Hazrat Soban RaziAllahu Anhu se Rivayat hai ki,
Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya :
"Qareeb hai ki dusri Qaumein tum par aisi toot padengi jaise bhukha khane par toot padta hai,
Kisi ne arz kiya, "Ya RasoolAllah sallallahu Alaihi Wasallam kya hum us waqt Bahut kam honge??"
farmaya ki ,"Nahi balki tum us zamane mein bahut ziyada hoge lekin tum Sailab (ya Samundar) ke upar tairtey hue koode kachre (ya jhaag) ki tarah hoge Aur Allah ta'ala tumhare dushmano ke seene se tumhara khauf aur Ruaab nikal dega aur Allah tumhare seeno mein wahan daal dega.."
Kisi ne kaha,"Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Wahan kya cheez hai"?
Apne farmaya Duniya se muhabbat aur Maut ko na-pasand karna.."
(Sunan Abu Dawood: Volume 3, hadees#892)
*بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ* *اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞* Al-Qur’an:-“Beshak Jhoot Bolne Walo Par Allah Ki Laanat Hai. Reference (Surah Aal-e-Imran 3:61) Hadees No:- 1 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate Hai:-“Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunah Ki Taraf Le Jata Hai,Aur Gunah Jahannum Me Pahunchaane Wala Hai.” Reference (Sunan Abi Dawud 4989-Sahih) Hadees No:- 2 “Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannum Me Phenk Diye Jaayenge, Sirf Apni Zuban (Jhooth) Ki Wajah Se. Reference (Tirmizi Shareef) Hadees No:- 3 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate hai:- “Main Zamanat Deta Hu Jannat ke Darmiyaan 1 Ghar ki, Us Shaksh Ko Jo Mazak Me Bhi Jhoot Na Bole.” Reference (Sunan Abu Dawood 4800) Hadees No:- 5 “Laanat Aur Halaqat Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot Bole”. Reference (Abu Dawood:-4990)
Comments
Post a Comment