ROZA KI HAQEEQAT
SARKAR MOEENUDDIN CHISHTI AJMERI (r.a) Farmate Hain Ki
"Haqeeqi ROZA ye hai ki insaan apne dil ko tamaam deeni wa duniyawi khwahishat se band rakhe, kyuki khwahishate deeni Maslan hoor wa bahisht wagaira Abd wa Mabood ke darmiyan hijaab hai, Banda apne Mabood ka haqeeqi wisaal hasil nahi kar sakta jab tak khwahish jahan wa maal apne dil se tark na kar de aur khwahishe nafsani to sarasar shirk hai...
Gair Allah ki taraf fikr wa khayaal roza haqeeqi ko todne wali chize'n hain. Roza haqeeqi tab durust hoga jab insaan apni nafsani khwahishat ko khatam kar de. Roza Haqeeqi ka Iftar Deedar-e-Ilahi hai...Momino ka ye Hqeeqi Roza hamesha qayam rahta hai...
Huzoor Sallallaho Alaihe Wa Sallam ne irshad farmaya ke -
"Ay Umar! Roza Haqeeqi ki ibteda wa inteha de...
Sarkare do alam ne farmaya Haqeeqat ka roza rakhne wale Ke Liye Do Khushiyan Hain Ek Roza kholte Waqt aur dusra Allah Tayla ke Deedar usse Mulakat ke Waqt!
Ae umar! Aam Logon ke Roze Mein pahle Roza hai aur Aakhir Mein Roze ka kholna lekin Haqeeqat ke Roze Mein pahle Roze ka kholna hai aur Aakhir Mein Roza dekhe Allah Ki Yaad Mein Doob kar sirf Allah Ko chahane wale aur Allah Ki Taraf Safar Karne Wale Hamesha Hi roze main roze Se rehte hain wo Kisi bhi waqt Roza nahi kholte Kyon Ki Haqeeqat ke Roze ke liye Sarath nahi hai ke Roza khola Jaye ya kabhi Roza rakhe aur Kabhi Roza khole Haqeeqat ka roza rakhne wala to hamesha Hi roze Se rehta hain/

Comments
Post a Comment