Hazrat Abu Hafz, Rabee bin Sabeeh urfe Sawaai Peer rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Aap ki wilaadat Basra me hui.
Aap ke waalid Banu Saad bin Banaat bin Tazeem qabeele ke aazaad karda ghulaam the.
****************
Aap Tabe taabi'een hain.
Aap ne Hazrat Khwaja Hasan Basri, Imaam Ata’a bin Abi Rabaah Makki, Imaam Yazeed Rakkashi, aur Imaam Abu Zuberi rahmatullāhi alaihi se ta’aleem haasil ki.
Aap Hadeeṡ aur fiq'h ke maahir the.
Aap un Muhaddeeṡeen me se hain jinho ne dusri sadi hijri me Ahaadeeṡ ko jama karke logo tak pahunchaana shuru kiya.
Hazrat Imaam Ahmad bin Hanbal ki kitaab me Aap se kai Hadeeṡ marwi hain.
*******************
Aap 159 Hijri (775 A.D.) me al-Mahndi Billāh Abbaasi ke zamaane me Hazrat Abdul Malik bin Shihaab al-Masmai ke saath isha’ate Islaam ke liye Hindustan tasheeef laaye.
Aur Bhadbhoot (Gujarat) me sukoont pazeer hokar ta’aleeme deen aur khidmate khalq karte rahe.
****************
Ek martaba Aap ke ek saathi ne Aap se kaha ke ‘Kuchh log aap ko ruswa karne ke liye aap ki buraai talaash karte rehte hain.’
Aap ne farmaaya ke ‘Is se pareshaan hone ki zaroorat nahi. Maine aakhirat ki taraf rooju kiya use dunya se behtar paaya, Maine Rahmān [ALLĀH ta’ala] se raghbat ki to wo mujh se raazi hua, maine logo se hone waale nuqsaan se khud ko salaamat karne ki koshish ki to nakaam raha kyun ki insaan apne khaaliq se bhi khush nahi hai to dusre insaan se kaise khush ho sakta hai.’
****************
160 Hijri (776 A.D.) me jab Bhadbhoot me Taaoon (plague) ki beemaari phaili. Aap mareezo ka ilaaj karne lage.
Aur isi bemaari ke sabab Aap ka aur aap ke kai shaagirdo ka inteqaal hua.
****************
Aap ka 16 Moharram 160 Hijri (November 776 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Savai bet, Pipavav (Gujarat) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Rabee bin Sabeeh urfe Sawaai Peer rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
https://youtu.be/pe164UJ8mm8
*بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ* *اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞* Al-Qur’an:-“Beshak Jhoot Bolne Walo Par Allah Ki Laanat Hai. Reference (Surah Aal-e-Imran 3:61) Hadees No:- 1 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate Hai:-“Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunah Ki Taraf Le Jata Hai,Aur Gunah Jahannum Me Pahunchaane Wala Hai.” Reference (Sunan Abi Dawud 4989-Sahih) Hadees No:- 2 “Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannum Me Phenk Diye Jaayenge, Sirf Apni Zuban (Jhooth) Ki Wajah Se. Reference (Tirmizi Shareef) Hadees No:- 3 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate hai:- “Main Zamanat Deta Hu Jannat ke Darmiyaan 1 Ghar ki, Us Shaksh Ko Jo Mazak Me Bhi Jhoot Na Bole.” Reference (Sunan Abu Dawood 4800) Hadees No:- 5 “Laanat Aur Halaqat Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot Bole”. Reference (Abu Dawood:-4990)
Comments
Post a Comment