"Hazrat Abdullah ibne Umar RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam jab safar ka irada farmate to Apne Ahlo Ayaal me se sabke baad Jis se Guftagu farmakar safar par rawana hote wo *Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha* hotin, aur Safar se wapsi par sabse pehle Jiske paas tashreef laate wo bhi *Hazrat Fatima Salamullahi Alaiha* he
hotin. Aur ye ke *Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha* se farmate: *(Fatima!)* Mere Maa Baap Tujhpar Qurban hon."
*"Hazrat Umar ibne Khattab RadiAllahu Anhu* se (bhi) marvi hai ke *Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha* se farmaya karte they: *(Fatima!)* Mere Maa Baap Tujhpar Qurban hon."
References:
[1. Hakim, Al-Mustadrak (3:170#4740)
2. Ibn Hibban, as-Sahih (2:470, 471#696)
3. Haythami, Mawarid-uz-zaman (p. 631#2540)
Shawkani ne Darr-us-sahabah fi manaqib al -qarabah was-sahabah (p. 279) Me kaha ke isey Hakim ne Al-Mustadrak me riwayat kiya hai.]
Comments
Post a Comment