Skip to main content

Hazrat Khawaja Aleem ud deen Alam Nawaz Chishti r.a

*Shams ul Aarifeen Qutub ul Kamileen Baniye Basti Shaykh Pura Qadeem Hazrat Khawaja Aleem ud deen Alam Nawaz Chishti*
*(Raziallahu Ta'ala Anhu)*


IMG-20190619-WA0006.jpg
Apka Ism Mubarak Aleem ud deen Aur Lakab Alam Nawaz Hai,Ap Hazrat Khawaja Moin ud deen Chishti Sarkar Khawaja Gareeb Nawaz (Raziallahu Ta'ala Anhu) Ke Bahanje Aur Khalifa Hai,Apne Mustakil Qayaam Moza Shaykh Pura Qadeem Zila Saharanpur Me Farmaya Tha Aur Wohi Rehkar Apne Chishti Mission Ke Fiyuzo Barkaat Se Khalk e Alam Ko Nawaza,Apka Lakab Kya Khoob Hai Ke Apke Shaykh Gareeb Nawaz Hai Aur Ap Alam Nawaz Hai Apka Lakab Zahir Karta Hai Ke Apne Ak Alam Ko Chishti Mission Ki Taleemat Aur Faizan Se Sarfaraz Kiya Tha,Shaykh Pura Qadeem Apke Dor Me 52000 (Bawan Hazar) Bigah Me Faila Hua Tha,Hareti, Meg Chappar,Nawada,Haqiqat Nagar,Naya Shehar,Ladora,Lakhnor,Sameet Shehar Saharanpur Ka Jama Masjid Tak Ka Hissa Isme Aata Tha,Saharanpur Basne Se 450 Sal Pehele Shaykh Pura Ko Sarkar e Alam Nawaz Huzur Khawaja Aleem ud deen Chishti (R.H) Ne Basaya Tha,Ye Moza Kafi Purana Hai Islye Iske Sath Qadeem Lagate Hai,Log Aapki Karamaat Ko Dekh Kar Apse Bhut Mutassir Hote Aur Apke Khidmat Me Aakar Rehne Lage,Is Gao Ke Nam Fakeer Pura Rakha Gya,Shaykh Pure Ka Purana Nam Fakeer Pura Tha,Lekin Waha Ki Aurto Ne Is Bat Par Aetraz Kiya Ke Fakeer Pura Nam Sunkar Hamara Baccho Ke Rishte Nahi Aate Aur Log Buri Nazar Se Dekhte Hai Aur Tanziya Lehje Me Kehte Hai Ye Log To Fakeer Pure Ke Hai,Waha Ke Log Apki Bargah Me Aaye Aur Nam Badalne Ki Guzarish Ki,Huzur Khawaja Sahab Ne Farmaya:-Tum Log Zada Shaykhi Bagharne Lage Ho Jao Aj Se Tumhare Is Gao Ka Nam Shaykh Pura Hai,Us Din Yehi Naam Chala Aata Hai,Ak Martaba Tehangarh Zila Dosa (Rajasthan) Ka Raja Ram Singh Mannat Mangne Hariduwar Ja Raha Uske Aulad Nahi Thi,Usne Shaykh Pure Me Parao Dal Rakha Tha Uski Mulaqat Khawaja Sahab Se Huyi,Usne Apse Dua Ki Darkhast Ki,Apne Farmaya Allah Tumhe Do Bete Dega Lekin Ak Beta Tumhe Yaha Chorna Hoga,Allah Ne Apki Dua Se Raja Ko 2 Bete Diye Usne Bare Bete Ko Apki Bargah Me Chor Diya Jo Apke Hath Par Muslaman Hua Uska Nam Kam ud deen Kha Rakha Gya,Raja Ke Is Bete Kam ud deen Kha Ke 3 Bete Hue,Un Teeno Beto Ki Mazar Khawaja Alam Nawaz (R.H) Ke Mazar Mubarak Ke Samne Hai,Shaykh Pure Ke Rao Shaiban Kam ud deen Kha Ki Aulad Se Hai,Huzur Khawaja Alam Nawaz Ke Wisal Ke Bad Kam ud deen Kha Ne Apka Roza Tameer Karaya Tha..
*Peer Banjara*
Ak Martaba Ak Shakar Karobari Kareem Sha Apke Samne Se Guzra The,Apne Usse Poucha Beta Kya Le Ja Rahe Ho,Kareem Sha Ne Kaha Baba Namak Le Ja Raha Hu,Jab Wo Rajasthan Poucha Aur Boriyo Ka Muh Khola To Unme Namak Dekh Kar Hairat Me Parh Gya,Wo Wapis Lotkar Khawaja Sahab Ke Pas Aaya Aur Mafi Mangi Apne Use Maf Farma Diya Aur Namak Ko Hi Bechne Ki Salah Di,Usne Apki Bat Par Amal Kiya To Us Wakt Achanak Namak Ke Dam Barh Gye,Aur Use Khoob Munafa Hua,Usne Apni Baqiya Umar Khawaja Sahab Ki Khidmat Me Rehkar Guzari,Unka Mazar Huzur Khawaja Alam Nawaz Ke Roze Ke Panch Dare Me Hai,Jo Mazar Banjara Ke Nam Se Mashoor Hai,Ahle Nazar Hazraat Pehle Is Buzurgh Banjara Khadim Ki Turbat Par Hazri Dekar Salam Karke Phir Khawaja Sahab Ke Roze Me Dakhil Hote Hai..
*Baba Gayab Sha Sahab*
Huzur Khawaja Aleem ud deen Alam Nawaz Chishti (R.Z) Ki Dargah Shareef Ke Main Raste Par Baba Gayab Sha Sahab Ka Mazar Hai,Ap Darban Sha Sahab Ke Nam Se Mashoor Hai,Ap Dargah Shareef Ke Darban Hai,Ak Bar Dargah Shareef Se Saman Chori Ho Gya Baba Gayab Sha Ko Pata Chala To Unhone 2 Ghante Me Hi Saman Baramad Kar Diya,Apki Dargah Shareef Se Kabhi Loot Daketi Chori Nahi Hoti Agar Hoti Hai To Uska Chald Hi Khulasa Bhi Ho Jata Hai..
Huzur Khawaja Alam Nawaz (R.H) Ka Wisal 17 Shaban ul Muazzam 651 Hijri Me Hua,Apka Urs Mubarak 15-16-17 Shaban ul Muazzam Ko Bari Shano Shokat Ke Sath Manaya Jata Hai,Huzur Khawaja Sahab Ki Dargah Shareef Me 24 Ghante Bijli Rehti Hai,Pure Shaykh Pura Me Kahi Bijli Ho Ya Na Ho Apki Dargah Shareef Me 24 Ghante Bajli Zaroor Rehti Hai,Iski Wajah Ye Hai 1964 Me Dargah Shareef Ke Pas Bijli Ghar Me Kam Shuru Hua,Mazdoor Din Me Khambe Laga Kar Jate Lekin Subha Khambe Gire Hue Milte The,Jab 3-4 Bar Aesa Hi Hua To Gao Ke Logo Ne Bijli Ghar Ke Logo Ko Huzur Khawaja Alam Nawaz {R.Z} Ki Dargah Shareef Par Chadar Charane Ki Salah Di Aur Waha Jakar Dua Mange Ko Kaha,Un Logo Ne Aakar Apke Mazar Mubarak Par Chadar Charayi Aur Dua Mangi Uske Bad Se Aj Tak Dargah Shareef Me 24 Ghante Bijli Rehti Hai..
Allah Kareem Hame Huzur Khawaja Aleem ud deen Chishti Sarkar Alam Nawaz (R.Z) Ke Faizan Se Malamal Farmaya.Ameen

Comments

Popular posts from this blog

Hadith Jhoot Bolne Walo Par

  *بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ* *اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞* Al-Qur’an:-“Beshak Jhoot Bolne Walo Par Allah Ki Laanat Hai.  Reference  (Surah Aal-e-Imran 3:61) Hadees No:- 1 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate Hai:-“Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunah Ki Taraf Le Jata Hai,Aur Gunah Jahannum Me Pahunchaane Wala Hai.”  Reference  (Sunan Abi Dawud 4989-Sahih) Hadees No:- 2 “Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannum Me Phenk Diye Jaayenge, Sirf Apni Zuban (Jhooth) Ki Wajah Se.  Reference  (Tirmizi Shareef) Hadees No:- 3 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate hai:- “Main Zamanat Deta Hu Jannat ke Darmiyaan 1 Ghar ki, Us Shaksh Ko Jo Mazak Me Bhi Jhoot Na Bole.”  Reference  (Sunan Abu Dawood 4800) Hadees No:- 5 “Laanat Aur Halaqat Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot...

JERUSALEM AND UMAR IBN AL-KHATTAB (RA)

Jerusalem is a city holy to the three largest monotheistic faiths – Islam, Judaism, and Christianity. Because of its history that spans thousands of years, it goes by many names: Jerusalem, al-Quds, Yerushaláyim, Aelia, and more, all reflecting its diverse heritage. It is a city that numerous Muslim prophets called home, from Sulayman and Dawood to Isa (Jesus), may Allah be pleased with them. During the Prophet Muhammad ﷺ’s life, he made a miraculous journey in one night from Makkah to Jerusalem and then from Jerusalem to Heaven – the Isra’ and Mi’raj. During his life, however, Jerusalem never came under Muslim political control. That would change during the caliphate of Umar ibn al-Khattab, the second caliph of Islam. Into Syria During Muhammad ﷺ’s life, the Byzantine Empire made clear its desire to eliminate the new Muslim religion growing on its southern borders. The Expedition of Tabuk thus commenced in October 630, with Muhammad ﷺleading an army of 30,000 people to the border with...

The Qur’an & 100 Questions

1) What is the meaning of the word ‘Qur’an’? A) That which is Read. 2) Where was the Qur’an revealed first? A) In the cave of Hira (Makkah) 3) On which night was the Qur’an first revealed? A) Lailatul-Qadr (Night of the Power) 4) Who revealed the Qur’an? A) Allah revealed the Qur’an 5) Through whom was the Qur’an revealed? A) Through Angel Jibraeel (Alaihis-Salaam) 6) To whom was the Qur’an revealed? A) To the last Prophet, Muhammed (Sallahu Alaihi Wasallam) 7) Who took the responsibility of keeping the Qur’an safe? A) Allah himself 8) What are the conditions for holding or touching the Qur’an? A) One has to be clean and to be with wudhu (ablution) 9) Which is the book which is read most? A) The Qur’an 10) What is the topic of the Qur’an? A) Man 11) What are the other names of the Qur’an according to the Qur’an itself?A) A l-Furqaan, Al-Kitaab, Al-Zikr, Al-Noor,Al-Huda 12) How many Makki Surahs (chapters) are there in the Qur’an? A) 86 13) How many Madani Surahs (chapters) are there in...