki kisi boot ka naam nahi liya, kaha Ay Rab! aur 3 baar ye jumla kaha: “Is Bachhe ke Waseele se Barish Dede! Ay Baari Ta’ala Is Bachhe ke Waseele se Barish Dede, Ay Baari Ta’ala Is Bachhe ke Waseele se Barish Dede!”

Kahi aisa to nahi ke Hazrat Abu Talib par aitaraaz zyada is wajah se horaha ho ke Huzoor ka Waseela sikhaya Unhone duniya ko! To 3 baar ye Dua ki aur raawi kehte hain ke abhi der nahi guzri thi, aasman par badal chaagaye aur Dua ke Kalimat Haram ki fiza me abhi gunj rahe they ke musladhar barish shuru hogayi aur itni barish hui ke Sahaba kehte hain ke khatra hogaya ke kahi Masjid (e Haram) na gir jaaye. Us Mauqa par jab barish hogayi, Ir-haas bolte hain isko, Nabuwwat ke Aylan ke baad ho to Mojza kehte hain, ye ilmi baat samjha di magar huruf e aam me Mojza samjhlen. To us Mauqa par jab Ye Mojza Ye Barkat dekhi to Hazrat Abu Talib Shayar bhi they, Unhone Aaqa ki Shaan me 2 Sher kahe! Aur wo jo 2 Sher hain Unko Imam Bukhari ne Al-Jaame Al Sahih (Sahih Bukahri) me riwayat kiya!

To us waqt wo Sher kahe aur fir baadme Umr bhar likhte rahe usi Qaside me, Laam ke kafiye me aur wo koi 100 se zyada Ashaar Laam ke Kafiye me Huzoor ki Shaan me likh daale. (Wo Pura Qasida “Diwan-e-Abu Talib RadiAllahu Anhu Kitab me hai aur Saudi Arab me chapti hai Kitab) aur Madina Tayyeba se kharidkar laaya hun. Har KItab se duniya se ek ek nuskha kharidta hun, Ye har baar jaata hun to ek Nushka kharidke le aata hun. Pata nahi kitne kharide, ye dar rehta hai ke kahi chapna band na hojayen, jitne nuskhe khareedlu khareedlu! To Us Mauqa par Farmaya, Qurban jaaye Hazrat Abu Talib par! Koi kya kehta firey mai to Qurban jaau, Inhi Shero par Quraban jau! Farmaya:
“Wa Abyaza Us Taskal Gamaamu be Wajhihi
Simalul Yatama Ismatun Lil Ara-aamileen
Yaluzu bihil hullaku min Aal-e-Haashimin
Fahum Indahu fee Ni’amtin wa Fawazili.”

To jab barish aagayi Huzoor ke Chehra-e-Pak ko dekhkar to Hazrat Abu Talib gunguna uthe aur kehne lage Wab Yadda, “Ay Safed Khoobsurat Gorey Chehre Waale, Ay Sufed Roshan Chehre Waale Habib, Aapki Zaat Itni Ba-Barkat hai ke Aapke Chehre ke Sadqe se badalo se barish li jaati hai! Aur Aap Yateemo ke fariyad ras hain! Hain 2 Saal ki Umr me Aaqa! Ab Jo Ye kehrahe hai Ye 2 saal ko dekhkar kehrahe hain ya 40 saal ke baad ka zamana dekhkar kehrahe hain “Aap Yateemo ke Fariyad-ras hain” Abhi 2 Saal ki Umr me Fariyad-ras hogaye they ya 40 Saal dekhkar kehna tha? Arey jo logo ne 40 saal ke baad dekha Abu Talib ki Nigah 40 saal pehle dekh rahi thi! “Aur Aap Bewao ki Ismad ke Muhafiz hain” kabhi na bhule ke Umr 2 saal hai aur Us Mauqe par Ye kehrahe hain ke Bewao ke Ismad ke Muhafiz hain! Aur fir kehte hain Banu Hashim ki bhuki pyasi halaqat me ghiri hui Aulad har waqt Aapko ghere rehti hai ke Unke liye Aap he ke Daman me Saari Naymate hain Saari Fazilaten hain!

Ye 2 Sher us Mauqa par kahe agle sher baadme kahe Aylan-e-Nabuwwat ke baad. To pura Qasida Laamiya Umr bhar me bana. Usme farmaya: Logo! Mere Habib Muhammad ki Nabuwwat ka inkar karne waalo, Inki Dawat ki mukhalifat karne waalo, muzahamat karne waalo, Inki Raah me rukawate daalne waalo suno! Baitullah ki Qasam! tumne galat khayal kiya ke tum Humse ladkar Muhammad ka Raasta rok loge aur tumne galat khayal kiya ke Hum Muhammad SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Muamle me tumse magloob hojayenge. Nahi! Abhi to Hum Zabaani Difa (defense) karrahe hain, abhi ye waqt nahi aaya abhi to Muhammad ke Difa me Humne abhi tak neze nahi uthaye aur teer nahi uthaye! Hum to neze bhi uthayenge aur teer bhi uthayenge! Aur fir farmate hain: Tumne galat khayal ki ke Hum Inko tumhare hawale kardenge? Hargiz nahi! Agar waqt aaya to, Qurban jaayen Hazrat Abu Talib ke Jazba-e-Mohabbat par, kehte hain Waqt aaya to Khuda ki Qasam Hum Is Muhammad ke Ird Gird Apni Jaane lekar bich jayenge! Aur Inki Khatir Apne Biwi Bacho ko bhi Qurban kardenge!
Ye Unka Aylan hai, jo marzi ab aap kehte firen! Ye Abu Talib hain!

Ab aage aage chaliye, ye to kehat tha jo Daur-e-Hazrat Abu Talib me aaya aur Tawassul Chehra-e-Mustafa (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) ka kiya Kabatullah ke Sehan me jahan 360 andhe behre gunge boot apni haal ki nigaho se Hazrat Abu Talib ko tak rahe honge ke hum 360 pade hain aur kehat me Waseela Muhammad ka Deraha hai, hame nahi takta? Tumhe kyu takey? Unka waasta he tumhare saath koi nahi, Wo Muwahid hain!

Ab Agli Hadees fir kehat Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Daur me aaya, mai Dono Hadees jod raha hun, bada shadeed kehat aagaya aur ye bhi Sahih Bukhari me hai (Jild 1 page 127). Aur fir Imam Hajar Asqalani ne Fathul Baari me Tafseel se bayan kiya aur Ibne Abdul Barr ne At Tamid me, Imam Suhaili, Imam Tabrani aur tamam Muhaddiseen ne jinme awwal Imam Bukhari Apni Sahih me riwayat karte hain. Hazrat Anas bin Malik RadiAllahu Anhu raawi hain, kehte hain Juma ka Din tha Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Mimbar pe they Khutba Irshad farma rahe they. Itna kahet tha ke fasle sukh gayi thi log marne ko they, janwar nidhaal hoke marrahe they. Halat-e-Khutba me ek aarabi khada hogaya haath jodkar, arz kiya Ya RasoolAllah hamare maweshi halaak hone lage, bache bhuk se marne lage, kehat saali ki inteha hogayi, Allah ke Huzoor hamare liye barish ki Sifarish kardijiye. Hadees-e-Pak me aata hai Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne jab fariyad suni to Halat-e-Khutba me mere Mustafa ke Dast-e-Aqdas uthgaye aur Aapne dua ki. Sahaba kehte hain Us Zaat ki Qasam Jiske Kabza-e-Qudrat me meri jaan hai aasmaan saaf they badalo ka koi tukda na tha, bus abhi Haath Mustafa ke Uthey they ke aasmano par badal umand aaye aur Haath abhi Niche nahi aaye they ke Musladhar barish shuru hogayi hatta ke Aaqa jab Mimbar se utre to Reesh Mubarak se Paani Tapak raha tha! Fir barish rahi agla din agla din, 8 din guzar gaye agla Juma aagaya barish ek lamha nahi thami. Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam fir Mimbar pe Khutba-e-Juma keliye, fir aarabi khade hogaye, ab wo raaste bhar gaye, wadiya pur hogayi, logo ko chalne ki jagah na rahi. Aarabi khade hoke kehne lage Ya RasoolAllah hum margaye, Khuda keliye ab is barish ko thama den! To Hadees-e-Pak me aata hai mere Aaqa ne Ungli Khadi ki is tarah (Ungli Mubarak Upar ghumake) kaha “Allahumma hawa Alaina wala Alaina!” Wo Arsh se farsh tak Kainat Unke Zer-e-Nagi hai! Haath Khada hua Baari Ta’ala Hamare ird gird ho, upar na ho. Ju ju Ungli ka Ishara karte they Sahaba kehte Khuda ki Qasam badal daudte jaate, ird gird jinhe zarurat thi barish jaari rahi, jo waadi bhar gayi thi waha ruk gayi!

Ye to waqiya Hadees ka, Imam Tabrani Imam Asqalani ne yaha par bayan kiya ke jab manzar ye hochuka to Hadees-e-Pak me hai, kehte hain Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Manzar dekhke Khush hue. Ab ye us waqt ki baat hai Madina ki jab Hazrat Abu Talib is duniya me nahi they. To jab Khush hue mere Aaqa aur Hadees me aata hai Aap itne Hase ke Dandan Mubarak Nazar Aane lage aur ek he baat kahi! Khush hoke Hase aur Muskurake farmaane lage: “Lou Kaana Abu Talibin Hayyan La Qurratainahu!”
“Aaj Mere Chacha Abu Talib Zinda Hote to Unki Aankhe Thandi Hojati!”

Ab Imaan se kahiye aise mauke par kaun kise yaad karta hai! Koi kisi kafir ko yaad karta hai? Kisine Nabi ka Kalma na pada ho usko yaad karta hai? Jo duniya se halat e kufr me gaya ho usey yaad karta hai? Ye bhi keh farma sakte they Mere Baba Abdullah Zinda Hote, Meri Amma Aamina Hotin, Khadijatul Kubra Hoti, Fla hote, Jiska Naam Chahte lesakte, magar ek wajah to ye thi ke Aaqa ko wo yaad tha ke jab kehat hota Mera Chacha Abu Talib Mujhe uthkar Sehan-e-Kaaba me lejakar Mere Chehre ka Waseela dekar barish mangta tha aur barish aati thi. Aaj Wo Chacha Abu Talib Zinda Hota aur Khuda ki Qasam barish ka ye manzar Dekhta to Is Manzar ko dekhkar Uski Aankhe Thandi hojati! Ab ye Aaqa ka Farmana ke Unki Aankhe Thandi hojati, arey Isse badi bhi Daleel-e-Imaan koi hai?

Aur fir aage farmane lagey haan koi hai jo Mujhe Apne Chacha Abu Talib ke Sher Suna de! Maula Ali al Murtaza Khade hogaye! Kuch aur Sahaba khade hogaye. Aage sabse Maula Ali al Murtaza, arz kiya: “Ya RasoolAllah! Ka Annaka Aratta Qaulahu Wab Yadda Yus Taskal Gamama bee Wajhihi!” “Aaqa aise lagta hai Aap Unka Ye Sher “Wab Yadda” Sunna Chahte hain.” Farmaya Haan Wohi. Fir Maula Ali al Murtaza ne Ye Sher Gungunaaye!”

SallAllahu Alaihi wa Ala Ammihi wa Aalihi wa Baarik wa Sallim

Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadiw wa Ala Bintihi wa Ummihi wa Abeehi wa Ammihi wa Jaddihi wa Azwajihi wa Aalihi wa Asahbihi wa Baarik wa Sallim

Ashaar ka Reference:
Sahih Bukhari, 1/342, Hadees no. 963

Comments

Popular posts from this blog

Kanzul Muttalib fee Manaqib Ali Ibne Abi Talib Alahissalam

1. QUBOOL-E-ISLAM ME AWWAL AUR NAMAZ PADHNE ME AWWAL 1. "Ek Ansari Shakhs Abu Hamza se riwayat karte hain ke maine Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu ko farmate hue suna ke sabse pehle Hazrat Ali RadiAllahu Anhu Imaan laaye." Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kaha hai ke ye Hadees Hasan Saheeh hai. 2. "Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu se he marvi ek riwayat me ye alfaaz hain: "Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par sabse pehle Islam laane waale Hazrat Ali RadiAllahu Anhu hain." Is Hadees ki Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya hai. 3. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Peer ke din Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Baysat hui aur Mangal ke din Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne Namaz padhi." Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai. 4. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke wo farmate hain sabse pehle Hazrat Ali RadiAl

Rijalul ghayb

      https://youtu.be/DBJF3hL27FU   Rijal Al-Ghaib or Awliy’Ulah are always praying for the ummah and the world , imama gazali rehmatuallah “said if somebody prays for their help allah will show them their help ” ” , Rijal Al-Qeyb pray for the whole Umah of prophet Muhammed . Online Article There are at any given time 124000 or over (Allah knows best ) Awliy Ulah living on earth.They are not known and recognized by the general public. You should know O the beloved of Allah All these are hidden from them and the general public too , only Allah is the one who knows them all . In the Hadith 1) The Prophet (SCW) said: “The Substitutes (Abdaal) in this Community are thirty like Ibrahim the Friend of the Merciful. Every time one of them dies, Allah substitutes another one in his place.” [Musnad Ahmad 5:322] 2) The Prophet (SCW) said: “The earth will never lack forty men similar to the Friend of the Merciful [Prophet Ibrahim], and through them people receive rain and are given help. None of

Taziyadari jayaz hai