Sayyeda-e-Kainat Wo Hain Jinke Waseele se Hazrat Aadam Alaihissalam ki Tauba kabool hui!
Mujaddid-e-Waqt, Imam Jalaluddin Suyuti Rehmatullah Alaih apni mashoor Tafseer Ad-Durrul Mansoor me Surah Baqrah ki Aayat 37 ki Tafseer me riwayat laaye hain ke Hazrat Aadam Alaihissalam ki Tauba Panjatan Pak aur Ahle Bayt e Pak Alaihi-Mussalam ke Waseela se kabool hui:
Aur dusri riwayat me hai ke Hazrat Aadam Alaihissalam ne dua me "Muhammad, Ali, Fatimah, Hasan aur Hussain" ke Waastey se dua mangi to Allah Ta'ala ne Unki tauba kabool farmayi.
Aur dusri riwayat me dua ke alfaz yaha se shuru hue:
Allahumma inna as-aluka be Haqqe Muhammad wa Aale Muhammad...
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
Alaihim Afdalus Salawatu was-Salaam
Comments
Post a Comment