Skip to main content

[Image 354.jpg]



[Image 354.jpg]

بسم اللہ الرحمٰن الرحیم
Imam Hussain Alaihissalam ki shahadat par Imam Shafai Raziallah Anhu ke Ash.aar.

(1) Jis cheez ne meri neend uda di aur mere baalon Ko safaid kar diya woh aisi gardish e zamana hai jismein badi badi musibate.n hai.

(2) Mera qalb ghum wa aah se choor hai
mera dil ghamgeen wa ranjoor hai meri neend udd chuki hai aur ye be khwabi ajeeb hai.

(3) koi hai jo Hazrat Hussain Alaihissalam Ko meri taraf se ye Paigham pahucha de khwah kisi Ko kitna hi gira.n Kyun na guzre.

(4) Unhe bila kisi jurm ke hi Shaheed kar diya gaya aur unki qamees aisi lagti hai jaise use arjwaan ke paani mein rang diya gaya ho.

(5) Unke wafaat par talware.n fariyaad Kuna hain neze nauha khwa.n aur ghodo.n ki awaaz Aah o fugha.n mein badal chuki hai.

(6) Aale Muhammad sallallahu alaihe wasallam ki shahadat ki wajah se duniya hil gayi hai aur qareeb tha ki pahado.n ka goonga pan khatm ho jaye aur woh cheekh pade.n.

(7) Sitare doob gaye sayyare kapkapa uthe parde phaad diye gaye aur girebaa.n chaak kar diye gaye.

(8) kitni Ajeeb baat hai ki Banu Hashim ke nabi maba'oos sallallahu alaihe wasallam par Darood bheja jaye aur inki Aulad se jung ki jaaye.

(9) Agar mera gunah ye hai ki mujhe Aale Muhammad sallallahu alaihe wasallam se muhabbat hai to ye aisa gunah hai ki jis se maye kabhi tauba nahi karne wala hoon.

(10) Hashro nashr ke din jab dekhne waale musibat mein giraftar honge uss waqt yahi Hazraat mere sifarishi honge.

Comments

Popular posts from this blog

Kanzul Muttalib fee Manaqib Ali Ibne Abi Talib Alahissalam

1. QUBOOL-E-ISLAM ME AWWAL AUR NAMAZ PADHNE ME AWWAL 1. "Ek Ansari Shakhs Abu Hamza se riwayat karte hain ke maine Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu ko farmate hue suna ke sabse pehle Hazrat Ali RadiAllahu Anhu Imaan laaye." Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai aur kaha hai ke ye Hadees Hasan Saheeh hai. 2. "Hazrat Zaid bin Arqam RadiAllahu Anhu se he marvi ek riwayat me ye alfaaz hain: "Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par sabse pehle Islam laane waale Hazrat Ali RadiAllahu Anhu hain." Is Hadees ki Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya hai. 3. "Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Peer ke din Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Baysat hui aur Mangal ke din Hazrat Ali RadiAllahu Anhu ne Namaz padhi." Is Hadees ko Imam Tirmizi ne riwayat kiya hai. 4. "Hazrat Abdullah ibne Abbas RadiAllahu Anhuma se riwayat hai ke wo farmate hain sabse pehle Hazrat Ali RadiAl

Rijalul ghayb

      https://youtu.be/DBJF3hL27FU   Rijal Al-Ghaib or Awliy’Ulah are always praying for the ummah and the world , imama gazali rehmatuallah “said if somebody prays for their help allah will show them their help ” ” , Rijal Al-Qeyb pray for the whole Umah of prophet Muhammed . Online Article There are at any given time 124000 or over (Allah knows best ) Awliy Ulah living on earth.They are not known and recognized by the general public. You should know O the beloved of Allah All these are hidden from them and the general public too , only Allah is the one who knows them all . In the Hadith 1) The Prophet (SCW) said: “The Substitutes (Abdaal) in this Community are thirty like Ibrahim the Friend of the Merciful. Every time one of them dies, Allah substitutes another one in his place.” [Musnad Ahmad 5:322] 2) The Prophet (SCW) said: “The earth will never lack forty men similar to the Friend of the Merciful [Prophet Ibrahim], and through them people receive rain and are given help. None of

Albucasis: A Landmark for Arabic and European Surgery

This article presents Abu'l-Qasim Khalaf ibn 'Abbas al-Zaharawi, Arabic أبو القاسم خلف بن عباس الزهراوي, Latin Albucasis (936-1013 A.D.), one on the most outstanding Arabic physicians and the most remarkable Arabic surgeon. His work had a strong impact in middle ages. Greek-Roman surgery had almost ceased to be practiced, in the Western world, after Paul of Aegina (625-690 A.D.), the last Byzantine compiler. Albucasis took for himself the task of making of surgery an honorable art. He recovered ancient surgical texts from damaged scrolls, developed, expanded and refined Greek-Roman operations, adding his own pioneer techniques, procedures, and devising his own instruments. His clear and insightful teachings laid the foundations of accurate and safer surgical procedures that were adopted in the following centuries.  Introduction Frontispiece of the Latin translation of Al-Zahrawi's (Albucasis') Kitab al-tasrif (Source) During Galen´s life (129-217 A.D.), magic and supern