Skip to main content

BA-HAYA AURAT

cute-mustlime-couple27

HADEES:-
*********
Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Zamane May Ek Jaahil Aurat Badi Badh-Zubaan Thi! Mardon Se Ladti-Zhagadti Rehti Aur Bahoat Be-Hayayi Ki Baatain Kiya Karti Thi!
Ek Roz Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Paas Se Guzri Jabki Huzoor Khana Tanawal Farma Rahe The! Usne Arz Ki, Ya Rasoolallah! Mujhe Bhi Apne Khane Se Kuch Ata Farmayiye Taaki Main Aapka Tabarruk Khaoun! Lekin Ya Rasoolallah! Aapke Khane Ka Jo Lukma Aapke Mooh Mubarak May Ho Wo Mujhe Dijiye!
Chunanche, Huzoor Ne Apne Mooh Mubarak Se Lukma Nikaalker Use Diya Jise Wo Kha Gayi! Jiska Asar Yeh Hua Ki Us Aurat May Itni Sharm Wa Haya Paida Hogayi Ki Marte-Dam Tak Firse Kisise Ladte-Zhagadte Ya Badh-Zubaani Karte Nahi Dekha Gaya!





“SUBHANALLAH”


(Hujjatullaahi-Alal-Aalameen, Pg-436)


********************************
SABAK:-
*******
Yeh Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Luab-A-Dahan Sharif Ki Barkat Hain Ki Aapke Luab Aamez Lukma Khane Se Be-Haya Aurat Ba-Haya Aurat Bangayi! Aur Uski Saari Jihaalat Wa Badh-Zubaani Dur Hogayi!
Ek Aajkal Ke Baaz Manhoos Log Aise Bhi Hain Ki Nau-Mauloodh Bacche Ko Sirf Apni Ungli Se Shahed Ki Ghotti Bhi De To Wo Baccha Bada Hoker Badh-Zubaan Aur Be-Haya Banjata Hain!
Yeh Bhi Malum Hua Ki Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Sarapa Nafasat Wa Taharat The! Huzoor Ke Khuddaam Aapke Mooh Mubarak Ki Chiz Ko Intehayi Shauk Se Kha Lete The!
Aajkal Ka Koi Bada Saaf Suthra Shaks Bhi Kyon Na Ho, Uske Mooh Ki Chiz Khane Se Gheen Aati Hain!



Comments

Popular posts from this blog

Hadith Jhoot Bolne Walo Par

  *بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ* *اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞* Al-Qur’an:-“Beshak Jhoot Bolne Walo Par Allah Ki Laanat Hai.  Reference  (Surah Aal-e-Imran 3:61) Hadees No:- 1 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate Hai:-“Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunah Ki Taraf Le Jata Hai,Aur Gunah Jahannum Me Pahunchaane Wala Hai.”  Reference  (Sunan Abi Dawud 4989-Sahih) Hadees No:- 2 “Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannum Me Phenk Diye Jaayenge, Sirf Apni Zuban (Jhooth) Ki Wajah Se.  Reference  (Tirmizi Shareef) Hadees No:- 3 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate hai:- “Main Zamanat Deta Hu Jannat ke Darmiyaan 1 Ghar ki, Us Shaksh Ko Jo Mazak Me Bhi Jhoot Na Bole.”  Reference  (Sunan Abu Dawood 4800) Hadees No:- 5 “Laanat Aur Halaqat Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot...

Waqia e Al-Harrah

THE BATTLE OF HARRAH (27 Zilhajj, 63 Hijri). The Battle of al-Harrah is a battle fought at al-Harrah in 683 CE, (27 Zilhajj, 63 Hijri) then lying to the northeast of Medina. The battle was fought against the armies of Yazid ibn Muawiyah by Abdullah ibn Zubayr and his allies, the people of Medina and several notable Sahabas, many of whom were killed in the battle. It is the second most infamous battle during the reign of Yazid bin Muawiyah, the 2nd Umayyad Caliph. When Yazid ibn Muawiyah became Umayyad Caliph in 680 CE he faced two major crises. First was the dissent of Husayn ibn Ali and the other was the revolt of Abdullah ibn Zubayr. Husayn ibn Ali rejected the legitimacy of Yazid ibn Muawiyah as Caliph, which ultimately led to his death in the Battle of Karbala on October 10, 680. This event further deepened the schism between Sunni and Shia denominations. After killing of Husayn ibn Ali that Abdullah ibn Zubayr, the hero of the Battle of Sufetula which was fought in 647 against the...

The Qur’an & 100 Questions

1) What is the meaning of the word ‘Qur’an’? A) That which is Read. 2) Where was the Qur’an revealed first? A) In the cave of Hira (Makkah) 3) On which night was the Qur’an first revealed? A) Lailatul-Qadr (Night of the Power) 4) Who revealed the Qur’an? A) Allah revealed the Qur’an 5) Through whom was the Qur’an revealed? A) Through Angel Jibraeel (Alaihis-Salaam) 6) To whom was the Qur’an revealed? A) To the last Prophet, Muhammed (Sallahu Alaihi Wasallam) 7) Who took the responsibility of keeping the Qur’an safe? A) Allah himself 8) What are the conditions for holding or touching the Qur’an? A) One has to be clean and to be with wudhu (ablution) 9) Which is the book which is read most? A) The Qur’an 10) What is the topic of the Qur’an? A) Man 11) What are the other names of the Qur’an according to the Qur’an itself?A) A l-Furqaan, Al-Kitaab, Al-Zikr, Al-Noor,Al-Huda 12) How many Makki Surahs (chapters) are there in the Qur’an? A) 86 13) How many Madani Surahs (chapters) are there in...