Roman Urdu :
Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Jab Logon Ko Aisay Aamaal Ka Hukam Detay Jo Wo Hamesha Kar Sakain ( Ebadaat-e-Shaq'qa Ki Targheeb Kabhi Unko Na Detay Thay ) Sahaba Nay Arz Kiya Ya Rasoolullah Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ham Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ki Misal Nahi Hain, Beshak Allah Nay Aap Kay Aglay Aur Pichlay Gunah Muaaf Kar Diye Hain, Iss Par Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ghazab Naak Huwe Hatta Kay Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Kay Chehra-e-Mubarik Say Ghussa Zahir Honay Laga, Phir Aap Sallal Laho Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Nay Farmaya Tum May Sab Say Zeyada Allah Ta'ala Ka Jan'nay Wala Mein Hoon.
Sahih Bukhari : Jild No. 1 : Hadees No.19
Hadees Marfooh : Mukarrarat 6 : Muttafiq Alaih 1
English Translation :
Narrated 'aisha: Whenever Allah's Apostle Ordered The Muslims To Do Something, He Used To Order Them Deeds Which Were Easy For Them To Do, (according To Their Strength Endurance). They Said, "o Allah's Apostle! We Are Not Like You. Allah Has Forgiven Your Past And Future Sins." So Allah's Apostle Became Angry And It Was Apparent On His Face. He Said, "i Am The Most Allah Fearing, And Know Allah Better Than All Of You Do."
*بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ* *اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞* Al-Qur’an:-“Beshak Jhoot Bolne Walo Par Allah Ki Laanat Hai. Reference (Surah Aal-e-Imran 3:61) Hadees No:- 1 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate Hai:-“Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunah Ki Taraf Le Jata Hai,Aur Gunah Jahannum Me Pahunchaane Wala Hai.” Reference (Sunan Abi Dawud 4989-Sahih) Hadees No:- 2 “Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannum Me Phenk Diye Jaayenge, Sirf Apni Zuban (Jhooth) Ki Wajah Se. Reference (Tirmizi Shareef) Hadees No:- 3 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate hai:- “Main Zamanat Deta Hu Jannat ke Darmiyaan 1 Ghar ki, Us Shaksh Ko Jo Mazak Me Bhi Jhoot Na Bole.” Reference (Sunan Abu Dawood 4800) Hadees No:- 5 “Laanat Aur Halaqat Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot Bole”. Reference (Abu Dawood:-4990)
Comments
Post a Comment