(Shan-e-Maula Ali Alaihissalam Aap Ki Wilayat Ke Aylaan Ke Baad Deen Mukammal Hua Aur Hazrat Umar Ne Imam Ali Alaihissalam Ko Apna Maula Tasleem Kiya)
Ye Imam Hakim haskani hanafi Rehmatullah Alaih Ki book hai imam hakim haskani ko dahabi ne tazkira tul hufaz mai imam ul hufaz nabil jalil fazil kaha hai iske ilawa tabqat hanfia mai inko imam faqhi mujtahid jaise lafaz se yaad kiya gaya hai 1000 saal pehle ke inho ne apni book mai surah maida ayat 3 ke nuzul mai ek Hadees likhi hai jiski sanad sahih hai.
Hazrat abu huraira kehte hain ghadeer ke muqam Par hajj ke baad Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne apne hath mai ali ka hath pakad kar buland kiya aur kaha aye logo kiya mai tumhara maula (sardar aur mehboob) nahi Sab ne kaha kyu nahi ya Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam phir aap alaihissalam ne kaha phir suno jiska mai maula (sardar aur mehboob) hu ali bhi uske maula (sardar aur mehboob) hai phir baad mai hazrat umar hazrat ali ke pas aaye aur kaha abul hasan (kuniyat ali alaihsalam ki) aaj se aap mere bhi maula hein aur mere to kiya aaj se aap har momin ke bhi maula hain abhi kuch waqat hi guzra tha ke ye ayat nazil hui aaj ke din tum par tumhara din mukammal ho gaya aur isko tumhare liye pasand kardiya gaya.
Talib-e-Dua Ahmed Shafi Qutbi
Comments
Post a Comment