Skip to main content

Hazrat Imam Ali عليه السلام Brief Biography

19149320_1060839664050557_5883457352665362671_n
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Murtaza, Haidar, Maula e Kaa'inat, Faatih e Wilaayat, Wali e awwal, Imaam ul Muttaqeen, Baab-e-Madeenat-ul-ilm, Ashja un Naas, Asadullāhi fil gaalib.

Kunniyat : Abu Turaab.

**********
Aap ki wilaadat 13 Rajab (23 October 600 A.D.)  Kaaba mein hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Abu Taalib Imraan ibne Abdul Muttalib aur waalida ka naam Hazrate Faatima bint Asad radiy-Allāhu ta’ala anha hai.

Aap Quraish ke Banu Haashim qabeele se ta’alluq rakhte hain.

**********
Aap ki waalida haalat e hamal me Ka’abatullāh ka tawaaf kar rahi thi aur un ko dard e zeh shuru hua aur Rab ta’ala ke hukm se wo Ka’aba shareef ke andar chali gai.
Is tarah Aap ki wilaadat Ka’abatullāh ke andar hui.

Wilaadat ke baad aap ne aankhen nahi kholi aur jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam tashreef laaye to Abu Taalib ne unhe aap ki god me diya to aap ne aankhen kholi ya’ni dunya me aane ke baad aap ne sab se pehle Huzoor Sarwar e kaa'inat sallallāhu alaihi wa sallam ko dekha.
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Abu Taalib se puchha ke ‘Is ka kuchh naam rakha?’ Unho ne kaha ke ‘Asad (lion) rakhne ka soch rahe hain. Aap ki kya raay hai?’ Huzoor ne farmaaya ‘Is ka naam ‘Ali’ rakha jaaye.’

**********
Hazrat Abdul Muttalib ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki parwarish ki zimmedaari apne bete Hazrat Abu Taalib ko di thi. Jab Huzoor ne bade hokar tijaarat karna shuru kiya aur aap ka nikaah Hazrate Khdeeja radiy-Allāhu ta’ala anhu se hua. Aap ne un ke paas jaakar farmaaya ke ‘Chacha, Aap ke mujh par bahot ehsaan hain aur main chaahta hu ke aap apne kisi ek ladke ki zimmedaari mujhe de den.’ Abu Taalib ne kaha ‘Kabhi bhi ehsaan ki baat mat karna. Lekin tum jis ladke ko chaaho apne saath le jaao.’
Aap Hazrat Ali ko apne saath le gaye aur is tarah bachpan se hi Hazrate Ali ki parwarish Huzoor ke saath un ki nigraani me hui.


**********
13 Nabawi (622 A.D.) me jab ALLĀH ke hukm se Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Makka se hijrat kar rahe the tab Hazrate Ali ko apne bistar par sone ke liye kaha aur farmaaya ke ‘Aye Ali! Ye kuchh amaanate main tumhe dekar jaata hu. Subah ko tum un logo ko apni apni amaanaten dekar Yaṡrib (Madeena) aa jaana.’
Hazrat Ali itminaan se Nabi ke bistar par lait gaye. Kyun ki Aap ko yaqeen tha ke Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farma diya hai to Kal subah ko main sab ko amaanate dekar Madeena khairiyat se pahunch jaaunga. Mujhe koi takleef nahi de sakega.

Is ke baad Aap bhi apni waalida ke saath Makka se hijrat karke Madeena shareef aa gaye.
Aap roz raat ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke makaan par pehra dete the.

***********
Aap Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ke daamaad hain.
1 Zil Hijjah 2 Hijri (623 A.D.) ko Aap ka nikaah Hazrate Khaatoon e jannat Faatima Zahra radiy-Allāhu ta’ala anha ke saath hua.
Nikaah ke baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Sayyeda Faatima ko bulaakar irshaad farmaaya ‘Aye Faatima! Maine tumhara nikaah apne khaandaan ke behtareen shakhs ke saath kar diya hai.’

***********
Aap panjatan me shamil hain.
Aap Ashra e mubashara me se hain.

Aap Aa'imma e Ahle bait ke sab se pehle Imaam hain.

Aap Faatih e wilayat aur Wali e awwal hain ya’ni Ummate Mustafa me Auliya Allāh ke silsile ki shuruat aap se hui.

Aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke khalifa hain.
Aur Aap ke 4 khalifa (Imaam Hasan, Imaam Husain, Khwaja Hasan Basri, Khwaja Kumail bin Ziyad radiy-Allāhu ta’ala anhuma) se tareeqat ke tamaam ‘Alawi’ silsile jaari hain.

***********
Aap ke baare me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya hai ke

(1) Ali mujh se hai aur Main Ali se hu.
(2) Jis ka main maula hu, Ali bhi us ka maula hai.
[10 Hijri (632 A.D.) me Hajjatul wida ke baad Khumm e Ghadir par]
(3) Aye ALLAH! Tu us ko dost rakh jo Ali se dosti rakhe aur zaleel kar us ko jo Ali se dushmani rakhe.
(4) Ali se Mohabbat Eimaan ki nishaani he Aur Ali se Nafrat Nifaaq ki nishaani hai.
(5) Main ilm ka shaher hu aur Ali us ka darwaaza.
(6) Mere darbaar me Ali ka martaba aisa hai jaisa Hazrate Moosā alaihis salaam ke darbaar me Hazrate Hāroon alaihis salaam ka.
(7) Qayaamat me Hazrate Ādam alaihis salaam apne bete Hazrate Sees alaihis salaam ke saath fakhr karenge aur main Ali ke saath.
(8) Aye Ali! Tum duniya me bhi sardaar ho aur aakhirat me bhi sardaar ho.
(9) Agar log is qadar roze rakhen ke kamaan ki tarah tedhe ho jaaye,
Phir agar Ali se bughz rakhe to Dozakh me jaayenge.
(10) Tamaam Nabiyo ki zurriyaat (nasab) un ki sulb me hain aur meri zurriyaat Ali ibne Abu Taalib ki sulb me hai.

************
Ek martaba Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne apna daste e aqdas apne sine mubarak par rakhkar farmaaya ‘Aye Ali! Tum Haadi ho aur mere baad raah paane waale tum se raah paaynge. Wilaayat ke silsile tum se jaari rahenge aur ummat ke Aulia, Ulama aur Ghauṡ o Aqtaab tum se faiz paaynge.’

************
Ek baar kisi ne Aap se puchha ‘Aap ko Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam se kitni Mohabbat hai?’
Aap ne farmaaya ‘Khuda ki qasam! Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam se hume apne maal, aulaad aur waalidain se bhi ziyada mohabbat hai, Koi pyaasa jitna thande paani ko chaahta hai hum is se bhi badhkar Aap sallallāhu alaihi wa sallam ko chaahte hai.’

************
Aap ka laqab ‘Haidar’ aur ‘Asadullāh’ ya’ni Sher e khuda hai.

Aap ka Ilm, Shuja’at, Saadgi, Qana’at, Sabr, Sakhaawat aur Husn e akhlaaq mashhoor hai.
Kai baar aap ke Ilm aur Shuja’at se Islaam ko faa'ida hua.

************
Aap ne Ghazwa e Tabook ke ilaawa tamaam jung me apni shuja’at dikhaai.
Aap ki talwaar ‘Zulfiqaar’ mash'hoor hai.

************
Ramazaan 2 Hijri me Jung e Badr me Huzoor sallallāhu alaihi was allam ne Hazrate Hamza, Hazrate Ali ibn Abi Taalib aur Ubaida ibne Haariṡ radiy-Allāhu ta’ala anhuma ko Makka ke kaafiro ke muqaabale ke liye bheja.
Hazrate Hamza ne Shaiba ko qatl kiya aur phir Ubaida ke shadeed jakhmi hone ke baad Utba ka muqaabala karke use bhi qatl kiya.
Aur Hazrate Ali ne Waleed ibn Utba ko qatl kiya. Aur phir jung me apni bahaaduri dikhaate hue Aap ne taqreeban 22 kaafiro ko qatl kiya.

*************
Shawwaal 3 Hijri me Junge Uhad me jab kaafir phir se musalmano par ghaalib ho rahe the aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam bhi zakhmi ho gaye the tab Hazrat Ali jaldi se Huzoor ki hifaazat ke liye aap ke paas pahunch gaye aur jab bhi kaafiro ka giroh Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki taraf hamla karne ke liye aage aata Ali lagataar badi bahaaduri se us ko door bhaga dete.
Is ke baad Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Ali ko apne seene se lagaate hue kaha ke ‘Aye Ali! Tum hamesha mere itne qareeb rahoge.’ Tab Hazrate Jibr'eel alaihis salaam ne kaha ‘Main bhi isi tarah aap ke saath rehna chaahta hu.’ Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Ali ko ye khushkhabari sunai.

*************
Shawwaal 5 Hijri me Jung e Khandaq me aap ne Amr bin Abdud ko qatl kiya aur us ki talwaar ke waar ka jakhm aap ki peshaani par hamesha ke liye raha.

*************
7 Hijri (May/June 628 A.D.) me Jung e Khaibar ke mauqe par jab musalmano ko Khaibar par fateh haasil nahi ho rahi thi tab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ko bulaaya aur Jab Hazrate Ali ne kaha ke mmeri aankho me shadeed dard hai to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne apna luaab e dahan (thoonk) un ki aankho me lagaaya. Jis se foran Hazrate Ali ki sab takleef door ho gai aur itna hi nahi, Hazrate Ali farmaate hain ke ‘Meri aankho ki roshni aur tez ho gai.’
Phir Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Ali ko musalmano ke lashkar ke saalaar banaakar bheja. Jung ke dauraan Hazrate Ali ne Khaibar ke qile ka darwaaza todkar utha liya.
ALLĀH ta’ala ke fazl se musalmano ko fateh haasil hui.
Ashaaba farmaate hain ke baad me 25 ya zyada sahaaba ne saath milkar us darwaaze ko uthaane ki bahot koshish ki lekin phir bhi wo use hila bhi na paaye.

**********
20 Ramazaan 8 Hijri (11 January 630 A.D.) me Fateh Makka me Makka par hamle ke mauqe par Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne lashkar ke 4 giroh banaaye aur jin me se ek giroh ne Hazrat Ali al-Murtaza  anhu ki sardaari me Kudai ki jaanib se hamla kiya aur baghair koi muqaabale ke aage badhe aur Makka me daakhil hue.

**********
8 Hijri (January 630 A.D.) me Jung e Hunain me jab kaafir musalmano par ghaalib ho gaye tab aap ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki hifaazat ki jab tak ki musalmano ne muttahid hokar phir se ghalba haasil kiya.

**********
9 Hijri (October 630 A.D.) me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam lashkar ke saath Jange Tabook ke liye gaye tab Hazrat Ali ko Madeena me apna Naa'ib banaakar gaye.

**********
Ek baar jung ke dauraan aap ne ek yahudi ko zameen par gira diya aur us ke seene par baithkar us ka sar kalam karna chaaha. Itne me wo yahudi ne Aap ke chehre par thoonk diya. Aap foran us ke seene par se neeche utar gaye aur niyyat karke namaaz padhne lage. Wo yahudi hairat se dekh raha tha.
Jab aap namaaz se faarigh hue to yahudi ne puchha ‘Aye Ali! Tum mujh par ghaalib ho gaye the aur phir tum ne mujhe chhod kyun diya?’
Aap ne farmaaya ke ‘Main sirf ALLĀH ki raza ke liye tujhe qatl karne waala tha. Lekin jab tum ne mere chehre par thoonka to mujhe gussa aaya. Is liye main tumhe chhodkar namaaz padhne laga. Taake nafs ka zor khatm ho jaaye aur tumhe qatl karne me meri nafsaani khwaahish saamil na ho.’
Ye sunkar wo yahudi aur us ke saathi musalman ho gaye.

**********
Aap namaaz khushu aur khuzu ke saath is tarah padhte ke tamaam cheezo ko bhul jaate.
Jange Uhad me Aap ke pair me teer chubh gaya aur jab bhi use nikaalne ki koshish kai jaati Aap ko bahot takleef hoti thi. Phir ye mashwara kiya gaya ke jab Hazrate Ali haalat e namaaz me khae ho tab is teer ko nikaala jaaye.
Chunaanche jab Aap namaaz padhne me mashgool the tab jambur ke zariye Aap ke pair me se us teer ko nikaala gaya. Jakhm me se khoon jaari ho gaya lekin aap ko dard ka ehsaas na hua.

***************
Aap farmaate hain ke
‘Main Jannat ke shauq me ibaadat nahi karta ki ye ibaadat nahi Tijaarat hai,
Main Dozakh ke khauf se ibaadat nahi karta ki ye ibaadat nahi Ghulami Hai,
Main ibaadat sirf is liye karta hu ki mera Rabb hi ibaadat ke qaabil hai.’

***************
Ek martaba Aap ghar tashreef laaye to Hazrate Faatima سلام اللہ علیہا ne kaha ‘Maine ye soot kaanta hai. Aap baazaar jaakar ise bech kar kuchh khaane ka saamaan le aa'iye taaki Hasan o Hussain ko khaana khilaun.’
Aap wo soot lekar baazaar gaye aur use 6 dirham me bech diya. Aap un paiso se kuchh khareedne ka soch hi rahe the ki ek saa'il ne ALLĀH ke naam par maanga. Aap ne wo foran wo 6 dirham maangne waale ko de diye.
Aap waapas jaane lage tab ek aaraabi aaya jis ke paas bahot farba oontni thi. Wo bola ‘Aye Ali! Ye oontni khareedoge?’ Hazrat Ali ne farmaaya ‘Paise paas me nahi hain.’ Us ne kaha ‘Udhaar deta hu.’ Ye kehkar oontni ki rassi Aap ke haath me de di aur chala gaya. Itne me ek dusra aaraabi aaya aur bola ‘Ali ! Oontni bechte ho?’ Aap ne farmaaya ‘le lo.’ Us ne kaha ‘300 dirham nagad deta hu.’ Ye keh kar 300 dirham diye aur oontni le kar chala gaya.
Phir Aap ne pehle waale aaraabi ko talaash kiya, magar nahi mila.
Aap ghar aaye to dekha ki Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam un ke yaha tashreef farma hain. Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Ali ko dekha to muskura kar farmaaya ‘Ali ! Oontani ka qissa tum sunaate ho ya main sunaau?’ Aap ne arz kiya ‘Huzoor! Aap hi suna'iye.’
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ‘Pehla aaraabi Jibr'eel the, dusra Isrā'eel the aur wo oontani jannat ki wo oontani thi jis par jannat me Fatima sawaar hongi. Tum ne saa'il ko 6 dirham diye to Khuda ko tumhara Isaar pasand aaya aur is ke badle me duniya me bhi us ne tumhe us ka ajr oontani ke khareed-o-farokht ke zariye diya.’

***************
Ek baar Sayyeda Faatima سلام اللہ علیہا bahot beemaar ho gai aur bistar se utarne ki bhi taaqat na rahi. Hazrte Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ne un se puchha ‘Aye Khaatoon e Jannat, Agar aap ki koi khwaahish ho ya koi cheez aap khaana chahti ho mujhe bata'iye.’ Ye sunkar Sayyeda Faatima ne farmaaya ‘Meri koi khaas khwaahish nahi. Magar aap mere liye koi cheez laana hi chaahte hain to ek anaar lekar aaiye.’
Aap baazaar me gaye. Magar us waqt anaar ka mausam na hone ki wajah se kahi par bhi anaar na mila. Bahot talaash karne par ek shakhs ke paas ek anaar mila. Aap ne us ki qeemat dekar wo anaar kharid liya.
Jab aap ghar ki taraf waapas aa rahe the tab aap ne dekha ki maqaam par logo ki bahut bheed jama hui hai. Aap ne logo se puchha ‘Kya muamala hai? Ye sab log yaha par kyun jama hue hain?’ Logo ne bataaya ki ‘Ek bahot beemar shakhs hai. Use anaar ki zaroorat hai. Magar kahi par anaar nahi mil raha hai. Ab aap aa gaye hain to in sha Allāh us ka kaam ho jaayega.’
Aap ne socha ki is aadami ko anaar ki zyada zaroorat hai. Aur aap ne apne haatho se us shakhs ko wo anaar khila diya. Wo shifayaab ho gaya aur aap ke liye dua ki ‘ALLĀH ta’ala aap ko is ka badla ata farmae aur aap ki pareshaani ko door farmae.’
Aap khaali haath apne ghar par tashreef laaye aur darwaaze par dastak di. Jab Sayyeda Faatima ne aakar darwaaza khola to aap ne puchha ‘Aap to itni beemaar thi ke bistar se uth nahi sakti thi to darwaze tak kaise tashreef laai?’ Sayyeda Faatima ne bataya ki ‘Jab aap gaye tab main bahot beemaar aur kamzor thi. Magar aap ne koi nek kaam kiya hoga jis ki barkat se ALLĀH ta’ala ne mujhe shifa aur taaqat ata farmai hai.’
Dono ke darmiyaan ye baaten ho rahi thi ki darwaaze par kisi ne dastak di. Puchha ‘Kaun hai?’ Aane wale ne bataaya ‘Main Salmaan Faarsi hu.’ Darwaaza khola to Hazrate Salmaan Faarsi radiy-Allāhu ta’ala anhu ne aap ko ek thaali di jis me 9 anaar the aur farmaya ‘Ye ALLĀH ta’ala ki taraf se aap ke liye in’aam hai. Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne mujhe ise aap tak pahunchane ke liye bheja hai.’ Aap ne foran farmaaya ‘Ye mere liye nahi hai.’ Hazrate Salmaan Faarsi ne wajah puchhi to Aap ne farmaaya ki ‘ALLĀH ta’ala farmaata hai ki tum ek neki karo main us ke badla (kam se kam) 10 ata farmaunga. Ye to sirf 9 hai. Is liye ye kisi aur ke liye honge.’
Hazrate Salmaan Faarsi ne foran ek anaar nikaalkar diya aur farmaaya ‘Yaqeenan aap ilm ka samundar hain. ALLĀH ta’ala ne aap ke liye 10 anaar hi bheje the magar maine aap ka imtihaan lene ke liye ek anaar chhupa diya tha.’

***************
Jab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrate Ali ko Yemen me Qaazi banaakar bhejne ka faisla kiya to Aap ne arz kiya ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Mujhe Aap Qaazi banaakar bhej rahe hain, Haalaanki main nau-umr hu aur mujhe faisle ka tajurba bhi nahi.’
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Aap ki baat sunkar apna daste aqdas Hazrate Ali ke seene par rakha aur Dua ki ‘ALLĀH ta’ala tumhari zabaan ko ṡaabit rakhe aur tumhare dil ki raahnumai farmae.’
Is ke baad aap ki kaifiyat ye hui ki kabhi bhi do aadamiyo ke darmiyaan faisla karne me pareshaani nahi hui.

***************
Fateh makka ke baad jab Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam Ka’aba shareef se buto ko nikaal kar use paak kar rahe the Hazrate Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ko apne kandho par lekar unche buto ko giraane ke liye kaha.

Jab Aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke kandhe par the tab Huzoor ne puchha ke ‘Aye Ali! Upar dekhkar bataao ke kya dekhte ho?’ Aap ne upar dekhkar kaha ke ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Arsh e aazam tak dekh sakta hu.’ Phir Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ke ‘Ab neeche dekhkar batao ke kya dekhte ho?’ Aap ne kaha ke ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Tehatus sara tak dekh sakta hu.’ Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ‘Ali! Ye tum par Rab ta'ala ka fazle khaas hai.’

***************
Ek baar ek sahaabi ne Hazrat Ali se puchha ‘Aye Ali! Aap itni jaldi har sawaal ka jawaab kaise de dete hain?
Aap ne us se puchha ‘Tumhare haath me kitni ungliyan hain?’
Us ne jawaab diya ‘5.’
Aap ne puchha ‘Itni jaldi jawaab kaise diya?’
Sahaabi ne kaha ‘Ye haath har waqt mere saamne rehta hai. Is liye mujhe ungliyan ginne ki zaroorat nahi.’
Aap ne farmaaya ‘Isi tarah puri kaa'inaat bhi mere saamne hai. Mujhe sawaal ka jawaab dhoondhna nahi padta.’

**********************
Jab Hazrat Ali ne Masjid e Kufa ke mimbar par daawa kiya ke ‘Puchh lo jo kuchh puchhna chaahte ho, is se pehle ke main tumhare darmiyaan se chala jaaun.’ To ek shakhs utha aur us ne sawaal kiya ke ‘Aye Ali, Kaun se jaanwar bache dete hain aur kaun se jaanwar anda dete hain?’ Aap ne farmaaya ‘Jin ke kaan baahar hain wo bache dete hain aur jin ke kaan andar hain wo ande dete hain.’ Wo baith gaya.
Phir dusra shakhs utha aur us ne bhi yehi sawaal puchha ke ‘Aye Ali, Kaun se jaanwar bache dete hain aur kaun se jaanwar anda dete hain?’ Aap ne farmaaya ‘Jo bache ko doodh pilaate hain wo bache dete hain aur jo bache ko daana chugwaate hain wo ande dete hain.’
Phir teesra shakhs utha aur us ne bhi yehi sawaal puchha ke ‘Aye Ali, Kaun se jaanwar bache dete hain aur kaun se jaanwar anda dete hain?’ Aap ne farmaaya ‘Jo apni giza (khaana) ko chabaakar khaate hain wo bache dete hain aur Jo apni giza (khaana) ko nigal jaate hain wo ande dete hain.’

***************
Ek baar 4 shakhs Hazrate Ali ke paas aaye aur kaha ‘Ilm maal se behtar kyun hain? Hamara sawaal ek hi hai, Magar hum chaahte hain ke aap sab ko is ka alag alag jawaab batayen.’
Aap ne sab ko alag alag jawaab dete hue farmaaya ke
[1] Ilm behtar hai kyun ki maal kharch karne se kam hota hai aur ilm kharch karne se badhta hai.
[2] Ilm behtar hai kyun ki maal ki tumhe hifaazat karni padti hai aur ilm tumhari hifazat karta hai.
[3] Ilm behtar hai kyun ki ilm waale ke dost zyada hote hain aur maal waale ke dushman zyada hote hain.
[4] Ilm behtar hai kyun ki ilm Ambiya ki wiraaṡat hai aur maal Namrood, Fir'aun aur Qaaroon ki wiraaṡat hai.

***************
Ek baar Aap se kisi ne puchha ‘Kis tarah pata chale ke insaan par aane waali museebat saza hai ya aazmaish?’
Aap ne farmaaya ‘Agar museebat insaan ko ALLĀH ta'ala se door kare to wo saza hai,
Aur agar museebat insaan ko ALLĀH ta’ala ke qareeb kare to wo aazma'ish hai.’

***************
Ek baar kisi ne Aap se puchha ke ‘Jab hamari qismat pehle se hi likh di gai hai to dua ka kya faida?’
To aap ne farmaaya ke‘Ho sakta hai ke qismat me yahi likha ho ke maangne par milega.’

***************
Ek baar kuchh ghair-muslim ne Hazrate Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ke pass aakar 2 Sawaal puchhe :
[1] Wo kaun si cheez hai, jo hum dekhte hain lekin ALLĀH nahi dekhta?
[2] Qur’an majeed me har cheez (ka ilm) hai, Magar aisa kya hai jo is me nahi hai?
Aap ne jawaab diya :
[1] ALLĀH ‘Khwaab’ nahi dekhta, Kyun ke use na neend aati hai na oongh.
[2] Qur’an majeed me sab kuchh hai, Magar ‘Jhut’ nahi hai.

***************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Duniya me raho magar duniya ko apne andar mat basao,
Kyun ki kashti jab tak paani ke upar rehti hai mehfooz hoti hai aur jab paani kashti me jaaye to woh doob jaati hai.

(2) Insaan duniya me is qadar mashgool hota hai ke use pata bhi nahi chalta ke
Jis kapde se us ka kafan banna hai wo bazaar me aa chuka hai.

(3) Bagair Ilm wa Zohad ke Ibaadat sirf jism ko thakaana hai.

(4) Agar koi shakhs tumhare zariye Hidaayat haasil kare
To ye tumhare liye har us cheez se behtar hai Jis par sooraj chamakta hai.

(5) Agar tum kisi ko chhota dekh rahe ho to tum use door se dekh rahe ho ya phir ghuroor se dekh rahe ho.

(6) Aye Ibne Ādam, Apne jism ko sanwaarne ki koshish me mat lage raho, Ek din use mitti me mil jaana hai.
Sanwarna hai to apni Rooh ko sanwaro, use Rab ke paas jaana hai.

(7) Khubsurti kapdo se nahi Ilm aur Adab se hoti hai.

(8) Aql jaisi koi daulat nahi aur jahaalat jaisi koi gurbat nahi. Adab jaisi koi meethaas nahi aur mashware jaisa koi madadgaar nahi.

(9) Aql ek aisi Khudaaee ne'amat hai, Jo Taaleem aur Tajurbe se badhti hai.
Aur jab Ilm badhta hai to Guftagu mukhtasar (aur behtar) ho jaati hai.

(10) Har cheez ka Sadqa hota hai.
Aql ka sadqa hai ke Jaahil ki baat sunkar bardasht kar lo, Bin zaroori Bahes mat karo.

(11) Lafz insaan ke ghulaam hote hain magar sirf bolne se pehle tak,
Bolne ke baad insaan apne alfaaz ka ghulaam ban jaata hai.

(12) Tumhari niyyat ka imtihaan us waqt hota hai jab tum aise shakhs ko madad karo jis se tumhe badla milne ki ummeed na ho.

(13) Achhe logo ki sohbat se bhalai haasil hoti hai,
Jaise hawa jab Khushbudaar cheez ke paas se guzre to wo bhi khushbudaar ho jaati hai.

(14) Bura dost koyle ki tarah hota hai,
Jab garm hota hai to haath jala deta hai,
Aur jab thanda hota hai to haath kaale kar deta hai.

(15) Insaan gham (dukh) nahi dete,
Insaan se waabasta ummeede gham deti hai.

(16) Log pyaar ke liye hote hain aur cheezen istamaal ke liye.
Magar baat tab bigadti hai jab cheezon se pyaar kiya jaaye aur logo ko istemaal kiya jaaye.

(17) Achhe logon ki ek khoobi ye bhi hoti hai ke unhe yaad rakhna nahi padta wo yaad reh jaate hain.

(18) Jo zara si baat pe Dost na rahe samajh lena wo kabhi Dost tha hi nahi.

(19) Sacha rishta baarish ki tarah nahi hota, Jo kuchh waqt ke liye aakar chali jaaye,
Balke Hawa ki tarah hota hai, Jo na dikhe tab bhi hamesha mehsoos hoti hai.

(20) Sache dost ki pehchaan ye hai ke use khush nahi karna padta,
Wo khud hi tum se khush rehta hai.

(21) Sacha dost agar ruth bhi jaaye to use baar baar manao,
Kyun ki heeron ki maala toot kar bhi heeron ki hi rehti hai.

(22) Kabhi apne dost ka imtihaan mat lo
kya khabar us waqt wo majboor ho aur tum ek achcha dost ganva do.

(23) Fazool bahes behtareen dost se juda kar deti hai.

(24) Kisi se bhi na-raazgi ka lamha itna taweel mat karo ke wo tumhare baghair jeena sikh le.

(25) Achhe logo ka tumhari zindagi me aana tumhari qismat hai,
Aur unhe sambhaalkar rakhna tumhaara hoonar.

(26) Agar Galat fehmiyo ko door na kiya jaaye to wo Nafrat me tabdeel ho jaati hai.

(27) Rishto ki khubsurti ek dusre ki na-gawaar baat bardaasht karne me hai.
Agar be-aib insaan dhundhoge to akele reh jaaoge.

(28) Zindagi ke har mod par suleh karna sikho.
Kyun ki jhukta wo hi hai jis me jaan hoti hai,
Akadna to murde ki pehchaan hoti hai.

(29) Zindagi ki asli khubsurti ye nahi ke aap kitne khush ho
Balke zindagi ki asli khubsurti to ye hai ke dusre aap se kitne khush hain.

(30) Us chiraagh ki tarah bano, jo ghareeb ki jhonpadi me bhi utni hi roshni deta hai jitni roshni ek baadshah ke mahal me deta hai.

(31) Khud ko paani ki tarah banao jo apna raasta banata rehta hai,
Us patthar ki tarah mat bano jo dusro ka raasta rok leta hai.

(32) Apni Zabaan ko Narm guftagu aur Salaam ka aadi banaao.
Is se tumhare Dost zyada aur Dushman kam honge.

(33) Tabiyat ki narmi aur Sakhaawat insaan ko Dushmano ke dilon me bhi mehboob bana deti hai.

(34) Agar koi tum se bhalai ki ummeed rakhe to use maayoos mat karo,
Kisi ki zaroorat ka tum se waabasta hona tum par ALLĀH ka khaas karam hai.

(35) Kisi ka dil mat dukhaao,
Kyun ki maafi maang lene ke bawajood use thoda sa bhi dukh zaroor rahega,
Jaise deewaar me lagi keel ko nikaalne ke baad nishaan reh jata hai.

(36) Kisi insaan ki khoobi ko pehchaano aur use bayaan karo,
Lekin agar kisi ki khaami pata chale to use bayaan na karna yehi tumhari khubi ka imtihaan hai.

(37) Hamesha dusro ke aib talaash karte rehne wale shakhs ki misaal us Makhi ki tarah hai jo pure jism ki khubsoorti ko chhod kar sirf jakhm wale hisse par baithti hai (gandagi pasand karti hai).

(38) Apni neki aur dusre ke gunaah ka tazkira kisi se na karo,
Kyun ki apni neki ko chupaana tumhari Soch ka imtihaan hai aur dusre ke gunnah ko chupaana tumhare Kirdaar ka imtihaan hai.

(39) Insaan ke Kirdaar ki 2 hi Manzilen hain :
Dil me utar jaana, Ya phir dil se utar jaana.

(40) Logo ke dilo me apna maqaam is tarah bana lo ke mar jaao to tumhare liye dua karen aur zinda ho to tum se milne ki khwaahish rakhen.

(41) Zindagi ko zaroorat me rakho, Khwaahishaat ki taraf na le jaao.
Zaroorat faqeero ki bhi puri hoti hain,
Aur khwaahishaat baadshaho ki bhi baaqi reh jaati hai.

(42) Jaha tak ho sake laalach se bacho, Laalach me Zillat hai zillat.

(43) Aye Ibne Ādam! Ilm haasil kar, Ilm dil ko roshni deta hai. Daulat ki laalach se bach, Daulat ki laalach andha bana deti hai.

(44) Deen ki paabandi aadami ko museebato se bachaati hai aur dunya ki laalach aafat me daalti hai.

(45) Apni Umar aur Daulat pe aitbaar mat karo,
Kyun ki jo cheez ginti me aa jaaye wo hamesha khatm hone wali hai.

(46) Un parindo ki tarah bano jo ek ghunt paani peekar ALLAH ta’ala ka shukr ada karte hain.
Aur insaan itni saari ne'amate paakar bhi ALLĀH ta’ala ka shukr ada nahi karta.

(47) Sabr ek aisi sawaari hai jo tumhe girne nahi deti, na kisi ke qadmo me aur na kisi ki nazro me.

(48) Sabr karne waala apni kaamyaabi zaaya nahi karta zamaana chaahe kitna hi guzre.

(49) Be-sabri sabr se zyada takleef deti hai.
Raah wo pakdo jo bando ko Rab se mila deti hai.

(50) Hamesha zindagi is tarah basar karo ke dekhne wale tumhare Dard pe afsos ke bajay tumhare Sabr pe rashk kare.

(51) Agar tum us waqt muskura sakte ho jab tum bilkul tut chuke ho,
To yaqeen jaano tum ko kabhi koi nahi tod sakta.

(52) Zindgi me khud ko kabhi kisi Insaan ka aadi mat banaana,
Kyun ki insaan bahot Khudgarz hai, Jab aap ko pasand karta hai to aap ki Burai bhul jaata hai aur jab aap se Nafrat karta hai to aap ki achhaai bhul jaata hai.

(53) Dunyadaaron ki sohbat ikhtyaar na karo kyun ki agar tu Tang-dast huwa to ye tujhe chhod denge aur agar to Daulat-mand huwa to tujh se hasad karenge.

(54) Ikhtiyaar, taaqat aur daulat milne par log badalte nahi balke be-naqaab ho jaate hain.

(55) Kabhi bhi apni Jismaani taaqat aur Daulat par bharosa mat karna,
Kyun ki Beemaari aur Gurbat aane me der nahi lagti.

(56) Dua darwaaze par dastak ki tarah hai.
Hamesha Dua maangte raho,
Kyun ki baar baar dastak se darwaaza khul hi jaata hai.

(57) Jab ALLĀH ki baargaah me tumhari Duaen qubool na ho rahi ho to apni Ghiza aur Guftagu ka ehtesaab karo.

(58) Logo ko dua ke liye kaho us se behtar hai ke saath me aise amal bhi karo ke logo ke dilo se aap ke liye dua nikle.

(59) Khushi ke mauqe par kabhi Waada mat karo
Aur Ghusse ki haalat me kabhi Faisla mat karo.

(60) 3 insaan 3 cheezo se Mehroom reh jaate hain,
[1] Jhoot bolne wala Izzat se,
[2] Ghussa karne wala Durust faisle se,
[3] Jald-baazi karne wala Kaamyaabi se.

(61) Agar tum apne andar se ghuroor ki aadat ko mita dena chaahte ho to Ghareeb insaan ko Salaam karte raho.

(62) Jhute ki sab se badi saza ye hai ki us ke Sach ka bhi koi aitbaar nahi karta.

(63) Jo zulm ke zariye shohrat (rutba) chaahta hai,
ALLĀH ta’ala use Insaaf ke zariye zaleel karta hai.

(64) 3 Cheeze insaan ko ALLĀH se door karti hai :
[1] Apne Aamal ko zyada samajhna.
[2] Apne Gunaaho ko kam samajhna ya bhul jana.
[3] Khud ko sab se Behtar samajhna.

(65) Gunaah zeher jaisa hota hai,
Thoda ho ya zyada, Nuqsaan to karta hi hai.

(66) Sab se bada gunaah wo hai jo karne wale ki nazar me chhota hai.

(67) Insaan gunaaho ki wajah se jahannam me nahi jaata hai,
Balki un gunaaho ki tauba na karne se jahannam me jaata hai.

(68) Himaaqat (be-waqoofi) bahot bura saathi aur Buraai bura darwaaza hai.

(69) Agar ye yaqeen rakhte ho ke tumhara rizq ALLĀH ke paas hai to
Rizq ki nahi, ALLĀH ki talaash karo jis ke paas tumhara rizq hai.

(70) Jis ka raabta khuda ke saath ho wo naakaam nahi hota, Naakaam wo hota hai Jis ki umeeden duniya se waabasta hon.

(71) Din ko rizq talaash karo aur raat ko use talaash karo jo tumhe rizq deta hai.

(72) Logo ke khauf se haq baat kehne se na rooko,
Kyun ki na to koi maut ko qareeb kar sakta hai
Aur na koi rizq ko door kar sakta hai.

(73) Neki karne se buzurghi milti hai aur shukr karne se ne'amaten badhti hai.

(74) Pareshaani Khaamosh hone se kam, Sabr karne Se Khatm aur Shukar karne Se Khushi me badal jaati hai.

(75) Yeh na socho ki ALLĀH Dua foran qubool kyun nahi karta, Yeh shukr karo ki ALLĀH humare Gunaahon ki saza foran nahi deta.

(76) Insaan ke aansoo us waqt muqaddas hote hain jab wo kisi aur ki takleef mehsoos karke nikle.

(77) Tum achha karo aur zamaana bura samjhe yeh tumhare haq me behtar hai Bajaaye is ke tum bura karo aur zamaana tum ko achaa samjhe.

(78) Jab tum duniya ki Muflisi se tang aa jaao aur Rizq ka koi raasta na nikle to Sadqa diya karo aur ALLĀH se Tijaarat karo.

(79) Jab Hasad ki baarish shuru ho jaaye to Fasaad ke paudhe ugne lagte hain.

(80) Dunya tumhe us waqt tak nahi hara sakti jab tak tum khud se na haar jaao.

(81) Jab tumhe khushiya milne lage to 3 cheezo ko mat bhulna : ALLĀH ko, us ki makhlooq ko aur apni aslyat ko.

(82) Aye Ādam ki aulaad, Zaahir par na jaa. Aag dekhne me laal lagti hai magar us ka jalaaya hua kaala ho jaata hai. Isi tarah dunya ba-zaahir khubsoorat dikhti hai aur us ka jalaaya hua badsoorat ho jaata hai.

(83) Jo khuda ko na-raaz kake logo ki khushnudi haasil karna chaahe to ALLĀH use logo par hi chhod deta hai.

(84) Bado ki Izzat is liye karo ki un ki nekiya zyaada hai,
Aur bacho ko pyaar karo is liye ki un ke gunaah tum se kam hain.

(85) Apna sar ooncha rakho ke tum kisi se darte nahi,
Lekin apni nigaahe neeche rakho taake pata chale tum ek ba-izzat gharaane se ta’alluq rakhte ho.

(86) Zaalim ke liye Insaaf ka din is se zyada sakht hoga jitna Mazloom par zulm ka din.

(87) Insaan mayoos aur pareshaan is liye hota hai Kyun ki wo apne Rab ko raazi karne ke bajaye logon ko raazi karne me laga rehta hai.

(88) Nek logo ko sohbat se hamesha bhalaai hi milti hai, Kyun ki hawa jab phoolo se guzarti hai to wo bhi khushbudaar ho jaati hai.

(89) Agar insaan ko Takabbur ke baare me ALLĀH ki naraazgi aur saza ka ilm ho jaaye to banda sirf faqeero aur ghareebo se mile aur mitti par baitha kare.

(90) Jab ALLĀH kisi se na-raaz hota hai to use aisi cheez ki talab me laga deta hai jo us ki qaismat me nahi hoti.

(91) Insaan ka nuqsaan maal ya jaan chale jaane se nahi hota, balke insaan ka sab se bada nuqsaan kisi ki nazro me gir jaane se hota hai.

(92) Logo ko usi tarah muaf karo, jaise tum khuda se ummeed rakhte ho ke wo tumhe muaf kare.

(93) Dunya me agar sukoon hota to ALLĀH ko kaun yaad karta. Sukoon to sirf un logo ke paas hai jo ALLĀH ki raza ko apni raza samajhte hain.

(94) Jo log sirf tumhe kaam ke waqt yaad karte hain to un ke kaam zaroor aao, Kyun ki wo andhero me roshni dhundhte hain aur wo roshni tum ho.

(95) Insaaniyat bahot bada khazaana hai use libaas me nahi Insaan me talaash karo.

(96) Jaahil ke saamne Aql ki baat mat karo. Pehle wo bahes karega phir apni haar dekhkar dushman ho jaayega.

(97) Dunya Ittefaaq se mil jaati hai aur Aakhirat sirf Haqdaar ko milti hai.
Tum Aakhirat ki fikr karo, Dunya khud-ba-khud zaleel hokar aa jaayegi.

(98) Koi Gunaah lazzat ke liye mat karna kyun ki Lazzat khatm ho jaayegi magar gunaah baaqi rahega.
Koi Neki takleef ki wajah se mat chhodna kyun ki Takleef khatm ho jaayegi magar neki baaqi rahegi.

(99) Jab Gunaah ke ba-wajood ALLĀH ki ne'amten musalsal tujhe milti rahe to hoshiyaar ho jaana ke tera hisaab qareeb aur sakht-tareen hai.

(100) Log tumhari Aql se tumhari Shakhsiyat ka wazan karte hain,
Lihaaza tum apni Aql ka wazan Ilm se bharo.

(101) Khush akhlaaqi behtareen dost hai aur adab behtareen miraas hai.

(102) Apni subah ka aaghaaz sadqe se karo, chaahe woh roti ka ek tukda ho ya muskuraata hua chehra.

(103) Insaan ko achhi Niyyat pe wo in'aam milta hai jo achhe amal pe bhi nahi milta kyun ke niyyat me dikhaawa nahi hota.

(104) Gunaaho par sharminda hona un ko mita deta hai aur Nekiyo par maghroor hona un ko barbaad kar deta hai.

(105) Insaan khud qaabil-e-aitbaar nahi hota,
balki us ka kirdaar aur uski sachai use qaabil-e-aitbaar banaati hai.

(107) Kanjoos kitna bad-naseeb hai ke dunya me ghareeb ki tarah zindagi guzaarta hai aur Qayaamat me ameer ki tarah hisaab bhi dega.

(106) Be-waqoof aurat apne Shohar ko apna Ghulaam banaati hai aur khud Ghulaam ki Biwi ban jaati hai. Aur aqlmand aurat apne Shohar ko Baadshaah banaati hai aur khud Baadshaah ki Malika ban jaati hai.

(107) Aql se sab kaam sahi tareeqe se kiye jaa sakte hain aur Jahaalat se har tarah ki buraai paida hoti hai.

(108) Lambi [badi] ummeedo se parhez kiya karo, kyun ki ye dusri ne'amto ko tumhari nazar me haqeer bana deti hain aur tum un ka shukr ada nahi karte.

(109) Kaamyaabi ke liye Hoshiyaari honi chaahiye aur Hoshiyaari Tajrubon se milti hai.

(110) Kisi ki be-basi par mat hanso, ye waqt tum pe bhi aa sakta hai.

(111) Jis ko tum se sachi mohabbat hogi wo tumhe bekaar aur na-jaa'iz kaamo se rokega.

(112) Lambi Dosti ke liye 2 cheezon par amal karo : Apne Dost se Gusse me baat mat karo aur apne Dost ki Gusse me kahi hui baat dil pe mat lo.

(113) Apno ko hamesha apne hone ka ehsaas dilaate raho warna waqt aap ke apno ko aap ke bina jeena sikha dega.

(114) Logo par ehsaan karne se izzat badhti hai, Narmi karne se apne maqsad me kamyaabi milti hai, aur Tawaazo (aajizi) karne se bulandi milti hai.

(115) Aql-mand ki salaah salaamati or najat dilaati hai aur Jaahil o be-waqoof ki salaah museebat o nuqsaan me daalti hai.

(116) Be-waqoof bolne ke baad sochta hai, jab ke Aql-mand pehle sochta hai phir bolta hai.

(117) Jab ALLĀH kisi bande se mohabbat karta hai to us bande ko ye taufiq deta hai ke woh zamane ke waaqiyaat o haalaat dekh kar ibrat haasil kare.

(118) Adab behtareen kamaalaat me se hai aur khairaat karna behtareen ibaadato me se hai.

(119) Khush akhlaaqi behtareen dost hai aur adab behtareen miraaṡ hai.

(120) Shukr ada karne se ne'amato me izaafa hota hai.

(121) Insaan kaisa be-waqoof hai jo Mustaqbil ke baare me soch kar apna Haal zaaya karta hai, Phir Mustaqbil me apna Maazi yaad karke rota hai.

(122) 3 gharo me ALLĀH ka qaher kabhi bhi naazil ho sakta hai.
[1] Jis ghar me Aurat ki aawaaz mard ki aawaaz se upar ho jaaye.
[2] Jis ghar me kisi ke haq ka maara ua paisa jama hua ho aur usi paise se ghar ko roshan aur aarasta kiya gaya ho.
[3] Jis ghar me logo ko mehmaano ka aana pasand na ho.

***************
Ek baar kis ne Hazrat Ali se puchha ke ‘Insaan bura kab banta hai?’ Aap ne farmaaya ‘Jab wo apne aap ko dusro se achha samajhne lage.’

*****************
Ek martaba kisi ne Hazrat Ali se arz ki ‘Huzoor! Maine mannat maani thi ke kaam pura hone par kutte ke saath khaana khaaunga. Ab ise kis tarah pura karun?’
Aap ne farmaaya ‘Aisi mannat na maana karo. Jaao, kisi be-namaazi ke saath khaana khaa lo, tumhari mannat puri ho jaayegi.’

***************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek martaba Abu Jahl ke paas ek faqeer maangne ke liye aaya. Abu Jahl ne kaha ‘Main tumhe ek aise shakhs ka naam bataata hu jo tujhe bahot zyada dega. Magar tum use ye mat bataana ke kis ne tumhe bheja hai.’ Us faqeer ne kaha ‘Theek hai.’ Abu Jahl ne use Hazrat Ali Murtaza ke ghar ka pata bataaya. Faqeer ke jaane ke baad Abu Jahl ne a ke ‘Aaj Ali ki ruswaai hogi kyum ki us ke ghar me to faaqe hi faaqe hain.’
Faqeer jab Hazrat Ali ke ghar pahuncha aur Hazrat Ali se mulaaqaat hui to kehne laga ‘Ali! Tum salaamat raho, tumhara khaandaan salaamat rahe, tumhari ameeri salaamat rahe.’ Aap ne puchha ‘Tujhe kis ne bheja hai?’ Us ne kaha ‘Main naam nahi batunga.’ Aap ne farmaaya ‘Jab tak naam nahi bataaoge kaam nahi banega.’ Us ne socha ke ‘Abu Jahl kaha dekh raha hai.’ Ye sochkar us ne Abu Jahl ke naam bata diya.’ Abu Jahl ka naam sunkar Aap muskuraaye aur farmaaya ‘Apna haath aage karo.’ Us ne haath phailaaya to aap ne kuchh padhkar dam karke apna haath us ke haath me kuchh rakha aur farmaaya ‘Raaste me haath kholkar dekhna nahi aur kisi ko dikhaana bhi nahi. Sab se pehle use dikhaana jis ne tujhe bheja hai.’
Wo faqeer haath band karke rawaana hua. Raaste me wo ta’ajjub ke saath sochta raha ke Mere haath me koi cheez ho aisa mehsoos to nahi ho raha hai. Magar us ne mutthi kholkar dekha nahi. Jab wo Abu Jahl ke paas aaya. Abu Jahl ke saath Quraish ke Raees bhi maujood the. Abu Jhal ne puchha ‘Kya mila?’ Faqeer ne kaha ‘Maine to dekha nahi. Sab se pehle tum ko hi dikhaane ke liye bola hai.’ Jab us ne haath khola to Abu Jahl dekhkar ta’ajjub me pad gaya ke us ke haath me shaandaar qeemati moti maujood hai. Abu Jahl ne puchha ‘Ali ke ghar me khaane ko nahi hai. Tum ko kaha se laakar diya?’ Us ne kaha ‘Abu Jahl sun. Ali na ghar me gaye the, na apni jeb me ya sar par haath daala tha. Sirf kuchh padhkar mere haath me rakh diya tha. Ali ke ikhtiyaar ka ye aalam hai to un ke Nabi ke ikhtiyaar ka aalam kya hoga?’

(2) Ek baar ek shakhs ne Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu se arz ‘Huzoor, Main safar ke liye jaana chaahta hu magar raaste me jangli darindon ka khauf hai.’
Aap ne use ek angoothi dekar farmaaya, ‘Jab tere nazdeek koi khaufnaak jaanwar aaye to foran ye angoothi dikhakar keh dena ki yeh Ali ibne Abi Taalib ki angoothi hai.’
Un shaksh ne angoothi lekar safar shuru kiya. Ittefaaq se raah me ek jangli darinda us par hamla karne dauda.
Us ne foran angoothi dikhaakar kaha ‘Aye Darinde! Yeh dekh mere paas Ali ibne Abi Taalib ki angoothi hai.’
Darinde ne jab Hazrat Ali ki angoothi dekhi to apna sar aasmaan ki taraf uthaaya Aur phir waha se daudta hua door chala gaya.

(3) Ek martaba Dariya e Furaat me sailaab aaya. Logo ne Aap ki baargaah me haazir hokar arz kiya ke ‘Hamare khet dube jaa rahe hain aur makaanaat gir rahe hain.’
Aap ghar me aaye, Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ka Amaama shareef sar par baandha. Jhubba shareef pehna, chaadar shareef doshe mubarak par daali aur ghode par sawaar hokar Dariya e Furaat ke kinaare tashreef laaye. Kaseer majma Aap ke saath tha. Aap ne apne Asaa mubarak se ishaara farmaaya. Sailaab ek gaz pichhe hat gaya. Aap ne logo se puchha ‘Bas.’ Logo ne arz kiya ‘Huzoor! Abhi aur kam hona chaahiye.’ Aap ne dobaara ishaara farmaaya. Sailaab aur pichhe hata. Logo ne pukar kar kaha ‘Huzoor! Itna kaafi hai.’ Phir Aap ne apna Asaa mubarak hata liya. Us Waqt se Furaat usi had par qaa'im hai.

***************
Ek baar Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu se kisi ne kaha ki ‘Aye Ameer-ul-mo’mineen! Aap neeche zameen pe kyun baithe hain?’
Aap ne jawaab diya ‘Neeche baithne waala kabhi girta nahi.’

***************
Aap kaṡrat se khairaat karte rehte the ke Aap ko Zakaat dene ki zaroorat nahi padti thi.

***************
Ek baar ek aurat paani se bhara hua mashkija uthaakar jaa rahi thi. Bahot kamzor hone ki wajah se use bhaari mashkija lekar chalne me bahot pareshaani ho rahi thi. Hazrate Ali ne use rok kar wo mashkija khud utha liya aur us ke saath jaakar us ke ghar par pahuncha diya. Raaste me us ki baato se Aap ko pata chala ke us ka shohar khaarji tha aur Hazarte Ali ke khilaaf jung me maara gaya tha aur uske bahot saare bache the aur wo dusro ke kaam karke guzara karti thi.
Dusre din Aap khaane ki bahot saari cheezen lekar us ke ghar ki taraf gaye. Raaste me kai logo ne us thele ko uthaane ke liye kaha to Aap ne farmaaya ke ‘Dunya me tum mera bojh utha loge magar qayaamat me sab ko khud hi apna bojh uthaana hoga.’
Jab aap us aurat ke ghar par pahunche to wo bahot khush hokar kehne lagi ‘ALLĀH ta’ala tumhe hamesha aabaad rakhe.’
Phir aap ne kaha ‘Main tumhare liye khaana pakaata hu ya agar tum khaana pakaao to itni der main tumhare bacho ka khayaal rakhta hu.’
Us aurat ne kaha ‘Main khaana pakaati hu. Aap sirf choola jala do.’
Aap lakadiyo se choola jalaane lage. Garmi ki wajah se Aap ke chehre par paseena aane laga. Itne me pados me se ek shakhs aaya. Jab us ne ye dekha to kehne laga ‘Aye gustaakh aurat, Ameer-ul-mo’mineen ke saath aisi bad-sulooki karne ki tumhari himmat kaise hui?’
Ye sunkar us aurat ko haqeeqat ka pata chala aur sharminda hokar Aap ke qadmo me gir gai.

*********************
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke wisaal ke baad tadfeen ke waqt Aap Hazrat Abbaas, Hazrat Fuzail aur Hazrat Qaasim bin Abbaas ke saath Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki qabr mubarak me utre the.

***************
11 Hijri (632 A.D.) me Sayyeda Faatima Zahra ke inteqaal ke baad aap Siyaasi muamalaat se door rehne lage aur kisi jung me bhi saamil nahi hue. Aap kheti aur baaghbaani ka kaam karne lage. Aap ne bahot saare kuen banwaye. Jis me Masjid e Zul-Hulaifa ke qareeb ‘Abyaar e Ali’ mash'hoor hai.

Hazrate Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ke zamaane me Aap un ke musheer rahe. Ameer ul mo’mineen Hazrate Umar Faarooq mazhabi aur siyaashi masaa'il me aap ka mashwara lete the.

***************
Aap 35 Hijri (656 A.D.) me Hazrate Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki shahaadat ke baad Khalifa aur Ameer-ul-mo’mineen hue.

Marwaan ibn Hakam aur us ke saathiyo ne Hazrate Uṡmaan Ghani ke qaatilo ke tamaam saathiyo ko saza karne ka mutaalba kiya. Aap ne is muamale ko guft o sunid aur mashwara karke suljhaane ki guzaarish ki.
Magar koi hal na mila aur musalmano ke 2 giroh ke bich 3 baar jung hui. Jise ‘Pehla Fitna’ kaha jaata hai.

109 din baad bhi unho ne Basra par ghera daala. Aur Jamaadi ul awwal 36 Hijri (7 November 656) dono lashkar ke bich jyng hui. Jise ‘Jung e Jamaal’ kaha jaata hai. Jis me Hazrat Ali ko fateh mili aur Marwaan ko qaid kiya gaya. Baad me Hazrate Hasan aur Husain ki sifaarish se riha kiya gaya. Jung me 10,000 logo ki jaan gai.
3 din baad Hazrat Ali ne tamaam ka tajhiz aur tadfeen kiya.

Is ke baad Rajab 36 Hijri (January 657) me Aap ne darul hukoomat (capital) Kufa me tabdeel kiya. Aur Abdullāh ibn Abbas ko Basra ka governor muqarrar kiya.

Muawiyah aur uske ke saathiyo ne Shaam walo ko Hazrat Ali ke khilaaf karna shuru kiya. Aap ne Bashir bin Amr bin Mahz Ansari, Saeed bin Qais Hamdani aur Shis bin Rabiee Tamini ko Muawiyah ke paas  bheja. Magar wo na maana. Aur 1,20,000 ke lashkar ke saath Nehr e Furaat (Euphrates) ke maidaan me aaye. Zil Hijjah 36 Hijri (May 657 A.D.) ko Hazrat Ali bhi apne 80000 ke lashkar ke saath waha pahunche. 110 din baad koi hal na mila to 8 Safar 37 Hijri (26 July 657 A.D.) ko dono lashkar ke bich jung hui, jo ‘Jung e Siffin’ ke naam se mash'hoor hai. Jis me Hazrat Ali ke lashkar ke 25000 log shaheed hue aur Muawiyah ke lashkar ke 45000 log maare gaye.
Aakhir me phir se ye tay hua ki is muamale ko guft o sunid aur mashwara karke suljhaaya jaaye. Aur 12 Safar 37 Hijri (30 July 657 A.D.) ko Hazrat Ali apne saathiyo ke saath Kufa waapas aaye.

Is ke baad Aap ne pehle Abdullāh ibn Abbaas aur Maalik al-Ashtar ko apna numa’inda banaaya. Magar jab Banu Umayya ke logo ne aitraaz kiya to Abu Moosā Ash'ari ko bheja aur Muawiyah ki taraf se Amr ibn Aas ko bheja gaya.
Sh’abaan 37 Hijri (February 658 A.D.) me Azruh me mulaaqaat ke duaraan us ne jab ye kaha ki ‘Kisi teesre shakhs ko hi Khalifa banaaya jaaye.’ To Hazarte Ali ke saathiyo ne aitraaz kiya.

Us ke baad taqreeban 12.000 logo ka giroh ye kehne laga ki ‘Hazrat Ali ne jung ko bich me rokkar galat kiya hai aur Abu Moosā Ash'ari ko bhejne ka faisla bhi galat tha.’
Us waqt Hazrat Ali Nukhailah me the aur Muawiyah ke lashkar ke saath jung ke liye Shaam ki taraf kooch kar rahe the. Is dauraan Aap ko khabar mili ki Khaarjiyo ne Nahrawan ke governor Abdullāh ibn Khabbaab ibn al-Aratt ko qatl kar diya hai aur us ki biwi ko maarkar us ke pet ko chirkar bache ko bhi maar daala aur Banu Taai ki 3 aurto ko aur Umm Sinan as-Saidawiyyah ko bhi qatl kar diya hai. Aap ne Haariṡ ibn Murrah al-Abdi ko tehqeeqaat ke liye Nahrawan bheja. Khaarjiyo ne unhe bhi qatl kar diya.
Is ke baad Hazrat Ali ne faisla kiya ki agar in baaghiyo ka muqaabala karke sabaq nahi sikhaaya jaayega to shaayad ye Kufa par hamla kar den. Is liye Aap apne lashkar ke saath Nehre Dajla (Tigris) paar karke Nahrawan pahunche.
Aap ne Hazrat Abu Ayyoob al-Ansaari ko khaarjiyo ke paas bheja. Hazrat Abu Ayyoob al-Ansaari radiy-Allāhu ta’ala anhu ne kaha ‘Jo Hazrat Ali ke saath aana chaahe wo aa sakta hai aur jo Kufa ya Madain jaana chaahta hai wo ja sakta hai.’
Is ke baad Farwah ibn Nawfal al-Ashja'i apne 500 saathiyo ke saath waha se chale gaye.
Magar 1800 khaarjiyo ke giroh ne Abdullāh ibn Wahab ki sardaari me jung karne ka faisla kiya. Un me se bahot saare khaarji Hazrate Uṡmaan Ghani aur Hazrate Zubair ibn Awwaam radiy-Allāhu ta’ala anhuma ke qatl ki saazish me shamil the.
9 Safar 38 Hijri (658 A.D.) ko jung hui. Jis me Hazrat Ali ke lashkar me se 8 musalman shaheed hue aur Khaarjiyo me se taqreeban tamaam halaaq ho gaye aur jo 9 log bache wo Basra ki taraf bhaag gaye.

Is ke baad apne saathiyo ke saath Shaam ki taraf jaane se pehle Aap ne Nukhailah me khaime daalkar aaraam kiya. Dusre din in musalsal jung ke haalat se thakkar koi jung ke liye aage jaane se raazi na hua. Aakhir me Hazrat Ali ne jung ke liye Shaam jaana mauqoof kar diya.

***************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki 7 biwiya aur 13 bete aur 2 betiya hain.

(1) Sayyeda Faatima Zahra binte Mohammadur Rasool-Allāh (sallallāhu alaihi wa sallam)سلام اللہ علیہا  se
2 bete - Imaam Hasan aur Imaam Husain عليه السلام
Aur 2 betiya - Zainab aur Umme Kulṡoom سلام اللہ علیہا .

Aap ne Hazrate Sayyeda Faatima سلام اللہ علیہا ki hayaat ke dauraan kisi dusri aurat se nikaah nahi kiya tha. Hazrate Faatima ke inteqaal ke baad hi Aap ne dusre nikaah kiye.

(2) Umaama binte Zainab se
1 beta – Hilaal.

(3) Umm-ul-Baneen Faatima binte Hizaam al-Qilabiyya se
4 bete - Abbaas, Abdullāh, Ja’afar, Uṡmaan.

(4) Laila binte Mas'ood se
2 bete -Ubaidullāh, Abu Bakr.

(5) Khawla binte Ja’afar se
1 beta - Muhammad bin al-Hanafiya.

(6) Sahba binte Rabiah se
1 beta – Umar al-Atraaf.

(7) Asma binte Umais se
2 bete - Yahyā, Muhammad al-Asghar.

Hazrate Ali al-Murtaza عليه السلام aur Sayyeda Faatima سلام اللہ علیہا  ki aulaad ya’ni Imaame Hasan aur Imaame Husain radiy-Allahu ta’ala anhuma ko ‘Aal e Rasool’ ka martaba mila hai aur Un ki aulaad ‘Saadaat’ kehlaate hai.

 Hazrat Ali ki dusri biwiyo ke saahabzaade aur un ki aulaad (ya’ni Hazrat Abbaas, Mohammad bin Hanafiya, aur Umar al-Atraf rahmatullāhi alaihi ki nasl) ‘Awaan’ kehlaate hain.

***************


img-20200513-wa0014-1072660821.jpg
19 Ramazaan 40 Hijri ki raat ko aap ke khwaab me Huzoor Ramhate aalam sallallāhu alaihi wa sallam tashreef laaye aur puchha ‘Aye Ali, Kya haal hai?’ Aap ne farmaaya ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam, Aap ki ummat mujhe bahut pareshaan kar rahi hai.’ Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne puchha ‘Kya chaahte ho?’ Aap ne farmaaya ‘Mujhe in se behtar logo me utha lijiye aur in ko mujh se badtar hakim ke hawaale kar dijiye.’
Jab aap ki aankh khuli to Fajr ki azaan ho rahi thi. Aap ne apne bete Hazrat Hasan al-Mujtaba ko jagaya aur dono namaaz ke kufa ki masjid ki taraf rawaana hue.
Jab masjid me pahunche to Abdul Rahmān ibne Muljim ne zehrili talwaar se aap ke sar par hamla kiya aur aap ko shaheed kar diya.
Aap ne farmaaya ‘Main kaamyaab ho gaya.’

*****************


img-20200514-wa001547401334.jpg
Aap ka wisaal 21 Ramazaan 40 Hijri (27 January 661 A.D.) ko 62 saal ki umr me hua.

Aap ki namaaz e janaaza Hazrat Imaam Hasan al-Mujtaba عليه السلام anhu ne padhai.

Aap ko pehle Kufa me dafn kiya gaya. Baad me Khaarjiyo ke zariye be-hurmati hone ke dar se Imaam Hasan al-Mujtaba ne raat ke waqt aap ke jism mubarak ko nikaalkar mehfooz jagah dobaara dafn karne ka iraada kiya. Wo aap ke jism mubarak ko ek sandook me rakha aur us sandook ko oontni ke upar rakhkar safar shuru kiya. Raaste me oontni thoda aage nikal gai aur ek maqaam par rook gai. Jab Imaam Hasan waha pahunche to unho ne Hazrat Ali ke jism mubarak ko wahi par dafn kiya.

Aap ka mazaar Najaf shareef (Iraq) me hai.

Comments

Popular posts from this blog

Hadith Jhoot Bolne Walo Par

  *بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ* *اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞* Al-Qur’an:-“Beshak Jhoot Bolne Walo Par Allah Ki Laanat Hai.  Reference  (Surah Aal-e-Imran 3:61) Hadees No:- 1 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate Hai:-“Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunah Ki Taraf Le Jata Hai,Aur Gunah Jahannum Me Pahunchaane Wala Hai.”  Reference  (Sunan Abi Dawud 4989-Sahih) Hadees No:- 2 “Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannum Me Phenk Diye Jaayenge, Sirf Apni Zuban (Jhooth) Ki Wajah Se.  Reference  (Tirmizi Shareef) Hadees No:- 3 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate hai:- “Main Zamanat Deta Hu Jannat ke Darmiyaan 1 Ghar ki, Us Shaksh Ko Jo Mazak Me Bhi Jhoot Na Bole.”  Reference  (Sunan Abu Dawood 4800) Hadees No:- 5 “Laanat Aur Halaqat Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot...

JERUSALEM AND UMAR IBN AL-KHATTAB (RA)

Jerusalem is a city holy to the three largest monotheistic faiths – Islam, Judaism, and Christianity. Because of its history that spans thousands of years, it goes by many names: Jerusalem, al-Quds, Yerushaláyim, Aelia, and more, all reflecting its diverse heritage. It is a city that numerous Muslim prophets called home, from Sulayman and Dawood to Isa (Jesus), may Allah be pleased with them. During the Prophet Muhammad ﷺ’s life, he made a miraculous journey in one night from Makkah to Jerusalem and then from Jerusalem to Heaven – the Isra’ and Mi’raj. During his life, however, Jerusalem never came under Muslim political control. That would change during the caliphate of Umar ibn al-Khattab, the second caliph of Islam. Into Syria During Muhammad ﷺ’s life, the Byzantine Empire made clear its desire to eliminate the new Muslim religion growing on its southern borders. The Expedition of Tabuk thus commenced in October 630, with Muhammad ﷺleading an army of 30,000 people to the border with...

Waqia e Al-Harrah

THE BATTLE OF HARRAH (27 Zilhajj, 63 Hijri). The Battle of al-Harrah is a battle fought at al-Harrah in 683 CE, (27 Zilhajj, 63 Hijri) then lying to the northeast of Medina. The battle was fought against the armies of Yazid ibn Muawiyah by Abdullah ibn Zubayr and his allies, the people of Medina and several notable Sahabas, many of whom were killed in the battle. It is the second most infamous battle during the reign of Yazid bin Muawiyah, the 2nd Umayyad Caliph. When Yazid ibn Muawiyah became Umayyad Caliph in 680 CE he faced two major crises. First was the dissent of Husayn ibn Ali and the other was the revolt of Abdullah ibn Zubayr. Husayn ibn Ali rejected the legitimacy of Yazid ibn Muawiyah as Caliph, which ultimately led to his death in the Battle of Karbala on October 10, 680. This event further deepened the schism between Sunni and Shia denominations. After killing of Husayn ibn Ali that Abdullah ibn Zubayr, the hero of the Battle of Sufetula which was fought in 647 against the...