Skip to main content

Islam mein gham aur rone ka tasawwur


Islam mein gham aur rone ka tasawwur :-
Az- Ameer Syed Qutubuddin Muhammad aquib.
________________Al Quran:-


لَا يُحِبُّ اللَّهُ الْجَهْرَ بِالسُّوءِ مِنَ الْقَوْلِ إِلَّا مَنْ ظُلِمَ ۚ وَكَانَ
اللَّهُ سَمِيعًا عَلِيمًا (para 4 ayat no. 148)

ﷲ کسی (کی) بری بات کا بآوازِ بلند (ظاہراً و علانیۃً) کہنا پسند نہیں فرماتا سوائے اس کے جس پر ظلم ہوا ہو (اسے ظالم کا ظلم آشکار کرنے کی اجازت ہے)، اور ﷲ خوب سننے والا جاننے والا ہے۔
فَاَقۡبَلَتِ امۡرَاَتُهٗ فِىۡ صَرَّةٍ فَصَكَّتۡ وَجۡهَهَا وَقَالَتۡ عَجُوۡزٌ عَقِيۡمٌ (surah al zaar'yaat ayat 29)

اس پر ان کی بی بی( یعنی حضرت سارہ) چلاتی آئی پھر اپنا چھرا پیٹا اور بولی کیا اس بڑھیا بانجھ کے۔

وَتَوَلَّىٰ عَنْهُمْ وَقَالَ يَٰٓأَسَفَىٰ عَلَىٰ يُوسُفَ وَٱبْيَضَّتْ عَيْنَاهُ مِنَ ٱلْحُزْنِ فَهُوَ كَظِيمٌ (surah yusuf ayat no.84)

اور ان سے منہ پھیرا، اور کہا ہاۓ افسوس یوسف کی جدائی پر اور اس کی آنکھیں غم سے سفید ہو گئیں، وہ غصہ کھاتا رہا ۔
قَالُوا تَاللَّهِ تَفْتَأُ تَذْكُرُ يُوسُفَ حَتَّىٰ تَكُونَ حَرَضًا أَوْ تَكُونَ مِنَ الْهَالِكِينَ (surah yusuf ayat no.85)

بولے خدا کی قسم آپ ہمیشہ یوسف کی یاد کرتے رہیں گے یہاں تک کہ گور کنارے جا لگیں یا جان سے گزر جائیں ۔

فَأَجَاءَهَا الْمَخَاضُ إِلَىٰ جِذْعِ النَّخْلَةِ قَالَتْ يَا لَيْتَنِي مِتُّ قَبْلَ هَٰذَا وَكُنْتُ نَسْيًا مَنْسِيًّا (Surah maryam ayat no.23)

پھر درد زہ ان کو کھجور کے تنے کی طرف لے آیا۔ کہنے لگیں کہ کاش میں اس سے پہلے مرچکتی اور بھولی بسری ہوگئی ہوتی
Al hadees:-

Maarij-un-nabuwah (jild 2 safa 444) mein darj hai ki jab Hazrat Bilal Habashi razi allahu anhu ne Rasool e aqdas sallallaho alaihe wasallam ki rehlat ki khabar suni to apna sir peet'te hue aaye.n aur aapka jumla ye tha ki "Aye kaash ki meri maa ne mujhe na jana hota "Aye kaash ki mye iss din se pahle mar chuka hota.

Hazrat Imam Burhanuddin r.a ki mash'hoor seerat "Seerat e Halbiya" jild 2 safa 295 par ye darj hai ki jab Hazrat Owais qarni razi allahu anhu ne ye suna ki Jung e Ohad mein Hazrat rasool e aqdas sallallaho alaihe wasallam ke do (2) dandane mubarak shaheed ho gye hai.n to aapne apne saare daant shaheed kar liye. Iss baat ki khabar sarkar do aalam sallallaho alaihe wasallam ko hui to aap ne irshad farmaya ki "Beshak Owais mera sachcha mukhallis dost hai.

Hazrat Shah Abdul haq muhaddis dehalvi r.a apni tasneef 'Maarij-un-Nabuwah jild 1 safa 248 mein irshad farmate hain ki "Adam Alaihissalam se jab tark e aula hua to aapne uss ke gham mein apne hath ko itni zor se apne raan par maara ki unke hath phat gaye aur unke hathon.n ki haddiya numaya ho gyi.

Imam Fakhruddin raazi r.a ne apne tasneef 'Tafseer al kabeer' jild 9 safa 98 mein darj kiya hai ki 'Hazrat yusuf Alaihissalam ko jibrael Alaihissalam ne jab ye khabar di ki tumhare walid nabeena ho gye hai.n to Hazrat yusuf Alaihissalam ne apna hath apne sir par rakh kar kaha ki "Aye kaash ki meri maa ne mujhe paida na kiya hota haye mye apne baap ke gham ka sabab bana yaani aapko shiddat e gham hua.

Hazrat Allama jalaluddin siyuti r.a apni tasneef 'Tareekh al khulfa' safa no. 208 mein tahreer farmate hain ki 'Imam Hussain Alaihissalam ki shahadat ke baad duniya saat (7) din tak andhere mein doobi rahi , dewaro.n par dhoop ka rang peela padd gaya tha , sitare.n toot.te the.n, sooraj ko gahen lag gaya tha, Aasman ke kinare 6 maheene tak surkh rahe.n, baad mein aahista aahista surkhi jaati rahi lekin ufakh ki surkhi aaj tak qayam hai jo shahadat imam Hussain Alaihissalam se qabl na thi.

Hazrat rasool e aqdas sallallaho alaihe wasallam ke wisal ke baad Hazrat janab Syyeda Fatima Zahra salamullah alaiha ka gham manana:- kitab Asadul ghaab mein iss tarah darj hai ki 'Hazrat Anas raziallahu anhu se Marwi hai ki woh Huzoor nabi akram sallallaho alaihe wasallam ki tajhizo takfeen ke baad deegar sahabakiram ke sath Shahzadi ke ghar aapko tasalli wa tashaffi dene ke liye tashreef le gye.n. Shahzadi ne zaar qataar rote hue unse poocha Kya tum rasool Allah sallallaho alaihe wasallam ko dafn kar aaye ho? Aap ne farmaya ji dafn kar aaye hain, to Shahzadi ne aah bhar kar kaha ki tumhare dilo.n ko ye kaise gawara kiya ki tumne mano mitti ke neeche Hazrat rasool e aqdas sallallaho alaihe wasallam ko dafn kar diya.

Kitab darul mansur mein iss tarah darj hai ki " Hazrat Syyeda Fatima salamullah alaiha ne Huzoor e aqdas sallallaho alaihe wasallam ki turbate aqdas ki mitti ko apne mutthi mein liya aankho se lagaya aur use sungha aur farmaya :-

ما ذا علی من شم تربۃ احمد ان لا یشم مدی الزمان
غوالیا صبت علی مصا ئب لوانھا صبت علی الا یا
مر صدن لیا لیا
Uss shakhs ko aur kya chahiye ki jise Ahmad e mustafa sallallaho alaihe wasallam ki turbat e paak ki khushbu sunghne ko mil jaye, uss shakhs ko to chahiye ki zindagi bhar wo koi aur khushbu na sunghe, mujh par jo musibate.n padi hain agar woh roshan dino.n mein padti to woh bhi siyah raate.n ban jaati.
Hazrat Syyeda Aaisha siddiqua salamullah alaiha se Manqool hai ki janab Syyeda Fatima Zahra salamullah alaiha rasool e aqdas sallallaho alaihe wasallam ke wisal ke baad kabhi hanste hue nazar na aai.n aap musalsal roti rahti.n thi.n. Aur yahi wajah hai ki Syyeda Fatima Zahra salamullah alaiha ka wisal Hazrat rasool Allah sallallaho alaihe wasallam ke wisal ke chhe (6) maah baad hi ho gaya .

Hazrat Syyeda Fatima salamullah alaiha ke wisal ke baad maula Ali Alaihissalam ke shiddat e gham se aapke zuban se jo Ash'aar sarzad hue woh iss tarah hain.
:- Mye dekh raha hoon ki duniya ki ba kasrat musibato.n ne mujh par humla kar diya hai, aur ye musibat chimti hi rahti hain jab tak musibatzada shakhs maut ke muh mein na chala jaye .
:- har do janisar logo.n mein bilakhir judai ho hi jaya karti hai aur woh zamana jo judai ke baghair yaani qurb e wasl ka zamana hota hai bahut mukhtasar hota hai.
:- Aur iss mein shak nahi ki rasool e aqdas sallallaho alaihe wasallam ke baad jo Sayyada Fatima salamullah alaiha ka daghe mufareqat de jana iss baat ki daleel hai ki janisar dost hamesha hamesh nahi raha karte (darul mansur)

Mash'hoor hai ki duniya mein chaar hastiyo.n ne sabse zyada girya kiya hai. Hazrat Adam Alaihissalam ne jannat se nikaal diye jaane aur bibi hawwa ki judai ke gham mein, Hazrat yaqoob Alaihissalam Hazrat yusuf Alaihissalam ke judai ke gham mein, Hazrat Sayyada Fatima Zahra salamullah alaiha rasool e aqdas sallallaho alaihe wasallam ke wisal ke baad aapki judai ke gham mein aur Hazrat Imam Zainul Aabideen Alaihissalam waqiya e karbala ke baad apne khandan ke judai ke gham mein, Hazrat Imam Zainul Aabideen Alaihissalam farmaya karte the.n ki Hazrat Yaqoob ke to sirf ek Yusuf juda hue the to unke rone ka aalam ye tha ki rote rote unki aankhu ki roshni hi chali gyi jabke mere to saare yusuf karbala mein mujhse hamesha ke liye juda ho gye.n.

Lekin afsos sad afsos in sab dalail aur bayan ke bawajood ulema e su aur unki jahil jamat Ahle bayet e paak ke gham mein rona aur aaho buka karna shirk o bid'at batati phirti hai. Jabke maula imam Hussain Alaihissalam ne khud farmaya hai ke "Humare liye jisne Aansu bahaye ya uski Aankho se aansu ke qatre jaari ho gye.n Allah rabbul izzat uske aiwaz use jannat ata karega inshallah (kitab fazail fazail e sahaba az imam ahmad bin humbal safa: 1154)
mujhe hairat hai ki aise log kis quran o sunnat aur ilm ke roshni mein baat karte.n hain jabke unka kisi ilm se koi sarokar nahi. Allah hum sabko sirate mustaqeem par chalne ki taufeeq aur rafeeq ata farmaye aur ulema e su se ummate muslima ko mahfooz farmaye Ameen ya rabbul Aalmeen.

Ameer Syed Qutubuddin Muhammad Aquib Qutbi Hasni Al Madni✍

Comments

Popular posts from this blog

Hadith Jhoot Bolne Walo Par

  *بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ* *اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞* Al-Qur’an:-“Beshak Jhoot Bolne Walo Par Allah Ki Laanat Hai.  Reference  (Surah Aal-e-Imran 3:61) Hadees No:- 1 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate Hai:-“Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunah Ki Taraf Le Jata Hai,Aur Gunah Jahannum Me Pahunchaane Wala Hai.”  Reference  (Sunan Abi Dawud 4989-Sahih) Hadees No:- 2 “Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannum Me Phenk Diye Jaayenge, Sirf Apni Zuban (Jhooth) Ki Wajah Se.  Reference  (Tirmizi Shareef) Hadees No:- 3 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate hai:- “Main Zamanat Deta Hu Jannat ke Darmiyaan 1 Ghar ki, Us Shaksh Ko Jo Mazak Me Bhi Jhoot Na Bole.”  Reference  (Sunan Abu Dawood 4800) Hadees No:- 5 “Laanat Aur Halaqat Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot Bole”.  Reference  (Abu Dawood:-4990)

JERUSALEM AND UMAR IBN AL-KHATTAB (RA)

Jerusalem is a city holy to the three largest monotheistic faiths – Islam, Judaism, and Christianity. Because of its history that spans thousands of years, it goes by many names: Jerusalem, al-Quds, Yerushaláyim, Aelia, and more, all reflecting its diverse heritage. It is a city that numerous Muslim prophets called home, from Sulayman and Dawood to Isa (Jesus), may Allah be pleased with them. During the Prophet Muhammad ﷺ’s life, he made a miraculous journey in one night from Makkah to Jerusalem and then from Jerusalem to Heaven – the Isra’ and Mi’raj. During his life, however, Jerusalem never came under Muslim political control. That would change during the caliphate of Umar ibn al-Khattab, the second caliph of Islam. Into Syria During Muhammad ﷺ’s life, the Byzantine Empire made clear its desire to eliminate the new Muslim religion growing on its southern borders. The Expedition of Tabuk thus commenced in October 630, with Muhammad ﷺleading an army of 30,000 people to the border with

The Qur’an & 100 Questions

1) What is the meaning of the word ‘Qur’an’? A) That which is Read. 2) Where was the Qur’an revealed first? A) In the cave of Hira (Makkah) 3) On which night was the Qur’an first revealed? A) Lailatul-Qadr (Night of the Power) 4) Who revealed the Qur’an? A) Allah revealed the Qur’an 5) Through whom was the Qur’an revealed? A) Through Angel Jibraeel (Alaihis-Salaam) 6) To whom was the Qur’an revealed? A) To the last Prophet, Muhammed (Sallahu Alaihi Wasallam) 7) Who took the responsibility of keeping the Qur’an safe? A) Allah himself 8) What are the conditions for holding or touching the Qur’an? A) One has to be clean and to be with wudhu (ablution) 9) Which is the book which is read most? A) The Qur’an 10) What is the topic of the Qur’an? A) Man 11) What are the other names of the Qur’an according to the Qur’an itself?A) A l-Furqaan, Al-Kitaab, Al-Zikr, Al-Noor,Al-Huda 12) How many Makki Surahs (chapters) are there in the Qur’an? A) 86 13) How many Madani Surahs (chapters) are there in