Skip to main content

YOUM-E-WISAL KHALEEFA-E-AWWAL SAIYEDNA ABU'BAKR SIDDIQ رضی الله عنہ

Image result for hazrat abu bakr wisal

https://youtu.be/5BOR00w7cQk

  • 🌹 Aap ki wiladat 573 A.D. me Makka me hui.

  • 🌹Aap ke waalid ka naam Hazrat Usman Abu Quhafa ibn Amir aur waalida ka naam Salma bint Sakhar (Ummul Khair) hai.

  • 🌹Aap Quraish ke Banu Taym kabeele se ta’aaluq rakhte hain.

  • 🌹Aap ka asl naam Abdullah hai.

  • 🌹Hazrat Abu Bakr Siddeeq رضی الله عنہ Qabl Az Islam bahut bade Tajir the.

  • 🌹Aap ek Martaba Mulke Sham gaye to waha ek Khuwab dekha ke Chaand aur Suraj Aasman se neeche utar aaye hai, aur dono Hazrat Abu Bakr ki god me Dakhil hogaye hai… Hazrat Abu Bakrرضی الله عنہ ne dono ko pakad kar seene se laga liya,aur apni chadar Mubarak upar daldi…Sub’h ko aap bedar huwe to us Ajeeb-o Gareeb Khuwab ki Ta’abeer puchh ne ek Rahib ke pas gaye,us Rahib ne sara Khuwab sunkar puchha! Aap ka naam kya hai kaha ke rahne wale hain aur kaunse Qabeela ke hain? Farmaya : Mera Naam Abu Bakr hai,Makkah ka Rahne wala hu aur Bani Hashim se hu! Rahib ne poochha: aur kaam kya karte ho? Farmaya : Tijarat karta hu!
    Rahib ne kaha Mubarak ho,Makkah se aur Qabeela Bani Hashim se Nabi Aakhiruzzama ﷺ ka Zahoor ho chukka hai…Agar ye Nabi na hote to Allah Ta’ala Aasman-o Zameen ko Paida na Farmata,aur sari Kayenat bhi zahir na hoti,aur jumla Ambiya-e Ikram bhi paida na hote.
    Wo Nabi-e Paak Rasoolo ke Sardar honge aur sab unhe (MUHAMMAD AL AMEEN) ke Naam se yad karenge...Aye Abu Bakr ! Us Khuwab ki Taabeer ye hai ke tum unke Deeen me dakhil hoge Hazrat Abu bakr ye Taabeer sunkar bade Mutassir huwe aur Dil par ek Ajeeb kaifiyat tari hui,Aur Huzoor ﷺ se Mulaqat ka Shauq Galib huwa,aur Fauran Makkah shareef wapas aaye.Huzoor ko dekh kar Dil bag bag hogaya,Huzoor bhi Abu Bakr ko dekh kar Muskuraye,aur Farmaya : Abu Bakr jaldi KALIMA padho aur mere Deen me Aajaao.Siddiq Akbar ne Arz kiya! Huzoor mai kya koi Mojiza dekh sakta hu?
    Sarkar ﷺ ne Muskura kar Farmaya Mulke Sham me jo Khuwab dekh kar aaye ho aur Rahib ne jo Taabeer sunayee thi wo Mera Mojiza hi to hai.
    Siddiq Akbar رضی الله عنہ ne Dil me socha waha to mai aur Rahib the teesra tha hi nahi fir ye baat aap ko kaise maloom hui ye to Ilm-e Gaib batane wale Nabi hain. bila shubha Hazrat Siddiq Akbar رضی الله عنہ Fauran KALIMA padhkar IMAN le aaye aur Islam me Dakhil hogaye.

Comments

Popular posts from this blog

Hadith Jhoot Bolne Walo Par

  *بِسْــــــمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِىْمِ* *اَللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى سَيِّدِنَا وَ مَوْلَانَا مُحَمَّدٍ وَّ عَلٰى اٰلَهٖ وَ اَصْحَابِهٖ وَ عَلىٰ سَيِّدِنَا وَ مُرْشِدِنَا وَ مَحْبُوْبِناَ حَضْرَتِ رَاجْشَاهِ السُّونْدَهَوِيِّ وَ بَارِكْ وَ سَلِّمْ۞* Al-Qur’an:-“Beshak Jhoot Bolne Walo Par Allah Ki Laanat Hai.  Reference  (Surah Aal-e-Imran 3:61) Hadees No:- 1 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate Hai:-“Jhoot Se Bacho! Bilashuba Jhoot Gunah Ki Taraf Le Jata Hai,Aur Gunah Jahannum Me Pahunchaane Wala Hai.”  Reference  (Sunan Abi Dawud 4989-Sahih) Hadees No:- 2 “Bahut Saare Log Muh Ke Bal Jahannum Me Phenk Diye Jaayenge, Sirf Apni Zuban (Jhooth) Ki Wajah Se.  Reference  (Tirmizi Shareef) Hadees No:- 3 “Nabi-e-Kareem (ﷺ) Farmate hai:- “Main Zamanat Deta Hu Jannat ke Darmiyaan 1 Ghar ki, Us Shaksh Ko Jo Mazak Me Bhi Jhoot Na Bole.”  Reference  (Sunan Abu Dawood 4800) Hadees No:- 5 “Laanat Aur Halaqat Hai Us Shaksh Ke Liye Jo Logo Ko Hasane Ke Liye Jhoot...

JERUSALEM AND UMAR IBN AL-KHATTAB (RA)

Jerusalem is a city holy to the three largest monotheistic faiths – Islam, Judaism, and Christianity. Because of its history that spans thousands of years, it goes by many names: Jerusalem, al-Quds, Yerushaláyim, Aelia, and more, all reflecting its diverse heritage. It is a city that numerous Muslim prophets called home, from Sulayman and Dawood to Isa (Jesus), may Allah be pleased with them. During the Prophet Muhammad ﷺ’s life, he made a miraculous journey in one night from Makkah to Jerusalem and then from Jerusalem to Heaven – the Isra’ and Mi’raj. During his life, however, Jerusalem never came under Muslim political control. That would change during the caliphate of Umar ibn al-Khattab, the second caliph of Islam. Into Syria During Muhammad ﷺ’s life, the Byzantine Empire made clear its desire to eliminate the new Muslim religion growing on its southern borders. The Expedition of Tabuk thus commenced in October 630, with Muhammad ﷺleading an army of 30,000 people to the border with...

The Qur’an & 100 Questions

1) What is the meaning of the word ‘Qur’an’? A) That which is Read. 2) Where was the Qur’an revealed first? A) In the cave of Hira (Makkah) 3) On which night was the Qur’an first revealed? A) Lailatul-Qadr (Night of the Power) 4) Who revealed the Qur’an? A) Allah revealed the Qur’an 5) Through whom was the Qur’an revealed? A) Through Angel Jibraeel (Alaihis-Salaam) 6) To whom was the Qur’an revealed? A) To the last Prophet, Muhammed (Sallahu Alaihi Wasallam) 7) Who took the responsibility of keeping the Qur’an safe? A) Allah himself 8) What are the conditions for holding or touching the Qur’an? A) One has to be clean and to be with wudhu (ablution) 9) Which is the book which is read most? A) The Qur’an 10) What is the topic of the Qur’an? A) Man 11) What are the other names of the Qur’an according to the Qur’an itself?A) A l-Furqaan, Al-Kitaab, Al-Zikr, Al-Noor,Al-Huda 12) How many Makki Surahs (chapters) are there in the Qur’an? A) 86 13) How many Madani Surahs (chapters) are there in...