Skip to main content

Ya Imam Hasan Alahiassalam



JASHN E ZAHOOR E MAULA HASANع TAMAM MOMINEEN O MOMINAAT KO BAHOT BAHOT MUBARAK HO...

[08/05 8:33 pm] +91 85306 77866: *Wo Aam Karne Imamat Ka Faiz-e-Aam Aaya,*

*Jahan Me Aaj Mera Doosra Imamع Aaya,*

*Aliع Ka Chand Imamat Ka Aaftaab Aaya,*

*Kaha Rasoolﷺ Ne Dekho Mera Jawab Aaya!*
[08/05 9:43 pm] Nihal Hussain Gujrat: *Wo aam kernay Imamat ka Faiz-e-Aam aya,*

*Jahan mein aaj mera doosra Imam(as) aya,*

*Ali(as) ka Chand Imamat ka Aftaab aya,*

*Kaha Rasool(saww) nay dekho mera jawab aya!*
[08/05 9:43 pm] Nihal Hussain Gujrat: *Saaray Aaza hon ikhattay tou badan banta hai,*

*Phool say phool milay jab tou chaman banta hai,*

*Harf-o-Awaaz ki tarteeb yehi kehti hai,*

*Husn Meraj ko pohnchay tou Hasan(as) banta hai!..*
[08/05 9:43 pm] Nihal Hussain Gujrat: *Hussain(as) Quaid-e-Azam hai Haq paraston ka,*
*Jo maanta nahi shakhs wo dil ka khota hai,*

*Hussain(as) saaray zamanay say barh gaya lekin,*
*Kiya jo ghor tou dekha Hasan(as) say chota hai!*
[08/05 9:44 pm] Nihal Hussain Gujrat: *Meri Zabaan Se Barsen Ge Phool Aaj K Din.*
*Bohot Khush Hain Ali (a.s) -O- Batool (s.a) Aaj K Din.*

*Hassan (a.s) Aaye Hain Takmil'e Panjatan K Liye.*
*Darood ka Hai Musalsal Nazool Aaj K Din....*
[08/05 9:44 pm] Nihal Hussain Gujrat: *AJAAB DEKHNAAY KO SAMA MIL RAHA HAY.*

*MUSARRAT KA HAR SOO NISHAAN MIL RAHA HAY.*

*YAY FAIZAAY FIDA HAY YU, JASHAN-E-HASSAN(AS) MAIN.*

*ZAMEEN SAY GALAY ASMAAN MIL RAHA HAY*
[08/05 9:44 pm] Nihal Hussain Gujrat: *Tabinda Hai Buhut Jo Amanat Hassan Ki Hai*

*Deen-e-Khuda Pe Khas Inayat HASSAN Ki Hai*

*Tamheeds Karbala Ki Karen Ge Ye Istawar Pehlay*

*Mola Hussain(as) Se B Ziada Zaroorat Hassan(as) Ki Hai*
[08/05 9:44 pm] Nihal Hussain Gujrat: *Batool-Zada, Ali(as) ka Beta, Nabi(saww) ka N00r-e-Nazr*

*Yahi hai, Har ik Tamana ka Baab-e-Aakhir,*

*har ik Dua ka Asr Yahi Hai,*

*Qaraar-e-Qalb-e-malaaika hai,*

*Sukoon-e-Rooh-e-Bashar yahi hai,*

*Nijaat ka Gur jo seekhna hay to,sirf ye baat Jaan lena,*
*Khaya...al-e-Kuld-e-Bareen se Pehle*
*Hassan(as) ko sardar maan lena*
[08/05 9:44 pm] Nihal Hussain Gujrat: *"Rashk-e-Qamar Yeh Aj Jo Hassan Turab Hai*

*Waqt-e-Nazool Aks-e-Risalat Ma,ab Hai*

*Chehra Numai Key Liye Dar Per Hajoom Hai*

*Godi Main Fatima(sa) K Gul-e-BuTurab Hai.*
[08/05 9:44 pm] Nihal Hussain Gujrat: *Kuch Nahi Mansab-o-Martaba Chahiye*

*Mere Mola Tera Aasra Chahiye*

*Dey Kay Takht-e-Hakumat Yea Bolay Hassan(as)*

*Aey Bhikari Tujhay Or Kia Chahiye.*
[08/05 9:44 pm] Nihal Hussain Gujrat: ✒️ *Maine to khudko kar diya Maula Hasan ke Naam.*
*Ilm-o-Amal Ataa ho Khudaaya Hasan ke Naam.*

✒️ *Jiske Qadam ki Khaak se Sajta hai Aasmaañ.*
*Azmat ka hai woh Arsh-e-Mualla Hasan ke Naam.*

✒️ *Nana Rasool, Baba Ali, Maa hai Fatema.*
*Dekho hai Ismatoñ ka Yeh Rishta Hasan ke Naam.*

✒️ *Jiske Liye Rasool-e-Khuda Naaqa ban gaye.*
*Ya to Husain ka hai Sharaf, Ya Hasan ke Naam.*

✒️ *Ramzan ke Maheene ki Rounaq hi badh gayi.*
*Ghar ko Ali ne Jab hai Sajaaya Hasan ke Naam.*

✒️ *Mehsoos ho raha hai yeh Qur'aan Padh ke Aaj.*
*Qur'aan Padh raha hai Qaseeda Hasan ke Naam.*

✒️ *Dar-Dar bhatak rahe hain bhala kis liye Janaab ??*
*Jannat me Jana wala hai Rasta Hasan ke Naam.*

✒️ *Hargiz na bhooki hogi kabhi bhi tumhari Nasl.*
*Dekho khilaa ke bhookey ko Khaana Hasan ke Naam.*

✒️ *"Romaan Rizvi" Aayiye Daaman Pasaar ke.*
*Baantegi Aaj Fatema Sadqa Hasan ke Naam.*

✍🏻 *_- "Maulana Romaan Rizvi Sahab"._*
[08/05 9:44 pm] Nihal Hussain Gujrat: *🌿🌷🍃بسْــــــــــــــمِ ﷲِالرَّحْمَنِ الرَّحِيم🍃🌷🌿*
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻
*MISRA ➖MASHOOR DO JAHAN ME SAKHAWAT HASAN AS KI HAI*
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
LAB PAR HAMARE DEKHO TILAWAT HASAN KI HAI
DIL ME HAMARI RAHTI MOHABBAT HASAN KI HAI

MOLA KIYA HAI TUMSE ISE WASTE SULHA
DIL ME SITAMGARO KI JO HAIBAT HASAN KI HAI

ARZAK KO MAAR KAR KE YE SABIT HI KAR DIYA
QASIM KE BAZUO'N ME BHI TAQAT HASAN KI HAI

JANNAT ME MUJHKO JANE SE ROKE GA JO KOI
KAH DUGA DIL ME MERE MOHABBAT HASAN KI HAI

IS WASTE WO AAGAYA MIMBAR SE UTAR KAR
WO JAANTA HAI IS WAQT IMAMAT HASAN KI HAI

JUNG IS TARHA LADI HAI KI DUSHMAN BHI KAH UTHE
QASIM KE SHAKL ME TO SHUJA'AT HASAN KI HAI

IS WASTE HAIN AATE SABHI JINNO AUR BASHAR
MASHOOR DO JAHAN ME SAKHAWAT HASAN KI HAI

JO LIKH RAHA HOON AAJ MAY MOLA KI KHUD MADHA
UPAR "WAFA" KE JAANO INAYAT HASAN KI HAI
🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Kanzul Muttalib fee Manaqib Ali Ibne Abi Talib Alahissalam

1. QUBOOL-E-ISLAM ME AWWAL AUR NAMAZ PADHNE ME AWWAL 1. "Ek Ansari Shakhs Abu Hamza se riwayat karte hain ke maine Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu ko farmate hue suna ke sabse pehle Hazrat Ali RadiAllahu Anhu Imaan laaye." Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kaha hai ke ye Hadees Hasan Saheeh hai. 2. "Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu se he marvi ek riwayat me ye alfaaz hain: "Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par sabse pehle Islam laane waale Hazrat Ali RadiAllahu Anhu hain." Is Hadees ki Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya hai. 3. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Peer ke din Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Baysat hui aur Mangal ke din Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne Namaz padhi." Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai. 4. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke wo farmate hain sabse pehle Hazrat Ali RadiAl

Rijalul ghayb

      https://youtu.be/DBJF3hL27FU   Rijal Al-Ghaib or Awliy’Ulah are always praying for the ummah and the world , imama gazali rehmatuallah “said if somebody prays for their help allah will show them their help ” ” , Rijal Al-Qeyb pray for the whole Umah of prophet Muhammed . Online Article There are at any given time 124000 or over (Allah knows best ) Awliy Ulah living on earth.They are not known and recognized by the general public. You should know O the beloved of Allah All these are hidden from them and the general public too , only Allah is the one who knows them all . In the Hadith 1) The Prophet (SCW) said: “The Substitutes (Abdaal) in this Community are thirty like Ibrahim the Friend of the Merciful. Every time one of them dies, Allah substitutes another one in his place.” [Musnad Ahmad 5:322] 2) The Prophet (SCW) said: “The earth will never lack forty men similar to the Friend of the Merciful [Prophet Ibrahim], and through them people receive rain and are given help. None of

Albucasis: A Landmark for Arabic and European Surgery

This article presents Abu'l-Qasim Khalaf ibn 'Abbas al-Zaharawi, Arabic أبو القاسم خلف بن عباس الزهراوي, Latin Albucasis (936-1013 A.D.), one on the most outstanding Arabic physicians and the most remarkable Arabic surgeon. His work had a strong impact in middle ages. Greek-Roman surgery had almost ceased to be practiced, in the Western world, after Paul of Aegina (625-690 A.D.), the last Byzantine compiler. Albucasis took for himself the task of making of surgery an honorable art. He recovered ancient surgical texts from damaged scrolls, developed, expanded and refined Greek-Roman operations, adding his own pioneer techniques, procedures, and devising his own instruments. His clear and insightful teachings laid the foundations of accurate and safer surgical procedures that were adopted in the following centuries.  Introduction Frontispiece of the Latin translation of Al-Zahrawi's (Albucasis') Kitab al-tasrif (Source) During Galen´s life (129-217 A.D.), magic and supern