بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم
Kya Huzoor Rasool E Karim ﷺ Ki Ummat Shirk Me Mubtela Hosakti Hai ?
Kya Musalman Ummah Shirk Kar Sakta Hai ?
Huzoor ﷺ Ki Ummat Shirk Nahi Karegi.
Humne Wahabi Shaykho Kay Aqsar khitab sune unki likhi Tehreer padhi padhne sun ne kay baad is baad ka mukammal andaza hogaya hai kay unka pura jor bas is baat pe laga huwa hai kay kisi naa kisi tarah bas ummat e muslima ko jo Puri Dunya me Ahle Sunnah Wa Jamaat hai jo Milad Manati hai Awliya Allah ki Mazarat Pe Haazri dete hai Huzoor ﷺ Ka Awliya ka waseela pakadte hai Mazarat pe Imarat Gumbad tameer karte hai ye sab Mushrik Hai kaafir Hai Shirk Me Mubtela hai.
Goya kay wo baar baar batane ki koshish karte hai kay siwaye Wahabi Ahle Hadees Salafi vichardhara ko chodke puri ummat SHIRK me mubtela hai inki biwiyan, Auratein sab Laundi banaye jaa sakti hai inhe qatl karo aurato ko Laundi banalo.
Lihaja ye Yahudi Kutte khwarij ne Pure Arab Mumalik Syria, Iraq, Libya, aur ab is toofan me bahot se mulk aane ko hai haal hi apni taqat dikhane ki garz se Saudi Arabia jo Wahabiyo Ka Sabse bada markaz finance center hai usne Yemen bhi hamla kiya hai Khair ab hum aate hai Mauzu ki taraf.
Sabse Pahle Aaye Inke Sabse Bade Aalim jinko Ye log Mujadid apne firqe ka baani tasleem karte hai Muhammad Ibn Abdul Wahab Nazdi uski kitab ki kuch jhalkiyan Scan page kay saath taaki maloom ho aur Issi Shakhs Ki bunyaad pe is firqe kay maan ne waalo ko Wahabi Kaha Jata hai.
Muhammad Ibn Adbul Wahab Nazdi Founder of Wahabi Sects
Apni kitab jo kay Wahabiyo Kay yahan ka Bible Hai KITABUT TAWHEED me Hazrat Adam Wa Hawwa Alaihisalam Radiallahu anha kay mutallik likhte hai kay wo bhi SHIRK kar chuke hai. Astagfirullah
(Muhammad Ibn Abdul Wahab Nazdi, Kitabut Tawheed, Chapter : 49 - Naam Rakhne Kay Baab Me Shirk Karne Ka Bayan, Pg : 122)
Me Likhte Hai Kay Hazrat Adam Alaihsalam Ne Bhi Apne bete kaa Naam Rakhne Me Shirk Kiya.
Scan Page
Ye kitabein Base Miyaa’nr bani un baad me aane waale Wahabi Shaykh logo kay
liye jinhone Shirk Tawheed wagairah pe kitab likhi hai sabne jo kuch likha wo sab inhi kitabo se liya hai chunanche
Wahabiyo kay Bade Shaykh Muhammad bin Salih Uthaymeen 2001 Me Maut Huwi unki kitab me likhte hai
“Agarche Tauheed ka Akeeda Rasool Allah ne bada Bayan Kiya Magar Aaj Bhi Dunya Shirk Se Bhari Padi Hai”
(Shaykh Muhammad bin Salih Uthaymeen : Tohfatul Muslim Pg : 30)
“Hamare Jamane k Mushrik pahle jamane k mushrik se double shirk karne waale hai ”
(Abdur Rehman bin Abdul Aziz , Al Majmuatul Mufida , pg : 40 )
Aur aage Dalil di k Abu Zahel, Utba, Shayba etc aam haal me buth ko pukarte magar mushkil me Allah ko pukarte the aur ye log khusi me gam me har haal me Ya Rasoolullah Pukarte hai.
“Pehle kay Mushriko ne kalme kay maane ko inse behtar samjha”
(Hakikatut Tauhid Pg 27, - Shaykh Saleh bin Fawzan)
Upar bayan ki gayi inki tahreer se ye baat bilkul saaf hai kay inka maksad kya hai Abu jahel Kay baare me aqeedah rakhte hai Usko Tawheed Ki Thodi samajh thi wo Single Shirk karne wala tha lekin Sawad E Aazam Ahle Sunnat Double Shirk karne waale hai aur puri dunya me yehi shirk horaha hai.
Huzoor ﷺ Ko Apni Ummat Pe Shirk Ka Khauf Nahi Tha
Hadees 01 :
“Hazrat Uqba bin Aamir رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Shuhada E Uhad Par (Dobaara) Aath-08 Saal Baad Is Tareh Namaz Padhi Goya Zindon Aur Murdon Ko Alwida Kah Rahe Hain.
Phir Aap ﷺ Mimbar Par Jalwa Afroz Huwe Aur Farmaya :
Mein Tumhara Peshraw Hoo’n, Mein Tumhare Upar Gawaah Hoo’n, Hamaari Mulakat Kee Jagah Hawz E Kawsar Hai Aur Mein Is Jagah Se Hawz E Kawsar Ko Dekh Raha Hoo’n Aur Mujhe Tumhare Mut’alliq Is Baat Ka Dar Nahin Ki Tum (Mere Baad) Shirk Me Mubtila Ho Jao’ge Balki Tumhare Mut’alliq Mujhe Duniyadaari Ki Muhabbat Me Mubtila Ho Jaane Ka Andesha Hai.
Hazrat Uqaba ibn Aamir رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Farmate Hain Ki Yeh Mera Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ka Aakhiri Deedaar Tha (Ya’ni Us Ke Baad Jald Hee Aap ﷺ)”
References :
(Sahih Bukhari, Pg : 993, Kitabul Maghazi, Baab : Ghazwat E Uhud, Hadees : 4042, 4085)
(Sahih Muslim, Kitabul Fazail, Baab: isbati Hauzin Nabiyana Wa Sifatihi, Hadees :5689)
(Sunan Abu Dawood, Vol : 03, Pg : 216, Hadees : 3324)
(Musnad Ahmad ibn Hanbal Vol : 04, Pg : 154, Hadees : 17532)
(Imam Tabarani Al Mujam Ul Kabeer Vol : 17, Pg : 279, Hadees : 768)
(Imam Bayhaqi Sunan Kubra Vol : 04, Pg : 14, Hadees : 6601)
Scan Page Front Cover Sahih Bukhari
Hadees 02:
Hazrat Uqba bin Aamir رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Krte Hain Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya :
Beshak Mein Tumhara Peshraw Aur Tum Par Gawaah Hoo’n.
Beshak Khuda Kee Qasam!
Mein Apne Hawz (Kawsar) Ko Is Waqt Bhi Dekh Raha Hoo’n Aur Beshak Mujhe Zameen Ke Khazaanon Kee Kunjiya’n (Ya Farmaya : ) Zmaeen Kee Kunjiya’n Ata Kar Dee Gayi Hain Aur Khuda Kee Qasam!
Mujhe Dar Nahin Ki Mere Baad Tum Shirk Karne Lagoge Balki Mujhe Dar Is Baat Ka Hai Ki Tum Duniya Kee Muhabbat Me Mubtila Ho Jaoge.”
References :
(Sahih Bukhari, Pg : Kitab Al Manakib, Baab : Alamat E Nabuwat Fi Islamihi, Hadees : 3596)
(Sahih Bukhari,Kitab Ar Riqaak, Hadees : 6426, 6590)
(Sahih Muslim, Kitabul Fazail, Baab: isbati Hauzin Nabiyana Wa Sifatihi, Hadees :2296)
Scan Page Sahih Bukhari
Hadees 03 :
“Hazrat Uqba Bin Aamir رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Farmaya :
Mujhe Tumhare Mut’alliq Is Baat Ka To Dar Hee Nahin Hai Ki Tum Mere Baad Shirk Karoge Balki Mujhe Dar Hai Ki Tum Duniya Kee Muhabbat Me Giraftar Ho Jaawoge Aur Ladoge Aur Halaak Hoge Jaisa Ki Tum Se Pehle Log Huwe.
Hazrat Uqba رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه Farmate Hain Ki Yeh Aakhiri Baar Thi Jab Mein Ne Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ko Mimbar Par Jalwa Afroz Dekha (Ya’ni Us Ke Baad Jald Hee Aap ﷺ Ka Wisaal Ho Gaya).”
References :
(Sahih Muslim, Kitabul Fazail, Baab : Baab: isbati Hauzin Nabiyana Wa Sifatihi, Hadees : 2296 (B))
(Imam Tabarani Mujam Ul Kabeer, Vol : 17, Pg : 279 , Hadees : 769)
Scan Page & Front Cover Sahih Muslim
Ye Upar humne 03 Sahih Mustanad Muttafaque Alaih Rivayatein Siha Sitta Se Bayan ki wo bhi un kitab se Bukhari Wa Muslim jiska naam sabse zyada liya jaata hai par awaam ko ye batayi nahi jaati jaante hai bayan hogayi to Saudi Riyal Petrol band hojayga .
In hadeeso se kayi baat maloom huwi
01) Jisme Rasoolullah ﷺ ALLAH Taa’la ki kasam khaa kay farma rahe hai Mujhe Meri Ummat me Shirk Ka Koi Khatra nahi hai bas dunya talabi me aapas me ek dusre se lad jaane ka khatra hai.
02) Jo Baat Nabi E Karim ﷺ Allah Taa’la ki kasam khaa kay kahe to samajh sakte hai usme kitni mazbooti hai lekin daur e Hazir me mukhalifeen ki janib se is hadh tak shadeed shirk kay hamle horhe hai kay baat baat pe banda mushrik declare kiya jaa raha hai.
Hadh to ye hai Kay Mukhalifeen kay Hindustan Me Bahot Bade peshwa Shaykh Ismail Dahelvi ne apni kitab Tazkiratul Ikhwaan me Eid Ki Sawayi Khana Shirk likh diya hai.
Aur Deobandi Firqe kay bade Mujadid Ashraf Ali Thanvi Sahab ne apni kitab Behasti Zevar Me Dulhe Ka Nikaah Kay Waqt Sahra pahen na Shirk Aur Kufr kay baab me daal diya hai.
03) Is se Rasool E Akram ﷺ Ka Ilm E Ghaib ki jahir hai kay Huzoor ﷺ Apni Ummat kay aane waale halaat ki bhi khabar de rahe hai kay Shirk kabarpasti buthparasti wala to nahi karoge lekin aapas me ladoge aaj ummat e muslimah kaa haal hamare saamne hai.
04) Nigaah E Nabuwat Kaa Aalam Dekhe kya hai Mauzood Huzoor ﷺ Makam E Uhad me hai par saamne apna Hauz E Kausar Dekh rahe hai lekin kuch log kahte hai Deewar kay piche ka Ilm Huzoor Ko nahi Huzoor ﷺ Deewar kay piche nahi dekh sakte.
Aap Andaza Laga Sakte hai kay Jis Firqe kay yahan Allah kay Masoom Nabi Hazrat Aadam Alaihsalam ko Shirk karne waala likh kay baqayda us se result natiza nikala jaata ho wo kya badi baat kay aam musalman ko Mushrik naa kahe aur jab Sawayin khana Dulhe ka Sahra pahen na sab Shirk hai to samjha jaa sakt hai kay inke yahan kya Shirk kay fatwo ki Machinery tez hai aur aaj ka padha likha musalman SAUDI jhubbe kay chakkar me mutassir hojata hai.
ALLAH MUSALMANO KO INSE MEHFOOZ RAKHE.
Hissa 02 : Wahabiyo Kay Kuch Ahmakana Dalail
Jab In Hadeeso ko pesh kiya gaya to kuch wahabi Hazraat Ne Isko ye kahke raddh kar diya kay yahan khitab sirf Sahaba Kay liye hai naaki isme Puri ummat murad hai.
Al Jawab : Chalo bil farz maanle’n Sahaba Murad Hai to bhi isme Hamare Aaka Ka Ilm E Ghaib Saabit hai kay Sahaba kay liye bhi Shirk naa karne ki jamaat de rahe hai.
Khair Yahan Sirf Baqaul Wahabi kay sahaba Murad hai ab hum wo ahadees bataur e dalil pesh karte hai jisme Sahaba Nahi Puri ummat murad hai. Huzoor ﷺ Ko Sirf Sahaba E kiram Rizwanullahim Azmayeen Ki Nahi Balki Ummat E Muslimah Kay Shirk E Akbar Me Mubtela Hone Ka Khauf Naa Tha
Hadees 04 :
Hazrat Ubada bin Nusai رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ kahte hain, mein Hazrat Shaddad bin Aus رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ ke paas gaya woh apni jae namaz par baithe ro rahe the Maine puchha aye Shaddad kyu rote ho
Unhone kaha Ubada suno
Ek hadees Maine Rasoolullah ﷺ se suni hai uski wajah se ro raha hu,
Mene puchha woh hadees konsi hai
Kaha,
"Mein sarkaar ﷺ ke paas baitha tha sarkaar ﷺ ghamgheen the,
Meine puchha Ya RASOOLALLAH ﷺ MERE MAA BAAP AAP ﷺ PAR QURBAN ghamgheen kyu hain ?
To Aaqa ﷺ ne farmaya
'Mujhe meri ummat pe MERE BAAD 2 cheez ka khatra hai, (Is wajah se ghamgheen hu )'
Meine Arz ki kis cheez ka khatra ?
SHIRK aur KHUFIYA SHAHWAT ka Khauf hai.
Shaddad ne Pucha Kya Sarkar ﷺ Aapke baad Aapki Ummat Mushrik Hojaygi ?
Sarkaar ﷺ ne irshad farmaya,
Khabardaar MERI UMMAT NA CHAAND KO PUJEGI NA SURAJ KO PUJEGI NA BUTT KO PUJEGI NA DARAKHT ( tree) KO PUJEGI NA PATTHAR KO PUJEGI.
(Aye shaddad mene jise shirk kaha woh riyakari /dikhawe ke aamaal hain )
Mene arz ki ya rasool Allah, kya riyakari (dikhawe ke aamaal bhi shirk hai
Farmaya, haan."
References :
(Hakim Al Mustadrak Vol : 05, Pg : 470, Hadees : 8010)
(Sunan Ibn Majah,Kitab Uz Zuhad, Hadees : 4204)
(Musnad E Ahmad Ibn Hambal Vol : 05 , Hadees : 17250)
(Imam Bayhaki Shoebul Imaan Vol : 5, pg :333, Hadees : 6830)
(Hilyatul Aulia Vol 1 pg 466 Hadees : 899)
Scan Page Mustadraq Al Hakim
Imam Hakim Jo Imam Bayhaqi kay ustaad hai farmate hai ye hadees Sahi ul Isnaad hai.
Is hadees se wajahat huwi kay Huzoor ﷺ ko Apni ummat pe 02 Chiz ka khatra sabse zyada tha wo ek SHIRK dusra Shahwat E Khafiya yaani nafsani khwaish.
Yahan issi hadees me SHIRK ki wajahat bhi ki gayi Ummat Naa to Patthar Pujegi naa chand naa suraj wagairah balki jis chiz ko Shirk kaha gaya wo RIYAKARI hai DIKHAWE Ka amal jisko Shirk E Asgar Kaha jaata hai is amal se banda Mushrik Kaafir nahi hota lekin Sakht gunahgaar jarur hota hai.
Mumkin ho yahan ye kahde wahabi shirk to shirk hai banda mushrik hojayga to yahan hum ek aur hadees pesh karte hai jo inke is dalil ka raddh karti hai.
Ye ek nuqta yaad rakhe jab aage Shirk e khafi akbar jali wagairah lafz aaynge to pareshani naa ho.
SHIRK E JALI = SHIRK E AKBAR (yaani Khula Shirk jisme Buth, Chand, Suraj Makhlook ki ibadat karna jis amal se banda MUSHRIK hojata hai Islam Se kharij hojata hai)
Ye Is ummat ki bimari nahi hai Ye Ummat E Muslimah Shirk E JALI SHIRK E AKBAR me mullawis nahi hogi ek do aadmi to khuda hone ka Nabi Hone ka dawa bhi kar dete hai lekin puri ummat isme mulawwis ho aisa nahi hoga.
SHIRK E KHAFI = SHIRK E ASGAR (Yaani Wo Amal Jo Banda Dusre bande ko dikhane kay liye karta hai misal kay taur pe ek banda namaz padhte ho aur niyat ye ho kay mujhe log namaz padhta dekhe issi tarah se dusre amal roza hajj zakat wagairah banda amal ALLAH Taala Kay liye nahi balki Makhlook ko dikhane kay liye kare isko kahte hai SHIRK E KHAFI jiska Huzoor Nabi E Karim Ko Ummat pe sabse zyada khatra tha is se banda kaafir naa hoga lekin wo sakht gunahgaar jarur hoga.
Iski Dalil me ek hadees e paak padhe
Hadees 05 :
Hazrat Abu Saeed Khudri رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ se rivayat hai Farmate hai
“Hum Log Dajjal k Muttalik Guftgu kar Rahe The Nabi E Karim ﷺ Tashreef Laaye Aur Farmaya Kya Mai Tumhe Us Baare Me Na Batao Jo Jiska Mujhe Tum Par Dajjal Se Zyada Khatra Hai ?
Humne Kaha Haan Rasool Allah ﷺ
Farmaya CHHUPA SHIRK (Hidden Shirk), Jab Banda Namaz K Liye Khada Ho aur Ye Khayal Kare K Log Usse Dekh Rahe Hai”
References :
(Sunan Ibn Majah, Pg : 698, kitab Uz Zuhd, Baab 21 : Hadees : 4204)
(Mishkal Al Masabih, Kitabur Riqak, Pg : 1466, Hadees : 5333)
Scan Page & Front Cover Sunan Ibn Majah
Is Se Maloom Huwa Kay Dikhawe ka amal Usko Shirk E Khafi Kaha gaya hai.
Shahwat e khafiya aur Shirk E Khafi Pe ek aur hadees e paak mulahiza karen.
Hadees 06 :
Hazrat Ubada bin Nusayi رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ Farmate Hai Mai Hazrat Sayyidna Shaddad bin Aws رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالیٰ عَنْهُ Ki Khidmat Me Hazir Huwa To Unhe Rota Paa Kar Sabab E Girya Daryaft Kiya To Unhone Farmaya Mujhe Us Hadees Ne Rula Diya Jo Maine Huzoor Rehmat E Aalameen ﷺ Se Suni Thi Ki Aap Ne Irshad Farmaya Mujhe Apni Ummat Par Shirk Aur Khufya Shahwat Ka Khauf hai.
Khufya Shahwat Ye Hai Ki Aadmi Subah Roze Ki Halaat Me Karega Lekin Jab Nafs Ko Marghoob Chiz Uske Saamne Aaygi To WO Us Me Pad Jayga Aur Roza Chod Dega.
Aur Shirk (khafi) Ye Hai Ki Log Ne Patthar Ko Pujenge Na Butho Ko Lekin Dikhlawe Kay Liye Amal Karenge.
References :
(Imam Abu Nuaym Ahmad Isfahani Hilyatul Awliya Wa Tabqatul Asfiya Vol : 01, Pg : 477, Hadees : 900)
(Imam Tabarani Al Mujam Ul Kabeer Vol : 07, Pg : 341-42, Hadees : 7145)
Scan Page Tabarani Al Mujam Ul Kabeer
Hadees 07 :
وَعَنْ مَحْمُودِ بْنِ لَبِيدٍ - رضى الله عنه - قَالَ: قَالَ رَسُولُ اَللَّهِ - صلى الله عليه وسلم -{ إِنَّ أَخْوَفَ مَا أَخَافُ عَلَيْكُمْ اَلشِّرْكُ اَلْأَصْغَرُ: اَلرِّيَاءُ
أَخْرَجَهُ أَحْمَدُ بِسَنَدٍ حَسَنٍ
Hazrat Mahmud Bin Labid Se Rivayat Hai Rasulullah Ne Farmaya Jis Cheez Ka Mujhe Tum par sabse zyada Khauf hai Wo hai SHIRK E ASGAR jo dikhawe ka amal hai.
References :
(Imam Ibn Hajar Asqalani Bulug Al Maram Pg : 544, Hadees : 1484)
(Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 09, Pg : 154, Hadees : 6412)
Scan Page & Front Cover Balagh Ul Maram Ibn Hajar Asqalani
Aage Ibn Hajar Farmate Hai isko rivayat kiya Imam Ahmad Ne Hasan Sanad Se.
Imam Bayhaqi ne bhi Is rivayat ko Hasan kaha.
Upar humne 07 hadees e paak se wajahat ki hai aur bhi hai par jo haq parast hai unke liye itna kaafi hai aur jo sirf takfeeri hai unke liye hazaro dalail bhi kam hai.
01) Is Ummat E Muslimah Me kabhi bhi Izmai Taur Pe SHIRK E AKBAR nahi aayega jaisa kay Rasoolullah Ne farmaya hai SHIRK Ka khatra nahi hai.
02) Dusri rivayato me jisko SHIRK kaha gaya wo khud hadees me mauzood hai SHIRK E ASGAR hai jisko Dikhawe ka amal kaha jaata hai RIYAKARI wo is ummat ka asal marz hai aur har maktaba e fiqr iski jadh hai dikhawe ka amal ummat e muslimah me ab bahot zyada hai.
ALLAH Taala Hum Sabko RIYAKARI SE MEHFOOZ RAKHE
Ab kuch aise bhi hai jo phir bhi baat baat pe shirk shirk ka fatwa dete hai ek hadees unke liye bhi pesh e khidmat hai mulahiza kare.
Jo Shirk Ka Fatwa Dega Wo Khud Hi Mushrik Hoga
Hadees 08 :
أن حذيفة يعني ابن اليمان رضي الله عنه حدثه قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلّم إن مما أتخوف عليكم رجل قرأ القرآن حتى إذا رؤيت بهجته عليه وكان رداؤه الإسلام اعتراه إلى ما شاء الله انسلخ منه ونبذه وراء ظهره وسعى على جاره بالسيف ورماه بالشرك» قال قلت يانبي الله أيهما أولى بالشرك المرمي أو الرامي ؟ قال «بل الرامي»
إسناد جيد
Hazrat Huzaifa ibn Al Yaman Radi Allahu Anhu Se Rivayat Hai Huzoor Nabi E Karim ﷺ Ne Farmaya Mujhe us shakhs ka Khauf hai jo Quran padhega aur us par Quran ki Raunaq Dekhi Jaegi aur Usne Islam ki chadar odh li hogi Phir ALLAH jidhar chahega Usko le Jayga ,woh Islam ki chadar se nikal jaega Aur Apne (Musalman) padosi par Talwar chalaega or us par SHIRK KI TOHMAT LAGAEGA"
"Sahabi ne pucha dono mein se Mushrik kaun hoga"? Farmaya;"SHIRK KI TOHMAT LAGANE WALA" References : (Imam Ibn Hibban Sahi Ibn Hibban Vol : 01, Pg :281/82, Hadees : 81) Albani Ne Isko Hasan Likha (Ibn Kathir Tafseer Ul Quran Vol : 02, Pg : 245, Surah Aaraf Ayat : 175)
Ibn Kathir Ne Kaha Iski Sanad Jay’yad Hai Imam Yaha Ibn Moin Aur Imam Ahmad Ibn Hambal Ne iski tahkeek ki aur Kaha Iske raavi tamam Siqah Hai.
(Imam Bukhari Fi Tarikh ul Kabir, Vol : 04, Pg : 301, Hadees : 2907)
(Wahabiyo Ka Muhadis E Azam Saudi Arabia Albani Ne Silsila Al Hadees Al Sahihah Vol : 07, pg : 605, Hadees : 3201)
(Imam Bazzar Al Musnad Vol : 01, Pg : 99, Hadees : 175)
(Imam Tahawi Mushkil Al Aath’ar Vol :02, Pg : 324, Hadees : 865)
(Kashful Irshad Vol : 01, Pg : 99, Hadees : 175)
(Musnad Al Shameen Vol : 02, Pg : 254, Hadees : 1291)
(Imam Tabrani Maj’ma Ul Kabeer Vol : 20, Pg : 88, Hadees : 169)
Imam Tabrani Ye Hadees ko Hazrat Maa’z bin Jabal Radi Allahu Anhu Se Nakl Kiya Hai.
Scan Page & Front Cover Sahih Ibn Hibban
Is tamam Rivayat Se ye saabit hai Kay Rasoolullah ﷺ Ki Ummat Shirk E
Akbar Me Mullawis nahi hogi aur jo kaum e wahabiya khwarij baat baat pe shirk ka fatwa dete hai dar asal ye khud hi Shirk kay haqdar hai.
Comments
Post a Comment