Aadab e Masjid :
♦♦♦♦♦♦
Masjid me dunya ki baaten karna aur fuzool kaam karna gunaah hai.
Yunhi Wuzu ke dauraan bhi dunya ki baaten karna gunaah hai.
Masjid me daakhil hone se pehle hi apne mobile band kar len
Aur Masjid se baahar aane ke baad hi mobile ‘On’ karen.
Agar galti se masjid me mobile ‘On’ reh gaya ho aur ring baje to foran band kar len.
Taake namaaz me khalel na ho.
Aur jo log Namaaz padh rahe ho ya namaaz ke baad Zikr o Durood padh rahe ho ya Dua kar rahe ho un ko takleef na ho.
Aur Namaaz aur Zikr me khushu aur khuzu rahe.
Aur aap masjid me music bajaane ke gunaah se bhi bach jaayen.
Namaaz aap ke business ya dusre kaamo se Afzal hai.
Ye baat khud bhi yaad rakhe aur dusro ko bhi batayen.
***************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me sab ko aadaab e masjid ka khayaal rakhne ki taufiq ata farmae.
Aur in baato ko yaad rakhkar amal karne ki aur dusro ko bataane ki taufiq ata farmae.
Aameen.
*بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ* *اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞* Al-Qur’an:-“Beshak Jhoot Bolne Walo Par Allah Ki Laanat Hai. Reference (Surah Aal-e-Imran 3:61) Hadees No:- 1 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate Hai:-“Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunah Ki Taraf Le Jata Hai,Aur Gunah Jahannum Me Pahunchaane Wala Hai.” Reference (Sunan Abi Dawud 4989-Sahih) Hadees No:- 2 “Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannum Me Phenk Diye Jaayenge, Sirf Apni Zuban (Jhooth) Ki Wajah Se. Reference (Tirmizi Shareef) Hadees No:- 3 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate hai:- “Main Zamanat Deta Hu Jannat ke Darmiyaan 1 Ghar ki, Us Shaksh Ko Jo Mazak Me Bhi Jhoot Na Bole.” Reference (Sunan Abu Dawood 4800) Hadees No:- 5 “Laanat Aur Halaqat Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot...
Comments
Post a Comment