Skip to main content

Maah e Ramazaan

32682513_1274388519362336_1744804178800148480_n

Maah e Ramazaan Mubarak.


Ramazaan lafz ‘Ramad’ se bana hai jis ka ma’ana hai Tapaana ya Jala dena.
Is mubarak mahine me musalman Roze ki ibaadat me bhuk pyaas ki shiddat bardaasht karte hain aur ALLĀH ta’ala apne fazl wa rahmat se un ke gunaah jalaakar mita deta hai aur Parhezgaari ki taufiq ata farmaata hai.

*******************
Maahe Ramazaan ki fazeelat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Qur’an :
2 Surah al-Baqarah, Aayat 185 :

Ramazaan ka mahina (mubarak hai) jis me Qur’an naazil hua hai jo logo ke liye hidaayat hai aur raahnumaai karne wala hai aur (haq wa baatil me) imtiyaaz karne waali nishaaniya hain, Pas tum me se jo koi is mahine ko paa le to wo us ke Roze zaroor rakhe aur jo koi beemaar ho ya safar par ho to dusre dino (ke roze) se ginti puri kare, ALLĀH tumhare haq me aasaani chaahta hai aur tumhare liye dushwaari nahi chaahta, Aur is liye ke tum ginti puri kar sako aur us ne tumhe jo hidaayat farmaai hai us par us ki badai bayaan karo aur is liye ke tum shukr guzaar ban jaao.

Hadeeṡe Nabawi :

(1) Hazrate Abu Huraira radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
‘Jab Maahe Ramazaan ki pehli raat hoti hai to shaitaan aur sarkash jinn qaid kar liye jaate hain aur Jahannam ke darwaaze band kar diye jaate hain aur un me se koi darwaaza khola nahi jaata aur Jannat ke darwaaze khol diye jaate hain aur un me se koi darwaaza band nahi kya jaata aur Munaadi pukarta hai, Aye khair ki talab karne wale, Mutawajjeh ho aur burai ka iraada rakhne wale burai se baaz reh aur ALLĀH ta’ala bahot se logo ko dozakh se aazad karta hai aur har raat aisa hota hai.’
(Tirmizi;
Ibne Maajah)

(2) Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ke
‘Ramazaan me Zikr e Ilāhi karne waala bakhsh diya jaata hai aur is mahine me ALLĀH se maangne wala mehroom nahi rehta.’
(Sho'ab ul Eimaan, Hadeeṡ -3627)

(3) Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ke
‘Jis kisi ne is (Maah e Ramazaan) me ALLĀH ki raza ki khaatir bhala kaam kiya to wo aam dino ke muqaabil ek farz ke barabar sawaab kamaaya. Aur jo koi is mubarak Maah me ek farz amal ada karega to goya us ne aam dino ke muqaabil 70 guna zyada ṡawaab kamaaya.’
(Ibne Khuzaymah, Hadeeṡ -1887)

(4) Hazrat Abu Huraira Radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki
Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
‘Ramazaan me ek raat aisi hai jo hazaar mahino se behtar hai jo is ki bhalaiyo se mehroom raha wo beshak mehroom hai.’
(Nasai)

(4) Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ke
‘Maah e Ramazaan sabr ka mahina hai aur sabr ka ajr Jannat hai.’

(5) Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ke
‘Jo Musalman Jum’aa ki raat ya din me ya Ramazaan ke pure mahine me (Din ya raat me) mare use Qabr me sawaal nahi hoga.’
(Musand Imaam Ahmad, Hadeeṡ -8080)

********************
Ye Mubarak mahina tamaam mahino ka sardaar hai.

Jis ke Pehla ashra Rahmat ka, Dusra ashra Maghfirat ka aur Aakhri ashra dozakh se najaat ka hai.
Aur is me Shab e Qadr ki mubarak raat aati hai, jo hazaar mahino se afzal hai.

Is me ALLĀH ta’ala Shaitaan ko qaid me daal deta hai.
Aur is Mo’mino me zyada Ibaadat karne ka jazba aur dilchaspi paida hoti hai.

ALLĀH ta’ala har neki ka ṡawaab zyada ata karta hai aur Duaen bhi jaldi qubool farmaata hai.
Nafl ka ṡawaab Farz ke barabar hota hai aur Farz ka ṡawaab 70 guna hota hai.

Is mahine marne waale ko ALLĀH ta’ala bakhsh deta hai.

Mo’min ko chaahiye ke wo Roza, Namaaz, Tilawaat e Qur’an, Zikr, Durood o salaam, Zakaat, Sadqa, Khairaat karke Rab ta’ala ko raazi karne ki koshish kare.

Is mubarak mahine me khaas kar Iftaar ke waqt ALLĀH ta’ala sab ki nek jaa'iz dua qubool farmaata hai.
Is liye sab ke liye dua karen ki ALLĀH ta’ala hume ye mubarak mahina baar baar ata farmae.

********************
Maahe Ramazaan ka Chaand dekhkar Surah an-Naas padhen :

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ النَّاسِ
مَلِكِ النَّاسِ
إِلَٰهِ النَّاسِ
مِنْ شَرِّ الْوَسْوَاسِ الْخَنَّاسِ
الَّذِي يُوَسْوِسُ فِي صُدُورِ النَّاسِ
مِنَ الْجِنَّةِ وَالنَّاسِ

Bismillāh ir-Rahmān ir-Raheem.
Qul aoozu bi-rabbin naas.
Malikin naas.
Ilāhin naas.
Min sharril waswaasil khannaas.
Al-lazee yuwaswisu fee sudoorin naas.
Minal jinnati wan naas.

Phir ye masnoon dua padhen :

ﺍﻟﻠَّﻬُﻢَّ ﺃَﻫِﻠَّﻪُ ﻋﻠَﻴْﻨَﺎ ﺑِﺎﻷَﻣْﻦِ ﻭﺍﻹِﻳﻤَﺎﻥِ ﻭَﺍﻟﺴَّﻼﻣَﺔِ ﻭﺍﻹِﺳْﻼﻡِ ، ﺭَﺑّﻲ ﻭﺭَﺑُّﻚَ ﺍﻟﻠَّﻪ ، هِلالُ رُشْدٍ وخَيْرٍ
Allāhumma ahillahu alayna bil amni wal eimaani was salaamati wal islaami Rabbi wa Rabbuk-Allāh hilaalu rushdin wa khayrin.

Tarjuma :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aye ALLĀH is (mahine) ko hum par amn aur eimaan aur salaamati aur islaam ke saath , Mera Rab aur tera Rab ALLĀH hai ye chaand hidaayat aur khair waala ho.
(Tirmizi, Jild -2, Hadeeṡ -1376 /Hasan)

Phir ye padhen :
Wal hamdulillāhillazee khalaqa wa qaddaralaka manazila wa jalaka aaayatan lil aalameen.

********************
Maahe Ramazaanul mubarak ka chaand dekhkar Maghrib ki namaaz ada karne ke baad Surah al-Qadr 21 martaba padhen. Saath me Awwal Aakhir 3-3 martaba Durood shareef padhen :

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيم
إِنَّا أَنْزَلْنَاهُ فِي لَيْلَةِ الْقَدْرِ
وَمَا أَدْرَاكَ مَا لَيْلَةُ الْقَدْرِ
لَيْلَةُ الْقَدْرِ خَيْرٌ مِنْ أَلْفِ شَهْرٍ
تَنَزَّلُ الْمَلَائِكَةُ وَالرُّوحُ فِيهَا بِإِذْنِ رَبِّهِمْ مِنْ كُلِّ أَمْرٍ
سَلَامٌ هِيَ حَتَّىٰ مَطْلَعِ الْفَجْرِ

Bismillāh ir-Rahmān ir-Raheem.
Inna anzalnahu fee laylatil qadr.
Wa maa adraaka maa laylatul qadr.
Laylatul qadr khayrum min alfi shahr.
Tanazzalul malaa'ikatu war roohu feehaa bi-izni rabbihil min kulli amrin.
Salaamun hiya hattā matla'il fajr.

****************
Maah e Ramazaan khaas din :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
1 Ramazaan – Yaum e Wilaadat Hazrat Ghauṡe aazam Shaikh Sayyed Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu;
1 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Peer Muhammad Fazal Ali Shaah Qureshi rahmatullāhi alaihi (Miskeenpur / Pakistan);
1 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Nizaam-ud-deen Husain Niyaazi Chishti rahmatullāhi alaihi (Bareilly, Uttar Pradesh);
3 Ramazaan – Yaum e Wisaal Khaatoon e Jannat Sayyeda Faatima Zahra radiy-Allāhu ta’ala anha (Madeena munawwara);
3 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Meer Sayyed Abdul Waahid Bilgrami rahmatullāhi alaihi (Bilgram, Uttar Pradesh);
3 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Moeen-ud-deen Ṡaani Chishti rahmatullāhi alaihi (Ahmedabad, Gujarat);
3 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shaah Azeez-ud-deen Husain Munemi rahmatullāhi alaihi (Patna, Bihar);
3 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khaas Muhammad al-Shirwani rahmatullāhi alaihi (Damascus / Syria);
4 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Abdul Lateef Faarooqi Suharwardi rahmatullāhi alaihi (Patan, Gujarat);
5 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Hidaayatullāh Khan Rampuri rahmatullāhi alaihi (Rashidabad / Pakistan);
7 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Badr-ud-deen Ahmad Qaadri Razawi rahmatullāhi alaihi;
7 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Haashim Peer Dastageer rahmatullāhi alaihi (Bijapur, Karnataka);
7 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Abdullāh ibne Mas'ood radiy-Allāhu ta’ala anhu (Madeena Munawwara);
9 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Shafeeq al-Balkhi rahmatullāhi alaihi (Khatlon / Tajikistan);
10 Ramazaan – Yaum e Wisaal Ummul mo’mineen Hazrat Khadeejatul Kubra radiy-Allāhu ta’ala anha (Makka mukarrama);
10 Ramazaan – Yaum e wisaal Hazrat Khwaja Soofi Hameed-ud-deen Nagori rahmatullāhi alaihi (Delhi);
12 Ramazaan – Yaum e wisaal Hazrat Shaikh Sayyed Sharf-ud-deen Eisā Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi (Egypt);
13 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Sirri Saqati rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);
13 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Muhammad Ibrāheem Soofi Siddeeqi rahmatullāhi alaihi (Ajmer, Rajasthan);
14 Ramazaan – Yaum e Wisaal Ummul mo’mineen Hazrat Safiya bint Huyaee radiy-Allāhu ta’ala anha (Madeena munawwara);
14 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shaah Muhammad Ghauṡ Gwaliori rahmatullāhi alaihi (Gwalior, Madhya Pradesh);
14 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Sadr-ud-deen Sadr e Jahan Suharwardi rahmatullāhi alaihi (Malerkotla, Punjab);
14 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Abdul Wahaab Faarooqi urfe Sachal Sarmast rahmatullāhi alaihi (Daraza / Pakistan);
14 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Makhdoom Husaam-ud-deen Chishti rahmatullāhi alaihi (Manikpur, Uttar Pradesh);
14 Ramazaan – Yaum e Wilaadat Hazrat Imaam Hasan al-Mujtaba radiy-Allāhu ta’ala anhu;
15 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Tabl-e-Aalam Sayyed Shaah Mutaahir-ud-deen Suhrawardi urfe Nathar Auliya rahmatullāhi alaihi (Tiruchirappalli, Tamil Nadu);
16 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shaah Aal-e-Muhammad rahmatullāhi alaihi (Marehra, Uttar Pradesh);
16 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Shaah Muhammad Abdul Kareem Hyderabadi rahmatullāhi alaihi (Hyderabad, Telangana);
17 Ramazaan – Jang e Badr;
17 Ramazaan – Yaum e Wisaal Ummul mo’mineen Hazrate Aa'isha Siddeeqa radiy-Allāhu ta’ala anha (Madeena Munawwara);
17 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrate Sayyeda Ruqayya radiy-Allāhu ta’ala anha (Madeena Munawwara);
17 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Khawaja Naseer-ud-deen Mahmood Chiraag e Delhi rahmatullāhi alaihi (Delhi);
17 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Sharf-ud-deen Bu Ali Shaah Qalandar rahmatullāhi alaihi (Panipat, Haryana);
17 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Qamar-ud-deen Sialwi rahmatullāhi alaihi (Sial / Pakistan);
17 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Muhammad Iqbaal Shaah Chishti rahmatullāhi alaihi (Hyderabad / Pakistan);
18 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Abdullāh al-Mahaz rahmatullāhi alaihi (Madeena munawwara);
18 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Shaikh Muhammad Aabid Naqshbandi Sanaami rahmatullāhi alaihi (Delhi);
18 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Rehaan Raza Khan rahmatullāhi alaihi (Bareilly, Uttar Pradesh);
20 Ramazaan – Fateh Makka;
21 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Ali al-Murtaza radiy-Allāhu ta’ala anhu (Najaf / Iraq);
21 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Ali al-Riza rahmatullāhi alaihi (Mash'had / Iran);
21 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Abdul Rahman Jeelaani Dehlawi rahmatullāhi alaihi (Delhi);
21 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Ali Husain Baaqi rahmatullāhi alaihi (Patna, Bihar);
22 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Muhammad ibne Maajah rahmatullāhi alaihi (Qazvin / Iran);
22 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Nasir-ud-deen Mahmood Bukhari Suharwardi rahmatullāhi alaihi (Uch / Pakistan);
22 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khwaja Abul Haashim Mehboob Aalam Naqshbandi rahmatullāhi alaihi (Saida / Pakistan);
25 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Allama Sayyed Ahmad Saeed Kaazmi rahmatullāhi alaihi (Multan / Pakistan);
26 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Hidaayat Rasool rahmatullāhi alaihi;
26 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Imaam-ud-deen Kufr shikan urfe Imaam Shaah Baaba rahmatullāhi alaihi (Pirana, Gujarat);
27 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Saleem Chishti rahmatullāhi alaihi (Fatehpur Sikri, Uttar Pradesh);
29 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Amr bin Aas radiy-Allāhu ta’ala anhu (Fustat / Egypt);
29 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Ali al-Jamaal Shaazili rahmatullāhi alaihi (Fez / Morocco);
29 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Badr-ud-deen Auliya urf Badr Shaah rahmatullāhi alaihi (Chittagong / Bangladesh);
30 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Abu Ali, Husain bin Abdullāh bin Sina (Hamadan / Iran).

****************
Ramazaan ki aamad :

https://www.facebook.com/SunniIslamicNetwork/photos/a.297152103631330.88196.205535296126345/1953528401327017/

Aashiqane Mustafa se guzarish hai ki
Is link ko open karke Post padhen aur Share karen.

*****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Maahe Ramazaan ki ta’azeem karne ki aur is me sahi tareeqe se zyada ibaadat karne ki aur is ke foyuz o barkaat haasil karne ki taufiq ata farmae aur gunaaho se bachne ki taufiq ata farmae aur hamare nek amal qubool farmae aur In buzurgaane deen ko isaal e ṡawaab karne ki taufiq ata farmae.
Aur Islaam ka bolbala ata farmae.
Aur Sab ko dunya aur aakhirat me bhalai aur kaamyaabi ata farmae.
Aameen.

































Comments

Popular posts from this blog

Kanzul Muttalib fee Manaqib Ali Ibne Abi Talib Alahissalam

1. QUBOOL-E-ISLAM ME AWWAL AUR NAMAZ PADHNE ME AWWAL 1. "Ek Ansari Shakhs Abu Hamza se riwayat karte hain ke maine Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu ko farmate hue suna ke sabse pehle Hazrat Ali RadiAllahu Anhu Imaan laaye." Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kaha hai ke ye Hadees Hasan Saheeh hai. 2. "Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu se he marvi ek riwayat me ye alfaaz hain: "Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par sabse pehle Islam laane waale Hazrat Ali RadiAllahu Anhu hain." Is Hadees ki Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya hai. 3. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Peer ke din Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Baysat hui aur Mangal ke din Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne Namaz padhi." Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai. 4. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke wo farmate hain sabse pehle Hazrat Ali RadiAl

Rijalul ghayb

      https://youtu.be/DBJF3hL27FU   Rijal Al-Ghaib or Awliy’Ulah are always praying for the ummah and the world , imama gazali rehmatuallah “said if somebody prays for their help allah will show them their help ” ” , Rijal Al-Qeyb pray for the whole Umah of prophet Muhammed . Online Article There are at any given time 124000 or over (Allah knows best ) Awliy Ulah living on earth.They are not known and recognized by the general public. You should know O the beloved of Allah All these are hidden from them and the general public too , only Allah is the one who knows them all . In the Hadith 1) The Prophet (SCW) said: “The Substitutes (Abdaal) in this Community are thirty like Ibrahim the Friend of the Merciful. Every time one of them dies, Allah substitutes another one in his place.” [Musnad Ahmad 5:322] 2) The Prophet (SCW) said: “The earth will never lack forty men similar to the Friend of the Merciful [Prophet Ibrahim], and through them people receive rain and are given help. None of

Taziyadari jayaz hai