Skip to main content

15 Ramzan Youm e Wiladat Imam Hasan Alahissalam


*मौला हसन मदद*
*15 रमज़ान यौमे विलादत शहज़ादा ए रसूल ख़लीफ़ा ए राशिद अमीरुल मोमिनीन पंजतन पाक सैय्यदना ईमामे हसन अल मुज्तबा अलैहिस्सलाम*
*तमाम मोमिनीन इंसानियत परस्तो को खूब खूब मुबारक*





https://www.youtube.com/watch?v=_UoJNQsSw7Q







https://www.youtube.com/watch?v=VokX6JQow-Q
#15_Ramadan Al-Mubarak😍 Youm'e Wiladat Ameerul Momineen Sayyiduna #Imam_Hassan_Al_Mujtaba AlaihiSalaam Bohat Bohat Mubarak❤️

#15_رمضان المبارک😍 یومِ ولادتِ #سیدنا_امام_حسن_المجتبے علیہ السلام بہت بہت مبارک❤️
Sayyeda-e-Kainat Hazrat-e-Fatimah tuz Zahra Salamullahi Alaiha Bayan Karti hain ke Mai Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ke Marz-e-Wisaal me Hasan aur Hussain (Alaihi-Mussalam) ko Lekar Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Khidmat me Haazir Hui, aur arz kiya: "Ya RasoolAllah SallAllahu Alaika wa Sallam! Ye Dono Aapke Bete hain, Inhe kisi cheez ka Waaris bana den."
Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
"Hasan ke liye Meri Haibat (Roab) aur Sardari hai aur Hussain ke liye Meri Jurrat aur Sakhawat hai.” 15 Ramzan Youm-e-Wiladat Sayyeduna Imam Hasan Alaihissalam.

Tabarani, al -Mujam-ul-kabir (22:423#1041)
Tabarani ne al-Mujam-ul -awsat (6:222, 223# 6245) me is Hadees ko Hazrat Abu Rafe RadiAllahu Anhu se riwayat kiya hai.
Shaybani, al-Aahad-wal -mathani (1:299#408)
Shaybani, al-Aahad-wal -mathani (5:370#2971)
Haythami ne Majma-uz-zawaid (9:185) me kaha ke isey Tabarani ne riwayat kiya hai, jabke mai iske raawiyon ko nahi jaanta.
Asqalani, al-Isabah fi tamyiz as-Sahabah (7:674)
Asqalani, Tahdhid-ut -tahdhid (2:299)
Mizzi, Tahdhib-ul -kamal (6:400)
Hindi, Kanz-ul-ummal (12:117#34272)

Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammad wa Ala Sayyedina Aliyyuw wa Sayyedatina Fatimah wa Sayyedatina Zainab wa Sayyedina Hasan wa Sayyedina Hussain wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim.



Aap Ki Wiladat 15 Ramzan Ul Mubarak Hijri San 3 Me Madeena Shareef Me Hui Thi.

Aap Ki Kunniyat Abu Muhammad Aur Alkab Taqi Wa Sayyad Hai.

Aap 12 Ayimma Me Se Dusre Imam Hai.

Hazrat Jibraeel Alayhissalam Aap Ke Naam Ko Jannat Se Ek Nihayat Umda Kapde Par Likh Kar Huzur (ﷺ) Ki Khidmat Me Hadiyattan Laaye.

Aap Shakal Wa Soorat Me Huzur (ﷺ) Se Sar Se Paav Tak Se Mushabah The.

Kanzul Ummal Wa Ibne Asakir Me Rivayat Hai Ke
Huzur (ﷺ) Ne Syadana Imam Hasan Aur Syadana Imam Hussain Ke Baare Me Yu Dua Farmayi,
“Aye Allah" Mai Inse Muhabbat Rakhta Hu Tu Bhi Inse Muhabbat Farma Aur Jo Inse Muhabbat Rakkhe Us se Bhi Tu Muhabbat Farma.

Jab Imam Hasan Al Mujtaba (رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽ). Ka Wisal Hua To Jab Aap Ki Jannatul Baki’a Me Madfan Ke Liye Le Gaye To Logo Ki Itni Tadad Wahan Thi Ki Sa’alba Bin Malik Kehte Hai ki Pura Jannatul Baki’a Qabristan Logo Se Bhar Gaya Tha Yahan Tak Agar Aasaman Me Se Ek Sui Fenki Jaaye To Zamin Par Naa Gire Balki Kisi Ke Sar Par Gire, Itna Bada Qabristan Bhi Is Tarah Bhar Gaya Tha.

Ba-Havala (Refrence By) :
-[ShavahidunNabuwwat Page : 300]

-[Tohfa E Najat Volume : 11 Page : 178, 215 ]

Comments

Popular posts from this blog

Kanzul Muttalib fee Manaqib Ali Ibne Abi Talib Alahissalam

1. QUBOOL-E-ISLAM ME AWWAL AUR NAMAZ PADHNE ME AWWAL 1. "Ek Ansari Shakhs Abu Hamza se riwayat karte hain ke maine Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu ko farmate hue suna ke sabse pehle Hazrat Ali RadiAllahu Anhu Imaan laaye." Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kaha hai ke ye Hadees Hasan Saheeh hai. 2. "Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu se he marvi ek riwayat me ye alfaaz hain: "Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par sabse pehle Islam laane waale Hazrat Ali RadiAllahu Anhu hain." Is Hadees ki Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya hai. 3. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Peer ke din Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Baysat hui aur Mangal ke din Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne Namaz padhi." Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai. 4. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke wo farmate hain sabse pehle Hazrat Ali RadiAl...

Deciphering Egyptian Hieroglyphs in Muslim Heritage

The article is originally a talk presented at the international conference 1001 Inventions: Discover the Muslim Heritage in our World held at the Museum of Science and Industry in Manchester on the 8th of March 2006, on the occasion of the launch of the exhibition 1001 inventions. The conference proceedings are edited by Dr. Salim Ayduz and Dr. Saleema Kauser. It is interesting for me as an Egyptologist to notice how the Islamic environment created an atmosphere in which the intended scholar could freely seek knowledge wherever it came from, and in whatever ancient language/culture it may originate, thus giving the incentive to various scholars to dedicate their lives completely to the discovery and the reading of ancient scripts, such as Egyptian and Mesopotamian. Sadly we Egyptologists acknowledge no contribution from Arabic or Muslim authors, mainly because many Egyptologists worldwide are not aware of the relevance of Arabic sources to our discipline. Most Egyptologists have enough...

SAINT IBN ARABI ON IMAM MAHDI AND HIS HELPERS

بِسْمِ اللَّـهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ Peace and Blessings of Allah be upon Prophet Muhammad his family and companions. Excerpt from Ibn Arabi’s Al Futuhat Al Makkyya (Meccan Revelation): Inspired Knowledge and Divine Governance: The Mahdi’s “Helpers” Al Futuhat Al Makkiyya: Chapter 366: Concerning Inner Knowledge of the Stage of the Helpers of the  Mahdi (Who is to) Appear at the End of Times: …Know–may God support us!–that God has a viceregent (khalifa) who will come forth when the earth has become filled with injustice and oppression, and will then fill it with  justice and equity. Even if there were only one day left for this world, God would  lengthen it so that he (i.e., the Mahdi) could rule. …He will wipe out injustice and its  people and uphold Religion (al-Din), and he will breathe the spirit back into Islam. He will reinvigorate Islam after its degradation and bring it back to life after its death He will levy the poll-tax and call (mankind) to God with the sword, so that ...